Search
Sections
< All Topics
Print

04. TAWBA-O-ASTAGHFAR [Seeking forgiveness]

TAWBA-O-ASTAGHFAR

 

CHAWTHA USOOL:

 

TAWBA-O-ASTAGHFAR:

 

  • Insaan par jo musibat aati hai, Chahay jismaani bemaari ki surat mein ho ya zaheni aur roohani aziyyat ki shakal mein, Chahay kaarobaari pareshaani ho ya khandaani larae jhagron ka dukh aur sadma ho, har qism ki musibat uske apne gunaahon ki wajha se aati hai, Isliye usey is say nijat paney ke liye fouran sachi tawba kartey hue Allah Ta’aala se mu’aafi mangni chaheye, Kyun keh Allah Ta’aala tawba karney waalon sey mohabbat karta hai aur iski pareshaniyon aur musibaton ka azalah kar kay usey khush haal bana deta hai chunacha Surah Shuraa mein farmaan-e-illahi hai:

 

وَمَا أَصَابَکُمْ مِّنْ مُّصِیْبَۃٍ فَبِمَا کَسَبَتْ أَیْدِیْکُمْ وَیَعْفُوْ عَنْ کَثِیْرٍ}
 

“Aur tumhain jo musibat bhi aati hai tumhaarey apney kartuton ke sabab se aati hai, aur wo tumhaarey bohat saarey gunaahon se dar guzar bhi karjaata hai.”

سورۂ شوری :۳۰)

 

Isi tarha Surah Baqarah mein irshad-e-Bari Ta’aala hai:

 

فَأَنْزَلْنَا عَلَی الَّذِیْنَ ظَلََمُوْا رِجْزًا مِّنَ السَّمَآء بِمَا کَانُوْا یَفْسُقُوْنَ} (سورۂ بقرۃ : ۵۹)

 

“Phir ham ne un logon par asmaan se un ke gunaahon ke sabab azaab nazil kiya jinho ne zulm kiya.”

 

Aur Tawba-o-Astaghfar k fawaid bayan karte hue Allah Ta’aala Surah Nooh mein fatmaata hai:

 
فَقُلْتُ اسْتَغْفِرُوْا رَبَّکُمْ إِنَّہٗ کَانَ غَفَّارًاo یُّرْسِلِ السَّمَآء عَلَیْکُمْ مِّدْرَارًا o وَّیُمْدِدْکُمْ بِأَمْوَالٍ وَّبَنِیْنَ وَیَجْعَلْ لَّکُمْ جَنَّاتٍ وَّیَجْعَلْ لَّکُمْ أَنْہَارًا} (سورۂ نوح : ۱۰تا۱۲)

 

“Pus mein (Nooh ne) kaha: Tum Sab apney Rab se mu’aafi mang lo, Bilashuba wo bara mu’aaf karne wala hai, wo tum par asmaan se khoob barish barsae ga, aur Maal aur baiton sey tumhaari madad karey ga, aur tumhaarey liye baghaat paida karey ga, aur nehrain jaari kar dega.”

 

In Aayaat mein Astaghfar k jo fawaid zikr kiye gae hain (Mouslaa dhaar barish, maal o aulaad se madad, Baghaat aur nehrain) ye sab cheezein darasal insaanon ki khush haali o sa’adat mandi ki alamat hoti hain, aur ye Astaghfar hi se naseeb hoti hain.

 

Isi tarha Surah Anfaal mein irshad farmaaya:

 
وَمَا کَانَ اللّٰہُ مُعَذِّبَہُمْ وَہُمْ یَسْتَغْفِرُوْنَ} (سورۂ انفال : ۳۳)

 

“Aur Allah Ta’aala unhain is haal mein azaab nahi deta keh wo Astaghfar kar rahey hon.”

[Surah Anfaal:08: 33]

 

Nez Surah Hud mein farmaaya:

 

وَأَنِ اسْتَغْفِرُوْا رَبَّکُمْ ثُمَّ تُوْبُوْا إِلَیْہِ یُمَتِّعْکُمْ مَّتَاعًا حَسَنًا إِلٰی
أَجَلٍ مُّسَمًّی وَّیُؤْتِ کُلَّ ذِیْ فَضْلٍ فَضْلَہٗ وَإِنْ تَوَلَّوْا فَإِنِّیْ أَخَافُ عَلَیْکُمْ عَذَابَ یَوْمٍ کَبِیْرٍ } (سورۂ ہود :۳)

 

“Aur yeh keh tum apney Rab se Maghfirat talab karo, phir uski janib mein tawba karo, wo tumhain aik mehdood waqt (maut) tak umdah aish o aram ka faida naseeb karey ga, aur har kaar-e-khair karne walay ko uska ajr o sawab dega, aur agar tum munh phair logay tou mjhey andesha hai keh tumhe barey din (Roz-e-Qiyamat) key azaab ka samna karna parey ga.”

 

[Surah Hud:  :03]

 

 

REFERENCE:
KITAAB: KHUSH GAWAAR ZINDAGI KAY 12 USOOL
MUSANNIF: DR. HAFIZ MUHAMMAD ISHAAQ ZAHED.

 

Table of Contents