Search
Sections
< All Topics
Print

01. Ilm ki Ahmiyat.

“Ilm Ki Ahmiyat”

Ilm ki fazeelat mein be shumaar Ayaat-o-Ahaadees aayi hui hain, Aap (ﷺ) ne ilm ka husool har musalmaan par farz qaraar diya. Farmaan-e- Nabawi hai:

 

“طلب العلم فريضة على كل مسلم “

 

(Rwaah-ul-Bukhaari)

 

Ilm sirf certificate kay husool ka naam nahin balkay ilm woh hai jo insaan kay dil mein Allah Ta’ala ki khashiyat aur taqwah peda karay. Jaisa keh Farmaan-e-Elaahi hai:

 

(إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاء )

( Faatir : 28 )

 

Talab-e-ilm ka silsila maan ki goad se lay kar goar ( qabar ) tak jaari rehta hai aur ilm mutaali’yah aur mutaabi’yat say badhta aur zindah hota hai, Mutaali’yah aur kutub beeni aur ilm aur ehl-e-ilm ki sohbat chod dainay say khatam ho jaata hai aur ilm kay sotay khushk ho jaatay hain. Insaan ko hameishah zayaadati e ilm kay liye koshaan rehna chaahiye, Is liye Allah Ta’ala ne apnay Habeeb (ﷺ) ko yeh dua sikhlayi:

 

(وَقُلْ رَبِّ زِدْنِي عِلْمًا )

 

(“Aap Farmaatay rahain: Ay mery Rab! Meray ilm mein zayaadati Farma”).

 

Aslaaf karaam apni Ilmi Azmat aur Jalaalat-e-Shaan kay baawajood zindagi ki aakhri saans tak is muqaddas shaghal ko jaari rakha. Imam Maalik (رحمه الله) Farmatay hain:

 

” لأحد يكون عنده العلم أن يترك التعلم”

 

“Jis shakhs kay paas ilm hai usay ilm seekhna nahi chodna chahiye”.

 

 

Imaam Abbu Amar Bin Al’alaa (رحمه الله) say poocha gaya keh:

 

” Insaan ko kab tak ilm haasil karna chahiye ?,,

Is a’ali zarf ne jawaab diya :

 

” ما دامت الحياة تحسن به “

 

“Jab tak wo tandrusti-o- tawaanai say behrahwar rahay. Imaam Ibne Abd-ul-Bar (رحمه الله ), Ibn-e-Ghassaan (رحمه الله) ka qoul naqal farmaatay hain:

 

” لاتزال عالما ما كنت متعلّما ، فإذا استغنيت كنت جاهلا “

 

” Jab tak tum ilm kay husool mein sar gardaan ho aalim raho gay, Jab tum ilm say Mustaghni ho gaye to jaahil ban jao gay”.

 

Imaam Suffayan Bin Uyainah (رحمه الله) say poocha gaya:

 

أقبح من أحوج الناس إلى طلب العلم ؟ قال : ” أعلمهم ،، قيل : لماذا ؟ قال : ” لأنّ الخطأ منه

 

” Logoon mein ilm kay husool ka sab say zayaada zaroorat mand kon hai?”

 

Aap ne Farmaaya :

” Un ka sab say bara aalim”?

” Poocha : kiyun”?

 

Farmaaya :

 

” is liye keh aisa shakhs koi ghalati karta hai to yeh sab se zayaada burii baat hai “.

 

Is liye bachon ko hameisha ilm kay husool kay liye musalsal jadd-o-Jahad karna chahiye .

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

Jumu’ah Khutbah | Aulaad Ki Tarbiyat by Shaykh Abdul Azeem Madani
Table of Contents