About Us
بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Alhamdulillahi Rabbil alameen,
Tamam tareefen Allah Rabbul izzat kay liye sazawaar hai jisne is kaam ko karne ki hidayat aur toufeeq ata farmaaye aur apni azeem madad farmaaye.
imsjeddah.com kiya hai?
What is imsjeddah?
“Islamic Messages Sharing”
IMS ye aik website hai jisme Authentic Islamic knowledge provide ki hai bohat hi asaan aur simple way mein taake aam insan ko Deen-e-islam ko Samjhne aur seekhne ke liye asaani ho.
imsjeddah.com ko banany ki kiya zarurat thi?
What is the Need for IMS?
Main Year 2011 se Deen-e-Islam ka kaam karai ho basic way mein SMS then whats app groups through, in saalon mein jo main ne dekha hai logon ko kafi pareshaani hoti hai urdu read karne main aur kuch ko english bhi samjhne mein, so is wajha se main ne Blogs create kiye the Roman+urdu+English languages mein Quran aur Ahadees jama karke, jissay log ko kafi asaani hui Qur’an aur ahadees ka ilm hasil karne mein.
Allah ki toufeeq se is saal main ne irada kiya kay chaaron mere blogs ko relocate karkay aik website banou jisme ziyada se ziyada information aur add karo Roman urdu mein bhi taake unlogon kay liye asaani ho jo urdu samjh to sakte hai asaani se lekin read nahi karpaate.
Alhamdulillah many authentic websites already exist karti hai jaise Shamilaurdu in urdu language, Askislampedia in multi lingual lekin Roman Urdu transliteration main is tarha organised kaseer miqdar mein islamic knowledge nahi thi aik website mein, In Shaa Allah ab ye sabke liye IMS aik authentic website availabe hogi multi lingual jisme Roman urdu+ Urdu nd English main data available hoga.
Bibliography/ Sources of content:
Saara data Akabeer Ulema ki books aur authentic Ulema ka websites se collect kiya gaya hai, Main ne aur meri team ne sirf Data jama kiya hai aik organized way main, hamari apni taraf se aik word bhi add nahi kiya gaya hai, bus Roman transliteration par main ne aur meri aik ladies ki team ne kaam kiya hai taake is website ko ham banasake Ummat-e-Muhammadiya(ﷺ) kay asaani kay liye.
Har Article main reference moujood hai, aur jin books se data liya gaya hai wo books bhi for reference confirm karne hamne Website par upload kardi hai taake jo authencity confirm karna chahay yahin book available hai bina koi pareshaani ke search kiye check karsake.
Books kay alawah jin Websites se hamne data liya hai:
- Islamqa.info : Sheikh Saleh Munajid.
- Askislampedia.com : Sheikh Arshad Basheer Madani.
- Shamilaurdu.com
- www.maquboolahmad.blogspot.com
- dorar.net
- Sunnah.com
Complete project Digital work hai ye jo
1) Website ki content mein aur
2) Pdfs mein available rahega two types of storage rahega is data ka In Shaa Allah.
- Website par posts ki shakal mein taakeh easily needed topic tak reader reach karpae.
- Pdf form mein taake us subject se related jo complete detail knowledge lena chahay available rahe in Roman Urdu mein bhi.
Shuyakh/ Teachers:
Shuyakh/My Teachers jinki guidance aur Supervision kay under ye kaam mukammal hua hai, aur jo Website content ke liye books selection mein Valuable advices diye hai aur kuch Shuyakh Roman Urdu pdfs Nazar-e-Saani bhi kiye hai jo pdfs par shuyakh kay names mention hai.
- Shaikh Yasir Al Jabri madani
- Shaikh Arshad Basheer madani
- Shaikh Zakariya madani
- Shaikh Maqbool Ahmed Salafi
- Shaikh Nizam uddin yusuf madani.
- Shaikh Abdus Samad madani.
- Shaikh Ubaid ur rahman.
- Shaikh Hunain Habib.
- Shaikh Haroon Rasheed.
- Shaikh Adeel Haneef.
- Shaikh Waseem madani.
- Ustada Arshiya Sultana.
Introduction of Umm Abdur Rahman.
- Founder & Director of imsjeddah.com
- Born & brought up in Hyderabad, India (live in Jeddah)
- Student of Knowledge (Talibat al Ilm)
- Graduate Alim/Alimah program. (Dars-e-Nizami 5 years Alimah Program)
Student of Various Scholars since many years:
- Shaikh Zakariya Madani Hafidhaullah (Founder of Salaf Academy)
- Shaikh Arshad Basheer madani (Fouder of Askislampedia.com)
- Shaikh Yasir Al Jabri madani (Da’ee at Jeddah KSA)
- Ustada Arshiya Sultana. (Daeeyaah at Riyadh KSA)
Education: Bachelor of Business Adminstration(IT)
- Dawah Experience: since 2011 Sms kay zariye aur phir 2013 se Whats app groups zariye Deeni taleemaat aur Basic maloomaat logon tak pahuncharai hon, Shari’ah masaiyl mei unki madad karti hon apne Aasatiza/Teachers se Guidance aur Answers lekar deti hon.
- Contact:
@imsjeddah.official@gmail.com
✦ Testimonials/ توصيات وشهادات ✦
01. Shaikh Arshad Basheer Madani Hafidhahullah.
As salaamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
Roman Urdu mein yeh ek behtreen Academic website hai.
Alhamdulillah is website par Multi lingual content rakha gaya Roman urdu + English + Urdu mein aur pdfs books mai available hai, Saara content aur Books Manhaj-e-Salaf par mabni hai.
Specially jo Urdu samjh tou sakte hai lekin jinko padhne mein mushkil hoti hai aise readers ke liye ye ek behtreen platform hai.
Is website se istefada karsakte hai aplog befikri kay saath, saara kaam Ulema-e-Haq ki rahenumae aur mashweron kay saath kiya jaraha hai.
Is kaam ko karne waali meri ek Bright Student hai “Umme Abdul Rahman” jo Alhamdulillah kaafi courses mere paas kiye jaise qawaid-e-fiqhiyyah wagairah aur phir mere ek mashwere se ye website ka kaam shuru kiye aur mjhse kaafi website se related knowledge bhi hasil kiye aur bahut Hardworking aur Excellent Skills se is kaam ko anjaam diye hai wo bahen.
Alhamdulillah Barakallah “Sister Umme Abdu Rahman” ki Studies bhi Continue hai “Alimah program Last 5th year ki Student hai”.
Is website kay kaam mein meri Supervision aur Guidance dono shamil hai, mjhe is kaam ki accuracy par itemaad hai kiun ke jin ulama ne check kia hai wo ulama urdu ke talaffuz se waqif hain aur kafi time lagaya aur check kia hai alhamdulilah
واللَّهُ حَسِيبُهُ، ولَا أُزَكِّي علَى اللَّهِ أحَدًا
Arshad Basheer Madani.
Founder & Director of Askislampedia.com
02. Shaikh Zakariya madani Hafidhahullah.
السلام عليكم ورحمة اللّه وبركاته الحمد للّه
Roman urdu mein ek behtreen website tayyar hui hai.
Is website ki khaas baat ye hai ke isme bade ulama ki books ka Roman kiya gaya hai Jo awaam ke liye bohat hi zabardast cheez hai, jo log arbi urdu nahi jaante, wo bade scholars ko nahi padh paate the, ab الحمد للّه unki ye piyas bhuj gayi hai.
Is website ko tayyar kiya hai hamari deeni behan “Umme Abdu Rahman” ne jiske liye unhone bohat ziyadah mehnat ki hai, yaha tak ke unhone aur inki family ne mehnat ke saath ispar khoob Paisa kharch Kiya hai, kyun ke typing karaana phir usko dekhna wagerah sab bohat mehnat aur kharche wala kaam hai, Allāh ta’ala is behan aur unki family ko ikhlaas ki dolta se maala maal farmaye, Riya kaari aur shohrat se inki hifazat Farmaye, الحمد لّله Ye sister taqreeban 2014 se mere raabite mein hain (jo madina University ka Mera 1st year tha). Barabar muj taalib ilm se rehnumai lete rehte hain, aur agar kisi galti ki taraf rehnumai ki jaaye to foran bila kisi tarddud ke ba Khushi qabool karte hain.
Jab bhi unhone ne kisi kitaab par kaam Kiya to pehle zaroor mashwarah liya ke ye kitaab kiski hai kitni eham hai aur ummat ke liye kitni mufeed hai
فجزاها اللّه خيرا الحمد لله
Meri taaliba bhi rahi hain khas karke shaikh Mohammed bin Abdul wahab Rahimahulla ki books “Nawaqize islaam” Qawaaide arba , Salaasatul usool , shurootus salaha , tafseer, Aqeedah, Arabic grammar ye sab cheezain inhone mere paas (“Salaf Academy”) padhi hain. *Manhaj ke lihaz se salafi hain* Isiliye jitni bhi kutub par inhone kaam Kiya hai sab salafi ulama ki hain. Aakhir mein ham inke liye khair ki duaa karte hain, aur ye dua karte hain ke Allah ta’alaa inhain mazeed ummat ke liye nafa baksh kaam karne ki Taufeeq inaayat farmaye.
Aur isi tarah ham inhain wasiyyat karte hain ulma se jude rahain unki rebri mein kaam karain, salafi manhaj se kabhi bhi inhiraaf na karain.
*Aap be fikr hokar is website ko istemal kar sakte hain, agar aapko kahi galti Nazar aaye to behan se raabta kiya jaaye wo foran apni islah karengee in sha Allāh.
Zakariya Sama Madni.
(Founder of Salaf Academy, & Manhaj as salaf foundation)
03. Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafidhahullah.
Nashaar Al-Rasail Al-Diniya (Islamic Messages Sharing) naam se,
Ek intehai ahem Website banai gayi hai ye, is mein aik taraf Urdu, Roman Urdu aur English mein mukhtalif ahem-o-mustanad Kitaaben shaamil hain to doosri taraf Unicode mein Quran-o-Hadees ke ahem mozu’aat aur mut’addid qisam ke ‘Aloom-o-Fanoon par mabni ‘Ilm-o-ma’arfat ka besh qeemti sarmaayaa maujood hai .
04. Shaikh Nizam Uddin Yusuf Madani Hafidhahullah.
*بسم اللہ الرحمن الرحیم*
*الحمد للہ و الصلاہ والسلام علی رسول اللہ و بعد*
Har zamane mein *Wariseen-e-Uloom-e-Nabuwwat* apni apni salahiyaton aur apne daur ke taqazon ke etbar se Deen-e-Islam ki khidmat, nashar-o-asha’at aur tableegh-o-tarveej karte rahe hein.
Asar-e-hazir mein jab *Urdu zuban bahimi rabte ki* aik mo’asir zuban ke tor par samne aai hai to aisa bahut bada tabqa samne aaya hai jo *Urdu bolta aur samajhta hai lekin Urdu Rasamul-khat se na’balad hai.*
Aise mein un ki deeni rahnumai ke liye Ashad Zarurat mehsoos ho rahi thi aik aik aise platform ki jahan se un ki ilmi tishnagi khatam ki ja sake aur un ki Kitab-o-Sunnat ki raushni mein rahnumai ki ja sake.
Aise mein Urdu Rasamul-Khat ko Roman mein likhne ka tareeqa-e-kar samne aaya jis se har tabqa waqif hai.
Is se pehle bhi yeh kam hota raha lekin muntashir aur ghair munazim tha.
الحمد للہ
Is Azeem kaar-e-khair ke liye Allah Rabbul Izzat ne Umm-e-Abdul Rahman ka intikhaab kiya aur unhein is kam ki taufeeq di, keh unhon ne apni noeyat ki munfarid aur kamiyaab Website ki buniyaad daali Jissay rozana Senkadon log mustafid ho rahe hain aur is kar-e-khair mein un ke shohar aur A’aza-o-aqarib un ke sath qadam ba qadam sath rahe.
فجزا ھم اللہ خیرا
Is Website ki khasoosi khoobi jo issay mumtaz banati hai keh yahan Salafi aur Manhaji Ulama ki kutab aap ko milengi jis se aap mukamil itmenan-e-qalab ke sath mustafeed ho sakte hain.
Kutub ko Roman mein paish karne ke liye ulama mashwarah ke baad kutub ka intikhaab kiya jata hai, phir aik tajurbe kar mahir team ke zariye yeh kam Ulama-e-Karaam ki zer-e-nigraani paya-e-takmeel ko pohanchta hai.
Allah Rabbul Izzat Jumla moavineen-o-muntazimeen ki is koshish ko Apni Bargah mein sharaf-e-qabooliyat ata farmaye, Bahen Umme Abdul Rahman ko isteqamat ata farmaaye unki mahenat apni baargaah mein qabool farmaaye Aameeen.
Kutbah: Nizamuddin Yusuf
Khirrij ul jamiyah islamiyah Madeenah Al’munawwarah