52. Hazrat Hakeem Bin Hizam (رضی اللہ عنہ)
Hazrat Hakeem Bin Hizam رضی اللہ عنہ
Makkah main chaar ashkhaas aisay hain keh main un ke shirk main mubtala rehne se bezaar hoon aur unke islam qubool karne ki dili raghbat rakhta hoon.
Farmaan-e-Nabawi ﷺ
Kya aap is jalel ul qadar sahabi ke mutalliq kuch jantay hain?
Tareekh main yeh baat qalamband ho chuki hai keh un ki Wilaadat-e-Ba-s’aadat Khanah Kaa’ba ke andar hui.
Hua is tarhan keh un ki waalida mohtarma apni saheliyon ke hamrah Ka’abay ke androoni manzar ka mushaahada karne ke liye Khanah Kaa’ba ke andar daakhil hui. Us din Kaabay ka darwaaza kisi khaas munaasbat ki wajah se khula hua tha. Aur daakhil hotay hi usay Dard-e-Zah shuru ho gayi. Aur woh is qadar shadeed thi keh is ke liye Ka’aby se bahar aana mumkin nah tha. Fori tor par wahein chamday ki aik chadar mangwaai gayi, Jis par usay litaa diya gaya. Aur chand lamhay baad is ne aik khobsorat bachay ko janam diya. Yeh khush atwaar bacha Umm ul Momineen hazrat Khadija Bint Khuwaild ka bhatija Hakeem bin Hizam tha.
Hazrat Hakeem bin Hizam ki parwarish shareef ul nasal, Azeem ul martbat aur khush haal gharaane main hui. Aap Qqal-o-Khirad tabee sharafat aur ilmi Fazal-o-Sharf ke paikar thay. In khoobiyon ki bina par qoum ne aap ko apna sardaar bana liya aur haajion ki khidmat ka mansab un ke sapurd kar diya.
Zamana-e-Jaahliat main haajion ki khidmat ke liye apne maal main se aik khaas hisah nikaal kar allag kar liya. Rasool-e-Aqdas ﷺ ki baisat se pehlay Hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ aap ke gahray dost thay.
Agarchay yeh Nabi Akram ﷺ se umar main paanch saal baday thay, Magar aap se Ulfat-o-Mohabbat, Muawaasnat-o-Mawaddat misaali noiyat ki thi.
Yeh aap se mil kar aap ki majlis main baith kar dili itminaan aur intihaai khushi mahsoos karte. Un ke jawaab main Rasool-e-Akram ﷺ bhi un ke sath Mohabbat-o-Ulfat se paish aatay.
Jab Nabi-e-Akram ﷺ ne un ki phophi Hazrat Khadijat ul Kubraa se shaadi ki to phir is rishta daari ki bina par aapas ke taluqaat aur mazboot ho gaye.
Itnay gehray aur mukhlisana Taluqaat-o-Rawaabit ke bawajood aap ko yeh sun kar taajjub ho ga ke hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ Fatah-e-Makkah ke din musharraf bah islaam hue. Jabkay aap ko nabuwat milay bees ( 20 ) saal se zayada arsa beet chuka tha.
Aqal-o-Danish ka taqaaza to yeh tha keh hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ jaisa zairak, Ma’amla fahem, Danishwar jisay Rasool Allah ﷺ ka qareebi rishta daar honay ka bhi sharf haasil tha, Sab se pehlay aap par imaan le aata. Aap ki da’wat ki tasdeeq karta aur aap ki hidaayat ko tasleem kar laita lekin Allah ki mushiyat har cheez par ghaalib aati hai.
Wahi hota hai jo Allah Subhana Wa Ta’alaa ko manzoor ho.
Hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ke takheer se islaam qubool karne par jaisay aap mutajjib hue inhen khud bhi tajjub hai keh unhon ne islaam qubool karne main itni takheer kyun ki? Woh Halaawat-e-Imani ka maza chakhnay se itni der mahroom kyun rahay? Woh apni zindagi ke har us lamhay par be intehaa sharminda thay, Jo unhon ne Allah ke sath shirk karne aur us ke piyaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ko jhutlaanay main guzaraa.
islam qubool karne ke baad aik din betay ne dekha ke abba jaan Zaar-o-Qitaar ro rahay hain.
Poocha: Abba jaan aap rotay kyun hain ?
Farmaaya:
Bohat si baatein hain beta! Har baat pay mujhe bohat rona aata hai.
1: pahli baat to yeh hai keh main ne islaam qubool karne main bohat takheer kar di jis ki bina par darjaat aur Khair-e-Kaseer ke hasool se mahroom raha. Ab main zameen ke wazan ke baraabar bhi khalis sona Raah-e-Allah main kharch karoon tab bhi un darjaat ko nahi pohnch sakta jin par pehlay islaam qubool karne walay faaiz ho chuke hain.
2: Doosri baat yeh hai keh Allah Ta’alaa ne mujhe Badar aur Uhad ki jung main bacha liya aur main ne apne dil main faisla kar liya tha keh main aaj ke baad Rasool-e-Akram ﷺ ke muqaablay main Quraish ki qattan koi madad nahi karoon ga aur kisi bhi ma’rkay main shareek honay ke liye Makkah-e-Muazama se bahar qadam nahi rakhoon ga, Lekin phir mujhe Quraish ki madad ke liye kheech kar maidan main laaya gaya aur mujhe majboor kar diya gaya keh main Quraish ki ham nawaai karoon.
3: Teesri baat yeh hai keh jab main ne islaam qubool karne ka iradah kya to meri nazar Sardan-e-Quraish ki taraf uthti to main sochta yeh mujh se umar main baday hain apni qoum par un ka Roa’b- o-Dabdabah bhi hai, Quraish main un ko izzat ki nigah se dekha jaata hai. In khayalaat ke aatay hi mera iradah badal jaata aur main phir Sardan-e-Quraish ke shana bashana chalne lagta.
Kash ke main ne aisa nah kya hota.
Hamain to hamaaray Aaba-o-Ajdaad aur badon ne halaak kar diya.
Beta batao phir main kyun nah raon.
Jis tarhan ham hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ke takheer se islaam qubool karne par ta’jjub kinaan aur Mehw-e-Herat hain, Jis tarhan woh khud takheer se islam qubool karne par mutajjib hi nahi, Balkay Naadim-o-Pasheman hain, Is tarhan Nabi-e-Akram ﷺ ko bhi bohat ta’jjub tha keh Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ jaisay zairak aur danishmand insaan par islaam ki khoobiyan makhfi rahen aur woh Allah ke deen main daakhil honay main sabqat nah kar sakay. Fatah-e-Makkah ke din aik raat Rasool-e-Aqdas ﷺ ne apne jaan nisar Sahaba-e-kiraam رضی اللہ عنہم se irshaad farmaaya: Makkah main chaar aisay ashkhaas mojood hain, Main un ke shirk se bezaar aur un ke islaam qubool karne main dili raghbat rakhta hoon.
Sahaba ne arz ki ya Rasool Allah ﷺ woh kon hain?
Aap ne farmaaya:
Itab bin Usaid رضی اللہ عنہ,
Jubair Bin Mut’im رضی اللہ عنہ,
Suhail Bin Amar رضی اللہ عنہ,
Hakeem Bin Hizam رضی اللہ عنہ,
Allah ne un par fazal kya keh woh chaaron aik sath usi raat musalmaan ho gaye.
Jab Rasool-e-Akram ﷺ faatih ki hesiyat se Makkah-e-Muazama main daakhil hue to aap ne yeh ailaan karwa diya.
- Jo is baat ka iqraar kare keh Allah ke siwa koi Ma’bood-e-Haqeeqi nahi aur Muhammad ﷺ Allah ke bande aur rasool hain woh aaj aman main ho ga. Usay kuch nahi kaha jaaye ga.
- Jo Ka’ba ke paas baith jaaye aur apna hathyaar neechay rakh day woh bhi aman main ho ga.
- Jo apne ghar main panah le aur darwaaza band kar ke baith jaye woh bhi aman main ho ga.
- Jo Abu Sufyan ke ghar panah le woh bhi aman main ho ga.
- Aur jo Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ke ghar panah le woh bhi aman main ho ga. Usay aaj kuch nahi kaha jaaye ga un dinon Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ka ghar Makkah-e-Mu’azmah ke nashebi ilaaqay main tha aur Abu Sufyan ka ghar Makkah ke balaai ilaaqay main tha.
Hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ne islaam qubool kya to yeh islaam un ki Aqal-o-Danish par ghaalib aa gaya.
Woh aisa imaan laaye keh yeh imaan foran un ke Ragg-o-Pay main rach bas gaya. Unhon ne apne dil se yeh qatee ahad kya aur qasam khaayi keh main Dor-e-Jaahliat ki himaaqton ka madawa karoon ga aur jis qadar Maal-o-Doulat main ne Rasool-e-Aqdas ﷺ ki adaawat main kharch kya hai, Us se badh kar ab aap ki mohabbat aur islaam ki taied main kharch karoon ga.
Waqea unhon ne apni qasam poori kar dikhaayi.
Daar ul Nadwah pur shikwah tareekhi imaarat jis main Quraish Dor-e-Jaahliat main mashwaray kya karte thay jis main Sanadee-e-Quraish Rasool Allah ﷺ ko qatal karne ke mansoobay banaaya karte thay, Woh imaarat hazrat Hakeem bin Hizam ki malkiat thi. Unhon ne Dor-e-Jaahliat ki yaaden bhula dainay ki khaatir usay aik laakh dirham main farokht kar diya.
Aik Quraishi nojawaan ne un se kaha:
Chacha jaan! Aap ne Izzat-o-Ikram ki nigah se dekha jaane wala Quraish ka aik azeem markaz beech daala.
Aap ne yeh kya gazab kya.?
Aap ne farmaaya:
Beta! Teri is soch par mujhe az had afsos hai!
Ab taqway aur imaan ke ilaawa saari izzatain malya meet ho gayeen.
Suno! Main ne usay is liye becha hai taakeh us ki qeemat se jannat main aik ghar khareed loon. Main tujhe gawah bana kar yeh ailaan karta hoon keh main ne saari raqam Allah ki raah main kharch karne ke liye waqf kar di hai.
Islaam qubool karne ke baad hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ne hajj kya aur apne sath aik so sehat mand aur moti taazi uontniyan len aur un par khoobsurat aur qeemti kapday daalay taakeh aur ziyada deedaa zaib ma’loom hon, Un sab uontnion ko Mina main Allah ki razaa ki khaatir qurbaan kar diya.
Doosray hajj main Wuqoof-e-Arfat ke douraan aik so ghulaam jin ki gardnon main chaandi ke kade daalay hue thay, Un sab ki aazaadi ka ailaan kar diya. Teesray hajj main aik hazaar bakri Mina ke maidan main razaye Ilaahi hi ke husool ki khaatir qurbaan ki aur un ka gosht miskeeno aur mohtaajon main baant diya.
Ghazwah-e-Hunain ke baad hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ne Rasool Allah ﷺ se Maal-e-Ghanimat maanga. Aap ne day diya phir maanga aap ne aur ziyaada ataa kya yahan tak keh so uont ho gaye. Aap abhi naye naye musalmaan hue thay.
Rasool-e-Akram ﷺ ne irshaad farmaaya:
Aey Hakeem: Yeh maal bada hi dilfaraib hai. Jo dili qana’at ke sath usay haasil kare is main barkat daal di jati hai aur jo isay Tamaa’-o-Laalach ke sath haasil kare to is se barkat uthaa li jaati hai. Woh is shakhs ki tarhan ho jaata hai jo khaata hai aur kabhi sair nahi hota.
Yaad rakho, Dainay waala haath lainay waalay haath se behtar hota hai.
Jab hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ne Rasool Allah ﷺ se yeh baat suni to arz kya ya Rasool Allah ﷺ mujhe qasam us zaat ki jis ne aap ko haq ka payamabar bana kar bheja, Aaj ke baad main kisi se kuch nahi maangoon ga. Aur zindagi bhar kisi se koi mutaalaba nahi karoon ga.
Hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ne yeh qasam poori kar dikhaayi.
Hazrat Abu Bakar Seddique رضی اللہ عنہ ne apne Dor-e-Khilafat main kayi martaba bait ul Maal se hissa dainay ke liye Hazrat Hakeem bin Hizam ko bulaaya lekin unhon ne apna hissa lainay se inkaar kar diya.
Hazrat Farooq-e-Azam رضی اللہ عنہ ne bait ul Maal se hissa dainay ke liye inhen bulaaya lekin unhon ne lainay se inkaar kar diya yahan tak keh Farooq-e-Azam رضی اللہ عنہ ne irshaad farmaya:
Logo! Gawah rehna keh main ne baar baar Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ ko bait ul Maal main se apna hissa lainay ke liye bulaaya lekin us ne har baar apna hissa lainay se inkaar kar diya. Hazrat Hakeem bin Hizam رضی اللہ عنہ Zindagi main apne is muaqqaf par datay rahay kisi se kuch nah maanga agar kisi khalifah ne kuch dainay ki koshish ki to aap ne usay qubool karne se inkaar kar diya aur isi haalat main apne Khaaliq-e-Haqeeqi se jaa milay.
Woh Allah pay raazi aur Allah un par raazi.
Hazrat Hakeem Bin Hizam رضی اللہ عنہ kay mufassal Halaat-e-Zindagi maaloom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaala kijye:
1: Al Istiaab 1/368
2: Al Isaabah 1/367
3: Al Milal Wal Nihal 1/27
4: Al Tabaqat ul Kubraa 1/26
5: Siar-o-Aalam-e-Al Nubalaa 3/164
6: Zuamaa-ul-Islaam 1/121
7: Humat-ul-Islam 1/121
8: Tarikh-ul-Khulafa 126
9: Al Safwah 1/319
10: Al Maarif 2/92-93
11: Usd ul Ghabah 2/9-15
12: Muhazarat-ul-Udabaa 4/478
13: Murooj-ul-Zahab 2/302
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.