Search
Sections
< All Topics
Print

01. Maah-e-Muharram ki shara’i hesiyat

Maah-e-Muharram ki shara’i hesiyat

 

Khutba-e- Masnoona, Ammaa baad: Muharram kay maheenay ka aaghaz ho chuka hai. Is ki shara’i hesiyat yeh hai keh Allah kay banaye huway baarah maheenon mein say aik maheena hai إِنَّ عِدَّةَ الشُّهُورِ عِنْدَ اللهِ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا Allah Ta’ala nay saal kay baarah maheenay banaye hain, Un mein say aik maheena Muharram ka bhi hai. Aur is ki mazeed shara’i hesiyat yeh hai keh yeh hurmat wala maheena hai. Farmaya: مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُم (Al Taubah: 36). In baarah mahino mein say chaar maheenay hurmat walay hain: Zulqad, Zilhajj, Muharram aur Rajab.” (Bukhari: 3197). Hurmat say murad yeh hai keh yeh maheenay baday muhtaram hain. Musalmaanon ko in ka ahtraam malhooz rakhna chahiye. In maheenon mein Kuffaar kay saath bhi jung na karo cheh jaikeh aapas mein. Fitnay barpa na karo, Shar anagaizi na karo. In ki hurmat ka ahtraam rakho. Muharram kay maheenay ki mazeed shara’i hesiyat yeh hai, Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki aik Hadees hai: وَ أَفْضَلُ الصِّيَامِ بَعْدَ شَهْرِ رَمَضَانَ صِيَامُ شَهْرِ اللَّهِ الْمُحَرَّمِ “Ramzaan kay Rozon kay baad sab say afzal Rozay Allah Ta’ala kay maheenay Muharram kay Rozay hain. (Muslim: 1163) Is Hadees mein Muharram ki do fazeelatein saamnay aati hain: Aik yeh kay Allah Rab-ul-Izzat nay Muharram kay maheenay ko apna maheena qarar diya hai: شهر الله Allah ka maheena hai. Yeh nisbat is maheenay kay sharaf ki daleel hai. Baqi sharaf ki jo wujoohaat hain un ka zikar nahin hai. Is maheenay ko شهر الله, Qarar dena zabardast fazeelat hai. Jesay zameen ki saari Masajid Allah kay ghar hain lekin jab baitullah kaha jaye to Khaanah kaaba murad hota hai. Nisbat, Tashreef ki nisbat hai. Saari oontniyaan Allah ki makhlooq hain, Lekin Saleh علیہ السلام ki oontni ko Qur’an nay ناقة الله kaha, Keh Allah ki oontni hai. Yeh nisbat, Nisbat-e-Tashreef kehlati hai. Aik cheez kay sharaf aur us ki azmat kay izhaar kay liye. To Muharram kay maheenay ko bhi شہر اللہ, Kaha gaya hai, Halaankeh saaray maheenay Allah kay hain aur is ko khaas taur par شہر اللہ, Kehna is ki azmat aur sharaf ki daleel hai. Doosri Fazeelat is Hadees mein yeh warid hai keh Muharram ka Roza Ramzaan kay Rozon kay baad sab say afzal Roza hai. Yeh Roza kya hai? Is ki tareekh kya hai? Yeh sab kuch Kutub-e-Ahadees mein warid hai jin ka khulasa yeh hai keh Muharram ki das tareekh ka Roza pehlay farz tha, Phir jab Allah Ta’ala nay Ramzaan kay Rozay farz qarar day diye to Muharram ki das tareekh kay Rozay ki farziyat mansookh ho gai. Magar is Rozay ka istehbab aur is ki fazeelat aur is ka masnoon hona barqarar aur qaim rakha gaya hai. Is Rozay ki fazeelat yeh hai keh farmaya: أَحْتَسِبُ عَلَى اللَّهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الْمَاضِيَةَ Aik roza guzashta saal kay tamaam gunaahon ka kaffara ban jata hai. Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki poori Hadees yeh hai:

 

ثَلَاثَةٌ مِّنْ كُلِّ شَهْرٍ وَ رَمَضَانُ إِلَى رَمَضَانَ فَهَذَا صِيَامُ الدَّهْرِ كُلَّہ وَصِيَامُ يَوْمِ عَرَفَةَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ وَالسَّنَةَ الَّتِي بَعْدَهُ وَصِيَامُ يَوْمٍ عَاشُورَاءَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللَّهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ  أَوْ كَمَا قَالَ صلی اللہ علیہ وسلم

 

“Ramzaan kay Rozay aur har maheenay kay teen Rozay zamanay bhar kay Rozay hain: ذَلِكَ صِيَامُ الدَّهْرِ Jis ko Allah Rab-ul-Izzat Ramzaan kay Rozon ki aur har maheenay chaand ki teerah, Chodaan aur pandraah tareekh kay Rozon ki taufeeq day day, Goya woh shakhs zamanay bhar kay Rozay rakh raha hai. Aur Yaum-e-Arafah ka Roza do saal kay gunaahon ka kaffara hai. Aik guzashita saal doosra ayindah saal. Aur Muharram ka Roza guzashita saal kay gunaahon ka kaffara hai.” (Muslim: 1162)

 

Tareekh is ki yeh hai: Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Madinah Munawra mein Yahoodiyon ko dekha, Ahal-e-Kitaab ko dekha keh woh bhi yeh Roza rakhtay hain. Aap nay poocha: Tum Roza kiun rakhtay ho? Unhon nay jawab diya: هَذَا يَوْمٌ نَّجَّى اللهُ بَنِي إِسْرَائِيلَ مِنْ عَدُوِّهِمْ (Bukhari: 52004) Yeh woh din hai jis din Allah Rab-ul-Izzat nay Bani Israil ko, Moosa علیہ السلام ki jamaa’at ko fir’on ki ghulaami aur changal say azadi ataa farmaai thi. Moosa علیہ السلام ki Nubuwwat kay jo maqasid hain woh do thay: Aik poori qoum ko tauheed ka paigham dena jo har Nabi ki Nubuwwat ka maqsad hai aur doosra Bani Israil ko fir’on ki ghulaami say azadi dilwana. Azadi ka husool bhi aik shara’i maqsad hota hai. Is kay liye Moosa علیہ السلام nay aik taweel Jidd-o-Jahd ki, Bil aakhir fir’on ghark huwa, Us ki qoum halaak huwi aur Allah Rab-ul-Izzat nay Bani Israil ko fir’on kay zulm aur changal say azadi ataa farmadi. Yahoodiyon nay kaha: فَصَامَهُ مُوسی شکرا Moosa علیہ السلام nay bhi us din Allah ka shukar adaa karnay kay liye Roza rakha tha. Ham chunkehkeh Moosa علیہ السلام kay ummati hain to ham bhi Allah ka shukar adaa karnay kay liye Roza rakhtay hain. Tab Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: فَنَحْنُ أَحَقُّ وَأَوْلَى بِمُوسَى مِنْكُم (Muslim: 1130) Bhala tumahra Moosa say kya talluq hai? Talluq to hamara hai. Is ki asaas Tauheed-e-Khalis Allah Rab-ul-Izzat ki Rububiyat aur us ki Ulohiyat hai. Tumahra kya waasta aur talluq hai! Tumahra koi talluq nahin. Deen mein talluq ki asaas qomiyat nahin hai. Talluq ki asaas Allah ka Deen hai. Allah ki tauheed hai. الحب فِي اللهِ وَالْبَغْضُ فِي اللهِ Mahabbat Allah kay liye hai aur bughz bhi Allah kay liye hai. Aur talluq ki bunyadein khaaliq aur maalik ki tauheed hai. Farmaya keh Roza ham rakhen gay taakeh Moosa علیہ السلام kay saath yakjahti ka izhaar ho. Un say mahabbat ka izhaar ho. Tab Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay is Rozay ki mashroo’iyat ka ailaan farma diya. Lekin chunkeh Yahoodi bhi rakh rahay hain aur Islam ki jo aitqaadi bunyadein hain, Un mein say aik bunyaad yeh hai keh kisi maslay mein Yahood kay saath tashbbuh na ho. Koi masla aisa na ho keh jis say yeh zahir ho raha ho keh tum Yahoodiyon ki mushabihat ikhtiyar kar rahay ho, Un ka tashabbuh ikhtiyar kar rahay ho. Ab yeh alag masla peda ho gaya. Yahoodi bhi rakhen, Ham bhi rakhen yeh to sayedha sayedha tashabbuh banta hai. Is ka izaala Sayyiduna Ibn-e-Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay yoon farmaya keh tum nau aur das kay do Rozay rakho taakeh un ki mukhalifat ho. (Tirmizi: 755) Woh aik rakhtay hain, Ham do rakhen gay Yahood ki mukhalifat kay liye. Is say yeh baat waazeh hoti hai keh Yahood badi Qabil-e-Nafrat qoum hai. Badi mabghooz aur haqeer qoum hai. Jo qoum haqarat kay qabil ho, Bikhraye janay kay qabil ho. Aisi qoum say kisi maslay mein yakjahti ka izhaar, Is say tashabbuh aur mumasilat jaaiz nahin hai. Farmaya keh وَإِذَا لَقِيتُمُوهُمْ فِي الطَّرِيقِ فَاضْطَرُّوهُمْ إِلَى أَضْيَقِ الطَّرِيقِ (Muslim: 2167) Jab tum kisi Yahoodi kay paas say guzro to apnay baazu phelaaw aur koshish karo keh un ka raasta tang karo. Halaankeh baazuon ko phelana kibar ki aik alamat hai lekin Yahoodiyon jesi mabghooz qoum kay liye kibar nahin hai. Yeh Islam ki Riffat aur us qoum ki tahqeer hai. Woh qoum jis say insaan hi nahin balkeh darakht, Pathar aur jamadat bhi nafrat kartay hain. Chunacha Qurb-e-Qayaamat jab Eesa علیہ السلام aayein gay aur chun chun kar Yahoodiyon ko qatal karein gay, Us waqt Yahoodi patharon aur darakhton ki aad mein chupnay ki koshish karein gay, Tab pathar aur darakht pukaarein gay: يَا مُسْلِمُ هَذَا يَهُودِي وَرَائِي تَعَالُ فَاقْتُلهُ (Bukhari: 3593) “Aey musalmaan! Meray peechay aik Yahoodi chupa huwa hai meri taraf aaw, Isay qatal kardo.”

 

Aisi qoum jis say pathar, Jamadat, Mitti aur darakht bhi nafrat karein, Woh qoum kisi mahabbat kay qabil nahin hai keh us qoum ko apnay saron pay bethaya jaye aur us say dosti ki peengen badhai jayen aur phir woh is tarah hamaray saron par sawaar ho jayein keh jab chahen hamaray ilaaqon mein daakhil hon aur hamaray fojiyon ko shaheed kar jayein aur ham is par koi action na lein aur kisi qisim kay Radd-e-Amal ka izhaar na karein, Siwaye chand masnooi baaton kay jin mein kisi haqeeqat ka rang na ho. Yeh aik ajeeb maamla hai. Yeh qoum kisi mudahanat aur kisi achay sulook kay laaiq nahin hai. Jis qoum say poori kaainaat nafrat ka izhaar karti hai, Us qoum ki nafrat hi hamaray dilon mein mujood ho yeh tauheed kay taqazoon mein say hai, Chunacha Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Yahood say mukhalifat kay liye do Rozay mashr’oo qarar day diye. Nau aur das Muharram ka Roza, Chunacha yeh beshtar Ahadees mein mazkoor bhi hai. Aur is ki Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) nay talqeen farmaai aur sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay mamool say yeh saabit bhi hai. Yeh hai woh shara’i hesiyat jo us Muharram kay maheenay ki hai.

 

Shaikh-al-Islam-Ibn-e-Tammiya رحمہ الله farmatay hain: Junhi Muharram ka chaand namoodaar hota hai to shaitan do qoumon ko gumraahi ki taraf amaada karta hai, Balkeh do qoumon ko gumraah karnay mein kamyaab ho jata hai. Do qoumon mein Deen kay khilaaf nazriyaat aur fikar aur Ilhaad daakhil karnay mein kamyaab ho jata hai. Aik woh qoum hai jo Huzan-o-Malaal aur Gham-o-Andoh ki khaatir in dinon mein maatam karti hai, Sayenah kobi karti hai, Rukhsaar peetti hai, Gharibaan chaak karti hai, Apnay aap ko zakhmi karti hai. Yeh poori ki poori shaitan ki woh aik tadbeer hai jo us qoum par aazmata hai aur khoob us qoum ko Allah kay Deen say door karta hai. Doosri woh qoum hai jo is maheenay ki aamad say khushiyon ka izhaar karti hai. Yeh khawarij hain aur khawaraj mein say khaas taur par aik nasbi tabqa. Un kay dil Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay khaandan kay bughz say bharay huway thay. Woh in dinon mein khushi ka izhaar kartay hain. Dastar khawaan wasaye kartay hain, Tarah tarah kay pakwaan tayyar karwatay hain, Bachon ko naye kapday pehnwatsy hain aur jis tarah eid kay mauqa par eidi taqseem hoti hai, Isi tarah in dinon mein bachon par apna maal wusat kay saath kharch kartay hain aur yeh dononn qoumein dar haqeeqat shaitan kay Zair-e-Asar hain. Un ko shaitan is maheenay ki aamad say poori tarah warghilata hai. Baqi maamla kya hai? Maamla yeh hai kay 61 Hijri mein das Muharram ko aik saniha runuma huwa jis mein Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay nawasay ko un kay khaandan kay bohat say afraad kay saath shaheed kar diya gaya. Ham is sanihay ki asaas ya us ki tareekhi hesiyat par baat nahin kartay lekin aik shara’i hesiyat zaroor samjhana chahtay hain. Is sanihay kay talluq say hamara shara’i kirdaar kya hona chahiye?

 

Das Muharram 61 Hijri ko Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) kay nawasay Sayyiduna Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ aur un kay khaandan kay bohat say afraad ko shaheed kar diya gaya aur yeh aik saniha hai. Aik aisa saniha jo Gham-o-Andoh say bharpoor hai. Bachon ki shahadat, Khawateen ki shahadat, Yaqeenan aik bada almiya hai. Aur yeh tareekh say saabit hai. Agarcheh is hawalay say log taqreeban ninaanwey feesad jhutay qissay riwayat kartay hain. Falaan rawi nay kaha, Falaan rawi nay kaha, Yeh jumla istemaal kar kay tika tika kay jhoot boltay hain. Woh rawi kon hai? Kahan betha huwa tha? Aur kahan yeh sab kuch dekh raha tha aur tareekh murattab kar raha tha? Koi yeh saabit nahin kar sakta, Lekin mahaz rawi kay naam par, Rawi ki gardan par yeh saara jhoot daal diya jata hai. Is ka sidqat aur sehat say koi talluq nahin hai. Amar-e-Waqiye yahi hai keh us din janab Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ aur bohat say aap kay Ahal-e-Bait ko shaheed kiya gaya. Shara’i hesiyat kya hai? Bataiye! Allah Rab-ul-Izzat kisi ko shahadat ki mout ataa farma day, Shahadat ka tamgha us kay seenay par saja day, Yeh shar hai ya khair hai? Agar yeh shar hai to khoob ro, Agar yeh khair hai to ronay ka kya jawaz hai? Aik shakhs shahadat ka tamgha saja kar Allah ka qurb haasil kar chuka hai. Aur shaheed ka darja is ummat mein teesra darja hai. Pehla darja Anbiya ka hai, Doosra sadiqeen ka hai aur teesra shuhada ka hai. Aik azeem mansab par woh faaiz ho gaye aur aik intehai sa’aadat haasil karnay mein kamyaab ho gaye. Yeh maqaam to un kay liye Baa’is-e-Sa’aadat hai, Ba’ais-e-Khair hai. Aik shakhs ko khair aur sa’aadat milay aur us par aap sadiyon royein, Kya is ka jawaz hai? Aur kya is ki shara’i ya aqli hesiyat hai ya koi akhlaqi hesiyat hai? Yeh to us shakhs kay liye Maqaam-e-Farhat hai. Aik waqti almiya aur saniha ban jata hai lekin Abad-ul-Abad ki sa’aadat kitni badi khair hai. To haqeeqat yeh hai keh Allah Rab-ul-Izzat nay apnay paighambar kay donon nawason Hassan-o-Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ko aik azeem sa’aadat say hamkinaar kiya tha, Chunacha Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: أَنَّ الْحَسَنَ وَالْحُسَيْنَ سَیدا شَبَابِ أَهْلِ الْجَنَّةِ “Hassan-o-Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ jannat kay naujawaanon kay sardar hon gay”. (Tirmizi: 3781) Bada azeem rutba hai yeh jannati honay ki Naweed to mil hi gai saath yeh bhi farmaya jannat kay naujawaanon kay sardar hon gay. Yeh bada azeem rutba aur maqaam hai.

 

Meray doston aur bhaiyo! Azeem rutbay aur maqaam, Yeh qurbaniyon say haasil hotay hain. Allah Ta’ala pehlay imtihanon ki chakki mein peesta hai, Apnay bandon kay sabar ko aazmata hai. Aur jab woh surkhuru ho jayein to un ko woh azeem maqaam ataa farma deta hai. Hassan-o-Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ko ibtidaai zindagi mein kisi takleef ka saamna nahin tha. Sahaba jaantay thay yeh paighambar علیہ السلام kay nuwasay hain, Paighambar علیہ السلام kay betay hain aur paighambar علیہ السلام in say mahabbat kartay hain, Chunacha saaray sahaba un say mahabbat kartay thay. Aur woh kisi imtihaan mein nahi daalay gaye. Aik dafa Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) khutba irshad farma rahay thay, Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ apnay ghutnon kay bal chaltay huway Masjid mein aa gaye aur Paighambar-e-Islam nay un ko utha liya aur farmaya: إِنَّ ابْنِي هَذَا سَيِّدٌ وَلَعَلَّ اللَّهَ أَنْ يُصْلِحَ به بين فئتين عَظِيمَتَيْنِ مِنَ الْمُسْلِمِينَ “Mera yeh beta sardar hoga aur Allah Rab-ul-Izzat meray is betay kay zariy’e musalmaanon ki do badi jamaa’aton mein sulah kara day ga.” (Bukhari: 2704) Us sulah ka sara credit meray is nuwasay ko jaye ga aur sayhra meray is betay kay sar bandhay ga. Allah-u-Akbar!

 

Sahaba kiraam رَضِيَ اللهُ عَنْهُ is Hadees ko suntay hain, Minabar par suntay hain, Is say Sahaba kiraam do baatein samjhay: Aik Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka maqaam, Un ka sardar hona, Yeh sardari Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) kay farmaan say ataa huwi. Doosra yeh keh Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ taweel-ul-Umar hon gay. Bachpan mein fout nahin hon gay. Allah Ta’ala nay apnay paighambar kay saaray beton ko bachpan mein wafaat day di thi. Jo aap ka bada beta Ibrahim fout huwa, Us ki Umar dedh saal thi. Baqi sab is say choti Umar mein fout huway. Sahaba kiraam jo yeh Hadees suntay hain woh paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) kay har farmaan par imaan laatay thay, Yeh baat samajh gaye keh yeh beta Taweel-ul-Umar hoga. Sardaaron kay mansab par faaiz hoga aur do giroohon mein sulah ka sabab banay ga, Y’ani bada ho kar fout hoga. Is baat par sabhi sahaba imaan lay aaye thay, Chunacha 41 Hijri kay baad kay waqiyat mein janab Ali Bin Abi Taalib رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki shahadat kay baad jab Ahal-e-Madinah nay janab Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki bait kar li, Ahal-e-Shaam nay janab Ameer Muawiya رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki bait kar li to us waqt aik azeem jhagday ki bunyaad qaim ho chuki thi keh Qatal-o-Ghaarat giri ho aur donon lashkaron ka aamna saamna ho. Janab Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ yeh saari cheezein bhaanp gaye aur apni is imarat say mustafi ho gaye taakeh jhagda na ho, Chunacha jhagda tham gaya aur Allah Rab-ul-Izzat nay do jamaa’aton mein sulah kara di. Is mein saara kirdaar Sayyiduna Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka tha keh khud hat gaye mustafi ho gaye aur janab Ameer muawiya رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki imarat ko qabool kar liya, Un ki khilaafat kay tahat aa gaye aur yon aik bohat baday jhagday ki jad khatam ho gai aur fasaad ka khatima ho gaya. Do giroohon mein sulah ho gai aur maamla pur sukoon ho gaya. Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ bhi sardar thay, Y’ani mustafi honay kay bawujood sardar hain. Sirf duniya kay sardar nahin balkeh jannat kay naujawaanon kay bhi sardar hon gay. Yeh aik ajeeb ibtila (Azmaaish) thi Allah Rab-ul-Izzat ki taraf say jis mein janab Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ poora utray. Bazahir aik takleef day maamla tha magar sabar kiya aur tanazzul ikhtiyar kar kay (Apnay mansab say neechay utar kar) Musalmaanon ko jhagday say bacha liya aur yeh un ki sardari par muntaj huwi.

 

Sahaba kiraam ko Hassan-o-Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay chehray mein Allah kay paighambar ki shabeeh dikhai deti thi. Un kay chehron mein Allah kay paighambar nazar aatay thay. Sahaba to un ko toot toot kar mahabbat kartay thay. Sahih Bukhari ki Hadees hai, Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka Daur-e-Khilafat hai. Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ Hassan ko utha letay hain aur saath saath aik jumla kehtay hain: بِأَبِي شَبِيءٌ بِالنَّبِيِّ وَلَيْسَ شَبِيهٌ بِعَلِيِّ ، بِأَبِي شَبِيءٌ بِالنَّبِيِّ وَلَيْسَ شَبِيءٌ بِعَلِيٌّ (Bukhari: 3750) “Yeh beta to Nabi kay mushabeh hai, Ali kay mushabeh nahin hai.” To Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ka chehra in do bachon kay chehron mein nazar aata tha. Un say kiun un ki mukhasamat hoti. Bohat mahabbat mili aur badi mahabbat ki Fiza mein un donon ko nasho numa mili. Bazahir yeh hai keh rutba bada azeem tha lekin azmaaish nahin thi. Hassan رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki azmaaish ho gai, Chunacha 40 Hijri kay waqiyat kay baad unhon nay Mansab-e-Imarat say tanazzul ikhtiyar kar kay aur sabar kar kay is azmaaish mein apnay aap ko surkhuru saabit kar liya.

 

Sayyiduna Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ bhi isi mahabbat ki Fiza mein parwaan chadhay thay. Sahaba un say kiun kisi ikhtilaaf ka izhaar kartay. Sahaba un say kiun mukhalifat kartay? Baqi Hussain رَضِيَ اللهُ عَنْهُ, Jin ko Ahal-e-Kaufa nay khatoot likhay: Ham aap kay wafaadar hain, Aap ajayein, Aap tashreef layein ham aap kay haathon par bait karein gay. Baday khutoot aaye. Kibaar Sahaba nay samjhaya kay Ahal-e-Kaufa say kabhi wafa ki umeed na rakhi jaye. Yeh intehai waqt par aakar ghadar kartay hain aur dhokay detay hain. Aap na jayein, Bilkul na jayein. Bohat samjhaya lekin woh na maanay bil aakhir janay par tayyar ho gaye. Ham is tareekh ka i’aada nahin kartay lekin bahar kaif 61 Hijri mein das Muharram ko yeh khoufnaak aur khatarnaak saniha paish aaya. Nabi علیہ السلام kay nuwasay ko shaheed kar diya gaya. To yoon aap aur aap kay Ahal-e-Biat shahadat kay rutbay par faaiz ho gaye. Aur yeh kulfat aur takleef ka raasta Mashaheer-o-Saliheen ki zindagi ka muqaddar hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: أَشَدُّ النَّاسِ بَلَاءٌ الْأَنْبِيَاءُ ثُمَّ الْأَمْثَلُ فَالْأَمْثل ، Sakht tareen takleefen Nabiyob par aati hain aur Nabiyon kay baad jo Anbiya kay qareebi hotay hain, Shohada hain, Saliheen hain, Un par aati hain aur phir darja ba darja yeh takleefen aati rehti hain. Farmaya keh aik shakhs aazmaya jata hai, Jhanjoda jata hai بقدرِ دینہ Apnay Deen kay baqadar, Jitna us ka Deen hai utna us ka imtihaan hota hai. Farmaya: إِنْ كَانَ فِي دِينِهِ صَلَابَةٌ زِيدَ في ابتلائہ Agar us kay Deen mein sakhti ho, Shiddat ho, Us ka aqeedah pahad ki tarah thos ho aur us ka amal intehai mazboot ho to Allah Ta’ala us ki aazmaishon ko badha deta hai. Usay khoob jhanjhodta hai, Usay khoob aazmata hai. (Musnad-e-Ahmad: 1/172) Tabhi to Allah paak ka farmaan hai: أَمْ حَسِبْتُمْ أَنْ تَدْخُلُوا الْجَنَّةَ وَلَمَّا يَأْتِكُمْ مَّثَلُ الَّذِينَ خَلَوْا مِنْ قَبْلِكُمْ Tum kya samajhtay ho jannat mein aisay hi daakhil ho jaw gay. Zara beth kay socho kay tum nay jannat ko paanay kay liye kya kiya hai? Kya tumharay paas mehnatein hain? Kya qurbaniyaan hain? Kya ibtila’aat hain? Socho zara. Farmaya keh hargiz nahin, Us waqt tak nahin ja saktay jab tak tumharay beech sabiqa qoumon ki misaalein na aa jayein, Y’ani Anbia aur un ki ummaton ki misalein jin ko jhanjodha gaya, Faqon par majboor kiya gaya, Un ko qatal kiya gaya, Zakhmon say choor kiya gaya aur hatta keh is qadar sataya aur aazmaya gaya keh waqt ka Nabi jo apnay waqt ka Sabir-e-Azam hota hai aur us kay Sahaba aur us kay ummati jin ka maqaam Anbiya kay baad hota hai, Woh bhi chilla uthay: متی نصر اللہ Ya Allah teri madad kab aay gi? أَلَا إِنَّ نَصْرَ اللهِ قَرِيبٌ Tum sabar karo, Allah ki madad qareeb hai. Zaroor yeh madad aaye gi. (Al Baqarah: 214)

 
وَأَقُولُ قَوْلِي هُذَا وَأَسْتَغْفِرُ اللهَ لِي وَلَكُمْ وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ.

 

 

 Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”

 

✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
Table of Contents