Hazrat Umme Ammarah (رضی اللہ عنہا)
“Hazrat Umme Ammarah”
(رضی اللہ عنہا)
Ibadet guzaar, shab zinda daar, saber wa tahammul, our jurret wa shuja’at ki paiker, jazbe e jihaad se sershaar, maidane kaar daar me hairet angez karname ser anjaam dene wali mujahida, khawind ki khidmet guzaar wafadaar rafeeqa e hayaat aulaad ki shafeeq wa humdared maa quraan wa hadees ki noorani ilm se bahera wer our eak aalima faazila jis ka bhai abdullah bin kaab
Badari sahaba me se hai, jis ke dono bete shaheed hue, ansaar ke kabeele khazrej ki mashhoor wa maroof shakhs banu nijjaar ki muaziz khatoon. Umme Ammarah nusaiba binte kaab (رضی اللہ عنہا)ka imaan afroz tazkira peshe khidmet hai, padhiye aur apne dilo ko imman ki lazzet se sershaar kijiye.
Madina munawwara ansaar ke wo afraad jo hazret masab bin ameer ki dil pazeer dawat se mutassir ho ker dairah e islaam me dakhil hue the, Rasool Aqdas (ﷺ) ke daste mubarak per dusri mertaba bait kerne ke liye eak makhsoos ghaati per gaye, jahan per Rasool Aqdas(ﷺ) ki bait lene ke liye tashreef laaye is khush naseeb kafile me 72 mard aur 2 ouratein thi eak umme Ammarah binte kaab aur dusri umme manee asma binte amr bin adi thi, hazret umme Ammarah bayaan kerti hai ki jab mardon se bait le li gayi to mere khawind gaziya bin amr ne arz kiya ki ya Rasool Allah(ﷺ) ye do khawateen bhi bait ke liye hazir hai, un per bhi nazer eckaram kijiye, aapne irshaad fermaya theek hai unki bait bhi unhi sharait per qubool hai jo aap tamama ahbaab se qubool ki gayi hai, farq sirf itna hai aapne haath mere haath me diye hai,
Ouraton se mai musafah nahi kerta, yeh muhaida tareekh me baite aqbah saniya ke naam se mashhoor hai.
Hazret Umme Ammarah (رضی اللہ عنہا) bait hasil kerne ke baad madina munawwara wapes lauti to khwateen ki taleem wa terbiyet me hamaten masroof ho gayi, Umme Ammarah ki paheli shaadi Zaid bin Aasim maazni se hui, jisse do ladke hazret abdullah aur hazret habeeb paida hue, dono ko sahabi hone ka sharef hasil hua, dusri shaadi gaziya bin amr maazni se hui jisse eak ladka tameem aur eak ladki khaula paida hui yeh pura gharana islaam ki berket se bahramand hua.
Allamah zahabi apni mashhoor kitaab sera aalamul anmbiya me raqam taraaz hai ki hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا) baite sania, ghazwah e uhood, sulaih hudaibiyah, ghazwah e hunain jung yamama me shareek hui, ghazwah e uhood me zakhmiyon ko paani peelane our merham patti kerne ke alawah talwaar ke oh jauher dikhlaye ki duniya dang reh gayi, Rasool Allah ne irshaad fermaya ki mai apne daayen baayen jis taref bhi nazer utha ker dekhta umme ammarah binte kaab ko mera dafaa kerte hue musalsal ladte hue paata.
Hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا) bayaan kerti hai ki ghazwah e uhood me eak aisa nazuk tareen waqt aaya ki mujahideen paspa hoker bikher gaye, mai apne khawind dono beton abdullah aur habeeb ke hamrah aur Rasool Allah ke dafaa ke liye aapke paas aa khadi hui, hum her taref se hamle ka jawab dene lage, mere eak haath me talwaar our dusre haath me dhaal thi, ager dushmen ghodo per sawaar na hote to hum un me se kisi ko bhi zinda bach ker jane na dete, eak ghode per sawaar dushmen ne mujh per telwaar ka waar kiya laikin maine alni dhaal per us waar ko rok liye oh kuch na ker saka to usne eakdem ghode ki lagaam khichi aur peeche muda to maine mauka ganeemet jaanete hue uske ghode ki peeth per telwaar ka eak zordaar waar kiya jisse us ghode ki peeth ket gayi aur apne sawaar samet zameen per gir pada.
Ye manzer dekh ker Rasool Allah(ﷺ) ba awaaz buland abdullah bin ammarah se kaha oh dekho apni walida ka haath battao oh jaldi se mere paas aaya usne meri maded ki aur hum dono ne uska kaam tamaam ker diya.
Hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا)ke bete hazret abdullah bin zaidرضي الله عنه farmate hai ki mai ghazwah e uhood me shareek hua, jab dushmen ki taref se zor awer hamla hua, muhajireen bikher gaye, mai apne walid ke hemrah Rasool Allah(ﷺ) ke qareeb hua, aap per jis taref se bhi koi bhi waar hota hum use rok lete, Rasool Allah(ﷺ) ne mujhe awaaz di maine labaik kaha, aapne fermaya dushmen per waar karo, maine samne ghode per sawaar eak mushrik pe patther phenka jo sedha us ghode ki aankh per ja laga jisse ghoda apne sawaar samet qilabaziyan khata hua zameen per gir pada, maine uper se eak our bhaari patther use mara jisse oh dekhte hi dekhte wasil e jahannum ho gaya, yeh manzer dekh ker rasool (ﷺ) ka chehra e mubarek per khushgawaar tassuraat numayan hue aur saath hi aapne jeb yeh dekha ki meri walida umme ammarah ke kendhe se khoon beh raha hai aapne irshaad fermaya apni walida ke kendhe per marham patti karo our saath hi yeh irshaad fermaya: tumhara khandaan bada azeem hai, Allah tum per apni rehmet ke berkha barsaye our saath hi rasool Allah(ﷺ) ne us khandaan ke liye dua ki:
Ilaahi is khandan ko “mera jannat me rafeeq bana dena yeh duwa sun ker umme ammarah our unke bete abdullah bin zaid ki khushi ki koi inteha na rahi, laikin sath hi unke josh wa jazbe me bhi be panah izafa hua our ziyada zor andaaz me dushmen per jhapatne lage, abdullah ki eak mushrik se mutbhedh ho gayi, us nijjar ne eak zordaar waar karke unke bayen haath pe eak gahera zakhem laga diya jisse khoon ka fawwarah foot nikla rasool Allah (ﷺ) ne dekhte hi farmaya jaldi zakhm per patti bandho, umme ammarah ne dekha ki bete ka haath puri tarah zakhmi ho chuka hai, khoon tezi se beh raha hai, usne fauren apne bete ke zakhm per patti baandhi aur kaha, mere laadle ghabrao nahi, utho himmet karo aur dushmen pe toot pado.
Rasool Allah(ﷺ) maa bete ki jurret wa shuja’at ko dekh ker muskuraye our irshaad fermaya:
“Aye Ammarah! Aap jaisi jurret bhala koi kahan se laaye.
Hazret umme ammarah haath me berhana shamsheer liye Rasool Allah(ﷺ) ke paas khadi thi ki wahi mushrik dobara samne aaya jisne uske bete ko zakhmi kiya tha, Rasool Allah(ﷺ) ne dekhte hi fermaya: yahi tere bete ko zakhmi karne wala hai, hazret umme ammarah ne sunte hi us per eak aisa khaternaak waar kiya jisse uski taang cut gayi aur oh mun ke bel zameen per gir pada, chand mujahideen ne use daboch liya jisse uski maut waqih ho gayi, aapne ye manzer dekh ker irshaad farmaya: umme ammarah aapne to kamaal ker diya.
Fermati hai ki Rasool Allah(ﷺ) us waqt muskura rahe the aur sath hi aapne yeh irshaad fermaya:
“Shukr us Allah ka jisne tujhe kamyabi di, dushmen ke janib se teri ankhon ko thanda kiya our tera badla tujhe teri ankhon se dikhla diya”
Hazret Umme ammarah razi allahu anha bayaan karte hai ki maine Rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ko yeh fermate suna hai:
Maine ghazwah e uhood ke din jab bhi apne dayen bayen dekhta to use mere dafaa me ladte hue paya,
Ghazwah e uhood me hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا)ke jism me takreeben 12 zakhm lage jinme kendhe ka zakhm bohut gehera tha, jis ka ilaaj takreeban 1 saal tek hota raha, jab ibn qamiyah naami eak kaafir ne hazret umme ammarah ke kandhe per telwaar ka waar kiya jo bada khaternaak sabit hua, aap behosh ho gayi, jab hosh aaya to sabse pahle pucha ki rasool Allah ka kya haal hai? Na hi aapne beton ke baare me pucha na hi khawind ke bare me, jeb use yeh bataya gaya ki aap (ﷺ) bilkul mahfooz hai to usne be sakhta Allah ka shuker ada kiya, hazret umme ammarah ghazwah e hunain our fateh makka ke alawah musailm kezzaab ke khilaaf ladi gayi jung yamama me bhi shareek hue, us jung me ladai ke dauraan unka eak haath ket gaya, uske alawah jisme per 11 zakhm lage, uska beta habeeb bin zaid ansaari usi jung me shaheed hua us per musailma ne khud waar kiya tha jisse oh jaam shahadet nosh ker gaye.
Dusra beta abdullah bin zaid muarika hurrah me shaheed hua, ye jung 23 hijri ko madina munawwara ke mashriqi janib waqeh siyah pahadon me ladi gayi thi, hurrah derasal siyaah pahadi ko kehte hai, us qism ke pahaad ziyada madina munawwara ke qurb wa jawaar me waqeh hai, abdullah bin zaid oh azeemul mertabah mujahid hai jisne musailma kezzab ko apni telwaar se qatel kiya, hazret humzah bin abdul mutallib ko apne neze se shaheed karne wala wehshi bin herb bhi musailma kezzaab ke qatel karne me baraber ka shareek hai, ghazwah e uhood se farigh hoker jeb mujahideen rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ki qiyadet me madina munawwara pahunche to aapne elaan ker diya ki ghazwah e uhood me shareek hone wale mujahideen tayyaar ho jaaye, kel subah mushrikeen ke ta’akkub ke liye hamraul ased muqaam ki taref rawana honge mujahideen ne sirf eak raat madina me guzari fir jihaad per rawana hone ke liye tayyaar ho gaye, hazret umme ammarah bhi jazbe jihaad se sershaar rawangi ke liye uthi laikin gehre zakhmon ki wajah se baden me itni nakahet ho chuki thi ki koshish ke bawajood chal na saki, rasool Allah(ﷺ) ne madina wapes pahuche hi abdullah bin kaab maazni se ammarah ki sehat ke bare me pucha, bataya gaya zakhm dheere dheere bher rahe hai to aapne itminaan ki saans li aur Allah ka shukr adaa kiya.
Hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا)ghazwah e banu quraiza me shareek hui is marike me chand diger khawateen bhi shareek thi un sab ko rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ne maale ganeemet me hissa diya, hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا)ne sulaih hudaibiyah me shirket ki sa,adet hasil ki, fermati hai ki hum umrah adaa kerne ke liye rasool Allah(ﷺ) ki qiyadet me madina munawwara se rawana hue, makka ke qareeb hudaibiya muqaam per hame rok liya gaya, quraish nahi chahte the ki musalmaan makka me dakhil ho, hazret usmaan bin affan ko safeer bana ker makka muazzima bheja gaya, unki wapsi me takheer ho gayi, khabar ye uda di gayi ki unhe shaheed ker diya gaya, rasool Allah (ﷺ) ne darakhet ke saye me baith ker bait lena shuru ker di, aapne yeh bhi irshaad fermaya:
“Allah taala ne mujhe bait lene ka hukum diya hai”
Jis ke paas koi hathiyar tha, usne thaam liya, chunki yeh safer umrah ada kerne ki niyyet se ikhtiyaar kiya gaya tha, isliye baishter afraad ke pas koi hathiyaar na tha, fermati hai ki maine eak laathi pakdi aur eak churi apne kamer band me udais li taaki ager koi dushmen mere qareeb aaya to uska kaam tamaam ker saku laikin ladai ki naubet hi nahi aayi, hazret usmaan ke bare me udayi gayi khaber galet nikli, dushmen se muhaida e amen taye kiya gaya jo tareekh me sulaih hudaibiya ke naam se mashhoor hua, is mauke per ahle imaan se jo bait ki gayi uska tazkira quraan hakeem me un alfaaz me kiya gaya hai:
“Allah momino se khush ho gaya jab wo darakht ke neeche tumse bait ker rahe the, unke dilon ka haal use maloom hau, Isliye usne un per sakinet nazil feramayi, unko inaam me khareebi fateh bakhshi our bohut sa maal e ganeemet unhe ataa ker diya, jise oh anqareeb hasil karenge, Allah zaberdast our hakeem hai”_ Gazwah e khayber me 20 khawateen shareek hui jinme hazret umme ammarah bhi thi, khayber fateh hua maale ganeemet taqseem hua to usme se khwateen ko bhi hissa diya gaya_ Hazret umme ammarah ke hisse me zewar umdah libaas our do deenar aaye, hazret umme ammarah ne gazwah e hunain me bhi jurret wa shuja’at ka bherpoor muzahira kiya, farmati hai ki banu hawazen ka eak shakhs oont per sawaar maidan me jhanda laherata hua dakhil hua, Maine mauka pate hi oont ki pichle jaanib zor daar waar kiya, jisse oont lad khadata hua apne sawaar samet gir pada, uske girte hue sawar per aisi kaari zerb lagayi ki wo uth na saka Hazrat umme ammarah ke bete habeeb ko rasool Allah(ﷺ) ne musailama kezzaab ke paas apna numainda bana ker bheja taaki use raahe raast per laya ja sake is bedbakht ne sifarati adaab ko pamaal kerte hue hazret habeeb bin zaid ko giraftaar ker liya aur eak sutoon ke saath bandh diya our usse pucha: Kya tum gawahi dete ho ki muhammad(ﷺ) Allah ke rasool hai? Usne kaha han mai gawahi deta hun ki muhammad(ﷺ) Allah ke rasool hai Fir usse pucha: “Kya tum yeh gawahi dete ho ki mai Allah ka rasool hun” Usne kaha mai bahera hun mai sunta nahi, musailma kazzab ne yeh sawal baar baar kiya, her baar hazret habeeb bin zaidرضي الله عنه ne yahi jawab diya to us bedbakht ne eak eak bazu kaat ker hazret habeeb bin zaidرضي الله عنه ko shaheed ker diya, umme ammarah (رضی اللہ عنہا)ko jab bete ki shahadet ki khaber mili to kamale saber wa tahmmul ka muzahira kiya, Rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam dilasa dete hue is khandan ke liye khair wa berket ki dwa ki_ Abu baker siddiqرضي الله عنه ne apne daurae khilafet me jab musailma kazzab se nabared aazma hone ke liye lashker rawana kiya to usme hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا)bhi shamil thi, us waqt unki umar taqreeban 60 saal thi, our unka beta abdullah bin zaid bhi humrah tha, is marike me umme ammarah ka eak baazu ket gaya, uske alawah taqreeban 11 zakhm jism per lage, musailma kezzab ko qatel karne walon me umme ammarah aur unka beta abdullah bin zaidرضي الله عنه bhi tha, sipah salaar hazret khalid bin waleed رضي الله عنه ne umme ammarah ke kate hue baazu ka ilaaj karne ke liye tail garem kiya our jalte hue tail me zakhmi baazu ko daagh diya jisse khoon ruk gaya, umme ammarah ko apne baazu ke ket jane ka itna gam nahi tha jitni khushi musailma kezzab ke waasil e jahannum hone ki thi_ Hazret umer bin khattab رضي الله عنه ke daur e khilafet me eak zaberdast umdah chadarein unke paas laayi gayi, eak chader bohut hi umdah aur bade saiz ki thi sathiyon ne mashwara diya ki yeh chader abdullah bin umer ki biwi safiya binte abi abeed ko de di jaaye to aapne irshaad fermaya: yeh chader us khatoon ko de di jayegi jo safiya se kahi behter hai, maine us khatoon ki taref rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ke zuban se suni hai, iske baad ye chader hazret umme ammarah binte kaab (رضی اللہ عنہا) ke khidmet me pesh ki gayi, Eak roz umme ammarah ne rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ki khidmet me arz kiya ki ya rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam quraan hakeem me akser wa beshter mardon ka hi tazkira hota hai ouratein bechari maheroom hi rahti hai to yeh ayet nazil hui: “”Bilashubah musalmaan mard our ouretn, momin mard aur momin ouraten, ita’at guzaar mard our ita’at guzaar ouraten, raast baaz mard aur raast baaz ouraten, saber kerne wale mard our saber kerne wali ouraten, Allah ke aage jhukne wale mard aur Allah ke aage jhukne wali ouraten, sadqa dene wale mard aur sadqa dene wali ouraten, roze rakhne wale mard aur roze rakhne wali ouraten, apni sharamgahon ki hifazet kerne wale mard our hifazet kerne wali ouraten, Allah ko kasret se yaad karne wale mard our ouraten, Allah ne unke liye magfiret our bada ajer tayyaar ker rakkha hai“”
Hazret umme ammarah (رضی اللہ عنہا) sahabiyaat me alaa derje per faiz thi, gazwah e uhood me jab ghamasaan ki ladai ho rahi thi to Rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam ne umme ammarah ke khawind aur dono beto ki jaan nisaari ka andaaz dekhte hue yeh irshaad faramaya:
Allah tum per rahem kare aye khandaan__
Umme Ammarah (رضی اللہ عنہا) ne Arz kiya Rasool Allah sallal lahu alaihi wa sallam se ki duwa kijiye ki Allah jannet me apka saath naseeb ferma de to aapne yeh duwa ki:
“” Ilaahi in sab ko jannet me mera rafeeq bana dena””_
“”Allah unse raazi aur oh apne Allah se raazi””