Search
Sections
< All Topics
Print

09. Padosiyoun kay huqooq.

*PAROSIYOON KE HAQOOQ*

 

Qaraabat daar ki tarhan parosi ka bhi bara haq hai, kyunkay yeh insaan ke zair saya rehta hai, is ke sath is ka ziyada tar aamna saamna, baithna uthna aur salam o dua hoti rehti hai :

“Haq mera bhi hai tujh par keh main tera parosi hon rehta hon teray ghar se kuch paas ki sarhad par”

Isi liye islam aur paighambar islam Janab Mohammad (ﷺ) ne musalmanoon ko parosi ke haqooq ki barri takeed ki hai.

 

Allah Ta’alaa ka farmaan hai :

 

﴿ وَاعْبُدُوا اللهَ وَلَا تُشْرِكُوا بِهِ شَيْئًا وَبِالْوَالِدَيْنِ إِحْسَانًا وَّ بِذِي الْقُرْبَى وَالْيَتْمَى وَالْمَسَاكِينِ وَالْجَارِ ذِي الْقُرْبَى وَالْجَارِ الْجُنُبِ وَالصَّاحِبِ بِالْجَنبِ وَابْنِ السَّبِيلِ وَمَا مَلَكَتُ أَيْمَانُكُمُ (النساء : 36)

 

“Allah ki ibadat karo aur is ke sath kisi ko shareek nah tehrao, walidain, qaraabat daaron, yatimon, maskeeno, qaraabat daar parosi, ajnabi parosi aur pehlu ke parosi aur musafir aur apnay ghulamoo o londiyon ke sath husan sulooq karo.”

 

Is aayat mein Allah Ta’alaa ne teen tarhan ke parosion ka tazkira farmaaya hai :

 

“1. Rishta daar parosi : yeh teen tarhan se husan sulooq ka haq daar hai : 1) parosi honay ki wajah se 2 ) qaraabat daari ki wajah se. 3 ) musalman honay ki wajah se .”

2 ) Ajnabi parosi = jis se aadmi ki koi rishta daari nah ho, agar woh musalman hai to Dohray husan salooq ka mustahiq hai, 1) muslaman honay ke sabab. 2) parosi honay ke natay.

3) Pehlu ka parosi= aisa parosi jo har achay kam mein muawnat karta ho, parosi garchay ghair muslim bhi kyun nah ho islam ne us ke sath naik salooq karnay ka hukam dia hai aur is mamalay mein mulim-o-ghair muslim ki koi tameez nahi ki hai .

 

Aap (ﷺ) ne be shumaar ahadees mein parosiyoon ke sath acha bartao karnay ki hidayat farmai hai.

1 Aap (ﷺ) farmatay hain :

” ما زال جبريل يوصيني بالجار حتى ظننت أنه سيورثه ،، ( متفق علیہ )

 

“Hazrat Jibrail (علیہ السلام ) mujhe barabar parosi ke sath bhalai karnay ki takeed kartay rehtay thay yahan tak keh main ne samjha keh kaheen woh parosi ko mera waris nah bana dein .”

 

2 من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليحسن جاره ( متفق علیہ )

 

Jo Allah aur aakhrat ke din par imaan rakhta hai usay chahiye keh woh parosi keh woh apnay parosi ke sath acha salooq karay .

 

3- والله لا يؤمن والله لا يؤمن قالوا من يا رسول الله ؟ قال : من لا يا من جاره بوائقه ، ( بخاری)

 

Allah ki qasam woh momin nahi, Allah ki qasam woh momin nahi, Sahabah karaam ne pucha:

 

Aey Allah ke Rasool ! Woh kon hai?

Farmayaa :

“Jis ke zulam se us ke parosi mehfooz nah hon”.

 

بی من بات شبعان وجاره جائع إلى جنبه ، وهو يعلم .( الطبرانی والبزار بإسناد حسن)

 

Woh momin nahi jo khud to sairaab ho kar raat guzarta hai aur is ke pehlu mein is ka parosi bhooka hai aur usay is ka ilm bhi keh mera parosi bhooka hai.

 

Lekin afsos ke aaj muashra mein parosi ke haqooq ke muta’alliq sakht be parwahi barti jarahi hai, haqooq ki adaigi ka marhala to daur ka raha balkay adawat o dushmani nah ho to bhi bohat ghanemat hai, nafrat o dushmni ke liye ab yahi cheez kaafi hogayi keh falan falan ka parosi hai, aalmi pemanay par kisi bhi Mulk ke is ke humsaya Mumalik se taluqaat shayad hi achay hon.

Aisay mahol mein walidain ke liye zaroori hai keh woh apni aulaad ko parosion ke haqooq ki taleem dein, inhen parosion ki tazeem o takreem aur un ke sath husan sulooq ki amli tarbiyat dein .

 

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents