Search
Sections
< All Topics
Print

Allamah Shaikh Albani Rahimahullah

SHAIKH ALBANI ( رحمه الله ) KAY SAWANIH-E-HAYAT AUR ILMI-O-TAHQIQUEY KHIDMAAT.
Choonkeh is kitab mein ahadith ki tahqeeq kay liye sub say ziyadah aitmaad Shaikh Albani ( رحمه الله ) ki tahqeeqaat par kiya gaya hai, Is lye raaqim nay yeh munaasib samjha keh qaari’een kay liye shaikh ( رحمه الله ) ki shakhsiyat, ilmi martabah aur giraanqadar khidmaat ko mukhtasar alfaaz mein waazih kar diya jaye.
Is ziman mein yeh yaad rahay keh Shaikh ( رحمه الله ) shab-o-rauz apni ilmi-o-tasneefi masroofiyat kay baa’is khud to apnay halaat-e-zindagi likh na paye, Lekin ap kay baaz shagirdon nay yeh kaam kiya,
Masalan Shaikh Muhammad Ibn-e-ibrahim shaibani( رحمه الله ) nay ” Hayaat-ul-albani wa asaaruhu wa sanaau-ul-ulamaa alaihi ” kay naam say maqaalah tahreer kiya,
Issi tarah Shaikh Majzoob waghairah ( رحمه الله ) nay ” Moojizatu an hayaati-al-shaikh naasiri-al-deen ” kay unwan say aik risaalay mein ap kay sawanih-e-hayaat qalam band kiye,
Is kay ilawah mukhtalaf Arabi-o-urdu rasaail-o-jaraaid mein bhi shaikh( رحمه الله ) kay halaat-e-zindagi shaaya’a kiye ja chukay hain, Jinhain kuch talaash-o-justujoo kay zariyeh hasil kiya ja sakta hai.

PAIDAAISH AUR ABTEDAAYI HALAAT.
Shaikh Muhammad Nasir-ud-deen ( رحمه الله ) 1914 mein albaniya kay dar-ul-khilafah ” Ashqudirah ” mein paida huway.
Ap( رحمه الله ) kay walid ka naam ” Al-haaj Nooh Najati ” tha jo keh aik hanafi aalim thay, Aur apni daawati khidmaat, duroos aur taqaareer kay baa’is logon mein izzat-o-sharaf aur buland maqaam haasil kar chukay thay.
Shaikh ( رحمه الله ) ka gharana agarcheh ghareeb tha magar deen par qaaim aur ilmi ishtiyaaq ka hamil tha.
Albaniya ka iqtedaar jab ” Malik Ahmad Zogho ” kay hath ayaa to poori saltanat par be deeni aur raftah raftah maghrabiyat riwaaj pa gayi, Logon nay English libaas zaib-e-tan kar liya, Aurton nay parda utar diya, In halaat mein Shaikh ( رحمه الله ) kay walid nay apnay deen ki hifaazat aur ukharwi najaat ki gharaz say hijrat kar kay Shaam kay dar-ul-khilafah ” Dimashque ” ko apna maskan bana liya.

TA’ALEEM-O-TARBIYAT.
Shaikh( رحمه الله ) kuch dair dimashque kay madarsah ” Al-is’aaf-ul-khairiyah al-ibtedaaiyah ” mein ta’aleem haasil kartay rahay, Lekin phir is madarsah mein aag lag janay kay baa’is ” Sooq-e-saarojah ” kay aik madarsah mein daakhil ho gaye.
Madaaris kay marwajjah ta’aleemi nizaam par ghair mutma’in honay kay baa’is Shaikh ( رحمه الله ) kay walid nay khud ap kay liye aik ta’aleemi program banaya, Jo keh Saraf, Nahwo, Qur’an, Tajweed aur Fiqah-e-hanafi par mushtamal tha.
Shaikh ( رحمه الله ) nay apnay walid kay rufaqaa “jo keh apnay zamanay kay shuyukh thay” say bhi ta’aleem haasil ki,
Masalan Shaikh Raghib Tabakh ( رحمه الله ) say un ki tamaam marwiyaat ki ijaazat hasil ki thi.
Issi tarah Shaikh Saeed Burhani ( رحمه الله ) say ap nay fiqah-e-hanafi ki maaroof kitab “Muraaqi-al-fallah” padhi thi.
Shaikh ( رحمه الله ) ki umar jab 20 saal huwi to “Majallat-ul-manaar” ‘jo keh Shaikh Muhammad Rasheed Raza ( رحمه الله ) ki zair-e-nigrani shaaya’a hota tha’ ap( رحمه الله ) kay mutali’aah say guzra,
Yeh hi woh ilmi-o-tahqiquei risaalah hai jis kay zariyeh ap ilam-e-hadith ki taraf mutawajjah huway.
Ibtedaayi daur mein shaikh ( رحمه الله ) nay gharailu zaruriyat ki takmeel kay liye ghadiyon ki marammat ka paisha ikhtiyar kar rakha tha,
Lekin ilam-e-hadith mein raghbat kay baad jummah aur mangal kay siwa rozana sirf 3 ghantay ghadiyon ki marammat ka kaam kartay, Baqi mukammal din taqreeban 6 ghantay ilam-e-hadith kay husool aur taaleef-o-tasneef kay liye “Al-maktabat-ul-zaahiriyah” mein maujood mukhtalaf kutub-o-makhtutaat ka mutaali’aa kartay rahtay .

 

Yeh maktabah ap ( رحمه الله ) kay liye bohot badi naimat saabit huwa, Kiyonkeh jab bhi ap( رحمه الله ) ko kisi kitab ki zarurat hoti aur woh ap( رحمه الله ) ko apnay walid kay zaati kutub khanay ‘jo keh aksar hanafi maslak ki kutub par mushtamal tha’ say na milti aur ap( رحمه الله ) kay usay khareednay ki bhi taaqat na hoti to us maktabaay mein talaash karnay say ap( رحمه الله ) ko mil jati.
ap ( رحمه الله ) ki mehnat-o-jidd-o-jahad aur ilmi ishtiyaaq ko dekhtay huway is maktabaay kay ilawah baaz deegar maktabaat bhi ap( رحمه الله ) ko kuch muddat kay liye udhaar bila ujrat kitaben day diya kartay thay jis say ap ( رحمه الله ) apni zarurat puri kar letay thay.
Hadith par Shaikh ( رحمه الله ) ki is qadar mehnat-o-shaghaf ko dekh kar ap( رحمه الله ) kay walid aksar khaaif rahtay aur yeh kahtay rahtay keh “ilam-e-hadith to muflis logon ka fun hai”.
Lekin Shaikh( رحمه الله ) ka shauq-e-hadith din ba’din badhta hi chala gaya, Yahan tak keh ap( رحمه الله ) “Al-maktabat-ul-zaahiriyah” mein rozana barah 12, barah 12 ghantay mutaali’aa mein hi masroof rahtay,
Is dauraan sirf namazon kay liye hi bahir nikaltay.
Aksar auqaat to ap ( رحمه الله ) thoda bohot khana maktabah mein hi tanaawul farma letay,
Ap ( رحمه الله ) ka yeh shauq dekh kar maktabah ki intezamiyah nay ap( رحمه الله ) kay liye aik kamrah makhsoos kar diya, Jis mein ap ( رحمه الله ) kay liye zaruri kutub bhi faraham kar di gayin,
Ap ( رحمه الله ) subah saweray mulazimeen say bhi pahlay maktabah mein pahunch jatay aur phir Isha kay baad wapis jatay.
Ap ( رحمه الله ) har waqat kitab par nazar rakhtay, Agar koi ap ( رحمه الله ) say mas’alah dariyafat karta to aksar auqaat kitab say nazar hataye baghair hi jawab day kar fairgh kar detay.
Is mehnat-o-jidd-o-jahad kay nateejay mein sub say pahlay ap ( رحمه الله ) nay jo hadith par kaam kar kay ummat ko nafa pahunchaya woh kitab “Al-mughni an hamli-al-asfaar fi takhreeji maa fi-al-ihyaa min-al-akhbaar” iz Hafiz Iraqi par ta’aleeqaat likhna tha.

DAAWAT-E-HAQ AUR ILMI PROGRAM.
Choonkeh ap( رحمه الله ) kay walid hanafi maslak say ta’alluq rakhtay thay aur aksar masaail mein ap ( رحمه الله ) kay mukhaalif hotay thay,
Is lye ap( رحمه الله ) ki daawat is maslak par tanqeed say shuru huwi.
Ap ( رحمه الله ) be’khauf-o-khatar yeh baat waazih kar detay keh jab kisi mas’alay mein hadith saabit ho jaye to phir kisi Imam ki ittebaa jaaiz nahi,
Daawat ila-allah kay silsilay mein Shaikh ( رحمه الله ) apnay doston aur mail jaul rakhnay walon kay sath aik jagah par makhsoos din mein jama hotay aur shara’yi masaail par guftagu kartay,
Jis tarah log badhtay gaye is tarah jagah bhi tabdeel ki jati rahi, bil’aakhir aik ghar kiraaye par liya gaya lekin baad mein woh bhi kam pad gaya.
Raftah raftah ilaqay mein shaikh( رحمه الله ) ki kafi shohrat ho gayi lekin us kay sath sath hasideen ki bhi aik jamaat tayar ho gayi, Jin kay man ghadat ilzamaat aur jhooti gawahiyon kay baa’is Shaikh ( رحمه الله ) ko 2 baar jail ki sa’oobaten bardasht karna padin.
Is dauran agar koi ikhtilaafi mas’alah paish aa jata to kisi muta’assib maslaki aalim kay pas siwaa-e-shaur-o-ghughah aur gustakh wahabi kahnay kay Shaikh kay muqablay mein koi suboot-o-daleel na hoti.
Shaikh ( رحمه الله ) nay mukhtalaf ilmi majaalis ka bhi in’eqaad kiya, Jin mein madaaris kay talabah-o-asaatizah samait khawaateen bhi shirkat kartin, In majaalis mein jin kutub kay duroos diye jatay woh yeh hain, Fiqh-us-sunnah iz Sayyed Saabiq, Al-targheeb wa-al-tarheeb iz Hafiz Munziri, Al-rauzat-un-nadiyah iz Nawab Siddique Hasan Khan, Mustalah-ut-tarikh iz Asad Rostam, Usool-ul-fiqah is Abdul wahhab khalaf, Minhaaj-ul-islam fi-al-hikam iz Muhammad Asad, Al-halal wa-al-haraam iz Yousuf Qarzawi, Fat’h-ul-majeed sharah kitab-ut-tauheed iz Abdul Rahman Ibn-e-hasan Aal-e-shaikh, Al-baais-ul-haisiyat iz Ahmad Shakir, Riyaz-us-saaliheen is Imam Nawawi, Al-ilmaam fi ahadithi-al-ahkaam iz Ibno daqeeq al-eid, Adab-ul-mufrad iz Imam Bukhari, aur Iqtezaa-us-sirat-al-mustaqeem iz Imam Ibn-e-taimiyah waghairah.

 

MADINAH UNIVERSITY MEIN TAQARRURI.
Shaikh ( رحمه الله ) ki tasnifaat ap ( رحمه الله ) ki bohot ziyadah shohrat ka baa’is banin, Bil’khusoos is liye keh ap ( رحمه الله ) nay apni ta’aleefaat mein jo manhaj apnaya tha woh khalis kitab-o-sunnat hi tha,
Har mas’alay mein sirf inhi donon ko ma’ayaar banaya tha, Is lye jab madinah university ( Jamia islamiyah ) ta’ameer ki gayi to us kay chansler aur mufti-e-aam biraye Saudi Arabia Shaikh Muhammad Ibn-e-ibrahim Aal-e-shaikh( رحمه الله ) nay Jamia mein uloom-e-hadith padhanay kay liye apko ( رحمه الله ) muntakhab kiya, Chunancheh ap ( رحمه الله ) 1961 say 1964 tak 3 sall Jamia mein faraaiz-e-tadrees sar anjaam detay rahay,
Dauraan-e-tadrees Shaikh( رحمه الله ) farigh auqaat mein aur perdon kay waqfon mein bhi talabah kay darmiyan beth kar ilmi mabahis mein mashghool rahtay, Jabkaeh dusray asaatizah staff room mein isteraahat kar rahay hotay,
Is qadar mihnat aur talabah say nihaayat shafqat kay baa’is aksar talabah ap ( رحمه الله ) say nihaayat waalihanah mohabbat karnay lagay aur har waqat ap ( رحمه الله ) kay ird gird jama rahtay, Lekin ap( رحمه الله ) kay muaa’sir asaatizah mein baaz in tamaam cheezon say mahroom honay ki wajah say ap ( رحمه الله ) say hasad karnay lagay, Aur bil’aakhir ap( رحمه الله ) par bohtaan-o-ifteraa aur jhooti gawahiyon kay zariyeh ap( رحمه الله ) ko Jamia say sabakdaush karanay mein kamyaab ho gaye,
Aur ap ( رحمه الله )nay bhi is faislay ko Allah ka hukam samajh kar tasleem kar liya.
Is kay baad Moulana Ubaidullah Rahmani Mubarak pori ( رحمه الله ) saahib-e-miraat-ul-masaabih sharah mishkaat-ul-masaabih nay shaikh ( رحمه الله ) ko Jamia salafiah Banaras mein ustaz-ul-hadith ki haisiyat say tashreef laany ki daawat di, Lekin ap ( رحمه الله ) nay kuch wujoohaat ki bina par maazirat kar li, Aur dimashque wapis chalay gaye, Phir ap ( رحمه الله ) kay shab-o-rauz taaleef-o-tasneef kay kaam mein hi guzray.

MAQAAM-O-MARTABAH AUR ULAMA KI AARAA.
Ilam-e-hadith mein Shaikh( رحمه الله ) ki giraanqadar aur na qabil-e-faramaush masaayi kay natijay mein mukhtalif mamaalik mein ap ( رحمه الله ) ka shohrah ho gaya, Jis bina par ap( رحمه الله ) ko mukhtalif mamaalik masalan, Misar, Maraakash, England, Qatar, Muttahidah Arab imaraat, aur muta’addad European mamaalik mein duroos-o-khitabaat aur conferences mein shirkat kay liye mad’oo kiya gaya.
Shaikh ( رحمه الله ) mukhtalaf majaalis aur kametiyon kay rukan bhi rahay, masalan nashr-o-isha’at kay liye Misar-o-Shaam ki mushtarakah kameti “Lajnat-ul-hadith” kay rukan thay,
Madinah university ki mukhtalaf kametiyon kay rukan thay,
Saudi farman’rawa Malik Khalid Ibn-e-Abdul Aziz nay madinah university ki supreme council kay liye ap ( رحمه الله ) ko ba’taur-e-uzwo muntakhab kiya tha,
Aur Jamiat-u-Makkat-ul-Al-mukarramah mein ” qasm-ud-dirasaati-al-uliya li-al-hadith” ki nigrani-o-sarparasti kay liye bhi ap( رحمه الله ) ko daawat di gayi.
Shaikh ( رحمه الله ) kay pas door daraaz kay ilaqon aur baishtar mamaalik say baday baday ulamaa-o-muftiyaan aur mashaaikh-o-doctors apnay masaail kay hal kay liye aatay, Aur ap( رحمه الله ) unhain aisay tasalli bakhsh jawab faraham kartay keh kutub kay safhah number aur jild number tak ki wazaahat kar detay.
Shaikh Albani ( رحمه الله ) ko apnay hum asar ulama mein mamtaz maqam hasil tha, Fil’haqeeqat Shaikh ( رحمه الله ) ki shakhsiyat kisi ta’aaruf ki mohtaaj nahi hai, Lekin ilmi izafah kay liye Shaikh ( رحمه الله ) kay muta’alliq chand muaa’sir ulama ki aaraa hasb-e-zail hain.

 

( Ibn-e-baaz )( رحمه الله )
Main nay maujoodah zamanay mein radday zameen par Allamah Muhammad Nasir-ud-deen Albani ( رحمه الله ) jaisa mohaddis nahi dekha.

( Ibn-e-usaimain )( رحمه الله )
Shaik ( رحمه الله ) say meri mulaqat huwi to maloom huwa keh ap ( رحمه الله ) hadith par amal aur bid’at kay khilaaf jang kay kafi shauqeen hain, Aur ap( رحمه الله ) ki ta’aleefaat say to maloom hota hai keh ap( رحمه الله ) ilam-e-hadith mein bohot maahir hai.

( Sayyed Mohib-ud-deen khateeb )( رحمه الله )
Jin azeem logon nay ihyaa-e-sunnat kay liye apni zindagiyon ko waqaf kar diya un mein say aik hamaray qabil-e-ihteraam bhai Shaikh Abu Abdul Rahman Muhammad Nasir-ud-deen Nooh Najati Albani ( رحمه الله ) hain.

( Omar Sulaiman Al-ashqar )( رحمه الله )
Inhon nay Shaikh( رحمه الله ) ko apni kitab “Tarikh-ul-fiqah-al-islami” mein “mohaddis-ul-asar” ka naam diya hai.

( Shaikh Shanqeeti ) ( رحمه الله )
Shaikh Shanqeeti( رحمه الله ) Shaikh Albani( رحمه الله ) ka be’had ihteraam-o-ikraam kartay thay, Jab ap ( رحمه الله ) Masjid-e-nabawi mein dars day rahay hotay aur Shaikh Albani( رحمه الله ) ka guzar hota to dars rauk kar Shaikh ( رحمه الله )kay liye khaday hotay aur salaam kartay.

( Shaikh Muqbil Al-wadi’e )( رحمه الله )
Ilam-e-hadith mein Shaikh Nasir-ud-deen Albani ( رحمه الله ) jaisa koi nahi.

( Shaikh Abdul Samad Sharaf-ud-deen )( رحمه الله )
Is sadi kay sub say baday mohaddis Shaikh Albani ( رحمه الله ) hain.

( Shaikh Zaid Ibn-e-Abdul Aziz Al-fayaz )( رحمه الله )
Shaikh Muhammad Nasir-ud-deen Albani ( رحمه الله ) ka shumaar is zamanay ki Mash’hoor ilmi shakhsiyaton mein hota hai.

( Shaikh Hasan-ul-bina Al-misari )( رحمه الله )
Inhon nay Shaikh Albani ( رحمه الله ) ko khat likh kar apnay dorust manhaj par datay rahnay ki takeed ki, Aur Shaikh ( رحمه الله ) ki ” Fiqh-us-sunnah ” par baaz ta’aleeqaat ko apnay majallah “Al-ikhwan-ul-muslimoon” mein shaaya’a kiya.

Shaikh Albani ( رحمه الله )ko Saudi Arabia ki tanzeem “Muassasat-ul-malik Faisal Al-khairiyah” ki taraf say “Tahqeeqaat-e-islami-o-khidmat-e-hadith” kay liye baina-al-aqwami “Shah Faisal award” kay liye naamzad kiya gaya.

SHAIKH( رحمه الله ) KAY CHAND MASH’HOOR SHAGIRD.
(1) Shaikh Muhammad Ibn-e-Jameel Zaino( رحمه الله ).
(2) Shaikh Khalil Iraqi Al-hayyani( رحمه الله ).
(3) Doctor Omar Sulaiman Al-ashqar( رحمه الله ).
(4) Shaikh Mustafa Al-zarbol( رحمه الله ).
(5) Shaikh Abdul Rahman Albani( رحمه الله ).
(6) Shaikh Muqbil Ibn-e-Hadi Al-wadi’e( رحمه الله ).
(7) Shaikh Zohair Shawaish( رحمه الله ).
(8) Shaikh Ali Khashaan( رحمه الله ).
(9) Shaikh Khair-ud-deen Waaili( رحمه الله ).
(10) Shaikh Abdul Rahman Abdul Samad( رحمه الله ).
(11) Shaikh Abdul Rahman Abdul Khalique( رحمه الله ).
(12) Shaikh Muhammad Eid Abbasi( رحمه الله ).
(13) Shaikh Hamadi Abdul Majeed Salafi( رحمه الله ).
(14) Shaikh Muhammad Ibrahim Shaqrah( رحمه الله ).409:20 PM
 
 

> 📚Fiqh-o-Hadeeth✨:
page no 119

SHAIKH ( رحمه الله ) KI TASNIFAAT, TA’ALEEQAAT AUR TAKHRIJAAT.

(1) Al-taaqeeb alaa kitab-il-jawab lil-maududi.

(2) Al-taaleeq-ul-mumajjad ala-al-taaleeq alaa Mu’atta-al-imam Muhammad lillaknawi.

(3) Al-taaleeq alaa kitab subul-ul-salam sharah Buloogh-ul-maraam.

(4) Al-taaleeq alaa kitab masaail jaafar Ibn-e-usman Ibn-e-abi sahibah

(5) Al-taaleeqat-ul-jiyaar alaa zaad-al-ma’aad.

(6) Al-taaleeqat-ul-raziyah ala-al-rauzat-an-nadiyah.

(7) Al-tawassul, ahkaamuhu wa anwaa’uhu.

(8) Al-samar-ul-mustataab fi Fiqh-as-sunnah wa-al-kitab.

(9) Al-jam’u baina meezan-ul-aitedaal lil-zahazi wa lisaan-ul-meezan li-ibn-e-hajar Al-asqalani.

(10) Al-hadith hujjatun bi’nafsihi fil-aqaaid wwa-al-ahkaam.

(11) Al-hauzu-ul-maurood fi zawaaidi muntaqa Ibn-il-jarood.

(12) Al-zabbo li-ahmad an munsand-il-imami ahmad.

(13) Al-raddo alaa risaalati-al-shaikh Al-towaijeri fi buhoosi min sifat-al-salah.

(14) Al-raddo alaa kitab-il-muraajiaat li-abdil Husain Sharaf-ud-deen.

(15) Al-raddo alaa risaalati-al-taaqqub-il-haisiyat.

(16) Al-raddo alaa risaalati Arshad al-salafi.

(17) Al-rauz-ul-nazeer fi tarteebi wa takhreeji mu’ojami-al-tabrani al-sagheer.

(18) Al-safar-ul-moojibo lil-qasar.

(19) Al-lihyato fi nazar-al-deen.

(20) Al-mahwo wa-al-isbaat.

(21) Al-maseeh-ul-dajjal wa nuzoolo Eisa علیہ السلام.

(22) Al-muntakhab min makhtutaat-il-hadith.

> 📚Fiqh-o-Hadeeth✨:
page no 120

(23) Al-ahadith-ul-za’eefah wa-al-mauzoo’ah.

(24) Muqadmat-ul-ahadith-il-mauzoo’ah wa-al-za’eefah.

(25) Al-ahadith-ul-mukhtarah.

(26) Al-amsaal-un-nabawiyah.

(27) Baghiyat-ul-hazim fi faharis-al-mustadrak-al-hakim.

(28) Tarikh dimashque li-abi zur’ah riwaayatan an ani-al-maimon.

(29) Tahzeer-us-sajid min ittekhazi-il-quboori masaajid.

(30) Tahqeeq kitab haula asbaab-il-ikhtelaaf lil-himaidi.

(31) Tahqeeqo kitabi Diwani asmaa-il-zuafaa wa-al-matrukeen.

(32) Tahqeeqo kitabi masaawi-il-akhlaq lil-kharaaiti.

(33) Tahqeeqo kitabi Usool-ul-sunnah wa aiteqaad.

(34) Tasdeed-ul-isabah ilaa man za’ama nusrat-il-khulafa-al-rashideen wa-as-sahabah.

(35) Tas’heel-ul-inteqaa bi’kitabi siqqaato ibn-u-hibban.

(36) Taaleeqo wa tahqeeqo kitabo zahara riyaz fi raddi maa shana’ah-ul-qazi iyaz alaa man aujaba-al-salaata ala-al-basheer-in-nazeer fi-al-tashahhud-il-akheer.

(37) Talkhees sifato salaati-in-nabi.

(38) Talkhees kitabi Tohfat-ul-maudood fi ahkaaam-il-maulood.

(39) Talkhees ahkaam-il-janaaiz.

(40) Tamaam-ul-minnah fi-al-taaleeq alaa kitabi Fiqh-us-sunnah lil-sayyed Saabiq.

(41) Hijab-ul-mar’ati-al-muslimati fi-al-kitabi wa-as-sunnah.

(42) Khutbat-ul-haajjah

(43) Difaaun an-il-hadithi-an-nabawi wa-as-seerah.

(44) Silsilat-ul-ahadith-is-sahihah wa shai’un min fiqhiha.

(45) Silsilat-ul-ahadith-is-za’eefah wa-al-mauzoo’ah wa asaruha-as-sayyi fi-al-ummah.

 

(23) Al-ahadith-ul-za’eefah wa-al-mauzoo’ah.

(24) Muqadmat-ul-ahadith-il-mauzoo’ah wa-al-za’eefah.

(25) Al-ahadith-ul-mukhtarah.

(26) Al-amsaal-un-nabawiyah.

(27) Baghiyat-ul-hazim fi faharis-al-mustadrak-al-hakim.

(28) Tarikh dimashque li-abi zur’ah riwaayatan an ani-al-maimon.

(29) Tahzeer-us-sajid min ittekhazi-il-quboori masaajid.

(30) Tahqeeq kitab haula asbaab-il-ikhtelaaf lil-himaidi.

(31) Tahqeeqo kitabi Diwani asmaa-il-zuafaa wa-al-matrukeen.

(32) Tahqeeqo kitabi masaawi-il-akhlaq lil-kharaaiti.

(33) Tahqeeqo kitabi Usool-ul-sunnah wa aiteqaad.

(34) Tasdeed-ul-isabah ilaa man za’ama nusrat-il-khulafa-al-rashideen wa-as-sahabah.

(35) Tas’heel-ul-inteqaa bi’kitabi siqqaato ibn-u-hibban.

(36) Taaleeqo wa tahqeeqo kitabo zahara riyaz fi raddi maa shana’ah-ul-qazi iyaz alaa man aujaba-al-salaata ala-al-basheer-in-nazeer fi-al-tashahhud-il-akheer.

(37) Talkhees sifato salaati-in-nabi.

(38) Talkhees kitabi Tohfat-ul-maudood fi ahkaaam-il-maulood.

(39) Talkhees ahkaam-il-janaaiz.

(40) Tamaam-ul-minnah fi-al-taaleeq alaa kitabi Fiqh-us-sunnah lil-sayyed Saabiq.

(41) Hijab-ul-mar’ati-al-muslimati fi-al-kitabi wa-as-sunnah.

(42) Khutbat-ul-haajjah

(43) Difaaun an-il-hadithi-an-nabawi wa-as-seerah.

(44) Silsilat-ul-ahadith-is-sahihah wa shai’un min fiqhiha.

(45) Silsilat-ul-ahadith-is-za’eefah wa-al-mauzoo’ah wa asaruha-as-sayyi fi-al-ummah.

 

(46) Sahih ibn-e-majah.

(47) Sahih Al-targheeb wa-al-tarheeb.

(48) Sahih Al-adab-ul-mufrad.

(49) Sahih Al-israa wa-al-me’iraaj.

(50) Sahih sunan-e-abi daud.

(51) Sifat-ul-salat-ul-kabeer.

(52) Sifato salaati-in-nabi li-salat-il-kusoof.

(53) Sifato salaati-in-nabi min-al-takabeer ila-al-tasleem.

(54) Salaat-ul-istesqaa.

(55) Salaat-ul-eidain fi-al-musallaa hiya-as-sunnah.

(56) Za’eef ibn-e-majah.

(57) Za’eef Al-targheeb wa-al-tarheeb.

(58) Za’eef Sunan-e-abi daud.

(59) Faharis-al-makhtutaat-al-hadithiyah fi maktabat-il-auqaaf bi’halab.

(60) Fahras kitab-ul-kawaakib-il-daraari.

(61) Fahras makhtutaat daar-il-kutub-al-zahiriyah.

(62) Fahras musnad-il-ahmad-ibn-e-hanbal fi muqadmat-il-musnad.

(63) Fahras ahadith kitab-ul-tarikh-ul-kabeer.

(64)Fahras ahadith kitab-ul-shari’ah lil-aajuri.

(65) Fahras asmaa-us-sahabt-il-lazeen usnidu-ul-ahadith fi-mu’ojami-al-tabrani-al-ausat.

(66) Qamus-ul-bida’e.

(67) Qiyamo ramazaan wa bahso an-il-e’iteqaaf.

(68) Kashf-un-naqaab amma fi kalimaat abi ghadah min-al-abateel wa-al-iqtera’aat.

(69) Maa sahha min seerati Rasoolillah ﷺ.

(70) Mukhtasar taaleeq-ul-shaikh Muhammad kin’aan.

(71) Mukhtasar sahih-ul-bukhari.

 

(72) Mukhtasar Sahih-ul-muslim.

(73) Mu’ojami-al-hadith-al-nabawi.

(74) Manasik-ul-hajji wa-al-umrah fi-al-kitabi wa-as-sunnah wa asaari-al-salaf.

(75) Munaazirah kitabiyah musajjalah ma’a taaifah min atbaai-al-qadiyaniyah.

(76) Manzilat-us-sunnah fi-al-islam.

(77) Nasb-ul-majaneeque fi nasfi qissat-il-gharaneeque.

(78) Naqdo nusoosi hadithiyah fi-al-saqafat-il-aammah.

(79) Wujoobi-al-akhzi bi’hadithi-al-ahaad fi-al-aqeedah.

(80) Wasf-ul-rihlat-il-aula ila-al-hijaaz wa-al-riyaz murshidan lil-jaishi-as-saoodi.

(81) Waz’u-ul-asaar fi tarteebi ahadith mushkil-il-aasaar.

(82) Adaab-uz-zufaaf fi-as-sunnah Al-mutahharah.

(83) Hadith-ul-buyoo’u wa asaaruhu.

(84) Ahkaam-ul-janaaiz.

(85) Ahkaam-ul-rikaaz.

(86) Izaalat-us-shukook an Hadith-il-burook.

(87) Al-kalim-ul-tayyib li-ibn-e-taimiyah.

(88) Tahqeeqo mishkaat-il-masaabih lit-tibraizi.

(89) Tas’heeho Hadithi iftaar-is-saaim qabla sufrah baad-al-fajar.

(90) Riyaz-us-saaliheen lin-nawawi.

(91) Sahih-ul-kalim-ut-tayyib li-ibn-e-taimiyah.

(92) Fazl-us-salaati ala-al-nabi ﷺ li-ismail-ibn-e-is’haque.

(93) kitabo iqtezaa-il-ilmi wa-al-amal lil-khateeb Al-Baghdadi.

(94) Kitab-ul-ilmi lil-hafiz abi khaisamah.

(95) Luftat-ul-kabid fi tarbiyat-il-ibn-e-jauzi.

(96) Mukhtasar Sahih-ul-muslim lil-munziri.

 

(97) Masaajilah ilmiyah baina-al-iamamain-il-jalilain, Al-izzo-ibno-abdissalam wa ibn-ul-salaah.

(98) Al-mar’at-us-salamah lil-shaikh Hasan-ul-bina.

(99) Al-ayaat-ul-bayinaat fi Adami simaa-il-amwaat inda-al-hanifah Al-sadaat li-mahmood Al-aalusi.

(100) Takhreej-ul-eiman li-ibn-e-abi shaibah.

(101) Takhreej-ul-eiman li-abi ubaid Al-qasim-ibnu-salam.

(102) Takhreej fazaail-al-sanaam lil-rib’ie.

(103) Takhreej kitab-ur-raddi alaa jahmiyah lil-darimi.

(104) Takhreej kitab-ul-mustalahaat-ul-arba’a fi-al-quran.

(105) Takhreej kitab islah-ul-masajid min-al-bida’e wa-al-awaaid li-jamal-ul-deen Al-qasimi.

(106) Takhreej kalimat-ul-ikhlas wa tahqeeq ma’anaha li-ibn-e-rajab Al-hanbali.

(107) Takhreej ahadithi-al-mushkilt-ul-fiqar wa kaifa aalajaha-al-islam lil-qarzawi.

(108) Hijab-ul-mar’ati-al-muslimah wa libaasuha fi-al-salah lil-shaikh-il-islam Ibn-e-taimiyah.

(109) Haqeeqat-ul-siyaam li-ibn-e-taimiyah.

(110) Sharah Al-taaleeqat-ul-raziyah li-abi jaafar Al-tahawi.

(111) Sahih-ul-jaami-us-sagheer wa ziyadatuhu ( Al-fat’h-ul-qadeer ) lis-suyooti.

(112) Za’eef-ul-jaami-us-sagheer wa ziyadatuhu ( Al-fat’h-ul-qadeer ) lis-suyooti.

(113) Ghaayat-ul-maraam fi takhreeji ahadithi-al-halal wa-al-haraam lil-qarzawi.

(114) kitab-us-sunnah wa ma’ahu zilal-ul-jannah fi takhreeji-as-sunnah li-abi aasim Al-zihaque.

(115) Maa dalla alaihi-al-quran mimma yaazudu Al-hai’at-ul-jadidiyat-ul-qawiyat-ul-burhan li-mahmood Al-aalusi.

(116) Irwaa-ul-ghaleel fi takhreeji ahadithi manar-is-sabeel li-ibn-e-zuyaan.

(117) Al-taaleeq alaa kitab Al-baais-ul-hasees sharah ikhtesaari uloom-il-hadith li-ibn-e-kaseer, bi’tahqeeqi Ahmad Shakir.

(118) Al-taaleeqaat alaa Sifat-il-fatwa wa-al-mufti wa-al-mustafi, li-ibn-e-shabeeb-ibn-e-hamadan.

(119) Sahih ibn-e-khuzaimah, bi’tahqeeqi doctor Mustafa Al-aazami.

(120) Mukhtasar Al-shamaail-ul-muhammadiyah lit-tirmazi.

(121) Mukhtasar sharah-ul-aqeedat-il-tahawiyah.706:29 PM
 
 
(122) Mukhtasar kitab-ul-ulowwu lil-ali-al-azeem, lil-hafiz Al-zahabi.

(123) Madaarik-un-nazar fi-al-siyasah bain-al-tatbiqaat-ul-shar’eiyah wa-al-infe’aalaat-ul-himaasiyah li-Abdil Malik Al-jazaairi.

SAANIHA-E-WAFAAT.
Aik arsah say musalsal bimaar rahnay kay baa’is Shaikh be’had kamzaur-o-naheef ho gaye, Lekin hadith say waalihanah mohabbat ki wajah say ap apni tasneefi sargarmiyon say phir bhi baaz na aaye, Aur jab khud likhnay ki taaqat na hoti to apnay baiton aur pauton say likhwa letay,
Shaikh kay aik shagird Ali Ibn-e-hasan halabi kay ba’qaul ” Aakhiri ayyam mein agarcheh Shaik ka jisam bohot kamzaur pad gaya tha, Lekin ap abhi tak saleem-ul-aqal aur pukhtah quwwat-e-haafizah kay malik thay.
Bil’aakhir ilmi baseerat ka yeh raushan sitarah bhi deegar chamaktay sitaron ki tarah 3 October 1999 ko Urdan mein gul ho gaya,
Shaikh kay saaniha-e-irtehaal kay baad aaj ssari duniya mein unka koi saani nazar na aata.
Allah ta’aala un ki khidmaat ko un kay liye baa’is-e-najaat banaye, Aameen.

( فرحمه الله رحمة واسعة و جزاء عما قدم خيرالجزاء )
Table of Contents