02. Najaasat jo Paani ki boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day.
Najaasat jo Paani ki boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day.
In donon ausaaf say koi cheez usay kharij nahi karti, Magar sirf aisi najaasat jo uski boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day | لا يُخۡرِجُهٗ عَنِ الۡوَصۡفَيۡنِ اِلَّا مَا غَيَّرَ رِيۡحُهٗ اَوۡ لَوۡنُهٗ اَ طَعۡمُهٗ مِنَ النَّجَاسَاتِ |
(1)-{1} Sayyiduna Abu Saeed khudri ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh Rasoolullah ﷺ say dariyafat kiya gaya keh, Kia hum bair-e-buza’a kay pani say Wuzoo kar saktay hain ?
Ap ﷺ nay uskay jawab mein farmaya,
” الماء طهور لا ينجسه شئ “
” Pani paak hai usay koi cheez napaak nahi karti “ (i).
Note: Bair-e-buza’a aik qadeem kunwaan tha jis mein haiz alood kapday, kuttay kay gosht kay tukday aur bad’boo’daar ashiyaa daali jati thin.
(i)[ (2) Shahih Abu daud hadith no: 60,; Kitab-ut-taharah, Baab fi bair-e-buza’a. Sunan-e-abi daud hadith no: 67,; Sunan-e-tirmazi hadith no: 66.; Sunan-e-nasaayi 1 / 174. Musnad-e-ahmad 3 / 31.; Musnad-e-shaafi’e Hadith no: 35.; Al-muntaqaa li-ibn-ul-jarood page no: 47. Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 11.; Sunan-e-daaro qutani 1 / 29.; Sunan-al-kubra-li-al-baihaqui 1 / 257.] |
(2) Sayyiduna Abu Omamah Bahili ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya,
” إن الماء لا ينجسه شئ إلا ما غلب على ريحه و طعمه و لونه “
” Yaqeenan pani ko koi cheez napaak nahi karti, Magar yeh keh pani par us napaak cheez ki boo, zaaiqah aur rang ghalib aa jaye “(1).
(1) ” ZA’EEF “ [ Za’eef Ibn-e-majah hadith no: 117,; Kitab-ut-taharah, Baab-ul-hiyaaz.; Silsilat-ul-ahadith-is-za’eefah, hadith no: 2644.; Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 521.; Sunan-e-daaro Qutani 1 / 208.; Tabrani-al-kabeer 8 / 123. Hafiz buseeri( رحمه الله ) bayan kartay hain keh “Roshdain” kay zu’uf ki bina par is hadith ki sanad za’eef hai. Al-zawaaid 1 / 170. ] |
(3) Behaqui ki riwaayat mein yeh alfaaz hain ,
” ألماء طهور إلا إن تغير ريحه أو طعمه أو لونه بنجاسة تحدث فيه “
” Pani paak hai siwaa-e- us kay keh najaasat girnay ki wajah say us ki boo ya uska zaaiqah ya us ka rang badal jaye” (2).
(2)[ Sunan-al-kubra-li-al-baihaqui 1 / 209.; Sunan-e-daaro Qutani 1 / 28. Is ki sanad mein bhi “Roshdain Ibn-e-saad” raawi matrook hai lihazah yeh hadith bhi qabil-e-hujjat nahi. Faiz-ul-qadeer 2 / 383.; Nail-ul-autaar 1 / 67. Imam Abu Hatim( رحمه الله ) nay is hadith kay Mursal honay ko sahih qaraar diya hai, Ilall-ul-hadith, 1 / 44. Imam Daar Qutani ( رحمه الله ) ka mo’aqqaf yeh hai keh yeh hadith saabit nahi, Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 29. Imam Nawawi ( رحمه الله ) nay is hadith kay zu’uf par mohaddiseen ka ittefaaq naqal kiya hai, Al-majmoou 1 / 110. Imam Ibn-e-mulaqqan ( رحمه الله ) ka kahna hai keh mazkoorah istesnaa kamzaur hai, Al-badar-ul-muneer 2 / 83. Imam Haisimi( رحمه الله ) nay bhi Roshdain Ibn-e-saad ko za’eef qaraar diya hai, Al-majma 1 / 214.] |
( RAAJIH ) Agarcheh istesnaa wali riwayaat za’eef hain, Lekin us kay ma’aana-o-mafhoom kay sahih-o-qabil-e-qubool honay par ijmaa hai, Jaisa keh Imam Ibn-e-munzir ( رحمه الله ), Imam Nawawi ( رحمه الله ), Imam Ibn-e-qudamah ( رحمه الله ) aur Imam Ibn-e-mulaqqan( رحمه الله ) nay is mas’alay par ijmaa naqal kiya hai.
Aur Sayyiduna Ibn-e-abbas ( رضي الله عنه ), Sayyiduna Abu hurairah( رضي الله عنه ), Hazrat Hasan Basari( رحمه الله ), Hazrat Saeed ibn-e-musayyab( رحمه الله ), Imam Ikrimah( رحمه الله ), Imam Ibn-e-abi Laila( رحمه الله ), Imam Sauri( رحمه الله ), Imam Daud zahiri( رحمه الله ), Imam Nakh’ie( رحمه الله ), imam Jabir Ibn-e-zaid( رحمه الله ), Imam Malik( رحمه الله ), Imam Ghazaali( رحمه الله ), Imam Qasim ( رحمه الله ) aur Imam Yahya ( رحمه الله ) bhi yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain (3).
(3)[ Al-ijmaa li-ibn-ul-munzir 10 / 33.; Al-majmoou li-an-nawawi 1 / 110.; Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 35.; Al-badar-ul-muneer li-ibn-ul-mulaqqan 2 / 83.;MNail-ul-autaar 1 / 29.] |