Search
Sections
< All Topics
Print

06. Zainab Binte Ali (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) [Grand Daughter]

 Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه

 

Sawal: Rasool-ul–e-Aqdas ﷺ ki is nawaasi ka naam bataa dijiye jo apni kuniat Umm-e-Masaaib ke naam se mashhoor huien?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه Huzoor ﷺ ki nawasi theen jo dukhon aur Masaaib-o-Alaam ki wajah se Umm-e-Masaaib ke naam se mashhoor huien.

(Tazkaar-e-Sahabiat. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. An Hazrat ﷺ ki sahbzadyiaan )

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه kab aur kahan peda huien?

Jawab: Aksar morkheen is baat par muttafiq hain keh Sayyidah Hazrat Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه 5 jamadi al-Awwal 6 hjri ko Madinah Munawara mein peda huien. Taham mustand riwayaat ke mutabiq aap jamadi al-Awwal 5 hjri mein peda huien.

(Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Tabqaat Ibn-e-S’aad )

Sawal: Hazrat Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka nasab waalid ki taraf se kya tha?

Jawab: Rasool-ul-Allah ﷺ ki nawasi Sayyidah Zainab رضى الله عنها Sher-e-Khuda hazrat Ali رضى الله عنه  aur Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ki sahabzaadi theen. Aap ka nasab waalid ki taraf se yeh hai: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه bin Abi Taalib رضى الله عنه bin Abd-ul-Muttalib رضى الله عنه bin Hashim.

( Ansab-ul-Ashraf. Nasab-e-Quraish. Tabqaat. Usd-ul-Ghabah. Siarat Ibn-e-Hisham )

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها bin Ali رضي الله عنه ka nasab waalida ki taraf se bataa dijiye?

Jawab: Aap Khatoon-e-Jannat Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ki Sahabzaadi hain. Waalida ki taraf se nasb is tarhan se hai: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Sayyidah Fatima رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abd-ul-Muttalib bin Hashim.

(Ansab-ul-Ashraf. Nasab-e-Quraish. Tabqaat. Usd-ul- Al-Ghabah. Siarat Ibn-e-Ishaq )

Sawal: Bataaiye hazrat Ali رضي الله عنه ki beti Sayyidah Zainab رضى الله عنها ko Rasool-ul-Allah ﷺ ne sab se pehlay kab aur kahan dekha tha?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Madeenay mein jab peda huien to Sarkaar-e-Do A’alaam ﷺ is waqt Madeenay se baahar thay. Teen din baad aap tashreef laaye to sab se pehlay Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ke ghar gaye us bachi ko goad mein liya. Phir Dahan-e-Mubarak mein khajoor chabai aur Luaab-e-Mubarak bachi ke mun mein daala. “

(Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Huzoor ﷺ ki nawaasi theen un ke daada aur daadi kon thay?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke daada janaab Abu Taalib aur daadi hazrat Fatima Bint-e-Asad theen.

(Zaad-ul-Ma’ad. Tabqaat. An Hazrat ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Muhammad Arbi ﷺ incylopedia)

Sawal: Betaye Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka naam kis ne rakha tha?

Jawab: Rasool-ul-Allah ﷺ ne is bachi ko paidaiesh ke teesray roz goad mein le kar piyaar kia aur is ka naam Zainab رضى الله عنها rakha.

Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )

Sawal: Sayyid-ul-Anbiya ﷺ ne Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ko goad mein le kar kya farmaya?

Jawab: Aap ne apni nawasi Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ko goad mein le kar farmaya: “ Yeh hum Shabeeh-e-Khadija رضى الله عنها hai.” Yaani is ki shakal apni naani Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها se mushabih hai.

(Tazkaar-e-Sahabiat. Tabqaat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )

Sawal: Yeh baataiye keh Zainab رضى الله عنها Bint-e-Kubraa kon theen?

Jawab: Aap Rasool-ul-Allah ﷺ ki nawasi aur hazrat Ali رضى الله عنه aur Hazrat Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ki Sahabzaadi theen. Un ki kuniat Umm-ul-Masaaib thi. Riwaayat hai keh un ki kuniat Umm-eAl-Hasan ya Umm-e-Kulsoom thi. Waqea karbalaa ke baad Umm-al-Masaaib mashhoor hogayi.

(Tazkaar-e-Sahabiat. – Daaira Ma’arif-e-Islamiyah. Tareekh-e-Tabari )

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke chand mashhoor alqaab bataa dijiye?

Jawab: Umm-ul-Masaaib Sayyidah Zainab Kubraa رضى الله عنها ke chand alqaab yeh hain: Nai`bat-ul-Zahra, Razia Bilqadar-e-Wal Qazaa, Fasiha , Baligha , Zahida-o-Fazilah, Alima-o-Abidah, Aqilah-e-kamilah Shareekat-ul-Husain, Namoos-ul-Kubraa, Siddiqah Al-Sughra, Shuja’a, Mahboobat-ul-Mustufa, Maossaqah, Waliyaht-ul-Allah, Ka’baht-ul-Zaraaya, Qurrat-o-Ain-e-al-Murtaza, Amniyaht-ul-Allah aur khatoon-e-karbalaa.

(Tazkaar-e-Sahabiat. Isti’yaab, Isaabah, Usd-ul-Ghabah. Tareekh-e-Tabri)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke bhaaiyon ka naam bata degiye jo Rasool-ul-Allah ﷺ ko be-had aziz thay?

Jawab: Jawanaan-e-Jannat ke sardaar Sayyiduna Hasan رضى الله عنه aur Sayyiduna Hussain رضى الله عنه Shaheed-e-Karbalaa. Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke haqeeqi baday bhai thay.

(Siarat-e-Halbiyah. Siarat-ul-Nabi ﷺ Uswa-e-Sahaabiyat. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib)

Sawal: Hasnain kareemain رضی اللہ عنہم aur Sayyidah Umamah رضى الله عنها ke ilawa Huzoor ﷺ ki aur kon si nawasi aap ke kaandhon par sawaar hoti theen?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه bhi Rasool-e-Rahmat ﷺ ko bohat piyaari theen. Kayi martaba hazraat Hussain رضى الله عنہم ki tarrhan woh bhi Huzoor ﷺ ke dosh mubarak par sawaar huien.

(Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. -Usd-ul-Ghabah. Isti’yaab)

Sawal: Bataaiye Hajjat-ul-Widah ke mauqa par kon si nawasi Rasool-ul-Allah ﷺ ke sath theen?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه Hajjata al-Widah ke mauqa par Huzoor ﷺ ke sath theen. Us waqt un ki umar paanch ( 5 ) saal thi aur yeh Makkay ki taraf aap ka pehla safar tha.

(Tabqaat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Isti’yaab)

Sawal: Jab Rasool-ul-Allah ﷺ ne wafaat payi to Sayyidah Zainab Bint-e-Ali رضى الله عنه ki umar kitni thi?

Jawab: 11 hjri mein Sardaar-e-Do jahan ﷺ ke wisal ke waqt Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ki umar chay ( 6 ) saal thi. Wisaal ke waqt Huzoor ﷺ ne apni Lakht-e-Jigar Sayyidah Fatima رضى الله عنها se farmaaaya keh apne bachon ko bulaao. Woh bachon ko Huzoor ﷺ ke paas le gayeen. Bachon ne naana ko be chain dekha to ronay lagay. Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه Huzoor ﷺ ke seenay mubarak par sar rakh kar ronay lageen. Sarkaar-e-Do aalam ﷺ ne un ki peshaani choomi aur dilaasa diya.

( Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah)

Sawal: Sayyidah Fatima al-Zahrah رضى الله عنها ne intqaal se pehlay Sayyidah Zainab رضى الله عنها ko kis ke sapurd kia?

Jawab: Rasool-ul-Allah ﷺ ki rehlat ke chay mah baad Sayyidah Fatima رضى الله عنها ka wisaal ho gaya. Intqaal se pehlay aap ne dono behnon Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur Sayyidah Zainab رضى الله عنها ko un ke bhaaiyon ( Hussain رضى الله عنه jo khud abhi bachay thay ) aur Sayyiduna Ali رضى الله عنه ke sapurd kia.

(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib Siar Al-Sahabiyat. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan )

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها ne bachpan An Hazrat ﷺ aur Sayyidah Fatima رضى الله عنها ki Aagosh-e-Tarbiyat mein guzaraa Sayyidah Fatima رضى الله عنها ne intqaal ke baad Sayyid na Ali رضى الله عنه  ne kya intizaam kia?

Jawab: Hazrat Ali رضي الله عنه ne apne bachon ki tarbiyat ka kaam khud sambhala aur phir kuch arsay ke baad un ki nigraani ke liye Umm-ul-Nabiyeen Bint-e-Hizaam Kalabiya se nikah kar liya aur yeh zimma daari un ko somp di.

( Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib )

Sawal: Hazrat Ali رضي الله عنه ki Sahabzaadi Sayyidah Zainab رضى الله عنها ke liye sab se pehlay kis ne nikah ka peghaam bheja tha?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke liye sab se pehlay qabeela Kindah ke Raees Ash’as bin Qais ne nikah ka peghaam bheja tha. Hazrat Ali رضي الله عنه ne kisi wajah se inkaar kar dia.

( Tazkaar-e-Sahabiat. Uswa-e-Sahaaba. Siar Al-Sahabiyat. Tabqaat – Tareekh-e-Tabri )

Sawal: Betaaye Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke liye doosri martaba nikah ka peghaam kis ne diya tha?

Jawab: Hazrat Ali رضي الله عنه ke bhateejay aur hazrat Ja’ffar Tayar رضى الله عنه bin Abu Taalib ke betay hazrat Abdullah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه ne apne chacha Ali رضي الله عنه se Sayyidah Zainab رضى الله عنها ka rishta maanga. Sayyiduna Hazrat Ali رضي الله عنه ne un ki darkhwast qubool farmaai. Sarwar-e-Aalam ﷺ ne khud hazrat Abdullah رضى الله عنه ki tarbiyat aur parwarish farmaai thi. (Aur Huzoor-e-Aqdas ﷺ ke wisaal ke baad hazrat Ali رضي الله عنه un ke Nigraan-o-Sar parast thay ).

( Tabqaat. Siar Al-Sahabiyat. Sahaba-e-Kiraam incylopedia. Isaabah. Usd-ul-Ghabah)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka nikah kab aur kaisay hua?

Jawab: Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ke Dor-e-Khilafat mein Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka nikah hua. Khandan ke chand bazurg hazrat Abdullah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه ko le kar masjid mein aa gaye aur Sayyiduna Ali رضي الله عنه ne Sayyidah Zainab رضى الله عنها se nikah padha diya.

(Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tazkaar-e-Sahabiat )

Sawal: Bataaiye nikah ke waqt Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنها ki umar kia thi?

Jawab: Us waqt Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ki umar bah Ikhtilaaf-e-Riwayaat giyarah ya terah saal thi. Nikah ke baad khandan ki aurtain inhen khud hazrat Abdulallah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه ke ghar pohncha kar aayen.

( Tabqaat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tazkaar-e-Sahabiat)

Sawal: Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ki sahabzaadi Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ka meher kitna muqarrar kia gaya tha?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها ke meher ke baaray mein morkheen wa Siarat nigaaron mein ikhtilaaf hai. Baaz ne 480 darham bataaye hain aur baaz ne chalees hazaar. Hazrat Abdulllah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه taajir thay aur un ki maali hesiyat bohat achi thi .

( Tabqaat. Isaabah. Usd-ul- Ghabah. Isti’yaab )

Sawal: Hazrat Abdulllah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه ne apni zaoja Sayyidah Zainab Bint-e-Ali رضى الله عنه ke baaray mein kya kaha tha?

Jawab: Unhon ne kaha tha: “Zainab رضى الله عنها behtareen ghar wali hai.” Sayyidah apne shohar ki be had khidmat karti theen. Ghar mein londiyan aur khaadim thay magar ghar ka kaam kaaj apne hathon se karti theen.

(Isaabah. Tabqaat. -Usd-ul-Ghabah. Isti’yaab)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke chand khasaayel bayaan kar dijiye?

Jawab: Aap Ilm-o-Fazl mein nah sirf bano Hashim balkay tamaam Quraish mein be-misal theen. Zuhad-o-Taqwa, Fahem-o-Faraasat, Haq-goi, Ismat-o-Iffat, Ibaadat-o-Riyaazat mein buland maqaam rakhti theen. Fasaahat-o-Balaaghat aur Zor-e-Bayaan Sayyiduna Ali رضى الله عنه se wirsay mein mila tha. Daraaz qad aur mutanaasib jism ke sath khubsoorat khatoon theen. Nana ﷺ ki tarhan jalaal chehray se jhalakta tha aur chaal dhaal mein Waqaar-e-Haidari tha. Jod-o-Sakhaa aur Narmi-o-Shafqat tabiyat khaas thi. Sabr-o-Qana’at, Saadgi aur Mehnat-o-Mushaqqat ki aadi theen.

(Isaabah. Tabqaat. Siar Al-Sahabiyat. Tazkaar-e-Sahabiat)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه aik badi Aalimah-o-Faazilah theen. Aap ne Dars-o-Tadrees ka kaam kahan se shuru kya?

Jawab: 37 hjri mein Sayyiduna Ali رضى الله عنه ne Daar-ul-Khilafah Madinah se Koofa muntaqil kia to hazrat Abdullah رضى الله عنه bin Ja’ffar رضى الله عنه aur Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه bhi Madeenay se koofa aa gaye. Yahan aap ne Dars-o-Tadrees aur Waa’z-o-Nasihat ke kaam ka aaghaz kia.

(Tareekh-e-Tabri. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )

Sawal: Bataaiye Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ko no jawaani mein sab se pehla sadma kya bardasht karna pada?

Jawab: Ramazan-ul-Mubaarak 40 hjri mein hazrat Ali رضى الله عنه koofa ki masjid mein Haalat-e-Namaz mein shadeed zakhmi kar diye gaye. 21 Ramazan-ul-Mubaarak ko aap ne shahaadat paayi. Yeh Sayyidah ke liye bohat bada sadma tha. Aap ko Abdul Rahman bin Maljam ne shaheed kia tha.

(Tabqaat. Siarat Ibn-e-Hisham. Sahaba-e-Kiraam incylopedia. Siar Al-Sahabiyat. Khulfa-e-Rashdeen)

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke liye doosra bada sadma kon sa tha ?

Jawab: Waalid ki shahaadat ke baad 49 ya 50 hjri mein Sayyidah Zainab رضى الله عنها ko apne haqeeqi baday bhai Sayyiduna Hasan رضى الله عنه ki shahaadat ka dukh bhi bardaasht karna pada is doraan Sayyidah apne shohar aur bachon ke saath Madinah Munawara mein rahaaish pazeer theen.

(Tareekh-e-Islaam. -Tareekh-e-Tabari. Isti’yaab. Al-Bidaayah wal-Nihayah )

Sawal: Bataaiye Sayyidah Zainab رضى الله عنها ke Ahl-e-Khanah mein se kon un ke sath koofay gaye?

Jawab: Hazrat Zainab رضى الله عنها ke do kam sin farzand A’un رضى الله عنه aur Muhammad رضى الله عنه Sayyidah ke saath thay. Hazrat Abdullah رضى الله عنه bin Ja’ffar agarchay sath nahi gaye lekin unhon ne Sayyidah aur bachon ko jaane ki ijaazat day di.

(Tazkaar-e-Sahabiat. Tabqaat. Isaabah. Tareekh-e-Tabari )

Sawal: Waqiea karbalaa kab paish aaya aur Sayyida Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ke khandan ke kon se afraad is mein shaheed hue?

Jawab: Waqiea karbalaa 10 Muharam 16 hjri mein paish aaya. Sayyida Zainab رضى الله عنها ke bhai Sayyiduna Husain رضى الله عنه ke ilaawah un ke bhateejay aur betay aur bohat se doosray saathi shaheed ho gaye.

(Tareekh-e-Islaam. Tabqaat.Tareekh-e-Tabari. Siarat Ibn-Hisham )


Sawal: 9 aur 10 Muharam ki raat Sayyiduna Imaam Hussain رضى الله عنه ne chand I’brat angaiz ashaar padhay to Sayyidah Zainab رضى الله عنها anha ne kya farmaaya?

Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه par riqq’at taari ho gai aur farmaaya: “Aey kaash aaj ka din dekhne ke liye main aaj zindah na hoti. Haay mere Nana ﷺ, Meri maa رضى الله عنها, Mere baap رضى الله عنه , Aur mere bhaai Hasan رضى الله عنه sab mujh ko chod gaye, Aey bhaai! Allah ke baad hamaara sahaara aap hi hain. Ham aap ke begher zindah kese rahein gay.”

(Tabqaat. Isaabah. Siarat Ibn Hisham. Tazkaar-e-Sahabiat)

Sawal: Sayyiduna Imaam Hussain رضى الله عنه ne Sayyidah Zainab رضى الله عنها ko sabar ki talqeen ki to aap ne kya jawab diya?

Jawab: Aap ne rotay hue arz ki: “Mere maa jaye, Aap ke badlay main apni jaan dena chahti hoon.”

( Tabqaat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Siarat Ibn-e-Hisham. Tareekh-e-Tabari )

Sawal: Sayyiduna Hussain رضى الله عنه ne apni behen ki dildoz baatein sun kar kya farmaya?

Jawab: Aap ne behen Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ko tasalli dete hue farmaya: “Aey behan sabar karo, Khuda se taskeen haasil karo. siwaye Khuda ki zaat ke saari kaainaat faani hai. Hamaray liye hamaray nana khar-ul-Khalaaiq ki Zaat-e-Aqdas behtareen namuna hai. Tum unhen ke Uswah-e-Hasna ki pairwi karna. Aey behan! Tumhe Khuda ki qasam hai agar mein Raah-e-Haq mein kaam aa jaoon to mere maatam mein girebaan nah phaadna. chehray ko nah nochna. Aur bain nah karna.”

(Tabqaat Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Siarat Ibn-e-Hisham. Tareekh-e-Islaam )

Sawal: 10 Muharam ko Ahl-e-Bait ke kon kon se Farzandaan-e-Kiraam shaheed hue?

Jawab: Hazrat Ali Akbar bin Hussain رضى الله عنه, Abdulllah bin Muslim bin Aqeel رضى الله عنه, Ahmad bin hasan رضى الله عنه, Abu Bakar Abdullah bin hasan رضى الله عنه, Ja’ffar bin Aqeel رضى الله عنه, Umar bin Ali رضي الله عنه, Usman bin Ali رضي الله عنه phir Sayyidah Zainab رضى الله عنها ke nokhaiz farzandon A’un aur Muhammad ne Jaam-e-Shahadat nosh kia. Abbas رضى الله عنه bin Ali رضي الله عنه shaheed hue aur aakhir mein Sayyiduna Imaam Hussain رضى الله عنه ne Shahadat-e-Uzma qubool kar ke jannat makani ki. Chand bachay aur khawateen ke ilawa hazrat Zain Al-Abideen رضى الله عنه bin Hussain رضى الله عنه jo bemaar thay zindah bachay. Un ko Shami fouj ne aseer kar liya. Sayyiduna Hussain رضى الله عنه ka jism ghodon ke simo talay roond diya gaya.

(Tareekh-e-Tabri. Tareekh-e-Islaam. Siarat Ibn-e-Hisham. Siarat Ibn-e-Ishaq )

Sawal: 12 Muharam 16 hjri ko pasmaandgaan ko koofa rawana kia gaya. Jab aseeron ka yeh qaafla Shohda-e-Karbalaa ke qareeb se guzra to Sayyidah ne Fart-e-Gham se nidhaal ho kar kya farmaya?

Jawab: Aey Muhammad ﷺ aayie, Dekhiye aap ke Hussain رضى الله عنه ka khoon alood laasha chtail maidaan mein pada hai. Us ka jism tukde tukde kar diya gaya hai. Aap ke gharaane ki larkiyan rassiyon mein jakdi hoti hain. Aap ki zurriyat qatal kar ke rait par bichaa di gayi hai. Aur is par khaak ud rahi hai. Aey mere nana! Yeh aap ki aulaad hai jisay hankaaya jaa raha hai. Zara Hussain رضى الله عنه ko dekhiye. Is ka sar kaat liya gaya hai. Is ka amaamh aur chaadar cheen li gayi hai.

(Tareekh-e-Tabari. Tabqaat. Tazkaar-e-Sahabiat. Siarat Ibn-e-Hisham )

Sawal: Jab Sayyidah ka qaafla koofa pouncha to aap ne logon se kya farmaya?

Jawab: Aseeron ka luta hua qaafla koofa pouncha to hazaaron Koofi unhen dekhnay ke liye ikatthay ho gaye. Hujhoom ko dekh kar Sher-e-Khuda ki beti ne kaha: “Logo! Apni nazrain neechi rakho, Yeh Muhammad Rasool-ul-Allah ﷺ ki luti hui aulaad hai. Phir Allah Ta’alaa ki Hamd-o-Sana ke baad Ibrat angaiz khutba dete hue farmaya: “Aey Koofio. Aey mamkaaro. Aey Ahd shikno.” Apni zabaan se phir jaane walo. Khuda kare tumhaari aankhen hamesha roti rahen. Tumhaari misaal un aurton ki si hai jo khud hi soot kaat’ti aur phir khud hi tukde kar deti hain. Tum ne khud hi mere bhaai se Rishta-e-Bai’t joda aur khud hi tod diya. Tumhaaray dilon mein khot aur keena hai. tumhaari fitrat mein jhoot aur dagha hai. khoshamad, Shekhi khori aur Ahed shikni tumhaaray khameer mein hai. Tum ne jo kuch aagay bheja hai woh bohat bura hai. Tum ne khair-ul-Bashar ke farzand ko jo jawanon ke sardaar hain. Qatal kia hai, Khuda ka qeher tumhaara intzaar kar raha hai. Aey Koofa waalo! Tum ne aik bohat baday gunah ka irtikaab kia hai. Jo mun bigaarnay waala aur museebat mein mubtala kar dainay waala hai. Yaad rakho tumhaara Rab na farmaanon ki taaq mein hai. Us ke haan der hai andher nahi.

(Tareekh-e-Tabari. Tareekh Ibn-e-Khaldun. Tabqaat. Usd-ul -Ghabah)

Sawal: Doosray din Asiraan-e-Ahl-e-Bait ko Koofa ke gawarner Ibn-e-Ziyaad ke saamnay paish kia gaya aur phir Dimashq Yazid ke darbaar mein bhaij diya gaya. Sayyidah رضى الله عنها ne Yazid aur us ke darbaariyon ke saamnay kya khutba diya?

Jawab: Allah ki Hamd-o-Sana ke baad Sayyidah Zainab رضى الله عنها farmaaya: “Aey Yazid! Halaat-o-Afaat zamaane ne mujhe tum se mukhaatib honay par majboor kar diya. Yaad rakh Rab-ul-Izzat ham ko ziyada der is haal mein nah rakhay ga. Hamaaray maqasid ko zaaya nah kare ga. Tu ne hamein nuqsaan nahi pohnchaaya apne aap ko pohnchaaya hai. Aah tairay aadmion ne dosh-e-Rasool ﷺ ke sawaar aur us ke bhaaiyon aur farzandon aur saathiyon ko nihaayat be dardi se zibah kar diya hai. Unhon ne Ahl-e-Bait ki pardah nasheen aurton ki be hurmati ki. Aey kash to is waqt Shaheedan-e-Karbalaa ko dekh sakta to apni saari Doulat-o-Hashmat ke badlay un ke pehlu mein khada hona pasand karta. Ham anqareeb apne nana ki khidmat mein haazir ho kar un masaaib ko bayaan karen ge jo tairay be dard haathon se hamein pohnche hain aur yeh us jagah hoga jahan Aulaad-e-Rasool ﷺ aur us ke saathi jama’ hon ge. Un ke chehron ka khoon aur jismon ki khaak ki saaf ki jaye gi. Wahan zaalimon se badla liya jaaye ga Hussain رضى الله عنه aur un ke saathi maray hain apne khaaliq ke paas zindah hain. Aur wahi un ke liye kaafi hain. Woh Aadil-e-Haqeeqi, Nabi ki aulaad aur un ke sathiyon ko qatal karne waalon se zaroor badla le ga. Wahi hamaari umeed gaah hai aur usi se ham faryaad karte hain.”

(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Tabqaat. Tareekh-e-Tabri. tareekh-e-Islaam. Isti’yaab )

Sawal: Betaaye Yazid ne Sayyidah Zainab رضى الله عنها aur doosray Ahl-e-Bait ke sath kya sulook kia?

Jawab: Usay dar tha keh kahin log Khandaan-e-Nubuwat ki himaayat mein nah uth khaday hon. Us ne Ahl-e-Bait ko apne khaas haram siraa mein thehraaya aur un ki dil joi ki. Chand din baad us ne Qaafla Ahl-e-Bait ko hazrat No’man رضى الله عنه bin Basheer Ansari رضى الله عنه ki hifaazat mein Madinah rawaana kar diya. Hazrat No’man رضى الله عنه bin ban Basheer Ansari ne raastay mein un ka har tarhan se khayaal rakha.

(Sahaba-e-Kiraam incylopedia. Usd-ul-Ghabah. Isaabah. Siarat Ibn-e-Hisham )

Sawal: Madinah pohnche to Ahl-e-Bait ne hazrat No’man رضى الله عنه bin Basheer ko kya paish kash ki?

Jawab: Hazrat No’man رضى الله عنه bin ban Basheer Ansari ke Husan-e-Sulook par Sayyidah Zainab رضى الله عنها aur Fatima رضى الله عنها ne unhen apni choodian utaar kar paish keen aur ma’zrat ki ke is waqt hamaaray paas aur kuch nahi keh aap ki khidmat ka muawza day saken. Unhon ne choodian wapis kar deen.

(Sahaba-e-Kiraam incylopedia. Usd-ul-Ghabah. Isaabah. Siarat Ibn-e-Hisham )

Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها ne nana jaan ke Roza-e-Aqdas par haazri day kar kya faryaad ki?

Jawab: Roza-e-Aqdas par haazir huien to Sayyidah Zainab رضى الله عنها ne aansu-on ki zubaan mein arz ki: “Aey mere piyaare nana jaan! Mein aap ke farzand aur apne bhai ki shahaadat ki khabar laayi hoon. Aap ki aulaad ko rassiyon se bandh kar Koofa aur Dimashq ki galiyo mein phiraaya gaya.” Phir woh apni waalida Sayyidah Fatima al-Zahrah رضى الله عنها ki qabar par gayeen baday dukh se kefiyat bayaan ki.

(Tabqaat – Usd-ul -Ghabah. Siarat Ibn-e-Hisham. Tareekh-e-Tabari )

Sawal: Waqiea-e-Karbalaa ke baad Sayyida Zainab رضى الله عنها ne kis andaaz se zindagi guzaari?

Jawab: Aap ne khandan ke doosray logon se mil kar Daastaan-e-Gham sunaai aur unhen sabar ki talqeen ki. Kaha jaata hai keh karbalaa se wapis aanay ke baad kisi ne un ke chehray par muskuraahat nahi dekhi.

(Tabqaat. Siar Al-Sahabiyat. Uswa-e-Sahaaba. Tazkaar-e-Sahabiat )

Sawal: Btayaae Sayyida Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه ne kab aur kahan wafaat paayi?

Jawab: Unhon ne 15 Rajab 62 hjri mein Madinah Munawara mein wafaat paayi aur jannat Al-Baqee mein dafan huien. Doosri riwaayat ke mutaabiq apne shohar hazrat Abdullah bin Ja’ffar رضى الله عنه ke sath Shaam chali gayi theen. Dimashq ke paas hazrat Abdullah رضى الله عنه ki kuch zameenen theen. Wahin tayaar huien aur intqaal farmaaya. Aik riwaayat yeh bhi hai keh Sayyidah Madinah mein apne gham aur karbalaa ke masaaib logon ko dard angaiz andaaz se sonaati theen. Log mutaasir hotay aur Aulaad-e-Rasool ﷺ ki himaayat ke jazbaat peda hotay gaye. Aamil-e-Madinah ne is ki ittila Yazid ko di. Us ne hukam diya ke Zainab رضى الله عنها ko kisi doosray sheher bhaij do. Hazrat Zainab رضى الله عنها pehlay to razaamand na hoieen phir khair khwahon ke samjhaane par maan gaeen. Hazrat Sakina رضى الله عنها-o-Fatima رضى الله عنها-o-Banat-e-Hussain aur kuch doosray Azeezon ke hamrah Misar chali gayeen. Wahan ke waali hazrat Maslamah رضى الله عنه bin Makhlad Ansari ne Izzat-o-Takreem se Daar-ul-Iqaamah mein thehraaya. Taqreeban aik saal baad 63 hjri mein Sayyidah ne wahein intqaal farmaaya. Dimashq aur Qahira dono jaghon par un ke mazaraat mojood hain.

 

( Isaabah. Tabqaat. Tareekh-e-Tabari. Daair-e-Mu’arif Islamiyah – Usd-ul-Ghabah )
REFERENCE:
Book: “Azwaaj Mutahiraat wa Sahaabiyaat Encyclopedia”
Mouleef Dr. Zulfikhaar Kaazim.
Table of Contents