05. Mushkil Halaat mein Sunnat-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ka ittibaa
Mushkil halaat mein Sunnat-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ka ittibaa
Khutba-e-Masnoona
وَلَوْ أَنَّهُمْ فَعَلُوا مَا يُوعَظُونَ بِهِ لَكَانَ خَيْرًا لَهُمْ وَأَشَدَّ تَثْبِيتًا وَإِذًا لَآتَيْنَهُمْ مِنْ لَدُنَا اَجْرًا عَظِيمًا وَلَهَدَيْنَهُمْ صِرْحًا مُسْتَقِيمًا
“Aur agar waaqe woh maan letay jis ki unhein naseehat ki jati hai to yeh un kay liye behtar aur (Deen mein) zayada saabit qadmi ka baa’is hota. Aur tab ham zaroor unhein apni taraf say bohat bada ajar detay. Aur ham zaroor unhein seedhay raastay par chalatay.” (Al Nisaa: 66-68)
Aur Allah Ta’ala farmata hai:
وَالَّذِينَ يُمَسِكُونَ بِالْكِتَبِ وَأَقَامُوا الصَّلوةَ إِنَّا لَا نُضِيعُ أَجْرَ الْمُصْلِحِينَ
“Aur jo log kitaab ko mazbooti say pakadtay hain aur unhon nay Namaz qaim ki (Unhein ham ajar dein gay), Beshak ham neekokaaron ka ajar zaya nahin kartay.” (Al Aaraaf: 170)
Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya:
إِنَّ الْإِسْلَامَ بَدَأَ غَرِيبًا وَسَيَعُودُ غَرِيبًا كَمَا بَدَأَ، فَطُوبَى لِلْغُرَبَاءِ (Muslim: 145-146)
وَقَالَ رَسُولُ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم: الْعِبَادَةُ فِي الْهَرْجِ كَالْهِجْرَةِ إِلَيَّ أَوْ كَمَا قَالَ قَالَ الْأَلْبَانِيُّ: صَحِيحٌ. (Tirmizi: 2201)
Shaikh Aish sahib حفظہ اللہ ka hukum hai keh Urdu mein baat ho. Aur mein in sha Allah koshish karoon ga keh jo nusoos aap kay saamnay padhoon, Woh Arabi mein padhoon taakeh hamaray Arab saathi woh sunein. Aur is Taalib-e-Ilm ki maroozaat say Allah Rab-ul-Izzat mujhay aur in sab ko mustafeed honay ki taufeeq ataa farmaye.
Guftugu ka mauzoo aap nay suna keh mushkil halaat mein Sunnat-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ka ittibaa. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki pairwi Qayaamat tak kay liye hai kiunkeh Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) Allah kay aakhri paighambar hain: بُعِثْتُ بَيْنَ يَدَيِ السَّاعَةِ (Musnad-e-Ahmad: 2/50) Jo Qayaamat say qabal bhejay gaye aur jin ki Nubuwwat ka Sooraj taa Qiyaam-e-Qayaamat tulu rahay ga aur qaim rahay ga. Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) ki ittibaa farz hai aur nafarmani najaaiz hai.
يَأَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَلَا تُبْطِلُوا أَعْمَلَكُمْ
“Aey imaan walo! Allah aur us kay Rasool ki itaa’at karo aur apnay am’aal ko barbaad na karo.” (Muhammad: 33)
Jis ka waazeh maana yahi hai keh tum Allah aur us kay Rasool ki itaa’at karo aur agar tumhara amal Allah aur us kay Rasool ki itaa’at kay daairay mein hoga to woh Allah kay haan Qabil-e-Qabool hoga aur agar tumhara amal, Tumhara qaul, Tumhara aqeedah ya manhaj Allah kay Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ki itaa’at kay daairay say kharij hoga to woh mardood hoga.
منْ أَحْدَثَ فِي أَمْرِنَا هَذَا مَا لَيْسَ مِنْهُ فَهُوَ رَدُّ (Muslim: 1718) Hamaray is Deen mein aanay wali har naai cheez mardood hai. لعن الله منْ أَحْدَثَ فِي الْإِسْلَامِ حَدَثًا (Musnad Al Rabee bin Habeeb: 1/36, Hadith: 42) Jis shakhs nay Islam mein kisi aik bidd’at ko jaari kar diya us par din raat Allah ki la’anten barasti hain. To Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) ki ittibaa har haal mein farz hai. Is ka asal Sahih Bukhari aur Sahih Muslim ki Hadees hai. Ubadah Bin Saamit رضی اللہ عنہ is kay rawi hain. Farmatay hain:
بَايَعْنَا رَسُولَ اللَّهِ صلی اللہ علیہ وسلم عَلَى السَّمْعِ وَالطَّاعَةِ فِي الْمَنْشَطِ وَالْمَكْرَه (Bukhari: 7199) Kay ham nay Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) kay haath par Sama-o-Itaa’at ki bait kar rakhi thi. Aap ki baat sunein gay aur itaa’at karein gay. Kin halaat mein? Har haal mein. فِي الْمَنْشَطِ وَالمَكْرَہ Asaani ho ya tangi ho. Khushi ho ya ghami ho. Raahat ho ya ta’ajjub ho. Koi bhi mauqa ho. Har haal mein Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) ki itaa’at kartay rehnay par ham nay Allah kay paighambar kay haath par bait ki huwi hai. Ulamaa jaantay hain is Hadees ka mafhoom aur was’ii ho sakta hai. Is waqt chunkeh maqtada, Ummat kay qaaid Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) thay, Is liye mein nay yeh mahdood tarjuma kiya keh Sama-o-Itaa’at par sahaba kiraam nay Allah kay paighambar kay haath par bait ki huwi thi. Har Usar-o-Yusr mein, Har tangi aur asaani mein, Har khushi aur ghami mein Allah kay paighambar ki itaa’at ka daaman haath say nahin chodna. Aur yeh itaa’at jis shakhs ko ya jis khaandan ko ya jis qoum aur qabeelay ko haasil ho jaye woh duniya aur aakhirat ki tamaam sa’aadaton say malaa maal ho jata hai.
وَلَوْ أَنَّهُمْ فَعَلُوا مَا يُوعَظُونَ بِهِ لَكَانَ خَيْرًا لَهُمْ Agar yeh log sirf woh kaam karein jin kaamon ki unhein Allah kay paighambar naseehat kartay hain to un kay liye khair hai. Har qisim ki khair hai. Kair mutalaq hai. Allah farma raha hai keh har qisim ki khair hai. Koi shar nahin hoga. Un kay liye khair hi khair hai. وَأَشَدَّ تَثْبِيتًا Aur dushman kay muqaabilay mein un ko saabit qadmi, Nusrat aur tayeed ataa farmaein gay. وَإِذًا لَّا تَيْنَهُمْ مِنْ لَدُنَا أَجْرًا عَظِيمًا Ajar-e-Azeem ataa farma dein gay jo un ki ukharwi sa’aadat ki zamanat hoga. Allah Rab-ul-Izzat nay is ajar ko azeem kay saath mauqoof farmaya. Woh chota ajar nahin hoga, Ajar-e-Azeem hoga. woh Allah kay paighambar ki itaa’at ka samrah hai. Aur saath saath وَلَهَدَيْنَهُمْ صِرْحًا مُسْتَقِيمًا Siraat-e-Mustaqeem ki hidayat par qaim rakhen gay. Yeh aik zamanat aur aik azeem basharat hai kiunkeh Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Farmaan-e-Giraami hai: إِنَّ الْقُلُوبَ بَيْنَ إِصْبَعَيْنِ من أصابع الرَّحْمَنِ يُقَلِّبُهَا كَيْفَ يَشَاءُ (Al Arbaeen Al Nawawiyyah: 1/22) Tamaam bandon kay dil Allah Ta’ala ki do ungliyon kay beech mein rehtay hain. Allah Rab-ul-Izzat un dilon ko jis taraf chahay aur jab chahay phair day. Lekin yahan zamanatein dein. Agar tum meray paighambar ki itaa’at aur pairwi kartay raho gay to Siraat-e-Mustaqeem par qaim raho gay jesa keh Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: تَرَكْتُ فِيكُمْ مَّا إِنِ اعْتَصَمْتُمْ بِهِ فَلَنْ تَضِلُّوا أَبَداً كِتَابُ اللَّهِ وَسُنَّهُ نبیہ (Mustadrak Haakim: 1/37) Tumharay beech jo kuch mein choday ja raha hoon agar tum usay thaamey raho gay duniya ki koi taaqat, Duniya ki koi tahreek, Koi laalach, Koi doulat, Koi maal tumhein Allah kay Deen say barghashta nahin kar sakta. Bas shart yeh hai keh jo cheez mein chod kay ja raha hoon usay thaam lo. Aur woh do cheezein hain: كِتَابُ اللہ Aik Allah ki Kitaab وسنتی aur doosri meri sunnat. Hidayat ki aur hidayat par istiqamat ki zamanat. Warna Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai keh tamaam bandon kay dil Allah Rab-ul-Izzat ki do ungliyon mein rehtay hain. Allah Ta’ala un dilon ko jab chahay, Jis taraf chahay phair day. To koi bhi haalat ho, Koi bhi kefiyat ho Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ka ittibaa hamara Nasab-ul-Ain aur hamara Haasil-e-Hayaat hona chahiye. Jesi bhi ghadi ho, Tangi ho, Turshi ho, Khushi ho, Ghami ho, Mushkil ho, Asaani ho hatta keh agar sar par talwaar latak rahi ho, Jaan ko khatrah ho, Maal ko khatrah ho lekin Kalma-e-Haq, Sunnat ki ittibaa say koi inkaar na ho. Aisay log mujood rahen gay jo Allah kay paighambar ki sunnat ko thaamein gay aur sunnat ka ittibaa karein gay. Aur woh log azeem hon gay.
Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: إِنَّ مِنْ وَرَائِكُمْ أَيَّامَ الصَّبْرِ (Abu Dawood: 4341) Tumharay peechay kuch Ayyaam-e-Sabar hain. Kuch takleefon kay daur hain. Jin mein meri ummat par takleefein aur aazmaishein toot padein gi. Aur yeh Allah kay muqqarab bandon ka hissa hain. أَشَدُّ النَّاسِ بَلاءَ الْأَنْبِيَاءُ ، ثُمَّ الْأَمْثَلُ فَالْأَمْثَلُ (Bukhari: 5648) Farmaya keh aisay mushkil din aur aisay mushkil halaat hon gay الْعَامِلُ فِيهِنَّ كَالْقَابِضِ الْجَمَرِ In mushkil halaat mein meri sunnat ko thaamnay wala aisa hoga jesay apni muthi mein aag ka jalta huwa angara dabanay wala. Aag kay angaray ko mutthi mein lay kar bethna asaan kaam nahin hai. To farmaya keh aisay log hon gay.
sunnat par amal karna aur Deen par chalna yaqeenan is qadar mushkil hoga. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: الْمُتَمَسكُ فِيهِنَّ يَوْمَئِذٍ لَهُ كَأَجْرِ خَمْسِينَ مِنْكُمْ (Al Mujam-ul-Kabeer Lil Tabarani: 12/44) Jo shakhs us daur mein, Un mushkil ghadiyon mein us cheez ko thaam lay jis pay aaj tum ho. Tum kon? Sahaba kiraam. Jis ko tum nay thaama, Jis ko tum nay seenay say lagaya. Aur woh kya tha? Kitaab-o-Sunnat. Sahaba kay daur mein Allah aur us kay Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) kay ilaawa koi shakhsiyat nahin thi jis ki woh pairwi karein. Qur’an-o-Hadees kay ilaawa koi dastaweez aur koi kitaab nahin thi jis ko woh padhen. Aik dafa Tauraat kay kuch waraq haath aa gaye to Allah kay paighambar nay kya Rad-e-Amal zahir kiya? Kis tarah aap ka chehra anaar kay daanay ki tatah surkh ho gaya. Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: أَمْتَهَوِّكُونَ أَنْتُمْ كَمَا تَهَوَّكَتِ الْيَهُودُ وَالنَّصاری (Sarah-ul-Sunnah: 1/270, Hadith: 126) Kya tum Yahood-o-Nasaara ki tarah barbaadi mol lena chahtay ho? Un ki tarah tabah hona chahtay ho? Sahaba ka manhaj tha. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: Aaj tum nay jis cheez ko thaama hai woh Qur’an-o-Hadees kay ilaawa kuch nahin. Qur’an-o-Hadees kay ilaawa kisi aur ki pairwi ka koi tasawwur nahin. Sheaikhain: Abu Bakar-o-Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ is ummat kay afzal tareen insaan thay. Ibn-e-Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kehtay hain: كُنَّا نَقُولُ وَالنَّبِيُّ حَيَّ أَفْضَلُ هَذِهِ الْأُمَّةِ بَعْدَ رَسُولِ اللَّهِ أَبُو بَكْرٍ ثُمَّ عُمَر (Al Mujam-ul-Kabeer Lil Tabarani: 10/427) Afzal tareen insaan. Aik dafa kuch logon nay un ka hawala day kar Hajj-e-Tamattu ki mashroo’iiyat say inkaar kiya.
Ibn-e-Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay farmaya:
يُوشِكُ أَنْ تُنَزَّلَ عَلَيْكُمْ حِجَارَةٌ مِّنَ السَّمَاءِ أَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ وَتَقُولُونَ: قَالَ أَبُو بَكْرٍ وَعُمَرُ
“Mujhay dar hai keh tum par asmaan say pathar na barsein. Mein Allah kay paighambar ka farmaan paish kar raha hoon aur tum is kay muqaabilay mein Abu Bakar-o-Umar ki baat kar rahay ho.” (Mausooat-ul-Radd Alal Soofiyah: 25/31)
Halaankeh yeh donon is ummat kay afzal tareen insaan hain. Mein kehta hoon: Agar Ibn-e-Abbas رَضِيَ اللهُ عَنْهُ aaj zindah hotay aur logon ka haal dekhtay keh yeh kis kis kay peerokaar ban chukay hain. Wahan to shaikhain ki baat thi aur un ka yeh Rad-e-Amal tha keh asmaan say pathar barsein gay jo tumhein barbaad kar dein gay. Agar woh aaj ka Tarz-e-Amal dekhtay, Logon ki raahein dekhtay kay unhon nay kis tarah is Deen ko shatranj ka khail bana rakha hai, Un ki kya kefiyat hoti? Kya Rad-e-Amal hota? Yeh sahaba ka manhaj tha. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: Woh Ayyaam-e-Sabar, Woh fitnon aur fasadaat ka daur, Us daur mein jis shakhs nay us cheez ko thaam liya pooray sabar kay saath, Sabaat kay saath aur istiqamat kay saath jis par aaj tum ho, Us aik shakhs ko pachaas afraad kay barabar sawab milay ga. Sahaba nay yahan aik baat maloom ki keh woh pachaas afraad kon hon gay? مِنَّا أَوْ مِنْهُمْ؟ Woh pachaas afraad ham mein say hon gay ya us daur kay hon gay. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: بَلْ مِنْكُمْ Woh tum mein say hon gay. (Al Mujam-ul-Kabeer Lil Tabarani: 12/44) Ayyaam-e-Sabar mein, Mushkil halaat mein Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ki sunnat ko thaamnay wala woh كَالْقَابِضِ الْجَمَر hai. Aik shakhs ka ajar Allah Rab-ul-Izzat pachaas sahaba kay barabar badha day ga. Mein samajhta hoon keh yeh Hadeesen is mauzoo ka asal hain. Aur shuru mein jo Hadees mein nay aap kay saamnay padhi. Sahih Bukhari-o-Muslim mein bohat say sahaba say marwi hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Irshad farmaya: إِنَّ الْإِسْلَامَ بَدَأَ غَرِيبًا “Islam ka aaghaz ghurbat say huwa, Ajnabiyat say huwa.” وَسَیَعُودُ كَمَا بَدَأَ “Aur jahan say Islam shuru huwa wahan lout kar rahay ga.” (Muslim: 146) Jis ajnabiyat say chala, Us ajnabiyat par lout kar rahay ga. Ab dekhiye Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay Dawat-e-Deen paish ki. Khud aap ki biraadri nay inkaar kar diya. Aap ki qoum nay nahin maana. Balkeh is dawat kay raastay mein kaantay bichaye, Rukawaten khadi kein. Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) jin ko woh Sadiq-o-Ameen kehtay kehtay thaktay nahin thay, Unhein teen saal tak Sh’ab-Abi-Taalib mein mahsoor kar kay rakh diya. Kaisi ajnabiyat? Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka aik sahabi aap say poochta hai: مَنْ مَّعَكَ عَلَى هَذَا؟ “Ya Rasoolullah! Ab tak kitnay log aap kay saath banay aur juday?” Kitnay logon nay aap ki itaa’at ki? Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya: عبد و حر Aik azad aur aik ghulaam nay (Musnad-e-Ahmad: 4/112) Azad Abu Bakar aur ghulaam Bilal رَضِيَ اللهُ عَنْهُ. Aisi ajnabiyat. Logon nay un ki hayaat ko tang kiya, Sochal boicot kiya, Pathar maaray, Tarha tarah kay alqab rakhay, Gaaliyan din lekin unhon nay Deen ko nahin choda. Allah kay paighambar ki ghulaami ka raasta nahin choda. Yeh wasaf hai ghurba ka. Farmaya keh فَطُوبَى لِلْغُرَبَاءِ Basharatein hain ghurba kay liye. Woh is Deen ko, Kitaab-o-Sunnat ko apnay seenay say laga letay hain. Zamanay ki mukhalifat, Hukoomaton kay mazaalim, Kisi cheez ki parwa nahin kartay. Koi fitnah unhein haq say door nahin karta. Allah kay paighambar ki sunnat ka ittibaa un ka Nasb-ul-Ain hai. Yeh haqeeqat mein Ahal-ul-Hadees ki shaan hai.
Younus Bin Ubaid aik baday Muhaddis guzray hain. Woh farmaya kartay thay: لَيْسَ شَيْءٌ أَغْرَبَ مِنْ سُنَّةِ رَسُولِ اللهِ وَأَغْرَبَ مِنْهَا مَن يَعْرِفُهَا (Miftaah-ul-Jannah Lil Suyooti: 1/64) Is kaainaat mein Allah kay paighambar ki sunnat say badh kar koi cheez ajnabi nahin hai. Sab say zayada ajnabi aur ghurbat ka shikaar meray paighambar ki sunnat hai. Koi uthta hai is ka inkaar kar deta hai, Koi uthta hai sunnat ko rad karnay kay liye mukhtalif qaaiday ijaad karta hai. Kalmaa go musalmaan, Sunnat ko rad karnay kay liye qaaiday banata hai. Kitaabon mein baqaaida likh kay jata hai keh لَوْ عَمِلْنَا بِكُلِّ حَدِيثٍ سُدَّ بَابُ ا الرأی Agar ham nay har Hadees par amal karna shuru kar diya to raye ka darwaza band ho jaye ga. Aur ham to Ahal-ul-Raye hain. Yeh sunnat ki ajnabiyat aur ghurbat hai. Qaaiday banatay hain keh Daleel-e-Awwal kitaabullah hai aur Daleel-e-Sani Sunnat-e-Rasoolullah hai. Yeh taqseem kahan say aagai? Yeh qaaida bidd’at hai. Kitaab-o-Sunnat saath saath hain. Yeh kahan say aap nay padh liya keh koi masla dekhna ho to pehlay Qur’an mein talaash karo, Phir Hadees mein dekho. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: لَنْ يَتَفَرَّقا Yeh donon judda nahin hon gay. حَتَّى يَرِدَا عَلَى الْحَوْضَ (Tirmizi: 3788) “Hatta kay yeh donon cheezein ikhatti Allah Ta’ala mujh par Hauz-e-Kusar par paish karay ga. Y’ani taa Qiyaam-e-Qayaamat yeh Kitaab-o-Sunnat saath saath rahen gay. Mein samajhta hoon manwi taur par zamni taur par Allah kay paighambar ka yeh farmaan Jamaa’at-e-Ahal-ul-Hadees kay liye bohat bada tazkiya hai. Kiunkeh yeh woh jamaa’at hai jis nay donon cheezon ko saath saath rakha huwa hai. Aik haath mein Kitaabullah, Aik haath mein Sunnat-e-Rasool. To Younus Bin Ubaid ka qaul: لَيْسَ شَيْءٌ أَغْرَبَ مِنْ سُنَّةِ رَسُولِ الله Sunnat-e-Rasool say badh kar ajnabi koi aur cheez nahin. وَأَغْرَبَ مِنْهَا مَن يَعْرِفُهَا (Miftaah-ul-Jannah Lil Suyooti: 1/64) Lekin is say zayada agar koi ajnabi hai to woh log hain jo sunnat walay hain, Jo Hadees walay hain, Jo Hadeesein padhtay hain, Padhatay hain, Amal kartay hain aur Hadeeson kay saath qaim hain, Muhhakam hain. Dawata-o-Amalan, Nashar-o-Balaghan, Qiraat’an-o-Sama’an har lihaaz say is Hadees kay saath juday huway hain. Farmatay hain keh phir is say zayada ajnabi koi cheez hai to woh Ahal-ul-Hadees hain jin ki log mukhalifat kartay hain. Jin par tarah tarah ki Ta’an-o-Tasni hoti hai. Lekin yeh log kisi mukhalifat ki parwa nahin kartay balkeh un ka shugal, Ahtimaam bil sunnah jaari aur qaim hai. Hadeeson ko padhna, Padhana, Us kay liye Anfus-e-Nafaais ki qurbaniyan dena, Yeh jaari aur Qayaamat tak qaim rahay ga. To mein yeh arz kar raha hoon keh mushkil say mushkil ghadi mein Sunnat-e-Rasool ka ittibaa apna Nasb-ul-Ain bana lein. Is ka Ajar-o-Sawab aap nay sun liya. فطوبى لِلْغُرَبَاءِ Aur aik matmassik bil sunnah kay liye pachaas sahaba kay barabar ajar hai. Kab? Fitnon aur fasadon kay mashaghil mein tangi aur turshi mein. Agar sunnat ko thaamay betha hai to us ki kefiyat us shakhs ki si hai jo aag ka angara mutthi mein liye betha hai. Lekin sawab pachaas sahaba jitna. To sunnat ka ittibaa har haal mein apnay Paish-e-Nazar rakhiye. Sunnat ko paish karnay ka ahtimaam kijye. Yeh mukhtalif log jo sunnat ki is Azeem-ul-Shaan raah par mukhtalif waar karnay ki koshish kartay hain. Hamara tareeq sunnat ko paish karna ho aur sunnat kay zariy’e samjhana ho. Ameer-ul-Momineen Sayyiduna Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ farmaya kartay thay: أَهْلُ الرَّأْیِ هُمْ أَعْدَاءُ السُّنَنِ (Al Faqeeh wal Mutafaqqeh Lil Khateeb: 2/104) Yeh raye walay sunnat kay dushman hain. يَأْتُونَكُمْ وَيُجَادِلُونَكُمْ بِالْقُرْآنِ (Tareekh-e-Baghdaad: 14/286, Raqam: 7581) Tumharay paas aayein gay, Tum say Qur’an-e-Paak padh padh kay jhagden gay. Tum kya karo? فَجَادِلُوهُمْ بِالسُّنَنِ Tum un ko Allah kay paighambar ki sunnat say jawab do فَإِنَّ السَّنَّةَ آية Yeh log dar haqeeqat sunnat ko yaad karnay say, Hadeeson ko padhnay padhanay say aur Hadeeson par amal karnay say aajiz aa chukay hain, Thak chukay hain. Yeh un ka Rad-e-Amal hai. To jesay bhi haalaat hon Allah kay paighambar ki sunnat kay saath tamassuk hamara Nasab-ul-Ain hona chahiye, Jesa keh Muhaddiseen kiraam ka tha. Unhon nay kis tarah sunnat ka ahtimaam kiya aur apni umrein is raah mein khapadeen. Is ki khaatir Taweel-o-Areez safar kiye. Kai kai maheenon kay safar. Jabir Bin Abdullah رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ka Misir ka safar, Khalid Bin Makhlad رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay paas sirf aik Hadees sunnay gaye keh Allah kay paighambar nay aik Hadees sunaai thi, Mein samajhta hoon keh jis jis nay suni thi woh sab fout ho chukay, Sirf tum zindah ho. Tum say sunnay kay liye Madeenay say aa raha hoon, Halaankeh us ka mat’an yaad hai lekin jis shakhsiyat nay Allah kay paighambar say suni thi, Us say sunna chahtay hain taakeh Sanad-e-Aali mil jaye. Is kay liye is ka zouq, Shoq aur justjoo, Yeh Muhaddiseen ki seeraton ka khulasa hai. Unhon nay farmaya keh haan mein nay Allah kay paighambar say suna tha: مَنْ سَتَرَ عَلَى أَخِيهِ عَوْرَةً فَكَأَنَّمَا أَحْيَا مَوْؤُدَةً (Mujam-ul-Ausat: 5/175, Hadith: 4992) Jis shakhs nay apnay kisi musalmaan bhai ki parda poshi kardi, Us kay aib ko chupa liya to Allah us ko itna ajar day ga keh jesay us nay jahiliyat kay daur ki kisi zindah dargor bachi ko qabar say utha kar zindah kar diya ho. Hadeeson ki khaatir safar, Sanad-e-Aali ki justjoo, Yahya Bin Ma’een mout ki dehleez par khaday hain. Kisi nay poocha: ما تشتهي؟ Kya chahtay ho? Kaha kay بیت خَالٍ وَ سَند عَالِ Do cheezein chahta hoon: Khaali ghar mil jaye aur Allah kay paighambar tak Sanad-e-Aali mil jaye. Khaali ghar kiun? Taakeh mujhay koi disturb na karay aur mein khaali ghar mein beth kar paighambar? ki Hadeesen padhoon, Yaad karoon, Un ko hifz karoon, Yeh Noor apnay seenay mein pohanchaon aur koi mukhil na ho. Aur Sanad-e-Aali agarcheh mein za’eef ho chuka hoon, Chalnay phirnay kay qabil nahin hoon, Phir bhi is Sanad-e-Aali ko haasil karnay kay liye chal padoon ga. اھل الْحَدِيثِ هُمْ أَهْلُ النَّبِيِّ وَإِن لَّمْ يَصْحَبُوا Ahal-ul-Hadees hi dar haqeeqat Ahal-ul-Nabi hain. Hadees walay hi dar haqeeqat Nabi walay hain kay un ko agarcheh Nabi ki zaat ki suhbat ka sharaf muyyasar nahin huwa lekin paighambar علیہ السلام ki mubarak saanson kay din raat kay saathi banay. Subah-o-Shaam قال رسول اللہ, قال رسول اللہ. Aisay logon kay anjaam, Aisay logon ka safar, Aisay logon ki zindagi badi mubarak hoti hai. Woh taa hayat Allah Ta’ala ki hifazat aur sa’aadat mein rehtay hain. dekhein Imam Ahmad Bin Hanbal, Un ka beta bayan karta hai. Keh Sakarat-ul-Mout mein hain, Chunkeh wazu ki aik fazeelat hai, Ham nay socha keh apnay baap ko is waqt ba wazu kar dein. Wazu kara rahay thay. Haath dhoye, Kulli karaai, Chehra dhoya, Bazu dhoye, Paawon dho rahay thay. Imam Ahmad apni zabaan say kuch bolay. Ham nay apnay kaan qareeb kiye to farma rahay thay: خَللُوا بَيْنَ الأَصابع Meri ungliyon ka khalal tum bhool gaye ho. (Hilyat-ul-Auliyaa Li Abi Nuaeem: 9/183) Allah Sakraat-ul-Mout mein amal bil sunnah ki taufeeq day raha hai.
Imam Maazi Tahzeeb-ul-Kamal mein likhtey hain: Abu Zur’aa Al Razi Ubaidullah Bin Abdul Kareem Aalam-e-Naza’a mein hain aur kuch Muhaaddiseen un kay paas bethay huway thay jin mein un ka Rafeeq-e-Khaas Muhammad Bin Idrees Abu Haakim Al Razi bhi tha. Yeh donon Maqaam-e-Ray kay azeem Muhaddis thay. Aalam-e-Nazaa hai aur ham koshish kar rahay hain kej un ko kalmay ki talqeen karein lekin zabaan nahin chal rahi. behoshi kay doray pad rahay hain. Hamein badi fikar keh Allah Rab-ul-Izzat unhein kalma padhnay ki taufeeq day day. Lekin zabaan nahin chal rahi. Ham nay socha keh ham woh Hadees padhtay hain jis mein kalmay ka zikar hai. Poori zindagi jo Dars-e-Hadees ka silsila raha shayad zabaan par woh Hadees aa jaye aur kalma bhi saath aa jaye. Chunacha ham nay woh Hadees padhni shuru kardi. Sanad ka aala hissa padha aur ruk gaye, Abu Zur’aa Al-Razi nay apni aankhen kholein aur woh Hadees khud padhni shuru kardi: حَدَّثنا بندار، قَالَ: حَدَّثَنَا أَبُو عَاصِمٍ، قَالَ: حَدَّثَنَا عَبْدُ الْحَمِيدِ بْنُ جَعْفَرِ عَنْ صَالِحٍ بْنِ أَبِي عَرِيبٍ عَنْ كَثِيرِ بْنِ مُرَّةَ الْحَضْرَمِي عَنْ مُعَاذِ بْنِ جَبَلِ Poori Sanad zikar kardi aur farmaya: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ : مَنْ كَانَ آخِرُ كَلَامِهِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ دَخَلَ الْجَنَّةَ ثُمَّ تُوُفِّيَ Yeh Hadees poori ki aur wafaat paa gaye. (Tahzeeb-ul-Kamaal: 13/14) Yeh shaghaf bil sunnah, Ishtighal bil-Hadees ki barkat keh Allah nay hadees padhnay ki barkat say zabaan khol di aur kalma naseeb ho gaya. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: “Jis ko mout say pehlay Allah Ta’ala kalma padhnay ki taufeeq day day, Woh jannati hai. (Abu Dawood: 3116) Sahih Muslim mein Hadees hai: مَنْ مَّاتَ وَهُوَ يَعْلَمُ أَنَّهُ لَا إِلَهَ إِلَّا الله دَخَلَ ا الجنة Jis shakhs ko mout say qabal لا إِلهَ إِلَّا اللہ ka Ilm ho, Woh jannati hai (Muslim: 26) إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالْخَوَاتِيمِ (Bukhari: 6607)
Jo Hadeeseen ham padhtay hain aur yeh Noor ham apnay seenay mein utaartay hain, Yeh amal karnay kay liye hain. To amal ka koi mouqa apnay haath say jaanay na dein aur jesa marzi mu’aqqif aa jaye ham Sunnat-e-Rasool ka ittibaa karein, Usay har cheez par foqiyat aur tarjeeh dein. Sahaba kiraam ki zindagi isi cheez ki aaina daar hai. Rasool Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) nay apni wafaat say qabal shaam kay ba’az ilaaqon kay liye aik lashkar tarteeb diya jo Jaish-e-Usama kay naam say M’aroof hai. Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) nay hukum diya keh أَنْفِذُوا جَيْشَ أَسَامَةَ Jaish-e-Usama ko bhej do. Lashkar chal pada. Madeenay say kuch faaslay par tha keh Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) ka intiqaal ho gaya. lashkar ko bhi ittila mil gai. Allah kay paighambar (صلی اللہ علیہ وسلم) kay chehray par aakhri nigaah daalnay kay liye, Allah kay paighambar ka janaza padhnay kay liye wapas palat aaye, Chunacha Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ jab khalifa banay to aap nay khalifa bantay hi pehla kaam kya kiya? Jaish-e-Usama ko rawana karnay ka hukum diya. Baday ajilla sahaba nay Ameer Umar kay zariy’e arz ki: Jaish-e-Usama bhejnay ka yeh waqt munaasib nahin hai. Bohat say qabaail-e-Arab irtidaad ikhtiyar kar chukay hain aur Banu Tameem kay ba’az log zakaat ka inkaar kar chukay hain. Un say jung ho sakti hai. Yeh ham par hamla kar saktay hain. Yahood-o-Nasaara ki sazishen apnay Urooj par hain. Agar aik taaqat bahar chali gai to yeh log Madinah mein hamari eent say eent baja dein gay. Yeh waqt munaasib nahin hai. Lashkar ko rok lijiye. Farmaya: كَيْفَ أَحْبِسُ جَيْشًا أَنْفَذَهُ رَسُولُ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم “Us lashkar ko kesay rookon jis ko Allah kay paighambar bhejnay ka hukum day chukay thay.” Mujh mein yeh taaqat nahin, Halaankeh baday mushkil halaat hain. Saaray sahaba aik taraf hain lekin farmaya keh lashkar zaroor jaye ga. Aur farmaya:Tum kya baat kartay ho. Agar yeh qabaail ham par hamla kar dein, Ham ko zibah kar dein aur Fizaaon mein udnay walay parinday noch kar hamari boti boti kar dein, Yeh lashkar phir bhi jaye ga. Hatta keh sahaba ko khamosh hona pada. (Al Seerat-ul-Nabawiyyah, Shams-ul-Deen bin Usmaan Zahabi: 3/182)
Abu Bakar Siddiuq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki istiqamat! Kuch logon nay kaha kay theek hai lashkar bhej dejiye lekin Usama aik nujawan shakhs hai. Kisi Umar Raseedah sahabi ko Ameer bana dein. Farmaya kej jis ko Allah kay paighambar nay Ameer banaya hai, Abu Bakar us ko tabdeel karnay ki taaqat nahin rakhta. Ameer wahi rahay ga jis ko Allah kay paighambar nay muntakhab kiya hai. Aur baad mein sab nay is ka Samrah dekha. Kuch log is intizaar mein thay keh musalmaan kamzor ho chukay hain, Allah kay paighambar kay intiqaal kay baad un ka sheerazah bikhar chuka. Ab un ki woh taaqat nahin. Lekin jab woh lashkar gaya aur Mulk-e-Shaam say jihaad kar kay wapas lota to yeh sab tawahhumat khatam ho gaye aur yeh zabanein gang ho gain. Yeh to baday taaqatwar hain. Allah kay paighambar kay intiqaal kay baad bhi Jung-o-Jihaad ka silsila Qaim-o-Daaim hai aur jihadi qaaflay ja rahay hain. Un ki taaqat waisi hi hai.
Yeh sunnat ka ittibaa hai, Halaankeh mu’aqqif bada shadeed hai, Halaat sakht hain. lekin amal bil sunnah sahaba ka wateera tha. Kuch logon nay zakat ka inkaar kiya, Kuch log muratad huway. Farmaya keh sab say ladoon ga. Ameer Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay kaha keh jo muratad huway un say qitaal to baja hai lekin Munkireen-e-Zakat kalma go hain, Un say qitaal kiun karo gay? Allah kay paighambar ki Hadees paish ki keh إِلَّا بِحَقِّهَا Aur zakat, Maal ka haq hai. وَاللَّهِ لَوْ مَنْعُونِي عِقَالًا كَانُوا يُؤْدُّونَهُ إِلَى رَسُولِ اللهِ صلی اللہ علیہ وسلم لَقَاتَلْتُهُمْ عَلَى مَنْعِهِ (Bukhari: 7284) Allah kay paighambar kay daur mein agar woh zakat mein aik rassi bhi detay thay jo oont kay galay mein bandhi hoti hai. Aaj agar woh oont day dein gay, Rassi rok lein gay, Us rassi kay rok lenay par bhi mein un say ladoon ga aur qitaal karoon ga. Yeh tha Allah kay paighambar kay farmaan kay saath tamassuk.
Allah kay paighambar kay maal ki taqseem ka ikhtilaaf utha. Fatima رضي الله عنها Allah kay paighambar ki Lakht-e-Jigar, Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ kay paas aati hai aur apnay wirsay kay hissay ka mutalaba karti hai. Bada shadeed mu’aqqif hai. Allah kay paighambar ki beti saamnay bethi hai. Us ki aik talab hai aur woh narazi ka izhaar bhi kar rahi hai. Lekin mein kya karoon? Allah kay paighambar ki qaraabat ko dekhon? Allah kay paighambar ki beti ko dekhon? Ya us ki narazi ko dekhoon ya Allah kay paighambar ki sunnat ko dekhoon? Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay irshad farmaya tha: نَحْنُ مَعَاشِرُ الْأَنْبِيَاءِ لَا نُورَثُ مَا تَرَكْنَا فَهُوَ صَدَقَةٌ (Bukhari: 3712) Ham Anbiya ki jamaa’at, Hamaray maal ka koi waris nahin hota. Jo maal ham chod kar jayein gay, Bait-ul-Maal mein jaye ga aur woh sab musalmaanon ka hoga. Yeh wirsa kesay ho? Farmatay hain: لَقَرَابَةُ رَسُولِ اللَّهِ أَحَبُّ إِلَيَّ أَنْ أَصِلَ مِنْ قرابتي (Bukhari: 3712) Paighambar ki qaraabat ko jodna mujhay apni qaraabat say zayada azeez hai. Magar Allah kay paighambar kay is farmaan ka kya karoon? To dekhiye, Kitnay shadeed halaat hain. Poori ummat aik taraf. Ba’az muhaddiseen ko likhna pada keh Abu Bakar Siddiq hi ka poori ummat par yeh ahsaan hai. Kiunkeh woh akeelay thay aur poori ummat aik taraf thi. Woh likhtay hain keh teen mashaheer aisay guzray hain jin ka amal, Jin ki istiqamat ummat par ahsaan hai. Aur is ka is mauzu say bada gehra talluq hai. Aik Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ jinhon nay fitnah-e-Mane-e-Zakat kay khilaaf Ailaan-e-Jihaad kiya. Sahaba aik taraf hain, Aap akeelay aaik taraf hain. Poori ummat par ahsaan hai. Agar un ka yeh mu’aqqif na hota to aaj ummat ka nazriya kya hota? واللہ اعلم
Doosri shakhsiyat Imam Maalik رحمہ الله. Woh akeelay datt gaye kay طلاق مکرہ (Zabardasti talaq) Jaaiz nahin hai. Koi shakhs kisi kay kandhay par bandooq rakhay ya talwaar rakhay aur kahay keh apni biwi ko talaq do warna waar kar doon ga aur woh dar kay maaray talaq day day to talaq nafiz ho jaye gi. Imam Maalik datt gaye keh Allah kay paighambar ka farmaan hai: لا طلاق ولا عِتَاقَ فِي اغلاق (Abu Dawood: 2193) Zabardasti ki talaq nafiz nahin hoti. Akeelay datay, Poori ummat is kay khilaaf thi. Poori ummat par ahsaan hai.
Teesri shakhsiyat Imam Ahmad Bin Hanbal رحمہ الله, Imam Ahal-ul-sunnah, Jab Fitnah-e-Khalaq-e-Qur’an utha, Baadshah-e-Waqt ka, Poori raiyyat ka, Us kay tamaam chamchay Ulamaa ka yahi mu’aqqif tha keh Qur’an-e-paak Allah ki makhlooq hai, نعوذ باللہ. Akeelay Imam ki awaaz keh الْقُرْآنُ كَلَامُ اللَّهِ غَيْرُ مَخْلُوقِ (Al Sunan-ul-Kubraa Baihaqi: 10/207) Qur’an kalaamullah hai, Makhlooq nahin hai. Logon nay maara lekin istiqamat ikhtiyar ki. Itnay koday maaray jatay keh behosh ho jatay. Lekin jab hosh aata to farmatay: ائتوني بِشَيْءٍ بِكِتَابِ اللهِ أَوْ سُنَّةِ رَسُولِ اللَّهِ Is gardan ko jhukana chahtay ho to Kitaabullah paish karo ya Allah kay paighambar ki sunnat paish karo. Akeelay datay rahay. Hatta keh ba’az Ulamaa nay taqiya ki Hadees paish kar kay samjhanay ki koshish ki keh jaan bachanay kay liye tanazzul ki raah ikhtiyar kar lenay, Paspaai ka raasta ikhtiyar kar lenay mein koi harj nahin hai. Jaan bacha lijye aur hukoomat ki haan mein haan mila dejiye. Farmaya: Kesi baat kartay ho? Ulamaa taqiya ka raasta pakad lein aur jaahil haq ko na jaantay hon to haq kesay waazeh hoga? Allah-u-akbar. Poori ummat par Imam Ahmad ka ahsaan hai. Un akeelay ki istiqamat is maslay ko zindah kar gai, Warna na maloom aaj logon ka mu’aqqif kya hota. Abu Bakar Siddiq رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki zindagi kay yeh shadeed mawaqay aur phir tamassuk bil sunnah, Hamein chahiye keh isay apna nasb-ul-Ain banayein. Apnay liye misaal banayein.
Qur’an-e-Paak mein aik jamaa’at ka zikar hai jinhon nay سَاعَةُ الْعُسْرَہ mein Allah kay paighambar ki ittibaa ki. Kya un ki shaan aur kya un ka maqaam! لَقَدْ تَابَ اللهُ عَلَى النَّبِيِّ وَالْمُهْجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ الَّذِينَ اتَّبَعُوهُ فِي سَاعَةِ الْعُسْرَةِ (Al Taubah: 117) “Allah nay maaf kar diya Nabi ko, Muhajireen ko, Ansar ko jinhon nay apnay paighambar ki mushkil ghadi mein ittibaa ki.” Yeh سَاعَةُ الْعُسْرَہ kya hai? Yeh Jung-e-Tabook ka mouqa hai. Badi mushkil ghadi hai. Allah kay paighambar ka amar tha keh ham nay Tabook jana hai. Mulk-e-Shaam mein jaakar ladna hai lekin halaat baday tang thay. Aik to shadeed garmi. Munafiqeen kehtay thay: لَا تَنْفِرُوا فِي الْحَرِ Aray badi garmi hai mat jaaw. (Al Taubah: 89) Aur doosri taraf Madeenay kay phal pak chukay thay. Phal khaanay ka waqt hai. Un ko chod kay chalay jayein, Sawaariyan muyassar nahin hain, Paisay ki tangi. Paison kay anbaar laga diye. Wasaail kay anbaar laga diye. Allah kay paighambar ki zabaan say aik baar nikla keh Jaish-e-Usrah kon tayyar karay ga? Sahaba uthay, Maal lay kar aa gaye. Usman رَضِيَ اللهُ عَنْهُ nay saikdon oont aur pachaas ghoday paish kar diye keh in ki pishton par beth kar sahaba jihaad kay liye jayein. Aik hazaar sonay kay sikkay Allah kay paighambar ki jholi mein daal diye.
Abdul Rahaman Bin Auf رَضِيَ اللهُ عَنْهُ aik so auqiye sona Allah kay paighambar ko paish kartay hain. Umar Bin Khattaab رَضِيَ اللهُ عَنْهُ gaye keh Abu Bakar har mouqa par mujh say badh jaatay hain, Aaj kal meray ghar mein bada maal aaya huwa hai. Aaj to un ko bhadnay nahin doon ga. Apnay ghar gaye, Saara samaan do hisson mein taqseem kar diya. Aadha ghar kay liye choda, Aadha Allah kay paighambar kay paas lay aaye. Allah kay paighambar nay poocha: مَا أَبْقَيْتَ لِأَهْلِك Umar! Ghar mein kya choda? Farmaya: مثله Aadha aap ko paish kar diya, Aadha ghar chod aaya hoon. Thodi der mein Abu Bakar bhi aa gaye. Apna maal sar par uthaya huwa hai. Allah kay paighambar nay poocha: Abu Bakar! مَا أَبْقَيْتَ لِأَهْلِكَ؟ Ghar mein kya choda? Farmaya: أَبْقَيْتُ لَهُمُ اللهَ وَرَسُولہ “Ghar mein Allah aur us kay Rasool ko chod kar aaya hoon. Sab kuch lay aaya hoon.” (Abu Dawood: 1678)
Aik ansari Abu Aqeel bada pareshan keh meray paas kuch nahin. Mein kya paish karoon? Raat apnay baagh mein guzartay hain. Aik aik khajoor ko tatoltay hain keh koi khaanay kay qabil ho, Woh tod loon. Is tarah koi dedh do kilo khajooren todnay mein kamyaab ho gaye. Allah Ta’ala nay is ki khabar apnay paighambar ko day di. Paighambar علیہ السلام is ki thodi si khajooren qabool kartay hain. Farmaya keh Abu Aqeel Ansari ki khajooron ko chandi aur sonay kay un dheron par phela kar rakh do, Mujhay badi pasand aa rahi hain. ساعة العسرہ mein Allah kay paighambar kay farmaan ki takmeel ho rahi hai. Subhanallah! To hamara bhi yeh Nasb-ul-Ain hona chahiye. Mushkil tareen safar kathin tareen safar, Kabhi pahad, Kabhi wadiyaan, Kabhi khardaar jhaadiyan, Garmi, paani nahin milta, Piyaas itni keh ba’az sahaba nay apnay oont zibah kar diye kay oonton kay paiton mein jo paani jama hai us ko piyen. Magar Allah kay paighambar ki nafarmani nahin ki. Allah kay paighambar ki ittibaa ki. ساعة العسرہ mein Allah kay paighambar ki itaa’at ko foqiyat di.
Allah kay paighambar rawana ho chukay hain. Kuch sahabi peechay reh gaye jin mein Abu Khaisama bhi thay. Apnay ghar gaye. Do biwiyan hain, Donon nay istaqbaal kiya, Thanda paani paish kiya, Khajooren paish kein. Khaanay kay liye bethay. Dil mein khayaal aaya keh Allah kay paighambar to Tabook kay safar par hain aur mein apni do khubsoorat biwiyon kay beech mein beth kar phal kha raha hoon aur thanda paani pi raha hoon. Aisa mumkin nahin. Un ko choda, Phal aur paani choda, Sawaari li aur rawana ho gaye. Yeh ittibaa hai. Aik sahabi Ka’ab Bin Maalik رَضِيَ اللهُ عَنْهُ peechay reh gaye. Nahin jaa sakay. Allah kay paighambar wapas aaye, Munafiqeen aa kar uzar paish kar rahay hain. Koi beemari ka uzar paish kar raha hai, Koi apnay Ahal ki beemari ka uzar paish kar raha hai. Allah kay paighambar غفَرَ اللهُ لَكَ Allah tujhay maaf kar day. Dua day day kar un ka uzar qabool kar rahay hain. Ka’ab Bin Maalik رَضِيَ اللهُ عَنْهُ bhi aaye. Aur yeh bada kathan mouqa tha. Agar sach boloon to ruswayi hai, Is ka nuqsaan ho sakta hai aur agar jhoot boloon to un munafiqeen ki tarah mein bach sakta hoon, Ta’an-o-Malamat say mera daaman mahfooz rahay ga. Yeh bhi mushkil tareen haalat hai. Aur Ka’ab Bin Maalik farmatay hain: Mein itna bada Qadir-ul-Kalam tha, Itna bada khateeb tha keh apni zabaan say har tarah ka bayan day sakta tha. Lekin mein nay socha keh yahan Allah kay paighambar ki ittibaa karni hai, Sach bolna hai jhoot nahin bolna. Momin aur gunah kar sakta hai jhoot nahin bol sakta. (Shuab-ul-Imaam Lil Baihaqi: 6/456) Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farmaan hai: إِنَّ الرَّجُلَ لَيَصْدُقُ حَتَّى يُكْتَبَ عِنْدَ اللهِ صِدِّيقًا (Muslim: 2607) Aik shakhs pay dar pay sach bolta hai, Itna sach bolta hai keh Allah farishton ko hukum deta hai keh is ko Siddiq likh do. Aur aik shakhs jhoot bolta hai. Aik abhi bola, Phir shaam ko bola, Aglay din bola. Jhoot bolta rehta hai. Aik stage aisi aati hai keh Allah farmata hai: Likh do keh yeh kazzab hai. Badi buri beemari hai. إِنَّ الصَّدْقَ يَهْدِي إِلَى الْبِرِّ وَإِنَّ الْبِرَّ يَهْدِي إِلَى الْجَنَّةِ “Sachaai neki ka raasta dikhati hai aur neki jannat ka raasta dikhati hai.” وَإِنَّ الْكَذِب يَهْدِي إِلَى الْفُجُورِ وَإِنَّ الْفُجُورَ يَهْدِى إِلَى النَّارِ “Aur jhoot gunaahon ka raasta dikhata hai aur gunah Jahannam mein pohanchatay hain.” (Bukhari: 6094) Ab sach bolein ya jhoot bolein. Allah kay paighambar ki ittibaa ka taqaza hai keh sach boldein kuch bhi ho, Koi aafat ho. Sach bata diya keh meray paas koi uzr nahin. Sehat bhi hai, Wasaail bhi hain, Maal bhi hai, Koi beemari bhi nahin hai. Tayyari bhi kar rakhi thi lekin susti ki bina par nahin jaa saka. Sach keh diya. phir kitni badi museebat aayi? Pachaas din pooray Madinah mein un ka bikaat huwa. Hatta keh biwi tak ko alag karnay ka hukum day diya gaya. Pachaas din akeelay phirtay rahay. Koi muskura kar nahin dekh raha, Koi baat nahin kar raha. Is tangi aur sakhti ko bardasht kiya lekin sachaai kay daaman ko haath say nahin choda. Allah kay paighambar ki ghulaami aur Allah kay paighambar ki ittibaa har cheez par muqaddam rakhi. Bil aakhir pachaas din kay baad Allah Rab-ul-Izzat nay tauba qabool ki. Allah kay paighambar nay bula kar basharat di. Poochtay hain: أَمِنْ عِنْدِكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ أَمْ مِنْ عِنْدِ اللَّهِ؟ “Ya Rasoolullah! Yeh tauba ki qabooliyat ki khabar aap ki taraf say hai ya Allah ki taraf say hai?” Farmaya: Allah ki taraf say hai. Kitni badi fazeelat kitna ooncha maqaam aur phir saath hi farmatay hain: مِنْ تَوْبَتِي أَنْ أَنْخَلِعَ مِنْ مَّالِي Allah nay meri tauba qabool ki, Mein Allah ka shukriya is tarah adaa karta hoon keh apnay pooray maal say dastbardaar ho jata hoon, Yeh Allah aur us kay Rasool kay liye sadqa hai. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) nay farmaya: أَمْسِكْ عَلَيْكَ بَعْضَ مالك Ka’ab! Kuch maal apnay paas rok lay, Yeh tumharay liye behtar hai. Farmaya keh theek hai, Jung-e-Khyber ka jo hissa meray paas hai woh rok leta hoon, Phir baqi saara maal sadqa hai. Aur saath hi farmatay hain: إِنَّ اللهَ إِنَّمَا نَجَّانِي بِالصِّدْقِ Ya Rasoolullah! Mera yeh aqeedah hai keh Allah Ta’ala nay mujhay meri sachaai ki barkat say nijaat di. Farmatay hain keh meri tauba ki aik nishani aur aik taqaza yeh hai keh aaj kay baad mein sirf sach hi boloon ga. (Bukhari: 4418) To dekhein jesa bhi mouqa ho sachaai, Sidq , Allah kay paighambar ki ittibaa, Allah kay paighambar ki pairwi hi Nasb-ul-Ain hona chahiye. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) kay farameen mein badi barkat hai, Badi taaqat hai. Allah kay paighambar ka har farmaan haraf ba haraf durust hai, Pathar par lakeer hai. Jo is kay samraat aur nataaij hain, Sab kay sab haasil hon gay. Allah kay paighambar kay farameen mamooli nahin hain. Aap ki duaaein aur aap ki sunnaten mamooli nahin hain. Log tanqees ki koshish kartay hain magar paighambar علیہ السلام kay farameen Deen hain. Allah kay paighambar ka bolna Deen, Allah kay paighambar ka amal karna Deen, Allah kay paighambar ki khamoshi bhi Deen, Kesi Zaat-e-Mubaraka hain Allah kay aakhri paighambar. Har farmaan pathar par lakeer aur aik atal haqeeqat hai. Dekhein Abu Salma رَضِيَ اللهُ عَنْهُ fout ho gaye. Un ki biwi Umm-e-Salma رضي الله عنها badi pareshan hain aur museebat kay pohanchtay waqt jo dua Allah kay paighambar say sun rakhi thi us dua ko padh rahi hain taakeh Allah Ta’ala sabar day day: إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ Aur saath hi padha kay اللَّهُمَّ أجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفُ لِي خَيْرًا مِّنْهَا Aey Allah! Mujhay is museebat par sabar ka ajar day day aur mujhay is say behtar ataa farma day. Aur jab yeh padhnay lagin: وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِّنْهَا keh is say behtar ataa farma day. Is ko padhnay say pehlay zabaan ruk gai aur kehti hain: أي الْمُسْلِمِينَ خَيْرٌ مِّنْ أَبِي سَلَمَةَ Abu Salma say acha kon ho sakta hai? Yeh alfaaz mein kesay kahoon keh mujhay is say acha aur behtar ataa farma day. Abu Salma say acha kon ho sakta hai? Lekin phir socha keh Allah kay paighambar ka amar hai, Dua ko padh lena chahiye. Dua padh li aur jab iddat khatam hui, Aap kis kay nikaah mein aa gain? Muhammad Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) kay nikaah mein. (Muslim: 918) Dua padhnay ki barkat. Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) ghar say bahar niklay. Abu Raafe رَضِيَ اللهُ عَنْهُ handiya mein gosht pakka rahay hain. Farmaya: Abu Raafe! Kya paka rahay ho? Farmaya: Poora bakra hai. Aap ko dasti pasand thi. Farmaya keh is ki dasti nikaal kar do, Ham khaayein gay. Dasti nikaal kardi. Aap nay tanawul farmaai. Farmaya: Abu Raafe! Aik dasti aur do. Unhon nay doosri bhi nikaal di. Woh bhi tanawul farmaai. Abu Raafe! Aik dasti aur do. Arz ki keh bakray ki do hi dastiyan hoti hain. Farmaya keh meray kehnay par talaash kartay to teesri bhi mil jati. (Musnad-e-Ahmad: 2/48) Allah kay paighambar kay farameen! Abu Huraira رَضِيَ اللهُ عَنْهُ farmatay hain keh aik jihaad kay mouqa par tangi thi, Bhook aur faqa tha. Saat saat khajooren din bhar kay liye mujahideen kay hissay mein aayeen. Mujhay bhi saat mil gayeen. Woh saat khajoorein is tarah theen keh un mein aik hashfa thi. Aisi khajoor jo raddi hoti hai aur khai janay kay qabil nahin hoti. Mein nay socha: Pehlay hi bhook hai, Saat khajooren, Upar say aik hashfa hai. Yeh faaltu khajoor jo phenkay janay kay qabil hai. Kiun na Allah kay paighambar kay paas jaawon aur yeh tabdeel karaloon, Phir socha keh nahin, Allah kay paighambar kay mubarak haath say mili hai. Yeh soch kar mein nay woh khajoor kha li. (Bukhari: 5411) Is tarah ki misaalein aap ko Zakheera-e-Hadees mein say beshumaar milein gi, To Allah kay paighambar kay farameen par amal karna har haalat mein Mu’jib-e-Sa’aadat hai. Allah Rab-ul-Izzat ki Raza aur us ki mahabbat ki asaas hai.
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللهُ وَيَغْفِرْ لَكُمْ ذُنُوبَكُمْ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَّحِیم (Aal-e-Imraan: 31)
Allah kay paighambar keh dejiye kay logo! Agar tum Allah ki mahabbat chahtay ho to is ka aik hi tareeq hai balkeh aik hi asaas hai, Woh yeh hai keh meri ittibaa karo. Allah ki mahabbat ki asaas meri ittibaa hai. Tum to sirf Allah ki mahabbat kay taalib thay lekin is ittibaa ka Samrah yeh hai keh يُحببكم الله tumhen Allah apna mahboob bana lay ga. Tum Allah kay mahboob ban jaaw gay. Kitna bada Samrah hai yeh. Allah kay paighambar ki ittibaa say Allah ki mahabbat haasil ho jati hai. إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلَانًا فَأَحِبَّهُ Allah jab kisi banday say mahabbat karta hai to Jibreel ko khabar deta hai keh mein falaan banday say mahabbat karta hoon فاحبہ tu bhi is say mahabbat kar. Jibreel us say mahabbat karta hai. Aur Jibreel ki mahabbat un farishton tak pohanchti hai jo Hamleen-e-Arsh hain. Woh mahabbat shuru kar detay hain. Hamleen-e-Arsh ki mahabbat satween asmaan tak pohanchti hai. Woh bhi mahabbat kartay hain. Phir chatta, Phir paanchwan, Phir choutha, Phir teesra, Doosra, Pehla. Al-garaz saaton asmaanon kay farishtay us say mahabbat karna shuru kar detay hain. Aur Hadees kay aakhri alfaaz hain: ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِي أَهْلِ الْأَرْضِ Phir Allah Ta’ala us banday ki qabooliyat aur mahabbat kay jhanday Qayaamat tak kay liye zameen par bhi gaadh deta hai. (Bukhari: 6040) Qayaamat tak kay liye tamaam zameen walay us say mahabbat kartay hain. Allah Ta’ala hamein apnay paighambar ki ittibaa ki taufeeq day day.
وَأَقُولُ قَوْلِي هُذَا وَأَسْتَغْفِرُ اللهَ لِي وَلَكُمْ وَآخِرُ دَعْوَانَا أَنِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ.
Reference:
Book: “KHUTBAT”
“Allamah Fazilatus Shaikh Abdullah Nasir Rahmani Hafizahullahu Ta’aala”