02. Najaasat jo Paani ki boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day.
Najaasat jo Paani ki boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day.
| In donon ausaaf say koi cheez usay kharij nahi karti, Magar sirf aisi najaasat jo uski boo ya uska rang ya uska zaaiqah tabdeel kar day | لا يُخۡرِجُهٗ عَنِ الۡوَصۡفَيۡنِ اِلَّا مَا غَيَّرَ رِيۡحُهٗ اَوۡ لَوۡنُهٗ اَ طَعۡمُهٗ مِنَ النَّجَاسَاتِ |
(1)-{1} Sayyiduna Abu Saeed khudri ( رضي الله عنه ) bayan kartay hain keh Rasoolullah ﷺ say dariyafat kiya gaya keh, Kia hum bair-e-buza’a kay pani say Wuzoo kar saktay hain ?
Ap ﷺ nay uskay jawab mein farmaya,
” الماء طهور لا ينجسه شئ “
” Pani paak hai usay koi cheez napaak nahi karti “ (i).
Note: Bair-e-buza’a aik qadeem kunwaan tha jis mein haiz alood kapday, kuttay kay gosht kay tukday aur bad’boo’daar ashiyaa daali jati thin.
| (i)[ (2) Shahih Abu daud hadith no: 60,; Kitab-ut-taharah, Baab fi bair-e-buza’a. Sunan-e-abi daud hadith no: 67,; Sunan-e-tirmazi hadith no: 66.; Sunan-e-nasaayi 1 / 174. Musnad-e-ahmad 3 / 31.; Musnad-e-shaafi’e Hadith no: 35.; Al-muntaqaa li-ibn-ul-jarood page no: 47. Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 11.; Sunan-e-daaro qutani 1 / 29.; Sunan-al-kubra-li-al-baihaqui 1 / 257.] |
(2) Sayyiduna Abu Omamah Bahili ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya,
” إن الماء لا ينجسه شئ إلا ما غلب على ريحه و طعمه و لونه “
” Yaqeenan pani ko koi cheez napaak nahi karti, Magar yeh keh pani par us napaak cheez ki boo, zaaiqah aur rang ghalib aa jaye “(1).
| (1) ” ZA’EEF “ [ Za’eef Ibn-e-majah hadith no: 117,; Kitab-ut-taharah, Baab-ul-hiyaaz.; Silsilat-ul-ahadith-is-za’eefah, hadith no: 2644.; Sunan-e-ibn-e-majah hadith no: 521.; Sunan-e-daaro Qutani 1 / 208.; Tabrani-al-kabeer 8 / 123. Hafiz buseeri( رحمه الله ) bayan kartay hain keh “Roshdain” kay zu’uf ki bina par is hadith ki sanad za’eef hai. Al-zawaaid 1 / 170. ] |
(3) Behaqui ki riwaayat mein yeh alfaaz hain ,
” ألماء طهور إلا إن تغير ريحه أو طعمه أو لونه بنجاسة تحدث فيه “
” Pani paak hai siwaa-e- us kay keh najaasat girnay ki wajah say us ki boo ya uska zaaiqah ya us ka rang badal jaye” (2).
| (2)[ Sunan-al-kubra-li-al-baihaqui 1 / 209.; Sunan-e-daaro Qutani 1 / 28. Is ki sanad mein bhi “Roshdain Ibn-e-saad” raawi matrook hai lihazah yeh hadith bhi qabil-e-hujjat nahi. Faiz-ul-qadeer 2 / 383.; Nail-ul-autaar 1 / 67. Imam Abu Hatim( رحمه الله ) nay is hadith kay Mursal honay ko sahih qaraar diya hai, Ilall-ul-hadith, 1 / 44. Imam Daar Qutani ( رحمه الله ) ka mo’aqqaf yeh hai keh yeh hadith saabit nahi, Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 29. Imam Nawawi ( رحمه الله ) nay is hadith kay zu’uf par mohaddiseen ka ittefaaq naqal kiya hai, Al-majmoou 1 / 110. Imam Ibn-e-mulaqqan ( رحمه الله ) ka kahna hai keh mazkoorah istesnaa kamzaur hai, Al-badar-ul-muneer 2 / 83. Imam Haisimi( رحمه الله ) nay bhi Roshdain Ibn-e-saad ko za’eef qaraar diya hai, Al-majma 1 / 214.] |
( RAAJIH ) Agarcheh istesnaa wali riwayaat za’eef hain, Lekin us kay ma’aana-o-mafhoom kay sahih-o-qabil-e-qubool honay par ijmaa hai, Jaisa keh Imam Ibn-e-munzir ( رحمه الله ), Imam Nawawi ( رحمه الله ), Imam Ibn-e-qudamah ( رحمه الله ) aur Imam Ibn-e-mulaqqan( رحمه الله ) nay is mas’alay par ijmaa naqal kiya hai.
Aur Sayyiduna Ibn-e-abbas ( رضي الله عنه ), Sayyiduna Abu hurairah( رضي الله عنه ), Hazrat Hasan Basari( رحمه الله ), Hazrat Saeed ibn-e-musayyab( رحمه الله ), Imam Ikrimah( رحمه الله ), Imam Ibn-e-abi Laila( رحمه الله ), Imam Sauri( رحمه الله ), Imam Daud zahiri( رحمه الله ), Imam Nakh’ie( رحمه الله ), imam Jabir Ibn-e-zaid( رحمه الله ), Imam Malik( رحمه الله ), Imam Ghazaali( رحمه الله ), Imam Qasim ( رحمه الله ) aur Imam Yahya ( رحمه الله ) bhi yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain (3).
| (3)[ Al-ijmaa li-ibn-ul-munzir 10 / 33.; Al-majmoou li-an-nawawi 1 / 110.; Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 35.; Al-badar-ul-muneer li-ibn-ul-mulaqqan 2 / 83.;MNail-ul-autaar 1 / 29.] |