Search
Sections
< All Topics
Print

29. YAHOODI KA AKHRI QILA “KHAYBAR”[THE CONQUEST OF KHAYBAR]

AAKHIR 6 HIJRI YA SHURU 7 HIRI

Ab yahud ki aabaadi hijaz ke har goshe se semait kar hijaz ke akhri kinare par mulk shaam ke qareeb khaiber mein aikhattee hogae thi- yahan unki barhi barhi kothiya aur qileh the  aur ab yahud yahan Islam ke muqable mein akhri sahara lene ke liye zor laga rahe the- Unka aik sardar Abu Rafa’ Salam bin abi Al haqeeq jo hijaz ka saudagar kehelata tha, 6 hijri mein Gharfan wagerah qabilon ko lekar medine par dhawa karne ka iradah karraha tha keh aik ansari musalmaan ke hath usse apne qilah mein sota hua maara gaya-

    Salaam ki jagah ab Aseer bin razaam ne li- Usne bhi inhi qabilon mein daurah karke aik bhaari fauj tayar ki- Medine mein khabr pohanchi tou Aap(ﷺ ) ne tahqeeq ke liye admi bheje unho ne aakar tasdeeq ki- Aap (ﷺ ) ne sulah ke liye kuch admi bheje aur Aseer ko medina bulaya keh sulah pakki ho jae- Wo tees admiyon ko lekar chala- Raste mein uske dil mein  kiya baat ae keh chaha keh musalmaan daste ke Afsar ke hath se talwaar cheen len- Is par dono tarf talwaaren chalen aur Aseer isme kaam aya.

     Ab Khaiber walon ne ghatfan walon ko Nakhlistaan ki adhi pedawaar dene ka lalach dekar apne sath mila liya- Ghatfan ke aik qabileh Bano Fazarah ne ye hemat ki keh muhram 7 hijri mein medine ki charagaah par hamla kiya aur aik musalmaan ko qatl kiya.

     Ab Musalmaanon ke sabr ka piyala bhar gaya- khaiber ke hamle ka ilaan hua – Sola sou(1600) musalmaan jihaad ke shouq mein Aap(ﷺ) ke sath medina se rawana hue- Fauj ke sath kuch musalmaan Bibiyan bhi ae theen, taake piyason ko pani pilasaken, Zakhmiyon ki marham patti karsake, laraee ke maidan se teer utha utha kar laen- Ye pehla mouqa tha keh Islam ki fauj ne phirera uraaya. Teen jhande tayar hue- Aik Habab bin munzir(رضی اللہ عنہ ) ko aur dusra Sayed bin ‘Abada(رضی اللہ عنہ ) ko aur tesra jiska phirera Hazrat Ayesha( رضی اللہ عنہا) ki orhni se banaya gaya tha, Islam ke sher Hazrat Ali(رضی اللہ عنہ ) ki supurd hua. 

Raste mein is muqadas fauj ka tarana ye tha:

“Allah! Agar tu na hota tou hame ye hidayat na milti- Hamari jaanen qurbaan hamko mu’af karden aur ham par tasalli utaar aur hamare qadam jama- zaalimon ne hamari taraf haath barhaaye hain aur fitna khara karna chaha hai. Tou ham unse dabne wale nahi- Teri mehrbaani se ham be niyaaz nahi hosakte.”

Imaan ka ye josh se bhara hua dariya yu umadta hua chala jaraha tha keh raat ke andhere mein khaiber ke qilah se jaakar takraya- Mouqa tha ki raat ki tarikiyon mein unpar hamla kardiya jata lekin Aap(ﷺ ) ne aisa nahi kiya aur hukm diya keh subh ka intezar kiya jae- Subh hui aur yahudiyon ne Hasb mamool qilaon ke phaatak khole tou samne fauj khari dekhen. Pukar uthe keh Muhammad (ﷺ) ki fauj! Aap (ﷺ ) ab tak larhna nahi chahtey the isliye ab bhi hamle ka hukm nahi diya lekin yahudiyon ne sulah ke bajae laraee ki thaanee- ye dekh kar Aap(ﷺ ) pehle musalmaanon ko naseehaten farmaaye phir jihaad ka hukm farmaaya.

Musalmaanon ne pehle Na’am naami qilah par dhawa kiya, Mehmood bin musalmah(رضی اللہ عنہ ) aik bahadur musalmaan is daste ke afsar the- wo bohat achi tarha lare lekin garmi ke din the wo zara dam lene ko qilah ki deewar ke saye mein baitgae- Yahudi sardar kanana chupke se deewar ke upar chargaya aur wahan se chakki ka paat unke sar par giraya jiske sadme se wo margae lekin is qilah ke darwaze musalmaanon ne khol liye- Qamoos ke qilah par marhab naami aik mashoor yahudi bahadur muqarar tha- Uske muqable ke liye kae roz tak bare bare sahaba( رضی اللہ عنہما) faujen lekar gae lekin fatah ka faqar kisi aur ki qismat me tha- jab laraee ziyada barhi tou aik din sham ko Aap(ﷺ) ne irshad farmaaya keh kal main jhanda is shakhs ko donga jiske hath par Alah Fatah dega aur jo Allah aur Allah ke Rasool ko chahata hai aur Allah aur Allah ke rasool usko chahate hain.

    Ye raat umeed aur intezar ki thi- bare bare sahaba( رضی اللہ عنہما) ne saari raat is intezar me kaati keh dekhe fakhar ki ye daulat kis ke hath mein aati hai.

 Subha hui tou nagaah kanon mein awaz ae “Ali (رضی اللہ عنہ ) kahan hain?” Unki ankhon mein dard tha- wo bulae gae- Aap (ﷺ) ne unki ankhon mein apne mu ka lu’ab lagaya aur dua farmaaye aur Khaiber ki fatah ka jhanda inayat hua- Arz ki keh kiya yahud ko larkar musalmaan banalo? farmaaya narmi ke sath unke samne Islam ko pesh karo- agar aik admi bhi tumhari hidayat se musalmaan hojae tou ye ounton ki daulat se bahetar hai-

    Marhab qilah se apni bahaduri ka ye geet gata hua nikla:

   “Khaiber janta hai keh mein marhab hoon- Sulah mein doba hua, tajrube kaar bahadur hoon.”

Marhab ke jawab mein Allah ke sher (Ali (رضی اللہ عنہ)) ye Shayr parha:

“Mein wo hoon keh meri maa ne mera naam sher rakha tha- Jungle ke sher ki tarha daraouna hoon.”

Allah ke sher ne aik zor se talwaar maari keh uske sar ko katti hui danton tak utaar ae- Marhab maara gaya aur Qilah ka phatak musalmaanon ke haathon mein tha-

Laraee mein pandra(15) musalmaan kaam ae- Yahudiyon ne sulah karli aur sulah ki shart ye thairai keh zameen hamare qabze mein chordi jae – pedawar ka adha hessa ham musalmaanon ko diya karinge- yahudiyonn ki ye darkhast manzoor hui. Ye goya zameendaari ka pehla sabaq tha jo yahudiyon ne musalmaanon ko seekhaya aur Aap(ﷺ ) ne ispar tars khakar isko qubool karliya. Khaiber ki aadhi zameenon ki milkiyat larhne waale musalmaanon ko dedi gae aur aadhi Islami khazane ki milkiyat qarar pae- Usi mein Aap(ﷺ) ke liye bhi panchva(5th) hessa (Khams) muqarar hua- jiski aamdani Aap(ﷺ) ke ghar ki zaruraton aur Islam ki dusre maslihaton mien kaam aati.

     Saal mein bataey ka jab waqt ata tou Aap(ﷺ ) Abdullah bin Rawahah(رضی اللہ عنہ ) sahabi ko khaiber bhejdete- wo jaakar saari pedawar ke dhair ko do baraber hesson me bant dete aur yahud se kehete un do mein se jo tum chaho tum lelo. Yahudi ki ankhon ke liye is adl-o-insaaf ka nazara bilkul naya tha- Wo kahe uthte the keh zameen-o-asmaan isi Adl se qayem hai.

Fatah ke ba’ad Aap(ﷺ ) chand roz khaiber me thaire – Agarchey yahud ke sath poori mar’aat barti gae theen aur unki har tarha aman-o-aamaan bakhsha gaya tha magar phir bhi unki fitri bad niyyati ne unka pecha na chora- Aik yahudi orat ne Aap(ﷺ ) ki aur aapke sath apke kuch ham rahiyon ki dawat ki aur khane mein zaher miladiya- Apne luqma muh mein rakhkar khane se hath rokliya aur farmaaya keh is khane mein zaher milagaya hai- lekin aik sahabi ne usko acchi tarha khaya- Aap( ﷺ) ne us yahudan ko bulwaya aur usne apna jurm iqrar kiya- ispar bhi apnne usse chordiya- lekin wo sahabi us zaher se waffat pae tou wo unke badle me maari gae.

Khaiber ke paas hi aik tarai thee jisko waadi Al Qurra kahete the- usme taima aur fidak wagerah yahudiyon ke chand gaoun the- musalmaan udhar bhi barhe- wahan ke yahud ne khaiber ki shart par sulah karli- is waqiye par yahud ki laraee ka khatema hogaya.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)

Table of Contents