Search
Sections
< All Topics
Print

11. Islaam mein aurat ke haqooq ke mutaliq shubuhaat

Islaam mein aurat ke haqooq ke mutaliq shubuhaat

 

Hum aurat ke haqooq ke mutaliq guftugoo kar rahe hain to munaasib maaloom hotaa hai ke baaz shehbaat kaa zikir bhi kar diyaa jaaye, Jo Islaam mein aurat ke haqooq ke mutaliq uthaaye jaate hain, Jinkaa maqsad Islaam par tanaa zani aur is khubsoorat aur roshan soorat ko bigaar kar pesh karnaa hai jis mein Islaam ke zahoor se aurat ki izzat, Sharaf aur Iffat ki hifaazat hui.

Islaam mein aurat ke haqooq ke mutaliq jo shehbaat uthaaye jaate hain aur iski khaatir jo conferance aur jalse mun’aqid kiye jaate hain, Unkaa maqsad sirf aurat ki azaadi nahin balke unke kuch makhfi ehdaaf bhi hain.

Maaloom nahin yeh log bachon, Ma’azron, Berozgaaron aur mohtaajon ke haqooq ke mutaliq guftgu kyun nahin karte, Aur woh log jinhe maashre mein nazar andaaz kyaa jaataa hai, Jinke ghar ujaar kar unhein bedakhal kyaa jaataa hai, Unke liye conferance aur jalse kyun nahin munaqid karte, Taake awam kaa khoon choosne walon se awam ke cheene gaye haqooq kaa mutaalbaa karen.

Isi taraah sirf is pehlu kohi kyun uthaayaa jaataa hai, Jiske baare mein Deen Islaam ki haqeeqat se naawaqif logon kaa khayaal hai ke yeh durust nahin, Aur Islaam ke roshan pehlu kyun nahin saamne laaye jaate?

 

❀ Ikhtisaar ke saath iske asbaab yeh hain:

 

  1. Islaami yaa ghair Islaami har taraah raaye aamaa ko in maqaasid se door rakh kar masroof rakhaa jaaye aur unki salaaheeton aur taaqton ko doosri jaghon par khapaayaa jaaye, Aur inki tawajaa aese maamlaat ki taraf mabzool karwayi jaaye jiske baare mein tasawur yehi hai ke yeh ehem tareen masaail hain, Halaake unhon ne usse ehem tareen masaail hain, Halaake unho ne usse ehem tareen masaail tarak kiye huwe hain. Hum musalmaano kaa yeh yaqeen hai aur hum baaljazam kehte hain ke yeh aise masaail hain jo is qabaail hi nahin ke unhe uthaayaa jaaye, Kyunki Islaam ne unki wazaahat kardi hai, Lihaazaa woh ek khair khawa aur muhaqiq ke roop mein saamne aate hain, Jo bazaahir aurat ke haqooq kaa difaa karte hain, Taake aurat kaa etmaad haasil karke usse apne saath milaa lein taake uski hesyat shatranj ke mehron ki ho jaaye, Aur woh jis taraah chaahen usse harkat dein, Aur jiskaa shikaar karnaa chaahte hain uske liye aurat ko batoor chaaraa istemaal kar saken.
  1. Maashron mein fasaad aur behayaai ko phelaane ki koshish, Kyunki jin maashron mein be hayaai aam ho jaati hai, akhlaaqi iqdaar mit jaate hain, Un maashron ka istamaar aur unki imlaak par unke liye ghaat lagaaye huwe dushmano ke liye qabzaa karnaa asaan hojaata hai, Isliye ke unki afraadi quwat jo ek dhiaal kaa kaam deti hai, Khel kood aur Haraam shaksi lizaton mein khap rahi hoti hai aur maali-o-maasharti iqdaar ki unhein koi parwa nahin rehti.

          Professor Henry Makow Ph.D kehte hain(129):

  Arbi aur Islaami umat par maghrabi jung-e-syaasi, Saqaafati aur ikhlaaqi maqaasid ke haamil hai, Is jung ka maqsad yeh hai Ummat-e-Muslimaa ki milkiyaton aur unke nakhaair par qabzaa kyaa jaaye, Aur unki qeemti tareen cheez jo ke Deen hai usse maghloob kyaa jaaye, Aur unki sakhaawati aur ikhlaaqi khazaane pamaal kiye jaayein, Aur aurat ke burqe ke bajaaye bikni pohnchaayi jaaye, Aur uske waqaar ko khatam kiyaa jaaye.

Agar woh apne daawe mein sache bhi hain to aurat ke huqooq ka mutaalbaa uski umar ke ek makhsoos hisse tak hi mahdood hota hai aur jab uski umar ka woh hissa guzar jata hai to usse ek kone mein phenk kar nazar andaz kya jata hai, Agar aisa nahin hai to phir aurat ke bahesiyat maa uske haqooq ke mutalbe kyun nahin kiye jate aur us waqt uske haqooq ke mutalbe kyun nahin kiye jate aur us waqt uske haqooq ke mutalbe kyun nahin kiye jatejab woh umar raseeda hojafi hai, Aur apni zindagi ke is marhale mein pohnch jati hai jis mein woh khayal rakhe jane ki zyada mohtaj hoti hai?

Sath hi maloom hona chahiye ke Islam ne maa ke saath husun sulook karne ko balkhasoos jab woh umar raseeda ho jaye, Allah Ta’ala ke qurb hasil karne ka zariya batlaya hai, Jabke un mulkon mein old houses zyada nazar ate hain jo aurat ki azadi aur uske haqooq ka mutaalbaa karte hain.

Woh huqooq kis qadar khubsoorat aur paidar ho sakte hai jinki adaigi ke waqt insan ki niyat Allah Ta’ala se ajar ki ho, Uski raza ka qurb maqsood ho aur unki adaigi mein kotahi se uski saza ka tar ho, Bamqabla un haqooq ke jo mahaz qanoon ki quwat ke zariye hasil kiye jayein, Aur qanoon ki adam mojoodgi mein unki pamali ki jaye.

Mujhe un magazine par tajub hota hai khubsoorat aur par fitan aurton ki tasweeren to shaya karte hain aur unse kam khubsoorat aur umar raseeda khawateen ki tasweeren lagana bhool jate hain, Kya woh sab aurten nahin hain?

Ya yeh aurat ki izzat-o-shataf ko bech kar saman tijarat ko furookh dene aur logon ko phansne ka jaal hai?

 

  1. Deegar adyan ke mutasab perokaron ke dilon mein Islam aur ehel-e-Islam ke khilaaf purani nafrat-o-baghz.

 

Smonel Zyumar, Jo ek mashoor mushtarak hai aur tanseeri jamyat ka rayees hai, Woh alqudas conferance mein 1935 mein(130) mein eesai machinery se khitab karte huwe kehta hai: “Islami mulkon mein tabsheer(131) ki zimedari jo maseeh mulkon ne tumhare zime lagayi hai, Woh yeh nahin ke tum musalmano ko eesiyat mein daakhil karo, Isliye ke is mein to inki hidayat-o-takreem hai, Tumhari zimedari yeh hai ke tum musalmano ko Islam se kharij kardo, Yahan tak ke musalman ek aisi makhlooq ban kar reh jayein jin ka Allah Ta’ala ke sath koi taluq na ho, Nateeja yeh hoga ke unka ikhlaq se rabta khatam ho jayega, Jis par umaton ki zindagi ka anhasar hota hai, Aur yoon to Islami mumalik mein istemar ki fatah ka har awal dasta ban jao ge”.

Ek aur kehta hai: ” Jab hum aurat ko ghar se nikal sakenge ya usse apni taraf maail kar sakenge to kya hum usse apne hadaf tak pohnch jayenge?”

Aur unka hadaf aur maqsad ek hi hai ke shehron aur awam par gasbana tasalut jamane ke liye fasad aur be hayai ko aam kya jaye, Aur yeh jo aaye din shehbat uthate rehte hain dar haqeeqat unka ek hi maqsad hai ke Islam aur uske haqaiq ko bigaar kar pesh kya jaye, Aur humein yeh sazishen aur dushmani sirf Islam aur Ehel-e-Islam ke khilaf hi milti hain, Sach farmaya Allah Ta’ala ne.

 

وَلَنۡ تَرۡضٰى عَنۡكَ الۡيَهُوۡدُ وَلَا النَّصٰرٰى حَتّٰى تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمۡ‌ؕ قُلۡ اِنَّ هُدَى اللّٰهِ هُوَ الۡهُدٰى‌ؕ وَلَئِنِ اتَّبَعۡتَ اَهۡوَآءَهُمۡ بَعۡدَ الَّذِىۡ جَآءَكَ مِنَ الۡعِلۡمِ‌ۙ مَا لَـكَ مِنَ اللّٰهِ مِنۡ وَّلِىٍّ وَّلَا نَصِيۡرٍ ۞

 

Tarjuma: Aapse yahood-o-nasari hargiz razi nahin honge jab tak ke aap un ke mazhab ke ta’aba na ban jayein, Aap keh dijye ke Allah ki hidayat hi hidayat hai, Aur agar aapne bawajood apne paas ilim ajane ke, Phir unki khuwaishon ki perwi ki to Allah ke paas aapka na to koi wali hoga aur na hi madadgaar.

(120) jinhein humne kitab di hai aur woh usse parhne ke haq ke saath parhte hain, Woh is kitab par bhi eeman rakhte hain aur jo uske sath kufur kare woh nuqsan wala hai.

 

  1. Waqtan foqtan Islam mein aurat ke haqooq ke mutaliq shehbat uthane jane ka maqsad yeh hai ke aurat ko uski azmat aur waqaar se nikal kar zaat-o-ruswaai ki taraf dhakelaa jaye, Aur uska tariqa jaar yeh hai ke maghrib ki aurat ko batoor rol model pesh kya jaye, Taake unki soch ke mutabiq aurten uski perwi karen, Aur har woh aurat jo yeh kitab parh rahi hai, Chahe woh muslim hai ya ghair muslim, Woh khud se sawaal kare aur aqal se faislaa kare ke maghrib ki jis haal mein woh haalat maqam sharof-o-fakhar hai ya aurat ke liye takleef de maqam zilat-o-ruswaai?

 

Professor (Henry Makow Ph.D) kehte hain: (133) American larki ek junooni zindagi basar kar rahi hai, Shaadi se pehle usse dasween mard jante hain, Woh apni asmat ka johar ganwaa bethti hai, Jo uski kashish ka ek hissa hota hai, Daren esna woh hai has aur dhoke baaz ban jati hain, Us mein mohabbat karne ka jazba khatam ho jata hai, American maashre mein aurat khud ko is haal mein pati hai ke usse mardaana sulook ki taraf dhakelaa ja raha hai, Lihaza woh nafsiyati tor par pareshan ho jati hai, Woh biwi ya maa banne ke qabil nahin rehti, Balke mehz jinsi lizat ke hasool ka zariya ban jati hai, Naa ke mohabbat aur aulaad ke hasool ka zariya, Jabke mamta to insaani tariqi ki choti hai.

Yeh marhalaa hai ke hum shehwaat mein dubkiyaan lagaane ke bajaye usse jaan churaayein, Taake hum akele Allah ke bande ban kar khud ki tarbiyat karte huwe nayi zindagi ka aghaaz karen, Jabke yeh jadeed aalmi nizam nahin chahta ke hum samajhdaari ke is darje tak pohnch jayein, Balke woh chahta hai ke hum akele tanha aur jansi bhook ke saath zindagi basar karen, Aur hamare saamne shaadi ke muqable mein ek sharamnaak tasawur pesh karta hai.

Har aqalmand janta hai ke aurat se gandaa aur najaiz faidaa hasil karne ki muddat kya hoti hai, Jab tak khubsoorti aur ronak barqarar hai to uske saamne darwaaze bhi khulte hain, Lekin jaise hi khubsoorti dhal gayi aur ronak khatam hogayi to ghutli ki tarah usse nikal kar phenk diya jata hai, Woh chahte hain ke media ke zariye aurat ko ek aise samaan ki tarah pesh kya jaye jiski khareed-o-farukht ho, Taake yeh lizzat aur shahoot poori karne ka zariya ban sake, Haqeeqat yeh hai ke unhi logon ne aurat se uske haqooq aur uski azadi cheeni, Usse zilat ki ghaatiyon mein dhakel diya kya, Kya unhein Rasoolullah(ﷺ) ka yeh qol nazar nahin aaya?

“Khawateen ke saath bhalai ki wasiyat mujhse le lo” (134).

 

Maghribi maashre mein aurat jis be raah rawi ki azadi ko pohnch chuki hai woh dar haqeeqat qaroon wasti mein kansiya ke aurat ke haqooq muqarar karne ka rad-e-fel hai, Aise haqooq jin mein sakhti, Zulm aur insiyat soz sulook tha, Chunanche khofnak ehdaaf-o-maqasid rakhne walon ne us soorat-e-haal ka faidaa uthaya taake is maashre ko Deeni qayadat ke saath khatam kya ja sake aur tamam tar akhlaqi hadood-o-qayood se azad maashra janam le, Jisse uske dushmano ke liye maskhar karna asaan ho.

Jahan tak Islam ka taluq hai to us mein na to be ja sakhti hai na zulm hai aur na hi aurat ke huqooq ke haq-e-talfi hai, Balke woh har mamle mein mard ke baraabar hai, Siwaaye un cheezon ke jis mein jans mard ko jans aurat par foqiat di gayi hai, Jo mard aur aurat ke darmiyan paye jane wale jismani aur nafsiyati farq par qaaim hai, Kyunki kisi ko inkaar nahin ke mard-o-aurat do alag alag jans hain, Chunancha isi bana par foqiat qaaim hai.

Dr.G-Lebon apni kitaab”Tamadun Arab” mein likhte hain: Agar hum janna chahte hain ke aurat ke mamle Qur’an ne kya asar dikhaya hai to zaroori hai ke hum usse un ayaam mein dekhen jin ayaam mein Islami saqaafat ke ghulbaa tha, Morkheen ne bayan kya hai ke usse zahir hota hai ke aurat ko in dino wohi maqam hasil tha jo jadeed yourpean dor mein aurat ko hasil huwa, Yourpean logon ne Arbon se bahaduri aur shaja’at ki mubadyaat lin, Aur unhi se aurat ka ehtram karna seekha, Chunancha Islam ne aurat ko pasti ki gehrai se nikalaa, Na ke nasraniyat ne, Jaisa ki aam aur maroof hai, Agar aap Qiroon-e Wasta ke pehle dor mein nisara ki taraf dekhen to aap ko maloom hoga ke nisara ke paas aisi koi cheez nahin thi jis ka naam aurat ka ehtram tha.

Agar aap katab tareekh mein un dino ko talash karen to aapka shak khatam ho jaye ga aur aap jaan jayenge ke Qiroon-e-Wasta mein jagirdarana nizam ke tehet nisara, Arbon se aurton ke saath husun sulook dekhne se pehle un ke mamle mein intehai sakht the.

Har woh insan jo aqalmand hai aur fitrat-e-saleema ka malik hai, Woh kabhi nahin chahe ga ke uski izzat, Sharaf aur waqar ek aisa samaan ho jaise insani bherye noch khaayein, Jin ka ek hi maqsad hota hai ke apni hewaani bhook ko ser kar saken, Isi tarah har aqalmand aur fitrat-e-saleema ki malik aurat kabhi nahin chahegi ke woh khareed-o-farukht ka samaan ho, Ya ek aisa phool ho ke jo chahe usse soongh le, Aur phir jab woh murjha jaye to usse purane aur boseeda kapre ki tarah phenk diya jaye.

Islam ki apne perokaaron ki hifazat ke hawale se jo tale’emat hain woh waazeh, Muntaqi aur fitrat-o-aqal ke muwafiq hain, Jo rehnumai karti hain ke sabse pehle khud par tawaaja di jaye, Apni zaat se aghaaz kya jaye, Woh is tarah ke khair ko tamaam logon ke liye pasand kya jaye.

Islam apne perokaaron ki tarbiyat karta hai ke woh iffat-o-paakdaamni aur izzat-o-sharaf se mohabbat karen, Aur unki rehnumai karta hai ke eslah ka aghaz apni zaat se karen, Is tarah Allah Ta’ala ke hukum se unke sulook aur rawaiye ki eslah yaqeeni hogi.

Syedna-Abu-Umamaرضي الله عنه se marwi hai ke ek nau jawan Nabi Kareem(ﷺ) ki khidmat mein hazir huwa aur kehne laga ya Rasoolallah(ﷺ) ! Mujhe zanaa karne ki ijazat de dijye. Log uski taraf mutawajaa hokar usse daantne lage aur usse peeche hataane lage, Lekin Nabi(ﷺ) ne usse farmaya: Mere qareeb aajao, Woh Nabi(ﷺ) ke qareeb jaa kar beth gaya, Nabi(ﷺ) ne usse poocha: Kya tum apni walida ke haq mein badkaari ko pasand karo ge?. Usne kahan Allah ki kasam! Kabhi nahin, Mein aap par qurban jaoon, Nabi(ﷺ) ne farmaya: Log bhi usse apni maa ke liye pasand nahin karte, Phir poocha: Kya tum apni beti ke haq mein badkaari ko pasand karoge?Usne kahan Allah ki kasam! Kabhi nahin, Mein aap par qurban jaoon, Nabi(ﷺ) ne farmaya: Log bhi apni beti ke liye pasand nahin karte, Phir poocha kya tum apni behn ke haq mein badkaari ko pasand karo ge?Usne kahan Allah ki kasam! Kabhi nahin, Mein aap par qurban jaoon, Nabi(ﷺ) ne farmaya: Log bhi usse apni behn ke liye pasand nahin karte, Phir poocha kya tum apni phoophi ke haq mein badkaari ko pasand karoge?Usne kahan Allah ki kasam! Kabhi nahin mein aap par qurban jaoon. Nabi(ﷺ) ne farmaya: Log bhi usse apni phoophi ke liye pasand nahin karte, Phir poocha kya tum apni khala ke haq mein badkaari ko pasand karoge?Usne kahan ke Allah ki kasam kabhi nahin, Mein aap par qurban jaoon, Nabi(ﷺ) ne farmaya: Log bhi usse apni khala ke liye pasand nahin karte, Phir Nabi(ﷺ) ne apna dast mubarik uske jism par rakha aur dua ki ke Ae Allah! Iske gunnah maaf farma, Iske dil ko paak farma aur iski sharamgaah ki hifazat farma.

Raawi kehte hain ke uske baad us naujawan ne kabhi kisi ki taraf tawaja bhi nahin ki(135).

 

REFERENCE:
Book: “Islam mein Aurat ka Maqaam”
by Dr. Abdur Rahman bin Abdul Kareem Al- Sheha

 

 

Table of Contents