18. Hazrat Mujazzaah Bin Soar Al Sudoosi رضی اللہ عنہ
Hazrat Mujazzaah Bin Soar Al Sudoosi رضی اللہ عنہ
Mujazzah Bin Soar aik bahadur nojawan hai jis ne aik muqablay mein poooray so (100) mushrikon ko mout ke ghaat utaar diya aur deegar ma’rkon mein un ki talwar se qatal honay walon ki tadaad be shumaar hai.
(Mourrkheen )”
Yeh hain Allah Ta’ala ke Burgzida-o-Bahadur sipahi jo apne se jung qadsiyah ki gubhaar jhartay hain, Yeh sab Allah Ta’ala ki ataa kardah Nusrat-o-Taaied pay Farhaan-o-Shadaan apne shaheed bhaiyon ke naseeb mein anay walay Ajar-o-Sawab par rashk kunaan aur is jaisay aik dosray ma’arka ka shoq dil mein samaaye hue jo keh Jah-o-Jalal aur Shaan-o-Shaukat mein ma’arka qadsiyah ki manind ho, Wufoor-e-Shoq se is ke intihai shiddat se muntazir ke Khalifa-e-Rasool (ﷺ) hazrat Umar Bin Khattaab رضی اللہ عنہ ka yeh hukum jald unhen musool huwa ke takhat Kisraa ko jarron se ukharnay ke liye musalsal jihaad ko jari rakha jaye.
Roshan cheharon walay mujahideen ke shoq ko abhi ziyada der nah guzri thi ke itnay mein Farooq-e-Azam رضی اللہ عنہ ka aialchi Madina Tayyiba se Koofa pahonch jata hai aur is ke paas kofe ke governor Hazrat Abbu Moosaa Ashri رضی اللہ عنہ ke naam yeh paighaam hai ke apna lashkar le kar abhi rawana ho jayen aur Basraa se anay walay lashkar ke sath mil jayen, Phir aik sath Hurmzan ki talaash mein Ahwaaz ki taraf rawana hon aur usay filfoor giraftaar kar ke Tastur shehar ko azaad kara liya jaye, Jo ke is daur mein Kisraa taaj ka moti aur Sarzamen-e-Faaris ka naginaa tasawwur kiya jata hai. Shahi farmaan mein yeh bhi likha huwa tha ke bano bakar ke sardar aur har dil azeez aur bahadur shehsawar Mujazzaat Bin Soar susosi ko apne hamrah le len.
Hazrat Abbu Moosaa Ashari رضی اللہ عنہ nay Khalifaht-ul-Muslameen Farooq-e-Azam رضی اللہ عنہ kay hukam ki ta’ameel kartay hoye apna lashkar tayyaar kiya aur uski baien jaanib Mujazzaat Bin Soar رضی اللہ عنہ ko muta’yyan kar diya, Aur Basrah se anay walay Lashkar-e-Islam ke sath mil kar Raah-e-Khudaa mein jihaad ki gharz se chal parre mukhtalif shehron ko azad karate hue aur abadiyon ko Kufar-o-Shirk ki aalaiyashon se pak karte hue musalsal agay barhatay gaye aur Hurmzan Lashkar-e-Islam se darta huwa dum daba kar bhaag niklaa aik jagah se doosri jagah chuptay chupaatay hue bil akhir is ne Tastur shehar ke qilah mein jaa kar panah li.
Tastur shehar jis mein Hurmzan ne panah li thi, Yeh bilad-e-Faris mein sab se barh kar khobsorat sir Sabz-o-Shadaab aur hifazati nuqta nigah se mahfooz tareen tha, Yeh shehar tareekhi aitbaar se bohat purana aur Tahzeeb-o-Saqafat ka gehwaara tha aur satah zameen par ghoray ki shakal par taamer kya gaya tha. Usay aik Wasee-o-Areez dariya sairaab karta tha. Jisay dareaye dajeel ke naam se pukara jata tha. Is ke darmiyan aik jazeera mein Shah Saboor ne jheel banwai, Aur us mein surangon ke zariya dariya se pani pohanchanay ka ihtimaam kya, Tastur ki jheel aur surangein Fun-e-Ta’amer ka aik nadir nammonaa tasawwur ki jati theen. Un ke androoni hisson mein aa’laa qisam ke pathar jurey gaye thay, Surangon ko girnay se mahfooz karne ke liye lohay ke satoonon se saharaa diya gaya, Tastur ke ird gird aik deewaar ta’amer ki gayi jo poooray shehar par muheet thi, Jaisa keh kangan kalayi ko muheet hota hai.
Moarkheen ka khayaal hai ke yeh apni tarz ki sab se barri aur pehli deewaar hai, Jo rooye zameen par ta’ameer ki gayi, Hurmzan ne deewaar ke sath sath itni barri khandaq khudwaa rakhi thi jisay u’boor karna mahaal tha aur androoni janib is ki hifazat ke liye Iran ki behtareen fouj har waqt chokas rehti. Tastur ki is khandaq par lashkar-e-Islam ne musalsal aik (1) saal chay(6) mah tak mahaaz aarai ki, Lekin islami fouj usay uboor nah kar saki, Is muddat daraaz mein dushman se taqreeban assi (80) khoon raiz jharpen huien, Har ma’arka aarai ki ibtidaa fariqain ke shahsawaron ke bahimi muqaabla se hui. Bil aakhir yeh muqablaa ghamsaan ki larai mein badal jata, Is jaan lewa mahaaz aarai mein aik mauqa aisa bhi aaya jis mein Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ ne woh jurrat mandaanaa iqdaam kiya jis se a’qal dang reh gayi, Dost-o-Dushman Angusht-e-Badindaan ho gaye, Dekhnay walon ko wartaa hairat mein daal diya huwa yeh ke maidaan jung mein daad shuja’at dete hue tan tanha dushman ke poooray aik so (100) larakey Teh-o-Teeegh kar diye, Is hairat angaiz karname ko dekh kar dushman ki fouj mein larzah taari ho gaya, Aur har aik ke dil mein unkay Roab-o-Dabdaba ki dhaak baith gayi aur musalmanoon ke hauslay buland ho gaye, Is Muhayyir- ul-Uqool waqi’yaa ko dekh kar sab hi ko is ka ilm ho gaya ke Ameer-ul-Momineen Hazrat Umar Bin Khattaab رضی اللہ عنہ ne Lashkar-e-Islam mein shamoliyat ke liye is Mard-e-Mujahid ka intikhaab kiyun kiya tha.
Unn assi (80) khoonraiz ma’arkon mein se aakhri ma’arka mein musalmanoon ne apne dushman par aik aisa zor daar hamlaa kiya jis se Irani fouj ke paon ukhar gaye, Aur woh is hamla ki taab nah la saki, Bil aakhir khandaq ka muhasraa tark kar ke Irani shehar ke andar panah lainay par majboor ho gaye aur unhon ne qil’ay ke darwazay band kar liye.
Is taaza tareen Soorat-e-Haal mein musalman mazeed sangeen halaat se do chaar ho gaye, Huwa yeh keh Iraniyon ne qil’ah ke burjon se teeron ki bochhaar kar di aur qil’ay ki balaai janib se unhon ne aisay zanjeer neechay phainkay jin ke siron par aag se garam ki gayi sho’ula numaa kundiyaan nasb ki gayi theen, Lashkar-e-Islam mein se agar koi mujahid deewaar par charhne lagta ya us ke qareeb aata to woh foran dehakti hui lohay ki kunddi is ke jism mein paiwust kar dete aur usay nihayat taizi se uopar khenchnaa shu’ru kar dete jis se is mujahid ke jism ke parkhachay uranay lagtay aur woh zakhamon ki taab nah laatay hue dam tor jata.
Is naazuk tareen Soorat-e-Haal se musalmanon ke masaaib mein be panah izafah ho gaya to woh intehaai dard naak andaaz mein bargaah Ilaahi mein gir garaa kar dua’aen mangnay lagey Ilaahi! hamein apne Fazl-o-Karam se dushman par ghalba a’taa farmaa:
Hazrat Abbu Moosaa Asha’ri رضی اللہ عنہ Hasrat-o-Yaas ki tasweer banay qil’ay ki deewaar ki taraf tik tiki bandhay dekh rahay thay, Achanak un ke samnay aik teer gira jis ke sath kuch bandha huwa tha.
Aap ne agay barh kar teer uthaya. Us ke sath bandhi hui cheez ko khoola. Kiya dekhte hain ke aik khat hai jis mein yeh tehreer tha.
“Ae farzandaan-e-Islam! mujhe tum par mukammal A’etmaad hai ke tum eifaye ahad ki pabandi karte ho, Mein tum se apni jaan, Maal, Ahal-o-Ayal aur chand aik rufqaa ke liye panah talab karta hon, Is ahsaan ke badlay mein tumhen aik aisa khufiya rastaa bataoon ga jis ke zar’eya tum is shehar mein daakhil ho satke ho”,
yeh padh kar Hazrat Abbu Moosaa Asha’ri رضی اللہ عنہ ke chehray par ronaq ke aasaar numaiyan hue, Jaan-o-Maal ki panah ka parwana likhaa aur isi teer ke zari’ya qil’ay ki is simat pheink diya jahan se teer neechay phenkaa gaya tha us ne teer uthaya. Khat khol kar parhaa to us ne itminaan ka saans liya is liye ke woh jaanta tha musalmaan waday ke sachay hotay hain.
Woh be khatar qil’ah ki deewaar ke sath saraktaa huwa neechay utar aaya aur Lashkar-e-Islam ke sipah salaar Hazrat Abbu Moosaa Asa’hri رضی اللہ عنہ ki khidmat mein haazir ho kar apni Daastaan-e-Gham sunaate hue arz ki keh: Mein Iran ke sarbarah khaandaan se ta’alluq rakhta hon, Irani jarnail Hurmzan ne mere barray bhaai ko qatal kar diya, Us ke Maal-o-Mata’a ko loot liya aur Ahal-o-A’ayal ko Zulm-o-Sitam ka nishaana banaya, Mere muta’aliq bhi is ka dil saaf nahi, Mere khilaaf woh barray ghinaoonen mansoobay banata hai, Meri Jaan-o-Maal ko is se har waqt khatrah la-haq rehta hai. Haqeeqat yeh hai ke mein is ke Zulm-o-Sitam ke bajaye aap ke Adal-o- Insaaf ko aur is ki bad ahdi ki bajaye aap ke eifaye ahad ko tarjeeh deta hon, Mera dili iraadah hai ke mein aap ko woh khufiya raasta bataoon jis ke zari’ya islami afwaaj ke supoot Tastur shehar mein daakhil ho satke hain, Lekin shart yeh hai keh mere hamraah aik saathi ko rawanaa karen jo back waqt Jurrat-o-Shuja’at aur Hosh-o-Khurad mein Yadd-e-Tolaa rakhta ho aur uskay sath sath woh teraaki ka bhi maahir ho, Taakeh usay mere sath khufiya rasta u’boor karne mein koi dushwaari paish nah aaye.
Hazrat Abbu Moosaa As’ahri رضی اللہ عنہ ne Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ ko apne paas bulaya aur un se raaz daaranaa andaaz mein baat ki aur farmayaa:
“Mujhe apni qoum se aik aisa shakhs dein jo baik waqt danishmand, Mohtaat aur aur teraaki ka maahir ho”.
Hazrat Mujazzaat رضی اللہ عنہ ne kaha:
“Mujhe yeh khidmat sonpein. Mein In sha Allah isay bakhoobi sar anjaam dainay ki koshish karoon ga”.
Yeh sun kar Hazrat Abbu Moosaa As’ahri رضی اللہ عنہ ne irshaad farmayaa:
“Agar aap yeh khidmat sar anjaam dena chahtay hain to Bismi Allah bohat khushi ki baat hai Allah Ta’alaa barkat karega”.
Inhen is mission par rawanaa karte waqt irshaad farmayaa: ” Rastaa achi tarhaan yaad kar lena qila’y ke darwazay ki jagah achi tarhaan nishaan zad kar lenaa, Harmazan jis jagah Barajmaan hota hai woh bhi zehen nasheen kar lena, Saabit qadmi ka suboot dena aur is ke ilawa koi aur kaam nah karna.
Hazrat Mujazzaa رضی اللہ عنہ raat ki tareeki mein apne is Iraani bhaai ke hamrah yeh khatarnaak muhim sar karne ke liye chal parre, To woh dono Zair-e-Zameen aik aisi surang mein daakhil hue jo dariya aur shehar ke mabain difaa’i nuqta nigah se khodi gayi thi, Surang kahin se to chouri thi jahan pani mein chalna mumkin tha aur kahin se woh bohat tang thi to wahan tairnaa parta is surang mein nihaayat hi mohtaat tareeqa ikhtiyar karte hue musalsal agay barhatay gaye, Bil akhir woh is soorakh tak pounchanay mein kamyaab ho gaye jahan se ba-asani qila’h ke andar daakhil huwa ja sakta tha, Un ke saathi ne wahin se ishaaraa kiya ke woh dekho mere bhaai ka qaatil Hurmzan betha hai, Aur wahin qila’h ka ba’ghor jaaiza liya, Jab Hazrat Mujazzaah رضی اللہ عنہ ne Iraani sipah salaar Hurmzan ko samnay betha dekhaa to dil mein khayaal aaya ke is ke seenay mein nezah day marain, Lekin foran Hazrat Abbu Moosaa Ash’ari رضی اللہ عنہ ki wasiyat ka khayaal aaya to apna iraadah tark kar diya aur chupkay se wapas lout gaye aur Tulu-e-Fajar se pehlay wahein pahonch gaye jahaan is muhim ka aag’haz kiya tha aur Hazrat Abbu Moosaa As’ahri رضی اللہ عنہ ko roidaad safar sunaai aur is pur khatar rastay ki Soorat-e-Hsaal se aagah kiya.
Is Soorat-Haal ko Paish-e-Nazar rakhtay hue Hazrat Abbu Moosaa As’ahri رضی اللہ عنہ ne Lashkar-e-Islam se aisay teen sad (300)mujahideen ko muntakhib kiya jo sab se barh kar sher dil, Taaqatwar, Sakht jaan aur teraaki ke maahir thay aur Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ ko un ka ameer muqarrar kar diya aur is muhim par rawana karte waqt yeh khusoosi hidaayat di ke agar shehar ke andar daakhil honay mein kamyaab ho jao to Naara-e-Takbeer buland karna.
Hazrat Mujazzaah رضی اللہ عنہ ne apne tamaam sathiyon ko hukum diya ke jis qadar mumkin ho halkaa saa libaas zaib tan karein, Hamein ziyada tar yeh pur khatar rastaa tair kar u’boor karna ho ga, Kahin pani se libaas bojhul nah ho jaye aur sath hi yeh talqeen bhi ki ke talwaar ke ilawaa koi bhi cheez sath nah len aur talwaar qameez ki androoni jaanib apne badan se bandh len un mujahideen ko raat ki tareeki mein apne hamrah liya aur is muhim ko sar karne ke liye chal pade.
Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ apne sathiyon ko le kar gaar mein daakhil hue to pani khofnaak andaaz mein poori taizi se beh raha tha, Yeh sab purisraar bande apne Allah ka naam le kar is mein kood gaye. Is dushwaar guzaar rastay ko u’boor karne ke liye poori jurrat mandi ke sath agay barhna shur’u kiya, Har aik mujahid apne Gird-o-Nawah se be niyaz ho kar apni manzil tak pounchanay ke liye koshaan tha, Jab chand saathi Hazrat Mujazzaah رضی اللہ عنہ ki qayadat mein surang ke aakhri siray tak pounchanay mein kamyaab ho gaye to kiya dekhte hain ke pani ki be reham moujon ne un ke do sad bees (220) afraad ko apna luqmah bna liya aur sirf assi (80) afraad usay u’boor karne mein kamyaab ho sakay.
Hazrat Mujazzaah رضی اللہ عنہ aur unkay hamrah 79 afraad ne qila’h ke andar qadam rakhtay hi apni talwaarein fiza mein lehraain aur yak-dam qila’h ke muhafizon par hamlaa kar diya aur aan wahid mein inhen Teh-o-Teegh kar diya aur qila’h ka darwaaza kholnay mein kamyaab ho gaye, Darwaaza khultay hi Naara-e-Takbeer buland kiya, Jab yeh aawaaz qila’y ke bahir Lashkar-e-Islam ne suni to tamaam mujahideen ne Jazba-e-Islam se sarshaar ho kar pur zor andaaz mein Naara-e-Takbeer buland kiya aur Tuloo-e-Fajar ke waqat shehar par halla bol diya.
Ghamsaan ki jung chidh gayi, Jungi tareekh mein kam hi is jaisay holnaak manaz’ir dekhe gaye hon ge jis mein laashon ke anbaar lag gaye.
Shehar ke gali koochon aur qila’h ke androoni maidaan mein laraai pooray zoron par thi ke Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ ne Iraani fouj ke sipah salaar Hurmzan ko maidan mein Barsar-e- Pekaar dekha to us ki taraf barhay logon ke hujhoom ki wajah se woh aankhon se ujhal ho gaya, Thori hi der baad jab woh dobarah samnay aaya to aap ne is par hamla kar diya, Lekin aap ki talwaar ka waar khata gaya, Hurmzan ne waar kiya jo ain nishanay par laga jis se Lashkar-e-Islam ka yeh Batal-e-Jaleel maidaan jung mein shaheed ho kar gir para lekin aankhon mein chamak aur chehray par suroor ke assaar numaiyan thay, Bila-shubaa yeh kefiyat is azeem karnaama ki wajah se thi, Jisay Allah Subhana Wa Ta’alaa ne sar anjaam dainay ki inhen Sa’adat naseeb farmai thi.
Jung badastoor jari rahi yahan tak ke Allah Subhana wa Ta’ala ne musalmanon ko Fatah-o-Nusrat se nawazaa aur dushman afwaaj ka sipah salaar Hurmzan un ke hathon giraftaar ho gaya.
Fatah haasil karne ke ba’ad mujahideen ka qaafla Hurmzan ko apne hamrah le kar Madinah Tayyiba ki taraf rawanaa huwa taakeh Ameer-ul-Momineen Hazrat Umar Bin Khattaab رضی اللہ عنہ ko fatah ki khushkhabri sunaein, Jab Hurmzan ko Ameer-ul-Momineen ke samnay paish kiya to us waqat us ne Shahi libaas pehan rakha tha is ke sath sath fatah ki basharat dainay walay mujahideen aik yeh bhi khabar le kar aaye ke un ka aik bahadur sakht jaan aur Sabr-o-Tahammul ka paiker saathi Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ Maidan-e-Jung mein Jaam-e-Shahadat nosh kar chuka hai.
Hazrat Mujazzaah Bin Soar رضی اللہ عنہ ke tafseeli halaat maloom karne ke liye darj zail kitaabon ka mutaali’a karein:
1: Tarikh ul Umam Wal Mulook 4/216
2: Tarikh Khalifah bin Khayyat 1/117
3: Tarikh-e-Islam Allamah Zahabi 2/30
4: Mujam ul Buldan Allamah Yaqoot Bab-e-Tastur
5: Al Isaabah Fi Tamteez-e-Al Sahabah 773
6: Usd ul Ghabah 4/30
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
حضرت مجزأة بن ثور السدوسی رضی اللہ عنہ
[مجزأہ بن ثور ایک بہادر نوجوان ہے جس نے ایک مقابلے میں پورے سو مشرکوں کو موت کے گھاٹ اتار دیا اور دیگر معرکوں میں ان کی تلوار سے قتل ہونے والوں کی تعداد بےشمار ہے:(مؤرخين)]
یہ ہیں اللہ تعالی ٰکے برگزیدہ و بہادر سپاہی جو اپنے سے جنگ قادسیہ کی غبار جھاڑتے ہیں، یہ سب اللہ تعالی ٰکی عطا کردہ نصرت و تائید پہ فرحاں و شاداں اپنے شہید بھائیوں کے نصیب میں آنے والے اجر و ثواب پر رشک کناں اور اس جیسے ایک دوسرے معرکہ کا شوق دل میں سمائے ہوئے جو کہ جاہ و جلال اور شان و شوکت میں معرکہء قادسیہ کی مانند ہو، وفور شوق سے اس کے انتہائی شدت سے منتظر کہ خلیفہء رسول علیہ السلام حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کا یہ حکم جلد انہیں موصول ہوا کہ تخت کسری ٰکو جڑوں سے اکھاڑنے کے لیے مسلسل جہاد کو جاری رکھا جائے۔
روشن چہروں والے مجاہدین کے شوق کو ابھی زیادہ دیر نہ گزری تھی کہ اتنے میں فاروق اعظم رضی اللہ عنہ کا ایلچی مدینہ طیبہ سے کوفہ پہنچ جاتا ہے اور اس کے پاس کوفے کے گورنر حضرت ابو موسی ٰ اشعری رضی اللہ عنہ کے نام یہ پیغام ہے کہ اپنا لشکر لے کر ابھی روانہ ہو جائیں اور بصری ٰسے آنے والے لشکر کے ساتھ مل جائیں، پھر ایک ساتھ ہرمزان کی تلاش میں أہواز کی طرف روانہ ہوں اور اسے فی الفور گرفتارکر کے تستر شہر کو آزاد کرا لیا جائے، جو کہ اس دور میں کسری ٰتاج کا موتی اور سرزمین فارس کا نگینہ تسلیم کیا جاتا ہے۔ شاہی فرمان میں یہ بھی لکھا ہوا تھا کہ بنو بکر کے سردار اور ہردلعزیز اور بہادر شہسوار مجزأة بن ثور سدوسی کو اپنے ہمراہ لے لیں۔
حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ خلیفتہ المسلمین فاروق اعظم رضی اللہ عنہ کے حکم کی تعمیل-
اپنا لشکر تیار کیا اور اس کی بائیں جانب مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ کو متعین کردیا، اور بصرہ سے آنے والے لشکر اسلام کے ساتھ مل کر راہ خدا میں جہاد کی غرض سے چل پڑے، مختلف شہروں کو آزاد کراتے ہوئے اور آبادیوں کو کفر وشرک کی آلائشوں سے پاک کرتے ہوئے مسلسل آگے بڑھتے گئے اور ہرمزان لشکر اسلام سے ڈرتا ہوا دم دبا کر بھاگ نکلا۔ ایک جگہ سے دوسری جگہ چھپتے چھپاتے ہوئے بلآخر اس نے تستر شہر کے قلعہ میں جا کر پناہ لی۔
تستر شہر جس میں ہرمزان نے پناہ لی تھی، یہ بلاد فارس میں سب سے بڑھ کر خوبصورت، سرسبز و شاداب اور حفاظتی نکتہء نگاہ سے محفوظ ترین تھا۔ یہ شہر تاریخی اعتبار سے بہت پرانا اور تہذیب و ثقافت کا گہوارہ تھا اور سطح زمین پر گھوڑے کی شکل پر تعمیر کیا گیا تھا۔ اسے ایک وسیع و عریض دریا سیراب کرتا تھا جسے دریائے دجیل کے نام سے پکارا جاتا تھا۔ اس کے درمیان ایک جزیرہ میں شاہ سابور نے جھیل بنوائی، اور اس میں سرنگوں کے ذریعے دریا سے پانی پہنچانے کا اہتمام کیا۔ تستر کی جھیل اور سرنگیں فن تعمیر کا ایک نادر نمونہ تصور کی جاتی تھیں۔ ان کے اندرونی حصوں میں اعلی ٰقسم کے پتھر جڑے گئے تھے، سرنگوں کو گرنے سے محفوظ کرنے کے لیے لوہے کے ستونوں سے سہارا دیا گیا، تستر کے اردگرد ایک دیوار تعمیر کی گئی، جو پورے شہر پر محیط تھی، جیسا کہ کنگن کلائی کو محیط ہوتا ہے۔
مؤرخین کا خیال ہے کہ یہ اپنی طرز کی سب سے بڑی اور پہلی دیوار ہے، جو روئے زمین پر تعمیر کی گئی۔ ہرمزان نے دیوار کے ساتھ ساتھ اتنی بڑی خندق کھدوا رکھی تھی جسے عبور کرنا محال تھا اور اندرونی جانب اس کی حفاظت کے لیے ایران کی بہترین فوج ہر وقت چوکس رہتی۔ تستر کی اس خندق پر لشکر اسلام نے مسلسل ایک سال چھ ماہ تک محاذ آرائی کی، لیکن اسلامی فوج اسے عبور نہ کرسکی، اس مدت دراز میں دشمن سے تقریباً اسّی 80 خون ریز جھڑپیں ہوئیں، ہر معرکہ آرائی کی ابتداء فریقین کے شہسواروں کے باہمی مقابلہ سے ہوئی۔ بالآخر یہ مقابلہ گھمسان کی لڑائی میں بدل جاتا، اس جان لیوا محاذ آرائی میں ایک موقع ایسا بھی آیا جس میں حضرت مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ نے وہ جرأت مندانہ اقدام کیا جس سے عقل دنگ رہ گئ، دوست دشمن انگشت بدنداں ہو گئے، دیکھنے والوں کو ورطہء حیرت میں ڈال دیا،
ہوا یہ کہ میدان جنگ میں داد شجاعت دیتے ہوئے تن تنہا دشمن کے پورے ایک سو لڑاکے تہہ تیغ کر دیئے، اس حیرت انگیز کارنامے کو دیکھ کر دشمن کی فوج میں لرزہ طاری ہو گیا اور ہر ایک کے دل میں ان کے لیے رعب و دبدبہ کی دھاک بیٹھ گئی، اور مسلمانوں کے حوصلے بلند ہو گئے۔ اس محیر العقول واقعہ کو دیکھ کر سبھی کو اس کا علم ہو گیا، کہ امیرالمؤمنین حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ نے لشکر اسلام میں شمولیت کے لئے اس مرد مجاہد کا انتخاب کیوں کیا تھا۔
ان اسّی 80 خون ریز معرکوں میں سے آخری معرکہ میں مسلمانوں نے اپنے دشمن پر ایک ایسا زوردار حملہ کیا جس سے ایرانی فوج کے پاؤں اکھڑ گئے، اور وہ اس حملہ کی تاب نہ لاسکی، بلآخر خندق کا محاصرہ ترک کر کے ایرانی شہر کے اندر پناہ لینے پر مجبور ہو گئے اور انہوں نے قلعے کے دروازے بند کر لئے۔
اس تازہ ترین صورتحال میں مسلمانوں مزید سنگین حالات سے دوچار ہو گئے، ہوا یہ کہ ایرانیوں نے قلعہ کے برجوں سے تیروں کی بوچھاڑ کردی اور قلعہ کی بالائی جانب سے انہوں نے ایسے زنجیر نیچے پھینکے جن کے سروں پر آگ سے گرم کی گئی شعلہ نما کنڈیاں نصب کی گئی تھیں، لشکر اسلام میں سے اگر کوئی مجاہد دیوار پر چڑھنے لگتا یا اس کے قریب آتا تو وہ فوراً دہکتی ہوئی لوہے کی کنڈی اس کے جسم میں پیوست کر دیتے، اور اسے نہایت تیزی سے اوپر کھینچنا شروع کر دیتے جس سے اس مجاہد کے جسم کے پرخچے اڑنے لگتے اور وہ زخموں کی تاب نہ لاتے ہوئے دم توڑ جاتا۔
اس نازک ترین صورتحال سے مسلمانوں کے مصائب میں بےپناہ اضافہ ہو گیا تو وہ انتہائی دردناک انداز میں بارگاہ الہی میں گڑگڑا کر دعائیں مانگنے لگے، الہی! ہمیں اپنے فضل و کرم سے دشمن پر غلبہ عطا فرما۔
حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ حسرت و یاس کی تصویر بنے قلعے کی دیوار کی طرف ٹکٹکی باندھے دیکھ رہے تھے، اچانک ان کے سامنے تیر گرا جس کے ساتھ کچھ بندھا ہوا تھا۔ آپ نے آگے بڑھ کر تیر اٹھایا۔ اس کے ساتھ بندھی ہوئی چیز کو کھولا۔ کیا دیکھتے ہیں کہ ایک خط ہے جس میں یہ تحریر تھا: “اے فرزندان اسلام! مجھے تم پر مکمل اعتماد ہے کہ تم ایفائے عہد کی پابندی کرتے ہو، میں تم سے اپنی جان، مال، اہل و عیال اور چند ایک رفقاء کے لیے پناہ طلب کرتا ہوں، اس احسان کے بدلے میں تمہیں ایک ایسا خفیہ راستہ بتاؤں گا جس کے ذریعہ تم اس شہر میں داخل ہو سکتے ہو۔” یہ پڑھ کر حضرت ابو موسی ٰ اشعری رضی اللہ عنہ کے چہرے پر رونق کے آثار نمایاں ہوئے، جان و مال کی پناہ کا پروانہ لکھا اور اسی تیر کے ذریعہ قلعے کی اس سمت پھینک دیا جہاں سے تیر نیچے پھینکا گیا تھا۔ اس نے تیر اٹھایا، خط کھول کر پڑھا اور اس نے اطمینان کا سانس لیا، اس لیے کہ وہ جانتا تھا مسلمان وعدے کے سچے ہوتے ہیں۔ وہ بےخطر قلعے کی دیوار کے ساتھ سرکتا ہوا نیچے اتر آیا اور لشکر اسلام کے سپہ سالار حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ کی خدمت میں حاضر ہو کر اپنی داستان غم سناتے ہوئے عرض کی، کہ میں ایران کے سربراہ خاندان سے تعلق رکھتا ہوں، ایرانی جرنیل ہرمزان نے میرے بڑے بھائی کو قتل کر دیا، اس کے مال و متاع کو لوٹ لیا اور اہل و عیال کو ظلم کا نشانہ بنایا، میرے متعلق بھی اس کا دل صاف نہیں، میرے خلاف وہ بڑے گھناؤنے منصوبے بناتا ہے، میری جان و مال کو اس سے ہر وقت خطرہ لاحق رہتا ہے۔ حقیقت یہ ہے کہ میں اس کے ظلم و ستم کے بجائے آپ کے عدل و انصاف کو اور اس کی بدعہدی کی بجائے آپ کے ایفائے عہد کو ترجیح دیتا ہوں، میرا دلی ارادہ ہے کہ میں آپ کو وہ خفیہ راستہ بتاؤں جس کے ذریعے اسلامی افواج کے سپوت تستر شہر میں داخل ہو سکتے ہیں، لیکن شرط یہ ہے کہ میرے ہمراہ ایک ساتھی کو روانہ کریں جو بیک وقت جرأت و شجاعت اور ہوش و خرد میں یدطولی ٰ رکھتا ہو اور اس کے ساتھ ساتھ وہ تیراکی کا بھی ماہر ہو، تاکہ اسے میرے ساتھ خفیہ راستہ عبور کرنے میں کوئی دشواری پیش نہ آئے۔
حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ نے حضرت مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ کو اپنے پاس بلایا اور ان سے رازدارانہ انداز میں بات کی
اور فرمایا: “مجھے اپنی قوم سے ایک ایسا شخص دیں جو بیک وقت دانشمند، محتاط اور تیراکی کا ماہر ہو۔” حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ نے کہا: “مجھے یہ خدمت سونپیں۔ میں انشاء اللہ اسے بخوبی سرانجام دینے کی کوشش کروں گا”، یہ سن کر حضرت ابو موسی ٰرضی اللہ عنہ نے ارشاد فرمایا: “اگر آپ یہ خدمت سرانجام دینا چاہتے ہیں تو بسم اللہ، بہت خوشی کی بات ہے۔ اللہ تعالی ٰبرکت کر یگا”، انہیں اس مشن پر روانہ کرتے وقت ارشاد فرمایا: “راستہ اچھی طرح یاد کر لینا قلعہ کے دروازے کی جگہ اچھی طرح نشان زد کر لینا، ہرمزان جس جگہ براجمان ہوتا ہے وہ بھی ذہن نشین کر لینا، ثابت قدمی کا ثبوت دینا اور اس کے علاوہ کوئی اور کام نہ کرنا۔
حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ رات کی تاریکی میں اپنے اس ایرانی بھائی کے ہمراہ یہ خطرناک مہم سر کرنے کے لیے چل پڑے، تو وہ دونوں زیر زمین ایک ایسی سرنگ میں داخل ہوئے جو دریا اور شہر کے مابین دفاعی نقطہ نگاہ سے کھودی گئی تھی، سرنگ کہیں سے تو چوڑی تھی جہاں پانی میں چلنا ممکن تھا اور کہیں سے وہ بہت تنگ تھی تو وہاں تیرنا پڑتا۔ اس سرنگ میں نہایت ہی محتاط طریقہ اختیار کرتے ہوئے مسلسل آگے بڑھتے گئے، بلآخر وہ اس سوراخ تک پہنچنے میں کامیاب ہو گئے جہاں سے بآسانی قلعہ کے اندر داخل ہوا جا سکتا تھا، ان کے ساتھی نے وہیں سے اشارہ کیا کہ وہ دیکھو میرے بھائی کا قاتل ہرمزان بیٹھا ہے، اور وہیں قلعہ کا بغور جائزہ لیا، جب حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ نے ایرانی سپہ سالار ہرمزان کو سامنے بیٹھا دیکھا تو دل میں خیال آیا کہ اس کے سینے میں نیزہ دے ماریں، لیکن فوراً حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ کی وصیت کا خیال آیا تو اپنا ارادہ ترک کر دیا اور چپکے سے واپس لوٹ گئے اور طلوع فجر سے پہلے وہیں پہنچ گئے جہاں اس مہم کا آغاز کیا تھا اور حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ کو روئیداد سفر سنائی اور اس پرخطر راستے کی صورت حال سے آگاہ کیا۔
اس صورت حال کو پیش نظر رکھتے ہوئے حضرت ابو موسی ٰاشعری رضی اللہ عنہ نے لشکر اسلام سے ایسے تین صد مجاہدین کو منتخب کیا جو سب سے بڑھ کر شیردل، طاقت ور، سخت جان اور تیراکی کے ماہر تھے اور
حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ کو ان کا امیر مقرر کر دیا اور اس مہم پر روانہ کرتے وقت یہ خصوصی ہدایت دی کہ اگر شہر کے اندر داخل ہونے میں کامیاب ہو جاؤ تو نعرہء تکبیر بلند کرنا۔
حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ نے اپنے تمام ساتھیوں کو حکم دیا کہ جس قدر ممکن ہو ہلکا لباس زیب تن کریں، ہمیں زیادہ تر یہ پرخطر راستہ تیر کر عبور کرنا ہو گا، کہیں پانی سے لباس بوجھل نہ ہو جائے اور ساتھ ہی یہ تلقین بھی کی کہ تلوار کے علاوہ کوئی بھی چیز ساتھ نہ لیں اور تلوار قمیص کی اندرونی جانب اپنے بدن سے باندھ لیں۔ ان مجاہدین کو رات کی تاریکی میں اپنے ہمراہ لیا اور اس مہم کو سر کرنے کے لیے چل پڑے۔
حضرت مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ اپنے ساتھیوں کو لے کر غار میں داخل ہوئے تو پانی خوفناک انداز میں پوری تیزی کے ساتھ بہہ رہا تھا، یہ سب پراسرار بندے اپنے اللہ کا نام لے کر اس میں کود گئے۔ اس دشوار گزار راستے کو عبور کرنے کے لیے پوری جرأت مندی کے ساتھ آگے بڑھنا شروع کیا، ہر ایک مجاہد اپنے گردونواح سے بےنیاز ہو کر اپنی منزل تک پہنچنے کے لیے کوشاں تھا۔ جب چند ساتھی حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ کی قیادت میں سرنگ کے آخری سرے تک پہنچنے میں کامیاب ہو گئے تو کیا دیکھتے ہیں کہ پانی کی بےرحم موجوں نے ان کے دوصد بیس افراد کو اپنا لقمہ بنا لیا اور صرف اسّی 80 افراد اسے عبور کرنے میں کامیاب ہو سکے۔
حضرت مجزأة رضی اللہ عنہ اور ان کے ہمراہ 79 افراد نے قلعہ کے اندر قدم رکھتے ہی اپنی تلواریں فضا میں لہرائیں اور یکدم قلعہ کے محافظوں پر حملہ کر دیا اور آن واحد میں انھیں تہہ تیغ کر دیا اور قلعہ کا دروازہ کھولنے میں کامیاب ہو گئے، دروازہ کھلتے ہی نعرہء تکبیر بلند کیا، جب یہ آواز قلعہ کے باہر لشکر اسلام نے سنی تو تمام مجاہدین نے جذبہء اسلام سے سرشار ہو کر پرزور انداز میں نعرہء تکبیر بلند کیا اور طلوع فجر کے وقت شہر پر ہلہ بول دیا، گھمسان کی جنگ چھڑ گئی۔ جنگی تاریخ میں کم ہی اس جیسے ہولناک منظر دیکھے گئے ہوں گے جس میں لاشوں کے انبار لگ گئے۔
شہر کے گلی کوچوں اور قلعہ کے اندرونی میدان میں لڑائی پورے زوروں پر تھی کہ حضرت مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ نے ایرانی فوج کے سپہ سالار ہرمزان کو میدان میں برسرپیکار دیکھا تو اس کی طرف بڑھے، لوگوں کے ہجوم کی وجہ سے وہ آنکھوں سے اوجھل ہو گیا، تھوڑی ہی دیر بعد جب وہ دوبارہ سامنے آیا تو آپ نے اس پر حملہ کردیا، لیکن آپ کی تلوار کا وار خطا گیا، ہرمزان نے وار کیا جو عین نشانے پر لگا جس سے لشکر اسلام کا یہ بطل جلیل میدان جنگ میں شہید ہو کر گر پڑا، لیکن آنکھوں میں چمک اور چہرے پر سرور کے آثار نمایاں تھے، بلاشبہ یہ کیفیت اس عظیم کارنامہ کی وجہ سے تھی، جسے اللہ سبحانہ وتعالی ٰنے سرانجام دینے کی انہیں سعادت نصیب فرمائی تھی۔
جنگ بدستور جاری رہی یہاں تک کہ اللہ سبحانہ وتعالی ٰ نے مسلمانوں کو فتح و نصرت سے نوازا اور دشمن افواج کا سپہ سالار ہرمزان ان کے ہاتھوں گرفتار ہو گیا۔
فتح حاصل کرنے کے بعد مجاہدین کا قافلہ ہرمزان کو اپنے ہمراہ لے کر مدینہ طیبہ کی طرف روانہ ہوا تاکہ امیر المؤمنین حضرت عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کو فتح کی خوشخبری سنائیں، جب ہرمزان کو امیرالمؤمنین کے سامنے پیش کیا تو اس وقت اس نے شاہی لباس پہن رکھا تھا، اس کے ساتھ ساتھ فتح کی بشارت دینے والے مجاہدین ایک یہ بھی خبر لے کر آئے کہ ان کا ایک بہادر، سخت جان اور صبر وتحمل کا پیکر ساتھی مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ میدان جنگ میں جام شہادت نوش کر چکا ہے۔
حضرت مجزأة بن ثور رضی اللہ عنہ کے تفصیلی حالات زندگی معلوم کرنے کے لیے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں۔
۱۔ تاریخ الامم والملوک ۴/ ۲۱۶
۲۔تاریخ خلیفہ بن خیاط ۱/ ۱۱۷
۳۔ تاریخ الاسلام علامہ ذھبی ۲ /۳۰
۴۔معجم البلدان علامہ یاقوت باب تستر
۵۔ الاصابة فی تمیز الصحابه رضی اللہ عنھم ۷۷۳
۶۔اسد الغابة ۴/ ۳۰
حوالہ جات :
“حياتِ صحابہ کے درخشاں پہلو”
تا لیف: “داکتور عبدالر حمان رافت الباشا”