48. Hazrat Talah Bin Ubaid ullah Al Tamimi (رضی اللہ عنہ)
Hazrat Talah Bin Ubaid ullah Al Tamimi (رضی اللہ عنہ)
من سرہ ان ینظر الی رجل یمشی علی الارض وقد قضی نحبہ فلینظروا الی طلحۃ بن عبیداللہ
فرمان نبوی ﷺ
Talah bin Ubaid Ul llah Quraish ke aik tijaarti qaaflay ke hamrah ja rahay thay jab yeh qaafla Basrah sheher pouncha to bady bady Quraishi taajir Khareed-o-Farokht ke liye wahan ki aabaad muqami manndi ki taraf chal diye. Talah abhi no umar thay aur Maidan-e-Tijaarat main nokhaiz lekin balaa ki Zahaanat-o-Baseerat ki bina par yeh Maidan-e-Tijaarat main Kamyaabi-o-Kamraani se hamkinaar honay ki poori salahiyat rakhtay thay.
Talah رضی اللہ عنہ Subah-o-Shaam is manndi main jaaya karte jahan har jagah se aanay waalay taajiron ka hujhoom rehta is safar main inhen aik aisa waqiea dar paish aaya jis ne un ki zindagi ka rukh tabdeel kar dia.
Yeh naseehat amooz waqea Talah bin Ubaid Ul llah bayan karte hue irshaad farmatay hain keh ham Basrah ke bazaar main Khareed-o-Farokht main mashgool thay. Achaanak aik raaahib logon main yeh munaadi karne laga: Aey taajiro! Mujhe bataao kya tum main koi aisa shakhs bhi hai jo Makmay se aaya ho. Main us raahib ke bilkul qareeb khada tha, Jaldi se bola haan! Main Makkay se aaya hoon.
Us ne poocha:
Kya tum main Ahmed ﷺ ka zahur ho chuka hai?
Main ne poocha:
Ahmed kon?
Us ne kaha:
Ibn-e-Abdullah bin Abdul Muttlib( ﷺ ).
Is mahinay main us ka zahoor hota tha….
Woh aakhri Nabi hoga…….
Makkah main peda ho ga aur Madinah-e-Tayyibah ki jaanib hijrat kar jaaye ga.
Aey nojawaan! To jaldi se us ke paas jaana.
Talah رضی اللہ عنہ kehte hain Raahib ki baatain mere dill main ghar kar gayein. Main jaldi se apni sawaari ki taraf gaya us par sawaar hua aur tijaarti qaaflay ko wahien chodtay hoye, Makkah ki jaanib chodiyan bharray hoye bhaag niklaa.
Jab main wahan pohncha to ghar waalon de daryaaft kia: Kia haMaanray jaane ke baad Makkah main koi naya waqiya ronuma hua hai?
Unhon ne bataaya: Haan!
Muhammad Bin Abdullah ne apne Nabi hone ka ailaan kar dia hai aur Abu Qahafa ke betay Abu Bakar رضی اللہ عنہ ne us ki baat Maann li hai.
Talah kehte hain: Main abu Bakar ko pehlay se jaanta tha, Yeh bady naram khoo hamdard aur har dil-azaiz insaan thay aur yeh aik khush akhlaaq aur mustaqil mizaaj tajir thay, Ham un se Maannoos thay aur unki majlison main baithna pasand kya karte thay kyunk yeh Quraish ki tareekh se khoob achi trhan waaqif thay.Main seedha un ke paas gaya aur poocha:
kya yeh baat darust hai ke Muhammad Bin Abdullah ne nbuwwat ka daa’wa kar diya hai? Aur aap un ke Mutee-o-Farmanbardar ban gaye hain? Unhon ne kaha: Haan! Phir woh apni aap beeti sunaanay aur mujhe bhi islam qubool karne ki daa’wat dainay lagay, Main ne unhen Raahib ki baat bataayi to woh yeh sun kar Heraan-o-Shashdar reh gaye. Aur kehnay lagay abhi mere sath chalo aur khud Hazrat Muhammad ﷺ ki Khidmat-e-Aqdas main yeh baat paish karo aur un ki baatein suno taakeh tum Daaira-e-Islaam main daakhil ho sako.
Talah رضی اللہ عنہ kehte hain keh:
Main Hazrat Muhammad ﷺ ki Khidmat-e-Aqdas main haazir hua, Aap ne mere saamnay islaam ki dawat paish ki, Quran-e-Majeed ki chand ayaat tilaawat farmaen aur mujhe Duniy-o-Aakhirat ki bhalaai ki khushkhabri di.
Allah Ta’alaa ne islaam ke liye mera seenah khol diya. Main ne Basrah ke Raahib ka waqea sunaaya. Aap yeh sun kar bohat khush hue keh aik Raahib ne aap ke zahoor ke mutaliq khabar di.
Phir main Rasool-e-Aqdas ﷺ ki majlis main kalima padh kar Daaira-e-Islaam main daakhil ho gaya. Is tarhan main choutha insaan tha jis ne hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ ke zariye islaam qubool kya.
Is Quraishi nojawaan ka islam qubool karna Ahl-e-Khanah ko aisa nagawaar guzra jaisay achaanak un par bijli gir padi ho. Un ke islaam qubool karne ka sab se ziyada afsos un ki walida ko hua. Maan ki dili khwahish thi keh mera beta apni qoum ka sardaar banay kyunkeh is main sardaar ban’nay ki bhar poor salaahiyaten mojood hain.
Deen-e-Islam se munharif karne ke liye qoum Hazrat Talah رضی اللہ عنہ ke paas aayi, Lekin yeh aik mazboot chattaan ki manind apne muaqqaf par datay rahay. Jab yeh Husan-e-Sulooq se apni baat manwaane main nakaam ho gaye to unhon ne dard naak takaleef day kar apni baat manwaane ka harba istimaanl kya.
Masood bin Kharrash bayan karte hain keh:
Main Safa Marwah ke darmiyan sa’ee kar raha tha. Bohat se log aik aisay nojawaan ke peechay lagay hue thay jis ke dono haath is ki gardan ke sath jakday hue thay. Peechay se is ko aurtain aur mard thokrain Maar kar bhagaane par majboor kar rahay thay aur khud Shor-o-Ghul machaate hue us ke peechay bhaag rahay thay. Aur un main aik budiya aurat chikhati chillaati hui usay gaaliyan day rahi thi. Main ne logon se poocha: Yeh nojawaan kon hai? Isay kyun takleef di jaa rahi hai? Unhon ne mujhe bataya yeh Ubaid Ul llah ka beta Talah hai aur yeh be deen ho gaya hai, Is ne Bano Hashim ke aik nojawaan ki pairwi ikhtiyar kar li hai.
Main ne poocha: Is ke peechay yeh budiya kon hai?
Unhon ne bataya: Yeh is nojawaan Talah ki walida Saba Bint Hazra hai.
Phir apne aap ko Sher-e-Quraish kehlaanay waala Nofal bin Khuwaild utha aur us ne Talah bin Ubaid Ul llah aur Abu Bakar Seddique رضی اللہ عنہ ko aik rassi main jakda aur Makkah ke ubaash nojawanon ke hawaalay kar diya taakeh woh un dono ko ibratnaak saza day saken.
Phir taizi se din guzarte gaye, Waqeat dastaneen janam layti rahen, Aur Hazrat Talah bin Ubaidullah taraqqi aur kamaal ki manzilain tay karte hue aagay badhatay rahay.
Allah ki raah main un ki azmaish din badin fazon tar hoti gayi. Islaam aur musalmanon ke sath Husan-e-Sulook aur wafadaari main din badin izafah hota gaya, Yahan tak keh musalman Hazrat Talah ko zindah shaheed ke laqab se yaad karne lagay. Rasool Allah ﷺ inhen naik Talah, Sakhi Talah aur Fayaz-o-Faraakh dil Talah ke laqab se pukaarte. Har laqab apne daaman main aik daastaan liye hue hai.
Zindah shaheed ka laqab milnay ki daastaan yeh hai keh jab Ghazwah-e-Uhad main musalmanon ko shikast hui to Ansar main se sirf giyarah aur muhajreen main se sirf Hazrat Talah Rasool-e-Akram ﷺ ke paas reh gaye baaqi sab bikhar gaye. Nabi Akram ﷺ aur yeh saathi pahaadi par chadh rahay thay keh mushrikeen ka aik jattha aa pohncha jo aap ko qatal kar dena chahta tha. Aap ne naazuk Soorat-e-Haal ko dekh kar irshad farmaya:
Aap main se kon hai ke jo in ko yahan se bhagaaye? Woh mera jannat main tafeeq ho ga.
Hazrat Talah رضی اللہ عنہ ne jaldi se kaha main ya Rasool Allah ﷺ!..
Aap ne farmaya: Nahi, Tum abhi rehne do Ansar main se aik shakhs bola main ya Rasool Allah ﷺ! Aap ne farmaya: Haan, Tum muqaablay ke liye aagay badho.
Woh ansari aap ka hukam pa kar be jigaree se lada yahan tak keh shaheed ho gaya.
Rasool-e-Akram ﷺ aur aap ke sath kuch aur uopar chadhey to mushrikeen ne phir ghaira daal lia.
Aap ne irshad farmaya: In ka kon muqaabla kare ga?
Hazrat Talah ne kaha: Main ya Rasool Allah ﷺ!
Aap ne farmaya: Nahi tum abhi nahi.
Ansar main se aik shakhs bola: Main ya Rasool Allah ﷺ!
Aap ne farmaya: Haan tum aagay badho! Yeh ansari muqablay main utra aur Jaam-e-Shahadat nosh kar gaya.
Rasool-e-Akram ﷺ musalsal pahaaad ki bulandi ki taraf chadhtay gaye aur mushrikeen bhi peechay lagay rahay, Yahan tak keh aap ke hamrah tamaam ansari Jaam-e-Shahadat nosh kar gaye aur aakhir main sirf hazrat Talah reh gaye. Aap ne hazrat Talah ko mushrikeen ka muqaabla karne ki ijazat di. Us waqt Soorat-e-Haal yeh thi keh Rasool-e-Aqdas ﷺ ke dandan mubarak shaheed ho chuke thay. Aap ki peshaani khoon alood thi. Honton par gehray zakham aa chukay thay. Khoon aap ke chehra mubarak par beh raha tha. Thakaawat aur zakhamo se aap nidhaal ho chuke thay. Hazrat Talah akailay mushrikeen par aik zor daar hamla karte.Unhen peechay dhakelnay main jab kamyaab ho jaatay to taizi se Rasool-e-Aqdas ﷺ ki taraf lapaktay aur aap ko sahara day kar pahaad ki bulandi ki taraf chadhtay. Phir aap ko chattaan ki uot main bitha kar mushrikeen par naye siray se hamla aawar hotay. Musalsal isi tarhan hota raha ho yahan tak yeh mushrikeen ko wahan se bhagaanay main kamyaab ho gaye.
Hazrat Abu Bakar Seddique رضی اللہ عنہ farmatay hain keh main aur Abu Ubaida bin Jarrah رضی اللہ عنہ Rasool-e-Akram Muhammad ﷺ se kaafi faaslay par thay jab ham wahan puhanche, Aap ki marham patti karne lagay to aap ne irshad farmaya: Mujhe chodo aur apne saathi Talah رضی اللہ عنہki khabar lo hazrat Talah رضی اللہ عنہ ka khoon beh raha tha, Un ke jism par sattar ( 70 ) se zayed naizay aur talwaar ke zakham lag chuke thay. Aik haath bhi kat chuka tha. Be hosh ho kar aik gadhay main gir chuke thay.
Is waqea ke baad Rasool-e-Akram ﷺ irshad farmaya karte thay: Jo chahta hai keh kisi zindah shaheed ko apni aankhon se dekhe to Talah bin Ubaid Ullah ko dekh le.
Hazrat Seddiq Akbar رضی اللہ عنہ farmaya karte thay keh Uhad ki ladai to dar haqeeqat sirf Talah رضی اللہ عنہ hi ne ladi aur is ki kamyaabi ka sehra bhi is ke hi sar hai.
Yeh to Hazrat Talah رضی اللہ عنہ ko zindah shaheed ka laqab milnay ki daastaan hai. Jahan tak Talaht-ul-Khair ( Naik dil Talah ) aur Talaht-ul-Jood ( Sakhi Talah ) ka laqab milnay ka talluq hai, Is ziman main to senkdon waqeat bayaan kiye jaa saktay hain. Un main se sirf aik waqea Paish-e-Khidmat hai.
Hazrat Talah رضی اللہ عنہ bohat bady doulat mand taajir thay. Aik din un ke paas Hazr-e-Mout se saat laakh dirham aaye.
Yeh raat unhon ne nihaayat Gham-o-Andoh aur Huzan-o-Malaal main guzaari.
Aap ki biwi Umm-e-Kulsoom Bint Abi Bakar Seddiq رضی اللہ عنہاne poocha:
Mere sar ke taaj! Kya baat hai? Shayad mujh se koi aisi baat ho gayi jo aap ko nagawaar guzri. Farmanay lagay nahi: Aap to bohat farmanbardaar aur naik dil biwi hain. Main raat bhar yeh sochta raha keh woh shakhs apne Rab ko kya jawaab day ga ke jo apne ghar main is haal main raat ko guzaar raha hai keh is ke paas kaseer miqdaar main Maanl-o-Doulat mojood hai?
Biwi ne kaha: Bhala yeh kon si Gham-o-Andoh ki baat hai?
Aap ki qoum aur dost ahbaab main bohat se zaroorat mand hain. Subah hotay hi yeh Maal un main taqseem kar den. Yeh tajweez sun kar woh khush ho gaye aur apni biwi ko du’aaen dainay lageay. Jab subah hui to tamaam Maal theliyon aur bady piyaalon main rakha aur Mohajir-o-Ansar fuqraa main taqseem kar diya.
Hazrat Talah رضی اللہ عنہ ke baaray main yeh waqea bhi bayaan kya jaata hai keh un ke paas aik shakhs Maali taawun ke liye aaya aur raham dili ka is ne hawala diya. Hazrat Talah رضی اللہ عنہ farmatay hain meri raham dili ka is se pehlay kisi ne tazkarah nahi kya tha. Farmanay lagay: Mere paas aik zameen ka palat hai jo mujhe Hazrat Usman bin Affan رضی اللہ عنہ ne allat kya tha. Chaho to yeh palat le lo, Agar chaho to is ki qeemat jo keh teen laakh dirham banti hai woh le lo. Woh shakhs kehnay laga: Main to qeemat hi loon ga. Aap ne usay teen laakh dirham inaayat kar diye.
Hazrat Talah رضی اللہ عنہ ko Khair-o-Jood ka laqab mubarak ho, Jo inhen Rasool-e-Aqdas ﷺ ne ataa kia. Allah un se raazi ho aur un ki qabar ko munawar kar day. Ameeen.
Hazrat Talah bin Ubaid Ul llah رضی اللہ عنہ kay mufassal Halaat-e-Zindagi Maanloom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaall’a karain:
1: Tabaqat Ibn-e-Saad 3/152
2: Tahzeeb ul Tahzeeb 5/20
3: Al Bad-o-Wal Tarikh 5/21
4: Al Jam-o-Bain Rijal-e-Al Sahihain 23
5: Ghayat-ul-Nihayah 1/342
6: Al Riaz-ul-Nazarah 2/249
7: Sifat ul Safwah 1/130
8: Hilyat ul Awliya 1/7
9: Zail ul Mizyal 11
10: Tahzeeb Ibn-e-Asakir 7/17
11: Al Ibar 355
12: Raghbat-ul-Amal 3/16-89
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
حضرت طلحہ بن عبید الله التمیمی رضی اللہ عنہ
من سره ان ينظر الى رجل يمشى على الارض وقد قضى نحبه فلينظروا الى طلحة بن عبيد الله (فرمان نبویﷺ)
طلحہ بن عبید اللہ قریش کے ایک تجارتی قافلے کے ہمراہ جا رہے تھے جب یہ قافلہ بصری شہر پہنچا تو بڑے بڑے قریشی تاجر خرید و فروخت کے لئے وہاں کی آباد مقامی منڈی کی طرف چل دیئے۔ طلحہ ابھی نوعمر تھے اور میدان تجارت میں نوخیز, لیکن بلا کی ذہانت و بصیرت کی بنا پر یہ میدان تجارت میں کامیابی و کامرانی سے ہمکنار ہونے کی پوری صلاحیت رکھتے تھے۔
طلحہ رضی اللہ عنہ اور صبح و شام اس منڈی میں جایا کرتے جہاں ہر جگہ سے آنے والے تاجروں کا ہجوم رہتا اس سفر میں انہیں ایک ایسا واقعہ درپیش آیا جس نے ان کی زندگی کا رخ تبدیل کر دیا۔
یہ نصیحت آموز واقعہ طلحہ بن عبید اللہ بیان کرتے ہوئے ارشاد فرماتے ہیں کہ ہم بصریٰ کے بازار میں خرید و فروخت میں مشغول تھے۔ اچانک ایک راہب لوگوں میں یہ منادی کرنے لگا۔ اے تاجرو! مجھے بتاؤ کیا تم میں کوئی ایسا شخص بھی ہے جو مکے سے آیا ہو۔ میں اس راہب کے بالکل قریب کھڑا تھا، جلدی سے بولا ہاں! میں مکے سے آیا ہوں۔
اس نے پوچھا:
کیا تم میں احمد کا ظہور ہو چکا ہے؟
میں نے پوچھا: احمد کون؟
اس نے کہا:
ابن عبد اللہ بن عبد المطلب (ﷺ)
اس مہینے میں اس کا ظہور ہونا تھا….
وہ آخری نبی ہو گا۔۔۔۔۔
مکہ میں پیدا ہو گا اور مدینہ طیبہ کی جانب ہجرت کر جائے گا۔
اے نوجوان! تو جلدی سے اس کے پاس جانا۔
طلحہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں راہب کی باتیں میرے دل میں گھر کر گئیں۔ میں جلدی سے اپنی سواری کی طرف گیا اس پر سوار ہوا اور تجارتی قافلے کو وہیں چھوڑتے ہوئے’ مکہ کی جانب چوکڑیاں بھرتے ہوئے بھاگ نکلا۔
جب میں وہاں پہنچا تو گھر والوں سے دریافت کیا: کیا ہمارے جانے کے بعد مکہ میں کوئی نیا واقعہ رونما ہوا ہے؟
انہوں نے بتایا:
ہاں! محمد بن عبد اللہ نے اپنے نبی ہونے کا اعلان کر دیا ہے اور ابو قحافہ کے بیٹے ابوبکر رضی اللہ عنہ نے اس کی بات مان لی ہے۔
طلحہ کہتے ہیں: میں ابو بکر کو پہلے سے جانتا تھا، یہ بڑے نرم خو ہمدرد اور ہر دلعزیز انسان تھے اور یہ ایک خوش اخلاق اور مستقل مزاج تاجر تھے، ہم ان سے مانوس تھے اور انکی مجلسوں میں بیٹھنا پسند کیا کرتے تھے کیونکہ یہ قریش کی تاریخ سے خوب اچھی طرح واقف تھے۔ میں سیدھا ان کے پاس گیا اور پوچھا:
کیا یہ بات درست ہے کہ محمد بن عبد اللہ نے نبوت کا دعویٰ کر دیا ہے؟ اور آپ ان کے مطیع و فرمانبردار بن گئے ہیں؟ انہوں نے کہا: ہاں! پھر وہ اپنی آپ بیتی سنانے اور مجھے بھی اسلام قبول کرنے کی دعوت دینے لگے، میں نے انہیں راہب کی بات بتائی تو وہ یہ سن کر حیران و ششدر رہ گئے۔ اور کہنے لگے ابھی میرے ساتھ چلو اور خود حضرت محمد کی خدمت اقدس میں یہ بات پیش کرو اور ان کی باتیں سنو تاکہ تم دائرہ اسلام میں داخل ہو سکو۔
طلحہ کہتے ہیں کہ; میں حضرت محمدﷺ کی خدمت اقدس میں حاضر ہوا آپ نے میرے سامنے اسلام کی دعوت پیش کی، قرآن مجید کی چند آیات تلاوت فرمائیں اور مجھے دنیا و آخرت کی بھ
کی خوشخبری دی۔
اللہ تعالیٰ نے اسلام کے لئے میرا سینہ کھول دیا۔ میں نے بصریٰ کے راہب کا واقعہ سُنایا۔ آپ یہ سن کر بہت خوش ہوئے کہ ایک راہب نے آپ کے ظہور کے متعلق خبر دی۔
پھر میں رسول اقدسﷺ کی مجلس میں کلمہ پڑھ کر دائرہ اسلام میں داخل ہو گیا۔
اس طرح میں چوتھا انسان تھا جس نے حضرت ابو بکر رضی اللہ عنہ کے ذریعے اسلام قبول کیا۔
اس قریشی نوجوان کا اسلام قبول کرنا اہل خانہ کو ایسا ناگوار گزرا جیسے اچانک ان پر بجلی گر پڑی ہو۔ ان کے اسلام قبول کرنے کا سب سے زیادہ افسوس ان کی والدہ کو ہوا۔ ماں کی دلی خواہش تھی کہ میرا بیٹا اپنی قوم کا سردار بنے’ کیونکہ اس میں سردار بننے کی بھرپور صلاحیتیں موجود ہیں۔
دین اسلام سے منحرف کرنے کے لئے قوم حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کے پاس آئی، لیکن یہ ایک مضبوط چٹان کی مانند اپنے موقف پر ڈٹے رہے۔ جب یہ حسن سلوک سے اپنی بات منوانے میں ناکام ہو گئے تو انہوں نے درد ناک تکالیف دے کر اپنی بات منوانے کا حربہ استعمال کیا۔
مسعود بن خراش بیان کرتے ہیں کہ:
میں صفا و مروہ کے درمیان سعی کر رہا تھا۔ بہت سے لوگ ایک ایسے نوجوان کے پیچھے لگے ہوئے تھے جس کے دونوں ہاتھ اس کی گردن کے ساتھ جکڑے ہوئے تھے۔ پیچھے سے اس کو عورتیں اور مرد ٹھوکریں مار کر بھاگنے پر مجبور کر رہے تھے اور خود شور و غل مچاتے ہوئے اس کے پیچھے بھاگ رہے تھے۔ اور ان میں ایک بڑھیا عورت چیختی چلاتی ہوئی اسے گالیاں دے رہی تھی۔ میں نے لوگوں سے پوچھا: یہ نوجوان کون ہے؟
اسے کیوں تکلیف دی جا رہی ہے؟ انہوں نے مجھے بتایا یہ عبید اللہ کا بیٹا طلحہ ہے اور یہ بے دین ہو گیا ہے’ اس نے بنو ہاشم کے ایک نوجوان کی پیروی اختیار کر لی ہے۔
میں نے پوچھا: اس کے پیچھے یہ بڑھیا کون ہے؟
انہوں نے بتایا: یہ اس نوجوان طلحہ کی والدہ صعبہ بنت حضری ہے۔
پھر اپنے آپ کو شیر قریش کہلانے والا نوفل بن خویلد اٹھا اور اس نے طلحہ بن عبید اللہ اور ابوبکر صدیق رضی اللہ عنہ کو ایک رسی میں جکڑا اور مکہ کے اوباش نوجوانوں کے حوالے کر دیا تاکہ وہ ان دونوں کو عبرتناک سزا دے سکیں۔
پھر تیزی سے دن گزرتے گئے، واقعات و داستانیں جنم لیتی رہیں، اور حضرت طلحہ بن عبداللہ ترقی اور کمال کی منزلیں طے کرتے ہوئے آگے بڑھتے رہے۔
اللہ کی راہ میں ان کی آزمائش دن بدن فزوں تر ہوتی گئی۔ اسلام اور مسلمانوں کے ساتھ حسن سلوک اور وفاداری میں دن بدن اضافہ ہوتا گیا، یہاں تک کہ مسلمان حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کو زندہ شہید کے لقب سے یاد کرنے لگے۔ رسول اللہﷺ انہیں نیک طلحہ، سخی طلحہ اور فیاض و فراخ دل طلحہ کے لقب سے پکارتے۔ ہر لقب اپنے دامن میں ایک داستان لئے ہوئے ہے۔
زندہ شہید کا لقب ملنے کی داستان یہ ہے کہ جب غزوہ احد میں مسلمانوں کو شکست ہوئی تو انصار میں سے صرف گیارہ اور مہاجرین میں سے صرف حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ رسول اکرمﷺ کے پاس رہ گئے باقی سب بکھر گئے۔ نبی اکرمﷺ اور یہ ساتھی پہاڑی پر چڑھ رہے تھے کہ مشرکین کا ایک جتھا آ پہنچا جو آپ کو قتل کر دینا چاہتا تھا۔ آپ نے نازک صورت حال کو دیکھ کر ارشاد فرمایا:
آپ میں سے کون ہے کہ جو ان کو یہاں سے بھگائے؟ وہ میرا جنت میں رفیق ہو گا۔
حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ نے جلدی سے کہا میں یا رسول اللہﷺ!…
آپ نے فرمایا: نہیں، تم ابھی رہنے دو انصار میں سے ایک شخص بولا میں یا رسول اللہﷺ! آپ نے فرمایا: ہاں، تم مقابلے کے لئے آگے بڑھو۔
وہ انصاری آپ کا حکم پا کر بےجگری سے لڑا یہاں تک کہ شہید ہو گیا۔
رسول اکرمﷺ اور آپ کے ساتھ کچھ اور اوپر چڑھے تو مشرکین نے پھر گھیرا ڈال لیا۔
آپ نے ارشاد فرمایا: ان کا کون مقابلہ کرے گا؟
حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ نے کہا: میں یا رسول اللهﷺ!
آپ نے فرمایا: نہیں تم ابھی نہیں۔
انصار میں سے ایک شخص بولا: میں یا رسول اللہﷺ!
آپ نے فرمایا: ہاں تم آگے بڑھو! یہ انصاری مقابلے میں اترا اور جام شہادت نوش کر گیا۔
رسول اقدسﷺ مسلسل پہاڑ کی بلندی کی طرف چڑھتے گئے اور مشرکین بھی پیچھے لگے رہے، یہاں تک کہ آپ کے ہمراہ تمام انصاری جام شہادت نوش کر گئے اور آخر میں صرف حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ رہ گئے۔ آپ نے حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کو مشرکین کا مقابلہ کرنے کی اجازت دی۔ اس وقت صورت حال یہ تھی کہ رسول اقدسﷺ کے دندان مبارک شہید ہو چکے تھے۔ آپ کی پیشانی خون آلود تھی۔ ہونٹوں پر گہرے زخم آ چکے تھے۔ خون آپ کے چہرہ مبارک پر بہہ رہا تھا۔ تھکاوٹ اور زخموں سے آپ نڈھال ہو چکے تھے۔ حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ اکیلے مشرکین پر ایک زور دار حملہ کرتے۔ انہیں پیچھے دھکیلنے میں جب کامیاب ہو جاتے تو تیزی سے رسول اقدسﷺ کی طرف لپکتے اور آپ کو سہارا دے کر پہاڑ کی بلندی کی طرف چڑھتے۔ پھر آپ کو چٹان کی اوٹ میں بٹھا کر مشرکین پر نئے سرے سے حملہ آور ہوتے۔ مسلسل اسی طرح ہوتا رہا ہو یہاں تک یہ مشرکین کو وہاں سے بھگانے میں کامیاب ہو گئے۔
حضرت ابوبکر صدیق رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں کہ میں اور ابو عبیدہ بن جراح رضی اللہ عنہ رسول اکرم ﷺ سے کافی فاصلے پر تھے جب ہم وہاں پہنچے، آپ کی مرہم پٹی کرنے لگے تو آپ نے ارشاد فرمایا: مجھے چھوڑو اور اپنے ساتھی طلحہ رضی اللہ عنہ کی خبر لو حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کا خون بہہ رہا تھا ان کے جسم پر ستر (۷۰) سے زائد نیزے اور تلوار کے زخم لگ چکے تھے۔ ایک ہاتھ بھی کٹ چکا تھا۔ بے ہوش ہو کر ایک گڑھے میں گر چکے تھے۔
اس واقعہ کے بعد رسول اکرمﷺ ارشاد فرمایا کرتے تھے جو چاہتا ہے کہ کسی زندہ شہید کو اپنی آنکھوں سے دیکھے تو طلحہ بن عبید اللہ رضی اللہ عنہ کو دیکھ لے۔
حضرت صدیق اکبر رضی اللہ عنہ فرمایا کرتے تھے کہ احد کی لڑائی تو در حقیقت صرف طلحہ رضی اللہ عنہ ہی نے لڑی اور اس کی کامیابی کا سہرہ بھی اس کے ہی سر ہے۔
یہ تو حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کو زندہ شہید کا لقب ملنے کی داستان ہے۔ جہاں تک طلحہ الخیر (نیک دل طلحہ) اور طلحہ الجود (سخی طلحہ) کا لقب ملنے کا تعلق ہے، اس ضمن میں تو سینکڑوں واقعات بیان کئے جا سکتے ہیں۔ ان میں سے صرف ایک واقعہ پیش خدمت ہے:
حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ بہت بڑے دولت مند تاجر تھے۔ ایک دن ان کے پاس حضر موت سے سات لاکھ درہم آئے۔
یہ رات انہوں نے نہایت غم واندوہ اور حزن و ملال میں گزاری۔
آپ کی بیوی ام کلثوم بنت ابی بکر صدیق رضی اللہ عنہ نے پوچھا:
میرے سر کے تاج! کیا بات ہے؟ شاید مجھ سے کوئی ایسی بات ہو گئی جو آپ کو ناگوار گزری۔ فرمانے لگے نہیں: آپ تو بہت فرمانبردار اور نیک دل بیوی ہیں۔ میں رات بھر یہ سوچتا رہا کہ وہ شخص اپنے رب کو کیا جواب دے گا کہ جو اپنے گھر میں اس حال میں رات کو گزار رہا ہے کہ اس کے پاس کثیر مقدار میں مال و دولت موجود ہے؟
بیوی نے کہا: بھلا یہ کون سی غم واندوہ کی بات ہے؟
آپ کی قوم اور دوست و احباب میں بہت سے ضرورت مند ہیں۔ صبح ہوتے ہی یہ مال ان میں تقسیم کر دیں۔ یہ تجویز سن کر وہ خوش ہو گئے اور اپنی بیوی کو دعائیں دینے لگے۔ جب صبح ہوئی تو تمام مال تھیلیوں اور بڑے پیالوں میں رکھا اور مہاجر و انصار فقراء میں تقسیم کر دیا۔
حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کے بارے میں یہ واقعہ بھی بیان کیا جاتا ہے کہ ان کے پاس ایک شخص مالی تعاون کے لئے آیا اور رحم دلی کا اس نے حوالہ دیا۔ حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں میری رحم دلی کا اس سے پہلے کسی نے تذکرہ نہیں کیا تھا۔ فرمانے لگے: میرے پاس ایک زمین کا پلاٹ ہے جو مجھے حضرت عثمان بن عفان رضی اللہ عنہ نے الاٹ کیا تھا۔ چاہو تو یہ پلاٹ لے لو اگر چاہو تو اس کی قیمت جو کہ تین لاکھ درہم بنتی ہے وہ لے لو۔ وہ شخص کہنے لگا: میں تو قیمت ہی لوں گا۔ آپ نے اسے تین لاکھ درہم عنایت کر دیئے۔
حضرت طلحہ رضی اللہ عنہ کو خیر وجود کا لقب مبارک ہو جو انہیں رسول اقدسﷺ نے عطا
کیا۔ اللہ ان سے راضی ہو اور ان کی قبر کو منور کر دے۔ آمین
حضرت طلحہ بن عبید اللہ رضی اللہ عنہ کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لئے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں۔
ا۔ طبقات ابن سعد ۳/ ۱۵۲
۲- تهذيب التهذيب ۵/ ۲۰
۳۔ البدء والتاريخ ۵/ ۱۲
۴۔ الجمع بين رجال الصحيحين ۲۳۰
ه۔ غاية الناية ۱/ ۳۴۲
٦- الرياض النضرة ۲/ ۲۴۹
۷- صفة الصفوة ۱/ ۱۳۰
۸- حلية الأولياء ۱/ ۷
۹۔ ذيل المذيل ۱۱
۱۰- تهذیب ابن عساکر ۷/ ۷۱
۱۱۔ العبر ۳۵۵
١۲- رغبة الامل ۳/ ۱۶۔۸۹
حوالہ جات :
“حياتِ صحابہ کے درخشاں پہلو”
تا لیف: “داکتور عبدالر حمان رافت الباشا”