Search
06. IKHTILAAF-E-FUQAHA KAY ASBAAB06.
(2) USOOL-E-ISTINBAAT :
is ki tafseel hasb-e-zail hai.
(1) riwaayat :
(1) baaz auqaat aik mujtahid kisi riwaayat ko za’eef kahta hai lekin dusra ussi riwaayat ko sahih kahta hai, kiyonkeh pahlay ko woh riwaayat sahih, muttasil sanad kay sath nahi mili hoti lekin disray ko woh hi riwaayat sahih sanad kay sath pahunchi hoti hai,
(2) kabhi kisi mujtahid ko koi aisi daleel mil jati hai jo kisi aam hukam kay liye takhsees, mutalq hukam kay liye taqyeed, ya nasakh ka faaidah day rahi hoti hai, lekin dusray ko aisi koi daleel nahi milti.
(3) basaa auqaat riwaayat kay ma’aani mein ikhtilaaf ho jata hai, masalan buyoo’u ki in aqsaam ki taabeer-o-tashreeh mein ” muzaabinah ” ” muhaaqilah “, ” muzaariat ” “mulaamish” aur “mukhabirah ” waghairah,
(4) ahnaaf Mash’hoor hadith ko mutawatir kay hukam mein samajhtay hain jabkaeh deegar fuqahaa is kay qaail nahi.
(5) aisi mursal hadith jis ko sahabi “. ” aisay alfaaz say riwaayat karay baaz usay qabil-e-ihtejaaj tasawwur kartay hain aur baaz rad kartay hain.
(2) aqwaal-e-sahabah :
sahabah kay ijtehaadi aqwaal ki haisiyat mein ikhtilaaf hai, ahnaaf usay mutlaq hujjat samajhtay hain jabkaeh shafi’eiyah us ka inkaar kartay hain,
(3) qiyaas :
baaz ahl-e-zaahir to usay mutlaqan hujjat hi nahi samajhtay jabkaeh jamhoor usay kitab-o-sunnat aur ijmaa kay baad ma’aakhaz-e-shari’at mantay hain.
(3) TAREEQ-E-ISTINBAAT.
yaqeenan kitab-o-sunnat ki baaz nusoos qat’ee-ud-dalalah aur baaz zanni-ud-dalalah hoti hain, choonkeh insaan fahm-o-faraasat kay darjaat mein baaham mukhtalaf hain, is liye zanni-ud-dalalah nusoos mein mukhtalif aaraa ka saamnay aana laazmi amarbl hai jaisa keh imam Ibn-e-qayyim ( رحمه الله ) nay ye hi wazaahat farmayi hai.
in asbaab kay bayaan say saabit huwa keh fuqaha ka ikhtilaaf mahaz fitri iste’idaad-o-salaahiyaton kay mukhtalif honay par mabni tha na keh zaati bunyadon par tha,
lihazah musalmaanon ko chahiye keh fuqaha kay is ijtehaadi no’eiyat kay ikhtilaaf ko maslaki giroh bandi, bahimi ta’assub-o-bughaz aur ifteraaq-o-inteshaar ka zariyah na banayen balakeh taqleedi jumood say nikal kar kitab-o-sunnat say masaail kay istinbaat ki jidd-o-jahad aur sa’ee ko furogh denay ki har mumkin koshish karen, yeh hi manshaa-e-ilahi hai aur yeh hi aaj ki zarurat hai.
wallah-ul-muwaffiq.