Search
Sections
< All Topics
Print

03. Aik Sache ladke ka Waqiya.

*AIK SACHAY LARKAY KA WAQEAA*

 

Mashhoor Aalam Rabbani Hazrat Sheikh AbdullQadir Jelani (رحم الله) farmatay hain:

”Main ne apni zindagi ki shuruvaat hi sachaai se ki, woh is tarhan keh main husool ilm ki khatir Jeelan se Baghdad chal para, meri walida ne mujhe akhrajaat ke liye chalees dinar diye aur mujh se har haal mein sach bolnay ka wada liya, jab hum Hmdan ki sarzamen mein puhanchay to dakuon ki aik jamaat ne hum par hamla kar ke saaray qaafley walon ko loot liya, aik daku meray paas aaya aur poocha”:

”Tairay paas kya hai”?

Main ne kaha:

”Meray paas chalees dinar hain” is ne samjha main is ke sath mazaaq kar raha hon, woh mujhe chor kar nikal gaya, doosra aaya, is ne bhi wohi sawal kiya, main ne usay bhi wohi jawab diya, woh mujhe le kar apnay sardar ke paas aaya, is ne mujh se poocha, to main ne wohi jawab diya aur sath hi woh jagah bhi batla di jahan yeh dinar silay hue thay” dakuon ke sardar ne mujh se poocha:

“Tum ne sach kyun kaha”? Main ne kaha:

”Meri maa ne chaltay waqt mujhse ehd lia tha keh main har haal mein sach kahun, agar main jhoot Kehta to meri maa ke sath kiye hue ehad ki khayanat ho jati” meri baat sun kar sardar par riqqt taari hui aur is ne apna sir pait liya aur kapray phaar liye aur cheekh kar kaha:

” Aik tu hai keh apni maa se kiye hue ehad ki khilaaf warzi karnay se darta hai aur aik main hon keh Allah Ta’alaa ke ehad mein khayanat kartay hue nahi darta”?

Phir is ne looti hui cheezon ko wapas karnay ka hukam diya aur kaha:

” Main aaj se is payshay se aap ke haath par tobah karta hon, yeh dekh kar is ke sathiyon ne kaha:

” Tu aaj tak dakay mein hamara sardar tha aur aaj tobah mein bhi hamara sardar ban gaya, ghrzikah tamam daku sachaai ki barkat se nekokar ban gaye”.

 

( تربیتہ الأولاد فی الا اسلام )

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”
Bachchon Ki Ta’leem Wa Tarbiyat (Part 3/3) | Shaykh Abu Zaid Zameer

ایک سچے لڑکے کا واقعہ

 

مشہور عالمِ ربّانی شیخ عبد القادر جیلانی رحمۃ اﷲ علیہ فرماتے ہیں :”میں نے اپنی زندگی کی شروعات ہی سچائی سے کی، وہ اس طرح کہ میں حصولِ علم کی خاطر جیلان سے بغداد چل پڑا، میری والدہ نے مجھے اخراجات کیلئے چالیس دینار دئے اور مجھ سے ہر حال میں سچ بولنے کا وعدہ لیا، جب ہم ہمدان کی سر زمین میں پہنچے تو ڈاکوؤں کی ایک جماعت نے ہم پر حملہ کرکے سارے قافلے والوں کو لوٹ لیا ایک ڈاکو میرے پاس آیا اور پوچھا : “تیرے پاس کیا ہے ؟ میں نے کہا : “میرے پاس چالیس دینار ہیں”اس نے سمجھا میں اس کے ساتھ مذاق کررہا ہوں، وہ مجھے چھوڑ کر نکل گیا، دوسرا آیا، اس نے بھی وہی سوال کیا، میں نے اسے بھی وہی جواب دیا، وہ مجھے لے کر اپنے سردار کے پاس آیا، اس نے مجھ سے پوچھا، تو میں نے وہی جواب دیا اور ساتھ ہی وہ جگہ بھی بتلادی جہاں یہ دینار سلے ہوئے تھے، ڈاکوؤں کے سردار نے مجھ سے پوچھا : ” تم نے سچ کیوں کہا ؟ میں نے کہا :” میری ماں نے چلتے وقت مجھ سے عہد لیا تھا کہ میں ہرحال میں سچ کہوں، اگر میں جھوٹ کہتا تو میری ماں کے ساتھ کئے ہوئے عہد کی خیانت ہوجاتی “میری بات سن کر سردار پر رقّت طاری ہوئی اور اس نے اپنا سر پیٹ لیا اور چیخ کر کہا : ” ایک تو ہے جو اپنی ماں سے کئے ہوئے عہد کی خلاف ورزی کرنے سے ڈرتا ہے اور ایک میں ہوں کہ اﷲکے عہد میں خیانت کرتے ہوئے نہیں ڈرتا ؟ پھر اس نے لوٹی ہوئی چیزوں کو واپس کرنے کا حکم دیا اور کہا : “میں آج سے اس پیشے سے آپکے ہاتھ پر توبہ کرتا ہوں ” یہ دیکھ کر اس کے ساتھیوں نے کہا :” اگر تو آج تک ڈاکہ زنی میں ہمارا سردار تھا توآج توبہ میں بھی ہمارا سردار بن گیا” غرضیکہ تمام ڈاکو آپ کی سچائی کی برکت سے نکوکار بن گئے”۔( تربیۃ الأولاد فی الإسلام)



حواله جات : 

كتاب :  “اولاد كى اسلامى تربيت”
محمد انور محمدقاسم السّلفی

 

 

Table of Contents