JILD KAY MASAIYEL KAY ILAAJ KAY LIYE PHALON AUR SABZION KA ISTEMAL [Using fruits and vegetables to treat skin problems]
SAWAL: 84903
JILD KI MUSHKILAAT KAY ILAAJ KAY LIYE PHALON AUR SABZION KA ISTEMAL
Mein internet par aik magazine mein aurat aur Khandan kay muamlaat kay program mein kaam karti hoon . Yeh wazeh rahey ke’ mere tamam muamlaat aurton kay saath hi hain, aur mein inn mazaameen mein dawat e illallah shamil karney ki koshish aur jido johod karti hoon .
Lekin kuch aisi tibbi mushkilaat hain jo auraton ko massghool Kar deti hain, maslan nojawani mein chehrey par keel mahaasey nikal ana, jiskay illaaj Kay liye ba’az auqaat taba’ee phal aur sabziaan istemal karna parhtey hain, to kiya mujh par iska koi gunaah to nahi , to yeh ilm mein rahey ke mein zeenat o khoobsoorati kay mazaameen mein yeh mut’nabeh karti hoon ke yeh sab kuch sirf ghar mein rehtey hue kiya jaye, aur khawind yaa mehram kay ilawa koi na dekhey, to kiya mera yeh kaam jayez hai.
JAWAB:
Alhamdulillah .
Agar to waqiyatan muamla aisay hi hai jaisay aap bayan kar rahi hain ke aap aurton kay saath muamlaat te’ karti hain , aur inkay liye faida mand mazaameen paish karna to iss mein koi harj nahi , balkeh umeed hai ke aap ko dawat e illallah aur logon mein khair o bhalai nashar karney par ajar o sawab hasil hoga.
Aur ba’az jildi bemarion aur mushkilaat kay ilaaj kay liye sabziaan aur phal istemal karney mein koi harj nahi , lekin shart yeh hai ke iss mein israaf na kiya jaye .
Shaikh Ibn Uthaymeen (رحمہ اللہ) se darj e zail sawal kiya gaya:
Meri kuch saheliyaan anday shehed aur doodh chehrey ki chaayaan aur nishanaat door karney mein istemal karti hain, kiya inkay liye aisa karna jayez hai?
Shaikh (رحمہ اللہ) ka jawab tha:
Yeh to maloom hai ke yeh ashiyya khaney peeney wali ashiyya mein shamil hoti hain , jinhein Allah Ta’ala ne badan ki ghiza kay liye paida farmaya hai, iss liye jab insaan ko yeh ashiyya kisi doosri aisi cheez mein istemal karney ki zuroorat paish aeye jo nijjas na ho maslan ba tor ilaaj to iss mein koi harj nahi, kiyon ke Allah Subhan o wa Ta’ala ka farman hai:
{Allah Ta’ala woh zaat hai jis ne zameen mein saari cheezein tumharey liye paida farmaee hain.}
To yahaan “Laa kum” tumharey liye kay alfaaz umoomi naffa aur faeeda kay shamil hain , jab ke iski hurmat par koi daleel na milti ho.
Lekin inhein banao singhar mein istemal karna , to iskay liye aur in ashiyya kay allawa aur bohot saari cheezein hain jin se banao singhar kiya ja sakta hai , iss kay liye doosri ashiyya ka istemal awaaleen aur afzal hai.
Aur yeh maloom rehna chahieye ke banao singhar mein koi harj nahi balkeh Allah Subhan o Wa Ta’ala jameel hai aur jamal aur khoobsoorati ko pasand farmata hai, lekin iss mein israaf aur fuzool kharchi karna hatta ke insaan ka sab se barha aur ahem kaam yahi ban kar reh jaye, ke iskay ilawa kisi aur cheez Ka ehtemam hi na karey, aur iski bina par bohot saarey deeni aur dunyaawi umoor o masaaleh se ghafil ho kar reh jaye, yeh kaam sahi nahi kiyon ke yeh israaf aur fuzool kharchi mein dakhil hota hai, aur israaf aur fuzool kharchi ko Allah Ta’ala pasand nahi farmata “Intahee.
Makhooz az: Fataawa al-Mar’ah, jama o tarteeb Muhammad al-Musnid, saffah: (238)
Aur yeh ke ho sakta hai ke yeh tareeqa e illaaj be pard aur zeenat ka logon kay saamney izhaar karney wali khawateen bi istemal karein, aap kay liye yeh nuqsan deh nahi , jab ke aap Ka maqsad inn khawateen kay liye issey paish karna hai jo issey mubaah aur jayez tareeqa se istemal karna chahein.
Aap ko chaheiye ke aap nasiyhat karti rahein ke aurat ghar kay andar rehtey huye sirf apney khawind yaa mehram mard kay saamney hi apni zeenat ko zahir kar sakti hai, kisi aur kay saamney nahi.
Allah Ta’ala aapko aur humein apney pasandida aur raza mandi waley kaam karney ki taufeeq naseeb farmaey.
Wallahu Aalam.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/84903/using-fruits-and-vegetables-to-treat-skin-problems
Using fruits and vegetables to treat skin problems
Question
I work in an E-magazine in the family and women section. All my dealings are with women. I try my best to make Da’wah through my work.
There are some health issues women ask about. Like face spots and such skin problems. Is it permissible to advise them to use some natural vegetables and fruits for this purpose? Knowing that I advise them to beautify themselves only at their homes. And that they should not show their beauty but to their husbands and mahrams. Is my work permissible?.
Answer
Praise be to Allah.
If the matter is as you describe, and you (as a woman) deal with women and discuss matters that are beneficial for them, there is nothing wrong with that, rather it is hoped that you will be rewarded for calling people to Allaah and spreading good among people.
There is nothing wrong with using fruits and vegetables to treat some skin problems, so long as that does not involve extravagance.
Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (may Allaah have mercy on him) was asked: Some of my friends use eggs, honey and milk to treat freckles that appear on the face. Is it permissible for them to do that?
He replied: It is well known that these things are foods that Allaah has created to nourish the body. If a person needs to use them for something else, such as a remedy, there is nothing wrong with that, because Allaah says (interpretation of the meaning):
“He it is Who created for you all that is on earth”
[al-Baqarah 2:29].
The word “for you” includes all kinds of beneficial uses, as there is nothing to indicate that it is haraam.
With regard to using them for beautification purposes, there are other materials that may be used for beautification, and it is better to use those.
It should be noted that there is nothing wrong with beautifying oneself, rather Allaah is beautiful and loves beauty, but being extravagant to such an extent that it becomes a person’s main concern and he neglects many of his other religious and worldly interests for its sake, is something that is not appropriate because it is a kind of extravagance, and Allaah does not like extravagance.
End quote from Fataawa al-Mar’ah, compiled by Muhammad al-Musnid, p. 238.
The fact that these prescriptions may be used by those who make a wanton display of their beauty (tabarraj) does not matter so long as your intention is to teach that to those who will use them in permissible ways.
You should always remember that a woman should only show her adornment in her house before her husband and mahrams.
May Allaah help us and you to do that which He loves and which pleases Him.
And Allaah knows best.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/84903/using-fruits-and-vegetables-to-treat-skin-problems
جلد كى مشكلات كے علاج كے ليے پھل اور سبزياں استعمال كرنا
سوال
ميں انٹرنيٹ پر ايك ميگزين ميں عورت اور خاندان كے ساتھ مخصوص معاملات كے پروگرام ميں كام كرتى ہوں، يہ علم ميں رہے كہ ميرے سارے معاملات عورتوں كے ساتھ ہى ہيں، اور ميں ان مضامين ميں دعوت الى اللہ شامل كرنے كى كوشش اور جدوجھد كرتى ہوں، ليكن كچھ ايسى طبى مشكلات ہيں جو عورتوں كو مشغول كر ديتى ہيں، مثلا نوجوانى ميں چہرے پر كيل اور مہاسے نكل آنا، جس كے علاج كے ليے بعض اوقات طبعى پھل اور سبزياں استعمال كرنا پڑتے ہيں، تو كيا مجھ پر اس كا كوئى گناہ تو نہيں، يہ علم ميں رہے كہ ميں زينت و خوبصورتى كے مضامين ميں يہ متنبہ كرتى ہوں كہ يہ سب كچھ صرف گھر ميں رہتے ہوئے كيا جائے، اور خاوند يا محرم كے علاوہ كوئى اور نہ ديكھے، تو كيا ميرا يہ كام جائز ہے ؟
جواب کا متن
الحمد للہ.
اگر تو واقعتا معاملہ ايسے ہى ہے جيسے آپ بيان كر رہى ہيں كہ آپ عورتوں كے ساتھ معاملات كرتى ہيں،اور ان كے ليے فائدہ مند مضامين پيش كرنا تو اس ميں كوئى حرج نہيں، بلكہ اميد ہے كہ آپ كو دعوت الى اللہ اور لوگوں ميں خير و بھلائى نشر كرنے پر اجروثواب حاصل ہوگا.
اور بعض جلدى بيماريوں اور مشكلات كے علاج كےليے سبزيوں اور پھل استعمال كرنے ميں كوئى حرج نہيں، ليكن شرط يہ ہے كہ اس ميں اسراف نہ كيا جائے.
شيخ ابن عثيمين رحمہ اللہ سے درج ذيل سوال كيا گيا:
ميرى كچھ سہيلياں انڈے، شہد اور دودھ چہرے كى چھائياں اور نشانات دورے كرنے ميں استعمال كرتى ہيں كيا ان كے ليے ايسا كرنا جائز ہے ؟
شيخ رحمہ اللہ كا جواب تھا:
” يہ تو معلوم ہے كہ يہ اشياء كھانے پينے والى اشياء ميں شامل ہوتى ہيں، جنہيں اللہ تعالى نے بدن كى غذا كے ليے پيدا فرمايا ہے، اس ليے جب انسان كو يہ اشياء كسى دوسرى ايسى چيز ميں استعمال كرنے كى ضرورت پيش آئے جو نجس نہ ہو مثلا بطور علاج تو اس ميں كوئى حرج نہيں؛ كيونكہ اللہ سبحانہ و تعالى كا فرمان ہے:
اللہ تعالى وہ ذات ہے جس ميں زمين ميں سارى چيزيں تمہارے ليے پيدا فرمائى ہيں .
تو يہاں ” لكم ” تمہارے ليے كے الفاظ عمومى نفع اور فائدہ كو شامل ہيں، جبكہ اس كى حرمت پر كوئى دليل نہ ملتى ہو.
ليكن انہيں بناؤ سنگھار ميں استعمال كرنا، تو اس كے ليے اور ان اشياء كے علاوہ اور بہت سارى چيزيں ہيں جن سے بناؤ سنگھار كيا جا سكتا ہے، اس ليے دوسرى اشياء كا استعمال اولى اور افضل ہے.
اور يہ معلوم رہنا چاہيے كہ بناؤ سنگھار ميں كوئى حرج نہيں بلكہ اللہ سبحانہ و تعالى جميل اور اور جمال و خوبصورتى كو پسند فرماتا ہے، ليكن اس ميں اسراف و فضول خرچى كرنا حتى كہ انسان كا سب سے بڑا اور اہم كام يہى بن كر رہ جائے، كہ اس كے علاوہ كسى اور چيز كا اہتمام ہى نہ كرے، اور اس كى بنا پر بہت سارے دينى اور دنياوى امور و مصالح سے غافل ہو كر رہ جائے، يہ كام صحيح نہيں كيونكہ يہ اسراف و فضول خرچى ميں داخل ہوتا ہے، اور اسراف و فضول خرچى كو اللہ تعالى پسند نہيں فرماتا ” انتہى.
ماخوذ از: فتاوى المراۃ جمع و ترتيب محمد المسند صفحہ نمبر ( 238 ).
اور يہ كہ ہو سكتا ہے يہ طريقہ علاج بےپرد اور زينت كا لوگوں كے سامنے اظہار كرنے والى خواتين بھى استعمال كريں، آپ كے ليے يہ نقصاندہ نہيں، جبكہ آپ كا مقصد ان خواتين كے ليے اسے پيش كرنا ہے جو اسے مباح اور جائز طريقہ سے استعمال كرنا چاہيں.
آپ كو چاہيے كہ آپ نصيحت كرتى رہيں كہ عورت گھر كے اندر رہتے ہوئے صرف اپنے خاوند اور محرم مرد كے سامنے ہى زينت كو ظاہر كر سكتى ہے، كسى اور كے سامنے نہيں.
اللہ تعالى آپ كو اور ہميں اپنے پسنديدہ اور رضامندى والے كام كرنے كى توفيق نصيب فرمائے.
واللہ اعلم .
REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/84903/%D8%AC%D9%84%D8%AF-%D9%83%D9%89-%D9%85%D8%B4%D9%83%D9%84%D8%A7%D8%AA-%D9%83%DB%92-%D8%B9%D9%84%D8%A7%D8%AC-%D9%83%DB%92-%D9%84%D9%8A%DB%92-%D9%BE%DA%BE%D9%84-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%D8%B3%D8%A8%D8%B2%D9%8A%D8%A7%DA%BA-%D8%A7%D8%B3%D8%AA%D8%B9%D9%85%D8%A7%D9%84-%D9%83%D8%B1%D9%86%D8%A7