Search
Sections
< All Topics
Print

DEEN E ISLAAM SARAPA ADAL HAI

DEEN-E-ISLAAM SARAPA ADAL HAI

 

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

JEDDAH DA’WAH CENTER HAIYYUS SALAMAH,SAUDI ARABIA

Romanised by Khadija Muhammadi

 

Adal,Haq,Barabari,Yaksaniyaya Aur Raasat Ke Mani Me Istemaal Hota Hai. Duniya Ka Koi Bhi Nizaam Adal Se Khali Hone Par Nizaam Kehne Ke Laaiq Nahi Hai. Nizaam Kehte Hi Hai Sidhi Raah Ko. Yahi Wajah Hai Ke Islaam Ka Sara Nizaam E Adal Par Qaaim Hai Ba Alfaaz E Deegar Adal Aur Insaaf Ke Bagair Islaam Ka Adna Tasawwur Bhi Baqi Nahi Reh Sake Ga Qayamat Ke Din Allaah Adal Ke Zariya Hi Bando Ke Aamaal Ka Pura Putra Badla De Ga.

Duniya Chun Ke Imtihaan Aur Aazmaaish Ki Jagah Hai Yaha Ghar Se Le Kar Mulk Tak Aur Station Se Le Kar Adaalat Har Jagah Hame Kabhi Adal Nazar Aata HAI Aur Kabhi Iske Bar Khilaaf Zulam Dikhaai Deta Hai Balke Yah Kehna Be Ja Na Hoga Ke Duniya Ki Aksar Jagho Me Adal Kam Aur Aksar Zulam Aur Joor Hi Nazar Aata Hai. Nabi SAV Ne Deen Ke Tamam Umoor Me Miyana Rawi Ikhtiyaar Karne Ka Hukam Diya Hau Yah Ain Adal Hai. Ibaadat Kare Darmiyana Ravi Ke Sath Jis Me Zulam Na Ho Garz Yah Ke Islaam Ki Tamam Taaleemat Adal Par Mabni Hai Kuy Ke Yah Min Jaanib Allaah Hai. Gairullaah Ki Janib Se Nizaam E Zindagi Aur Siyadat Aur Qayadat Ke Liye Jaisa Bhi Dastoor Bana Liya Jaae Usme Adal Nahi Hoga,Adal Hoga Bhi To Baraae Naam Hoga. Qur’aan Me Allaah Ne Is Baat Ki Taraf Isharah Kar Diya Hai Ke Agar Yah Kitaab(Qur’aan) Allaah Ke Alawah Dusro Ke Janib Se Hota To Tum Isme Bahut Ziyada Ikhtilaaf Paate Jab Haal Yah Hai Ke Insaano Ka Banaya Hua Koi Bhi Dastoor Ikhtilaaf Se Khali Aur Adal Par Mabni Nahi Ho Sakta Hai To Fir Hukoomat Aur Adalat Ke Is Dastoor Ke Zariya Insaaniyat Ko Kaise Adal Insaaf Mile Ga?

Allaah Duniya Me Qur’aan Ki Shakal Me Aadilana Nizaam E Zindagi Aur Dastoor E Hayaat Bhej Kar Insaano Par Bada Karam Kiya Hai Is Dastoor Ko Duniya Ke Jis Khitte Me Naafiz Kiya Jaae Waha Aman Aur Amaan Hoga,Ameer Aur Gareeb Me Barabar Salook Hoga,Adal Aur Insaaf Ke Saya Me Log Be Khauf Ho Kar Zindagi Guzaar Sake Ge Koi Bilawajah Kisi Par Ziyadati Karne Se Bache Ga Zaalim Ko Uske Kiye Ki Saza Aur Mazloom Ko Pura Pura Insaaf Mile Ga Yaha Tak Ke Is Khitta Me Rehne Wale Haiwani Ke Sath Bhi Ahsaan Aur Salook Kiya Jaae Ga.

Alhamdulillaah Insaano Me Kaainaat Ke Sab Se Bade Aadil Aur Munassaf Muhammad SAV Ne Allaah Ka Aadilana Paigaam Apni Ummat Tak Adal Aur Insaaf Ke Sath Pohnchaya Aap SAV Ne Zindagi Ke Har Mod Par Apni Ummat Ko Na Sirf Adal Ka Daman Thamne Ka Hukam Diya Balke Adal Aur Insaaf Ke Baab Me Aysi Misaal Paish Ki Jis Ki Nazeer Duniya PAISH Karne Se Qaasir Hai. Is Ka Andaza Sahih Bukhari Ke Ek Waqia Se Laga Sakte Hai Ke Ek Bade Khandan Ki Aurat Fatimah Bint Aswad Ne Chori Kar Li,Islaam Me Ayse Mujrim Ki Saza Haath Katna Hai. Bade Khandaan Ki Hone Ki Wajah Se Logo Ko Fikar Laahiq Ho Gai Ke Agar Uska Haath Kaat Liya Jaae TO Uske Sath Pure Khandaan KI Ruswai Hai Is Liye Logo Ne Is Mamle Me Rasool SAV Se Sifarish Ki Sochi Chunacha Usmah Bin Zaid RA Is Aurat Ki Sifarish Ke Liye Nahi Je Paas Aae. Nabi Ne Is Waqt Usamah Bin Zaid Aur Apni Puri Ummat Ki Aysi Taalim Di Jis Ke Misaal Qayamat Tak Koi Haakim,Juge,Wakeel,Leader,Aur Rehnuma Nahi Paish Kar Sakta. Aaiye Jante Hai Ke Aap Ne Kya Farmaya:

Pichli Bahut Si Ummate Is Liye Halaak Ho Gai Ke Jab Unka Koi Shareef Aadmi Chori Karta To Use Chhod Dete AUR Agar Koi Kamzor Chori Karta To Us Par Had Qaaim Karte Aur Allaah Ki Qasam! Agar Fatimah Bint Muhammad SAV Bhi Chori Kare To Me Uska Bhi Haath Kaat Dalu. Bhala Duniya Ka Kaun Sa Haakim Apni Beti Ko Chori Ki Saza Ke Taur Par Us Ka Haath Kaat Sakta Hai? Yaqeenan Koi Bhi Nahi. Haa Woh Haakim Aysa Kar Sakta Hai Jo Islaam Ka Sachcha Pairokaar Hoga Aur Allaah Se Bahut Ziyada Darne Wala Hoga.

Taarikh Gawaah Hai Ke Nabi SAV Ke Naqsh E Qadam Par Chalte Hue Khulfaae Raadhideen Ne Apne Zamana Me Logo Ke Sath Waisa Hi Adal Aur Insaaf Kiya Jis Ki Taalim ALLAAH Aur Uske Rasool Ne Di Hai. Umar RA Ne Logo Ke Ikhtilaaf Aur Mamla Hal Karne Ke Liye Qaazi Muntakhab Kiye Aur Aap Ke Baad Dusre Khalifa Bhi Mansab E Qaza Aur Daarul Qaza Bahaal Rakhe,Qaazi Ko Baqaidah Salary Di Jati Hai Taaki Gair Janibdaar Ho Kar Adal Aur Insaaf Par Mabni Faisla Kar Sake. Khulfaae Rashedeen Ke Baad Bhi Islaam Ke Naam Leva Deen Par Amal Karne,Talimat E Ilaahiya Ki Isha’at Karne Aur Logo Ke Darmiyan Mamlaat Karne Me Adal Ka Daman Thama.

Muhammad SAV Ne Aadil Hukmaran Ki Hosla Afzaai Ki Hai Aur Adal Ke Sath Hukmaraani Karne Walo Ke Buland Darjaat Ka Zikar Farmaya Hai Nabi SAV Ki Un Taalimat Se Jaha Ek Taraf Muslim Hukmaran Ko Adal Karne Me Targeeb Milti Hai Wahi Zulam Aur Ziyadati Ke Bhayanak Nataij Se Khauf Khate Hue Kisi Ki Haq Talafi Aur Jaanibdari Se Allaah Se Dar Mehsoos Karta Hai.

Hindustaan Ke Muslim Hukmaran Ki Baat Ki Jaae Jinhone Hindu O Ki Aksariyat Mulk Par Senkdo Saal Hukmaraani Ki To Bila Shak Kaha Jaae Ga Ke Un Sabhi Ne Bila Imtiyaaz Sabhi Hindustaniyo Ke Sath Insaaf Se Kaam Liya. Khaas Aur AAM Aur Khususan Insaaf Ke Liye Unke Darbaro Me “Diwaane Aam” Hota Jaha Har Kisi Ki Fariyad Suni Jati Balke Kitne Hukmaraano Ke Yaha Zanjeer Adal Hota Jise Hala Kar Mazloom Apni Awaaz Aasani Ke Sath Badshaah Tak Pohncha Sakta Tha. Zanjeer E Adal Ka Matlab Yah Tha Ke Har Kisi Mazloom Se Badshaah Aagaah Rahe Aur Use Mukammal Insaaf De Sake. Un Hukmaraano Ki Gair Muslimon Ke Sath Rawadari,Adal Aur Insaaf Huqooq Aur Muraaat Aur Ahsaan Aur Salook Hindustani Taarikho Ka Roshan Baab Hai Aaj Kai Muslim Badshah Jin Me Zaheeruddin Babar Bhi Hai Jin Ko Hindustani Hukoomat Zaalim Badshah Ki Shakal Me Paish Karti Hai Yah Sarasar Ziyadati,Taarikh Ke Sath Khilwaad Aur Aaj Ke Musalmano Ke Sath Zulam Aur Na Insaafi Hai.

9 November 2019 Baroz Sanichar Hindustaan Ki Supreme Court Ne Babri Masjid Qaziya Me Na Insaafi Karte Hue Yah Faisla Sunaya Hai Ke Yah Masjid Raam Janam Bhumi Hai Is Jagah Hindu Raam Mandir Taamir Kare Ga.

Ham Ko Unse Hai Wafa Ki Ummid

Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai.

Babar Kya,Koi Bhi Muslim Haakim Na Kisi Hindu O Ka Ghar Jalaya,Na Kahi Garo Darwaza Toda,Na Mandir Tudwa Kar Us Par Masjid Banwaai,Na Haq E Khoon Bahaya Yaha Tak Ke Kisi Ko Jabran Musalman Nahi Banaya. Babar Ne To Apni Aulaad Humayu Aur Banaras Ke Haakim Abul Hasan Ko Mandir Dhahane Se Khususi Taur Par Mana Kiya Tha. Khair Babri Masjid Ke Silsile Me Jo Hona Tha So Ho Gaya,Adalat Ka Faisla Shayad Ab Badla Bhi Nahi Ja Sakta,Babri Masjid Ki Jagah Raam Mandir Taamir Ho Kar Rahe Ga Taaham Yah Taarikh Kabhi Nahi Mit Paae Gi Ke Babri Masjid Tod Kar Uske Malbe Par Raam Mandir Banaya Gaya Sath Hi Adalat Ki Yah Sachchi Baat Bhi Yaad Rahe Gi Ke Babri Masjid Ki Tameer Ke Waqt Koi Mandir Nahi Toda Gaya Tha.

Ab Sochna Ya Karna Kya Hai? Upar Me Ne Bataya Hai Ke Allaah Ke Deen Ke Alawah Kisi Dastoor Me Adal Aur Insaaf Mumkin Nahi Hai, Is Se Hak Musalmano Ko Ek Sabaq Milta Hai Ke Duniya Me Adal Chahte Hai To Fir Hame Allaah Ke Deen Ki Taraf Aana Hoga Aur Kitabullaah Ko Hi Apna Dastoor Banana Padhe Ga.

 

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁

दीन-ए-इस्लाम सरापा अदल है 

 

अदल, हक़, बराबरी, यकसानियत और रास्त के मानी में इस्तेमाल होता है। दुनिया का कोई भी निज़ाम अदल से ख़ाली होने पर निज़ाम कहने के लायक़ नहीं है। निज़ाम कहते ही हैं सीधी राह को। यही वजह है कि इस्लाम का सारा निज़ाम अदल पर क़ायम है, ब-अल्फ़ाज़-ए-दीगर, अदल और इंसाफ़ के बग़ैर इस्लाम का अदना तसव्वुर भी बाक़ी नहीं रह सकेगा। क़यामत के दिन अल्लाह अदल के ज़रिए ही बंदों के आमाल का पूरा-पूरा बदला देगा।

दुनिया चूंकि इम्तिहान और आज़माइश की जगह है, यहां घर से लेकर मुल्क तक और स्टेशन से लेकर अदालत हर जगह हमें कभी अदल नज़र आता है और कभी इसके बरख़िलाफ़ ज़ुल्म दिखाई देता है। बल्कि यह कहना बेजा न होगा कि दुनिया की अकसर जगहों में अदल कम और ज़ुल्म और ज़ोर ही नज़र आता है। नबी ﷺ ने दीन के तमाम उमूर में मियाना रवी इख़्तियार करने का हुक्म दिया है, यह ऐन अदल है। इबादत करें दरमियाँना रवी के साथ जिसमें ज़ुल्म न हो, ग़रज़ यह कि इस्लाम की तमाम तालीमात अदल पर मबनी हैं क्योंकि यह मिन जानिब अल्लाह है। ग़ैरुल्लाह की जानिब से निज़ाम-ए-ज़िंदगी और सियादत और क़ियादत के लिए जैसा भी दस्तूर बना लिया जाए, उसमें अदल नहीं होगा। अदल होगा भी तो बराए नाम होगा। क़ुरआन में अल्लाह ने इस बात की तरफ़ इशारा कर दिया 

है कि अगर यह किताब (क़ुरआन) अल्लाह के अलावा दूसरों की जानिब से होती, तो तुम इसमें बहुत ज़्यादा इख़्तिलाफ़ पाते। जब हाल यह है कि इंसानों का बनाया हुआ कोई भी दस्तूर इख़्तिलाफ़ से ख़ाली और अदल पर मबनी नहीं हो सकता, तो फिर हुकूमत और अदालत के इस दस्तूर के ज़रिए इंसानियत को कैसे अदल इंसाफ़ मिलेगा?

अल्लाह ने दुनिया में क़ुरआन की शक्ल में आदिलाना निज़ाम-ए-ज़िंदगी और दस्तूर-ए-हयात भेज कर इंसानों पर बड़ा करम किया है। इस दस्तूर को दुनिया के जिस ख़ित्ते में नाफ़िज़ किया जाए, वहां अमन और अमान होगा, अमीर और ग़रीब में बराबर सलूक होगा। अदल और इंसाफ़ के साए में लोग बेख़ौफ़ होकर ज़िंदगी गुज़ार सकेंगे। कोई बिला वजह किसी पर ज़्यादती करने से बचेगा। ज़ालिम को उसके किए की सज़ा और मज़लूम को पूरा पूरा इंसाफ़ मिलेगा। यहां तक कि इस ख़ित्ते में रहने वाले हैवानों के साथ भी एहसान और सुलूक किया जाएगा।

अल्हम्दुलिल्लाह, इंसानों में कायनात के सबसे बड़े आदिल और मुनसिफ़ मुहम्मद ﷺ ने अल्लाह का आदिलाना पैग़ाम अपनी उम्मत तक अदल और इंसाफ़ के साथ पहुंचाया। आप ﷺ ने ज़िंदगी के हर मोड़ पर अपनी उम्मत को न सिर्फ़ अदल का दामन थामने का हुक्म दिया, बल्कि अदल और इंसाफ़ के बाब में ऐसी मिसाल पेश की, जिसकी नज़ीर दुनिया पेश करने से क़ासिर है। इसका अंदाज़ा सही बुख़ारी के एक वाक़िआ से लगा 

सकते हैं कि एक बड़े ख़ानदान की औरत फ़ातिमा बिन्त असवद ने चोरी कर ली। इस्लाम में ऐसे मुजरिम की सज़ा हाथ काटना है। बड़े ख़ानदान की होने की वजह से लोगों को फ़िक्र लाहिक़ हो गई कि अगर उसका हाथ काट लिया जाए तो उसके साथ पूरे ख़ानदान की रुसवाई है, इसलिए लोगों ने इस मामले में रसूल ﷺ से सिफ़ारिश की सोची। चुनांचे औसामा बिन ज़ैद रज़ियल्लाहु अन्हु इस औरत की सिफ़ारिश के लिए नबी ﷺ के पास आए। नबी सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इस वक्त औसामा बिन ज़ैद और अपनी पूरी उम्मत को ऐसी तालीम दी जिसकी मिसाल क़यामत तक कोई हाकिम, जज, वकील, लीडर, और रहनुमा पेश नहीं कर सकता। आइए जानते हैं कि आप ﷺ ने क्या फ़रमाया:

“पिछली बहुत सी उम्मतें इसलिए हलाक हो गईं कि जब उनका कोई शरीफ़ आदमी चोरी करता तो उसे छोड़ देते और अगर कोई कमज़ोर चोरी करता तो उस पर हद क़ाइम करते। और अल्लाह की क़सम! अगर फ़ातिमा बिन्त मुहम्मद ﷺ भी चोरी करे तो मैं उसका भी हाथ काट डालूंगा।”

भला दुनिया का कौन सा हाकिम अपनी बेटी को चोरी की सज़ा के तौर पर उसका हाथ काट सकता है? यक़ीनन कोई भी नहीं। हां, वह हाकिम ऐसा कर सकता है जो इस्लाम का सच्चा पैरोकार होगा और अल्लाह से बहुत ज़्यादा डरने वाला होगा।

तारीख़ गवाह है कि नबी ﷺ के नक़्श-ए-क़दम पर चलते हुए ख़ुल्फ़ा-ए-राशिदीन ने अपने ज़माने में लोगों के साथ वैसा ही अदल और इंसाफ़ किया, जिसकी तालीम अल्लाह और उसके रसूल ﷺ ने दी है। उमर रज़ियल्लाहु अन्हु ने लोगों के इख़्तिलाफ़ और मामला हल करने के लिए काज़ी मुन्तख़ब किए और आपके बाद दूसरे ख़लीफ़ा भी मंसब-ए-क़जा और दारुल क़जा बहाल रखे। काज़ी को बाक़ायदा सैलरी दी जाती थी ताकि ग़ैर-जानिबदार होकर अदल और इंसाफ़ पर मबनी फ़ैसला कर सके। ख़ुल्फ़ा-ए-राशिदीन के बाद भी इस्लाम के नाम लेवा, दीन पर अमल करने, तालीमात-ए-इलाहिया की इशाअत करने और लोगों के दरमियाँन मामलात करने में अदल का दामन थामे रहे।

मुहम्मद ﷺ ने आदिल हुक्मरान की हौसला अफ़ज़ाई की है और अदल के साथ हुक्मरानी करने वालों के बुलंद दर्जात का ज़िक्र फ़रमाया है। नबी ﷺ की उन तालीमात से जहां एक तरफ़ मुस्लिम हुक्मरान को अदल करने में तरग़ीब मिलती है, वहीं ज़ुल्म और ज़्यादती के भयानक नताइज से ख़ौफ़ खाते हुए किसी की हक़ तलफ़ी और जानिबदारी से अल्लाह से डर महसूस करता है।

हिन्दुस्तान के मुस्लिम हुक्मरानों की बात की जाए जिन्होंने हिन्दुओं की अकसरियत वाले मुल्क पर सैंकड़ों साल हुक्मरानी की, तो बिला शक कहा जाएगा कि उन सब ने बिला इम्तियाज़ सभी हिन्दुस्तानियों के साथ इंसाफ़ से काम लिया। ख़ास और 

आम और ख़ुसूसन इंसाफ़ के लिए उनके दरबारों में “दीवान-ए-आम” होता, जहां हर किसी की फ़रियाद सुनी जाती। बल्कि कितने हुक्मरानों के यहां ज़ंजीर-ए-अदल होता, जिसे हिलाकर मज़लूम अपनी आवाज़ आसानी से बादशाह तक पहुंचा सकता था। ज़ंजीर-ए-अदल का मतलब यह था कि हर किसी मज़लूम से बादशाह आगाह रहे और उसे मुकम्मल इंसाफ़ दे सके। उन हुक्मरानों की ग़ैर मुस्लिमों के साथ रवादारी, अदल और इंसाफ़, हुक़ूक़ और मुरा’आत (ख़ास सुलूक़) और एहसान और सुलूक हिन्दुस्तानी तारीख़ों का रौशन बाब है। आज कई मुस्लिम बादशाह जिनमें ज़हीरुद्दीन बाबर भी हैं, जिन्हें हिन्दुस्तानी हुकूमत ज़ालिम बादशाह की शक्ल में पेश करती है। यह सरासर ज़्यादती, तारीख़ के साथ खिलवाड़ और आज के मुसलमानों के साथ ज़ुल्म और ना-इंसाफी है।

9 नवंबर 2019, बरोज़ सनिचर, हिन्दुस्तान की सुप्रीम कोर्ट ने बाबरी मस्जिद क़ज़िया में ना-इंसाफी करते हुए यह फ़ैसला सुनाया है कि यह मस्जिद राम जन्मभूमि है। इस जगह हिन्दू राम मंदिर तामीर करेगा।

“हमको उनसे है वफ़ा की उम्मीद  

जो नहीं जानते वफ़ा क्या है।”

 

बाबर क्या, कोई भी मुस्लिम हाकिम न किसी हिन्दू का घर जलाया, न कहीं घरों के दरवाजे तोड़े, न मंदिर तुड़वाकर उस पर 

मस्जिद बनवाई,ना-हक़ ख़ून बहाया यहाँ तक कि किसी को जबरन मुसलमान नहीं बनाया। बाबर ने तो अपनी औलाद हुमायूँ और बनारस के हाकिम अबुल हसन को मंदिर ढहाने से ख़ास तौर पर मना किया था। ख़ैर बाबरी मस्जिद के सिलसिले में जो होना था सो हो गया, अदालत का फ़ैसला शायद अब बदला भी नहीं जा सकता, बाबरी मस्जिद की जगह राम मंदिर तामीर होकर रहेगा, तथापि यह इतिहास कभी नहीं मिट पाएगी कि बाबरी मस्जिद तोड़कर उसके मलबे पर राम मंदिर बनाया गया। साथ ही अदालत की यह सच्ची बात भी याद रहेगी कि बाबरी मस्जिद की तामीर के वक्त कोई मंदिर नहीं तोड़ा गया था।

अब सोचना या करना क्या है? ऊपर मैंने बताया है कि अल्लाह के दीन के अलावा किसी दस्तूर में अदल और इंसाफ़ मुमकिन नहीं है, इससे हक़ मुसलमानों को एक सबक़ मिलता है कि दुनिया में अदल चाहते हैं तो फिर हमें अल्लाह के दीन की तरफ़ आना होगा और किताबुल्लाह को ही अपना दस्तूर बनाना पड़ेगा।

 

✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
Table of Contents