Search
Sections
< All Topics
Print

49. Hazrat Abu Hurairah (رضی اللہ عنہ)

Hazrat Abu Hurairah (رضی اللہ عنہ)

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ne Ummat-e-Muslimah ke liy aik hazaar chay so se zaaid Ahadees-e-Rasool ﷺ zubaani yaad kein.

Moarrikhin

 

Yaqeenan aap Ashaab-e-Rasool ﷺ main se is chamakate sitaaray ko zaroor jaantay hon ge. Bhala Ummat-e-Muslimah main woh kon hai jo Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہko nahi jaanta?

Zamana-e-Jaahliat main log usay Abdul Shams ke naam se bulaatay thay. Allah Ta’alaa ne jab un par karam farmaya aur woh musalman ho gaye. To Nabi Akram ﷺ  ki ziyarat ka sharf haasil kya.

Aap ne daryaft farmaya: Tumhaara kya naam hai?

Arzkya : Abd-e-Shams

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Nahi, balkeh aaj se tumhaara naam Abdul Rahman hai.

Arz kya: Yaa Rasool Allah ﷺ! Mere maan baap aap par qurbaan aap ka tajweez kardah naam (Abdul  Rahman ) mujhe bohat pasand hai. Un ki kuniat Abu Hurairah is liye padi ke yeh bachpan main aik choti se billi ke sath khela karte thay. Un ke ham umar saathi inhen Abu Hurairah kaha karte thay, Yeh kuniat itni mashhoor ho gayi keh bil akhir un ke naam par bhi yeh ghaalib aa gai.

Rasool-e-Aqdas ﷺ inhen piyar ke sath Abu Hir kaha karte thay. Yeh bhi apne ko Abu Hurairah ki bajaaye Abu hir kehlaana pasand karte aur farmaya karte keh mujhe mere mahboob Rasool Allah ﷺ ne jis naam se pukaara woh behtar hai, Hir muzakar hai aur Hurairah monnas hai. Muzakar behar haal monnas se behtar hota hai.

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہne Hazrat Tufail bin Amar  al Dosi رضی اللہ عنہki wasaatat se islam qubool kya. Hijrat se chay saal baad tak yeh apni qoum Doos main hi rahay. Is ke baad yeh apni qoum ke aik wafad ke hamrah Madinah-e-Munawara Rasool-e-Akram ﷺ  ki Khidmat-e-Aqdas main haazir hue.


Is Dosi nojawan ne apne aap ko Rasool-e-Khuda ﷺ ki khidmat ke liye waqf kar diya. Har waqt masjid main rehtay. Nabi ﷺ se taleem haasil karte aur aap ki amaamat main namazain parhte. Nabi Akram ﷺ ki zindagi main unhon ne shaadi nahi ki. Un ki boodhi walida musalsal inhen shirk ki taraf lautnay ki koshish karti rahi aur yeh usay musalsal Daaira-e-Islaam main laane ke liye koshan rahay, Lekin walida musalsal inkaar, Hatt dharmi, Nafrat aur haqaarat ke raastay par gaamzan thi. Jis ki wajah se Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ka dil afsurdah rehty.

Aik roz Hazrat Abu Hurairah ne apni walida ke saamnay islam ki dawat paish ki to us ne ghusse main aa kar aisi jali kati sunaein aur Nabi Akram ﷺ ke baaray main aisi na gawaar baatein kein jis se inhen bohat dili sadma hua.

Yeh Rasool-e-Khuda ﷺ ke paas rotay hue gaye.

Nabi Akram ﷺ ne poocha:

Abu Hurairah! Rotay kyun ho?

Arz kya: Ya Rasool Allah ﷺ! Main apni walida ko islaam ki dawat deta hoon aur woh usay qubool karne se inkaari hai. Aaj main ne jab usay islaam ki taraf daawat di to is ne aap ke mut’aliq aisi jali kati baatein kein jo mujhe bohat na gawaar guzren.

Yaa Rasool Allah ﷺ! Allah se du’a kijiyej keh woh meri maan ka dil islaam ki taraf maayl kar

day.

Nabi Akram ﷺ ne dua ki.

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہfarmaatay hain keh jab main ghar pouncha wahan halaat badlay hue thay. Main ne paani ke girnay ki aawaz suni meri walida naha rahi thi. Ghar main daakhil honay laga to meri walida ne kaha:

Abu Hurairah! Zara thehro.

Walida ne naha kar kapday pehnay aur kaha: Andar aa jao, Main ghar main daakhil hua to mujhe dekhte hi meri waalida pukaar uthi:

أشْهد انْ لا إله إلا الله وأشْهد أن محمدا عبْده ورسوله

 

“Main gawaahi deti hoon keh Allah ke siwa koi Ma’bood-e-Haqeeqi nahi aur gawaahi deti hoon keh hazrat Muhammad ﷺ Allah ke bande aur Rasool hain”.

 

Main us waqt ultay paaon Rasool-e-Akram ﷺ ki Khidmat-e-Aqdas main haazir hua main be intahaa khushi ki wajah se Zaar-o-Qitaar ro raha tha jis tarhan keh pehlay Gham-o-Andoh aur Huzan-o-Malaal ki wajah se roya karta tha.

Main ne arz kya:

Ya Rasool Allah ﷺ! mubarak ho Allah Ta’alaa ne aap ki du’a qubool kar li. Meri maan ne islam qabool kar lia hai.


Hazrat Abu Hurairah ke Ragg-o-Reesha main Rasool-e-Akram ﷺ ki mohabbat saraayat kar chuki thi. Deedar-e-Rasool ﷺ se kabhi un ki nigaahain seer nah hotain. Aksar farmaaya karte thay main ne Rasool Allah ﷺ  ke chehray se badh kar koi Haseen chehra aaj tak nahi dekha. Yun maloom hota jaisay Rukh-e-Anwar ke falak par aftaab rawaan dawaan ho.

Hamesha Allah Ta’alaa ki Hamd-o-Sana bayaan karte rehtay is liye keh is zaat ba barkat ne inhen apne piyaare Nabi ﷺ ki mohabbat aur apne deen ki pairwi karne ka aizaaz bakhsha. Farmaaya karte:

Sab tareefen us Allah Ta’alaa ke liye hain jis ne Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko islaam qubool karne ki tofeeq ataa ki.

Sab tareefen us Allah Ta’alaa ke liye hain jis ne Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko Quran-e-Majeed ka ilm ataa kya.

Sab tareefen us Allah Ta’alaa ke liye hain jis ne Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko Hazrat Muhammad ﷺ  ka Sahaabi honay ka sharf ataa kya.


Jis tarhan Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko Nabi Akram ﷺ ke saath waalihaana mohabbat thi, Isi tarhan deeni ilm haasil karne ka shoq un ke dil main samaaya hua tha.

Hazrat Zaid bin Sabit رضی اللہ عنہ bayaan farmaatay hain:

Main Abu Hurairah رضی اللہ عنہ aur hamaara aik saathi, Ham tenu Allah Ta’alaa ke huzoor duaayen maang rahay thay. Achanak Rasool-e-Akram ﷺ tashreef le aaye aur hamaaray paas baith gaye ham sehem gaye aur khamosh ho gaye.

Aap ne irshaad farmaya: Apna kaam jaari rakho.

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ se pehlay main aur mere saathi ne dua ki aur Rasool-e-Akram ﷺ ne ameeen kaha:

Phir Hazrat Abu  Hurairah ne dua ki aur kaha:

Ilaahi! Main tujh se wahi maangta hoon jo mere un do saathiyon ne maanga aur mazeed mujhe woh ilm ataa kar jo bhoolay nahi…..

Rasool-e-Akram ﷺ ne aameen kaha:

Ham ne arz kia:

Ham bhi Allah se wah ilm maagain jo bhulaaya nah jaye.

Hamaari yeh baat sun kar Rasool-e-Akram ﷺ ne irshaad farmaaya:

Dosi nojawaan tum se sabqat le gaya.


Jis tarhan Hazrat Abu Hurairah ko khud ilm se walihaana mohabbat thi isi tarhan woh apne saathiyon ke dilon main bhi ilm ki jot jagaana chahtay thay.

Aik roz woh Madinah-e-Tayyibah ke aik bazaar se guzar rahay thay, Logon ko dunyaawi kaamon main munhamik dekh kar ghamzdah ho gaye. Logon ko apni taraf mutwajjah karte hue ba awaaz buland kaha:

Aey bashindgan-e-Madinah! Tum Mahroom-o-Bekas reh gaye.

Logon ne yak zabaan ho kar kaha:

Abu Hurairah! Tum ne hamaari konsi Mahroomi-o-Bekasi dekhi?

Aap ne farmaaya:

Rasool-e-Khuda ﷺ ki meeras taqseem ki jaa rahi hai aur tum yahan ho.

Bhala tum wahan jaa kar apna hissa kyun nahi letay!!

logon ne poocha meeras kahan taqseem ho rahi hai?

Aap ne farmaya: Masjid main.

Woh jaldi se masjid gaye, Hazrat Abu  Hurairah رضی اللہ عنہlogon ke waapis aanay tak wahein khaday rahay…

Jab logon ne inhen dekha to kehnay lagay: Abu Hurairah! Ham Masjid main gaye ham ne to wahan koi cheez taqseem hoti nahi dekhi.

Aap ne daryaaft kya:

Kya tum logon ne masjid main kisi ko nahi dekha?

Unhon ne kaha:

Kyun nahi….. Ham ne dekha keh kuch log namaaz padh rahay hain. Kuch log Quran-e-Majeed ki tilaawat kar rahay hain aur kuch log Halal-o-Haraam ke baaray main tabaadlah khayaal kar rahay hain.

Hazrat Abu  Hurairah رضی اللہ عنہ ne farmaaya:

Baday afsos ki baat hai! Yahi to Hazrat Muhammad ﷺ ki meeraas hai.


Husool ilm aur Rasool Allah ﷺ ki majaalis ke liye apne aap ko waqf karne ke silsilaa main Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ khud ko bhook, Piyaas aur Faqar-o-Faaqa ki jo takaaleef bardaasht karna padein, Ahad-e-Sahaba main is ki koi misaal nahi millti. Woh apne baaray main bayaan karte hain keh jab bhook se mere pait main bal pafne lagtay to main Asahaab-r-Rasool ﷺ se baaz Qurani Ayaat ka mafhoom puchta, Halaankrh mujhe is ka ilm hota. Maqsad sirf yeh hota keh woh meri Soorat-e-Haal ko bhaanp kar apne sath le jaayen aur mujhe khaana khilaa dein.

Aik roz mujhe be intahaa bhook lagi, Main ne apne pait par pathar bandh liya aur us raastay par baith gaya, Jahan se sahaba kiraam رضی اللہ عنہ ka guzar hotaa. Hazrat Abu Bakkar Saddiqu رضی اللہ عنہ mere paas se guzray. Main ne un se Kitaab-e-Ilaahi ki aik aayat ka mafoom poocha: Main ne sirf is liye poocha keh woh mujhe khaanay ki da’wat den, Lekin woh mafoom bta kar chal diye aur meri ramz ko nah samajh sakay. Phir mere paas Hazrat Umar bin Khattaab ka guzar hua main ne un se aayat ka mafoom daryaaft kya. Unhon ne bhi mere sath yahi salook kya, Yahan tak keh mere paas Rasool-e-Aqdas ﷺ ka guzar hua. Main ne aap se bhi aayat ka mafhoom poocha: Aap meri ramz ko pehchan gaye irshaad farmaya :

Abu Hurairah رضی اللہ عنہ!

Main ne arz kya: Labbaik ya Rasool Allah ﷺ! Aap ne farmaya: Mere sath chalo main aap ke peechay ho liya. Aap ke sath hi ghar main daakhil hua. Aap ne ghar main doodh ka bhara hua piyaala dekha to ghar waalon se poocha: Yeh doodh ka piyaala kahan se aaya hai? Unhon ne bataaya falaan sahabi ne aap ke liye bheja hai.

Aap ne irshaad farmaya:

Aey abu Hurairah! Ahl-e-Suffah ko bulaa laao. Mere dil main khayaal aaya keh doodh ka yeh piyalaa Ahl-e-Suffah ka kya banaaye ga. Intehaai bhook ki wajah se mera dil chahta tha keh yeh doodh ka piyalaa mujhe mil jaye taakeh mere jism main kuch tawanaai aaye. Bahar haal aap ke Hakam ke saamnay Sar-e-Tasleem khham karte hue Ahl-e-Suffah ki jaanib chal pada aur unhen bulaa laaya. Jab woh Rasool-e-Akram ﷺ ke paas baith gaye. To aap ne irshaad farmaya:

Abu Hurairah! Piyalaa pakdo aur baari baari inhen doodh pilaao main ne yakke baad deegray un ki khidmat main doodh ka piyalaa paish kya yahan tak keh un sab ne jee bhar kar doodh piya.

Phir main ne piyalaa Rasool-e-Aqdas ﷺ ke saamnay rakh diya. Aap ne muskuraatay hue meri taraf dekha aur farmaaya: Main aur tum dono hi ab baaqi reh gaye hain.

Main ne arz kya:

Bilkul sach hai, Ya Rasool Allah ﷺ!

Aap ne irshaad farmaaya:

Ab tum piyo to main ne pinaa shuru kar diya. Jab apne lab piyaale se hataata to aap farmaatay aur piyo main phir pinaa shuru kar deta, Yahan tak keh main pukaar utha. Qasam hai us zaat ki jis ne aap ko barhaq ma’boos farmaya hai! Wallah peenay ki ab qat’an gunjaaish nahi rahi. Phir aap ne piyalaa pakda aur doodh nosh farmaaya.


Is baat ko ziyada arsa nah guzra tha keh musalmanoon ke liye rizq ke darwaazay khul gaye, Mukhtalif maftooha ilaaqon se Maal-e-Ghanimat waafar miqdaar main aanay laga. Bilaa istasnaa tamaam musalmaan is se faizyaab honay lagay. Is tarhan hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko bhi Maal-o-Doulat mayassar aaya jis se aap ne apna ghar banaaya Saaz-o-Samaan khareeda aur shaadi ki… Lekin is maali farawaani ne un ke pakeeza dil main koi tabdeeli peda nah ki. Aap aksar farmaaya karte thay.

Main ne yateemi ki haalat main parwarish paayi, Miskeeni ki haalat main hijrat ki.

Busrah Bint Ghazwan ki sirf do waqt ki roti par mulaazmat ki.

Jab musaafir padaao karte to main un ki khidmat karta.

Jab woh koach karne ke liye sawaar hotay to main un ki swaariyon ko haankta.

Phir Allah Ta’alaa ne aisay asbaab peda kar diye ke meri shaadi us aurat se ho gayi jis ke paas main mulaazim tha.

Shukar hai us Allah ka jis ne deen ko aik Zabitah-e-Hayaat bana diya. Aur Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko musalmanon ka Ameer bana diya.


Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ hazrat Muawiya bin Abi Sufyan رضی اللہ عنہ se pehlay Madinay ke governor thay aur is mansab ne un ki tabiyat main koi takabbur peda nahi kya aur nah un ki pakeeza rooh main koi nukhuwwat ke aasaar peda kiye…..

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ aik roz lakdion ka aik ghatta uthaaye madeenay ke bazaar se guzar rahay thay. Aur us waqt woh governor thay Saalbah bin maalik ke paas se guzray to us se kaha ae Ibn-e-Maalik! Apne governor ke liye rasta wasee kar do us ne kaha: Allah aap par raham farmaaye kya yeh guzar gaah tumaahray liye kaafi nahi aap ne farmaya: Allah ke bande governor aur is ki peeth par lade hue eendhan ke ghatay ke liye raasta matloob hai.


Hazrat Abu Hurairah aik Jayyad aalim honay ke sath Taqwa-o-Tahaarat ke aala mayaar par faaiz thay din ko roza rakhtay, Raat ka aik tihaai hissa ibaadat main masroof rehtay, Phir apni biwi ko bedaar karte woh raat ke doosray tihaai hissa main masroof ibaadat rehti, Phir woh apni beti ko bedaar kar deti aur woh raat ke teesray tihaai hissay main Masroof-e-Ibaadat ho jaati. Is tarhan poori raat un ke ghar main ibaadat hoti rehti.


Hazrat Abu Hurairah ke paas aik Sodani londi thi. Aik roz woh gustaakhi se paish aayi jis se aap ghazab naak ho gaye, Usay maarny ke liye koda uthaaya, Phir haath rok liya aur farmaya: Agar qayaamat ke roz qisaas ka andesha nah hota to aaj teri khoob pitaayi karta, Lekin main aaj tujhe aisay shakhs ke haathon beech daloon ga jo mujhe ziyada se ziyada qeemat adaa kare ga. Kyunkeh mujhe un dinon paison ki zaroorat hai, Phir kuch soch main pad gaye. Kuch der baad apna sar uopar uthaaya aur irshaad farmaya:

Jao! Main ne tujhe Allah ke liye aazaad kya.


Hazrat Abu Hurairah ki beti ne kaha: Abba jaan meri saheliyan mujhe ta’na deti hain aur kehti hain keh tairay abbu ne tujhe koi sonay ka zewar nahi bana kar diya.

Aap ne farmaya: Beta apni saheliyon se kehna: Mere abba jaan jahannam ke angaaron se dartay hain.


Hazrat Abu Hurairah ne apni beti ko agar zewar bana kar nahi diya is ki wajah yeh nahi thi keh aap bakheel thay. Aap to Allah ki raah main be daregh sakhaavat karne ke dhani thay.

Aik roz Marwan bin Hakam ne un ke liye so dinaar bheje, Doosray roz peghaam bhaij diya keh mere khaadim ne ghalti se aap ko so dinaar day diye hain, Main to yeh kisi aur ko dena chahta tha. Yeh sun kar Hazrat Abu Hurairah ke hathon ke totay ud gaye.

Aap ne farmaya:

Main to yeh dinaar Allah ki raah main kharch bhi kar chuka hoon, Un main se aik dinaar ne bhi mere ghar raat nahi guzaari, Jab bait ul maal se mera hissa niklay ga to woh aap le lijiye ga.

Marwan ne yeh andaaz sirf aap ka jaiza lainay ke liye ikhtiyaar kya tha. Jab ma’amlay ki tahqeeq hui to hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ko sahih paaya.


Hazrat Abu Hurairah zindagi bhar apni maan ke farmanbardaar khidmat guzaar rahay jab ghar se baahir jaatay to pehlay apni maan ke kamray ke darwaazay par khaday hotay aur kehte:

Amma jaan! Al salam alaikum wa rahmat Allah wabarakatohu.

Amma jaan jawaab main kehtain: Mere betay! Walaikum salam wa rahma Allah wabarakatohu.

Phir farmaatay:

Amma jaan! Allah Ta’alaa aap par isi tarhan nwaazshaat ki barkha barsaaye jis tarhan aap ne bachpan main meri parwarish ki.

To woh jawaab main famaatein:

beta! Aap par Allah Ta’alaa apni rahmat ki barkha barsaaye. To budhapay main mere sath Husan-e-Sulook se paish aaya.

Jab Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ ghar lot’tay to phir yahi andaaz ikhtiyaar karte.


Hazrat Abu Hurairah logon ko apne maan baap ke sath Husan-e-Sulook ki bohat ziyada targheeb dilaaya karte thay. Aik roz aap ne dekha keh do shakhs aik sath chalay jaa rahay hain. Aik un main se umar raseedah tha chotay se poocha: Yeh shakhs tumhaara kya lagta hai?

Us ne kaha : yeh mere abba jaan hain.

Aap ne farmaya:

Kabhi is ka naam le kar nah bulaana.

Kabhi in ke aagay nah chalna.

Kabhi in se pehlay nah baithna.


Jab Hazrat Abu Hurairah marz ul maut main mubtala hue to Zaar-o-Qataar ronay lagay. Aap  se pucha gaya:

Abu Hurairah! Aap rotay kyun hain?

Aap ne farmaya:

Main tumhaari is duniya par ansoo nahi bahaata. Main to rota is liye hoon keh Safar bada lamba hai aur Zaad-e-Raah bohat thoda hai. Main us raastay ke kinaare par khada hoon jo mujhe ya jannat main le jaae ga ya jahannam main…. Main nahi jaanta mera anjaam kya ho ga.

Khalifah-e-Waqt Marwan bin Hakam ne iyaadat ki aur dilaasa dete hue kaha:

Abu Hurairah! Allah Ta’alaa aap ko shifa ataa farmaaye. Aap ne yeh dua ki:

Ilaahi! Main teri mulaqaat ko mahboob jaanta hoon to bhi meri mulaqaat ko mahboob gardaan aur mujhe jald apni ziyaarat naseeb farma!

Marwan bin Hakam ne abhi ghar se bahar qadam rakha hi tha keh aap Allah ko piyaare ho gaye.


Allah Subhana Wa Ta’alaa Hazrat Abu Hurairah. رضی اللہ عنہ par apni rahmat ki barkha barsaaye. Unhon ne musalmanon ke liye aik hazaar chay so no Ahadees-e-Rasoolﷺ zubaani yaad kar rakhi theen.

Allah Ta’alaa inhen musalmanoon ki taraf se jzaaye kher ataa farmaaye.


Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ kay mufassal Halaat-e-Zindagi maaloom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaall’a karain:

 

1: Al Isabaah                                                                                          199-207

2: Al Istiaab                                                                                            697-698

3: Usd ul Ghabah                                                                                  5/315-31

4: Tahzeeb ul Tahzeeb                                                                        12/262-267

5: Taqreeb ul Tahzeeb                                                                         2/484

6: Al Jam-o-Bain Rijal-e-Al Sahihain                                      2/600-601

7: Tajreed-o-Asmaa-e-Al Sahabaah                                      2/223

8: Hiyat ul Awliyaa                                                                                1/376-385

9: Sifat ul Safwah                                                                                   1/295-289

10: Tazkirat ul Huffaz                                                                            1/28-31

11: Al Maarif Libn-e-Qutaibah                                                           120-121

12: Tabaqat-ul-Sharaani                                                                     32-33

13: Maarifat-ul-Qurra-e-Al Kibaar                                               40-41

14: Shazarat ul Zahab                                                                             1/63-64

15: Al Tabaqat ul Kubarr                                                                       2/362-364

16: Tarikh-e-Islam Zahabi                                                                   2/333-339

17: Al Bidayah wal Nihayah                                                                  103-115

18: Abu Hurairah Min Silsilat-e-Aaalam-e-Al Arab

 

REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
Table of Contents