01. Islami Aqeedah [For Kids]
Islami Aqeedah
✦ 01. Islam, Imaan aur Ahsaan
❁ Umar bin khattaab (رضی اللہ عنہ) farmatay hain: Aik din hum Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas baithe huye thay ke achanak aik shakhs aaya jis ke kapray nihayat safed aur baal bilkul kalay thay, us par safar ka koi asar dikhayi na deta tha aur hum mein se koi usay pehchanta bhi nahi tha, yahan tak ke woh shakhs aakar Allah ke Rasool (ﷺ) ke samnay baith gaya aur apne ghutney aap ke ghutnon se mila diye aur apne haath Aap (ﷺ) ki raanon par rakh diye, aur kehnay laga: Aye Mohammad, mujhe Islam ke baray mein bataiye, Aap (ﷺ) ne farmaya: “Islam yeh hai ke tum is baat ki gawahi do ke Allah ke siwa koi haqeeqi mabood nahi aur Mohammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain, aur namaz qayem karo, zakat ada karo, ramadan ke rozay rakho aur agar isteta’at ho to Baitullah ka hajj karo. “Us shakhs ne kaha: Aap ne sach kaha, Is par hamein bada taajjub hua ke khud hi sawal puchta hai aur khud hi tasdeeq bhi karta hai.
Phir us shakhs ne kaha: Mujhe Imaan ke baray mein bataiye, Aap (ﷺ) ne farmaya: “( Imaan yeh hai ke) tum Allah par, uske Farishton par, uski Kitabon par, uske Rasoolon par, Akhirat ke din par, aur Taqdeer ki bhalayi aur burayi par Imaan lao, “Usne kaha: “Aap ne sach kaha”
Phir is ne kaha:”Mujhe ahsaan ke baray mein bataiye, aap ne farmaya: “(Ahsan yeh hai ke) tum Allah ki ibadat is terha karo goya tum usay dekh rahay ho, aur agar tum usay nahi dekhte to (yaad rakho) woh yaqeenan tum ko dekh raha hai.
Usne kaha: “Mujhe qayamat ke baray mein bataiye, Aap ne farmaya: “Jisse poocha ja raha hai woh sawal karne walay se ziyada nahi jaanta. Us shakhs ne kaha: Phir mujhe qayamat ki nishaniyan hi bata dijiye, Aap ne farmaya: “Jab baandi apni malikin ko janam day, aur tum nangein paon, libaas se mahroom, kangaal, bakriyan charanay walon ko dekho ke woh unche unche imaratein bana kar aik dosray par fakhr kar rahay hain (“To yeh qayamat ki alamaat mein se hai”).
Phir woh shakhs chala gaya aur main kuch der yun hi betha raha, Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhse kaha: “Aye Umar, kya tum jantay ho yeh sawalaat karne wala shakhs kaun tha? Main ne kaha: Allah aur uska Rasool hi behtar jantay hain, Aap ne farmaya: “Yeh Jibreel thay jo tumhe tumhara deen sikahnay ke liye aaye thay.
[Muslim – Al-Imaan: 9]
Yeh aik bohat hi azeemul shaan hadees hai, isay hadees-e-Jibreel kaha jata hai, is hadees mein deen ki nihayat hi bunyadi baton ki taleem di gayi hai, aur deen ke teen murattib Islam, Imaan aur ahsaan ki tafseel bayan ki gayi hai.
Is hadees se yeh bhi maloom hota hai ke deen ka seekhna sikhana kitna zaroori hai, Allah Ta’ala ne Sahaba ki taleem ki khatir farishton ke sardar Jibreel (عليه السّلام) ko insaan ki shakal mein bheja, unhone Aap (ﷺ) se sawalaat kiye aur Aap (ﷺ) ne un salawon ke jawabaat diye, sawal-o-jawab ki is majlis se sahaba aur qayamat tak ke musalmanoon ko deen ki un aham tareen baton ko seekhnay ka mauqa mila.
Hadees-e-Jibreel se jo baatein hamaray samnay ayen woh Darj-e-zail hain.
✦ 02. Maraatib-e-Deen
❁ Deen ke teen maratib hain.
(1) Islam (2) Imaan (3) Ahsaan
عن عمر بن الخطاب رضي الله عنه قال قال: بينما نحن عند رسول الله ذات يوم. إِذا طَلَعَ عَلَيْنَا رَجُلٌ شَدِيدٌ بياض الثياب شديد سواد الشعر، لا يرى عليه أثر الشعر، ولا يعرفه منا أحد، حتى جلس إلى النبي ، فأسند ركبتيه إلى ركبتيه، ووضع كفيهِ عَلى فَجَلَيْهِ، وَقَالَ: يَا مُحَمَّدُ أخبرني عن الإسلام، فقال رسول الله الإسلام أن تشهد أن لا إله إلا الله وأن محمدًا رسول الله.. وتقيم الصلاة، وتؤتي الزكاة، وتصوم رمضان، وتَحُجَّ الْبَيْتَ إن استطعت إِلَيْهِ سَبِيلًا، قَالَ: صدقت. قال فَعَجِبْنَا لَهُ يَسأله، ويُصبَقَهُ، قال: فأخبرني عن الإيمان، قال: أنْ تُؤْمِنَ بِالله وَمَلَائِكَتِهِ وَكُلبِهِ وَرُسُلِهِ وَ الْيَوْمِ الْآخِرِ وَتُؤْمِنَ بِالقدر خيره وشره قال: صدقت. قال: فأخبرني عن الإِحْسَانِ قال أن تَعْبُدَ اللَّهَ كَأَنَّكَ تَرَاهُ فَإِنْ لَمْ تكُن تَرَاهُ فَإِنَّهُ يَرَاكَ، قَالَ: فَأَخبرني عن الساعة، قال: “ما المسئول عنها بأعلم من السائل”قَالَ: فَأَخْبِرْنِي عَنْ أمارتها، قال: أن تلد الأمة ربها، وأن ترى الحفاة الغزاة العالة رعاء الشاء بتطاولون في البنيان”، قال: ثم انطلق فَلَبِثْتُ مَلِيًّا، ثُمَّ قَالَ لي: يا عمر أنذري من السائل؟ قلت: الله ورسوله أعلم. قال: فإنه جبريل أتاكُمْ يُعَلِّمُكُمْ دِينَكُمْ. ام الإيمان
✦ 03. Islam ke Arkaan
❁ Islam ke paanch arkaan hain.
(1) Is baat ki gawahi dena ke Allah ke siwa koi ibadat ke layiq nahi aur Mohammad صلى الله عليه وسلم Allah ke rasool hain.
(2) Namaz qayem karna
(3) Zakat ada karna
(4) Agar isteta’at ho to hajj karna
(5) Ramadan ke rozay rakhna
✦ 04. Imaan ke Arkaan
❁ Imaan ke chhay arkaan hain.
(1) Allah par Imaan
(2) Farishton par Imaan
(3) Allah ki kitabon par Imaan
(4) Allah ke rasoolon par Imaan
(5) Akhirat ke din par Imaan
(6) Taqdeer ki bhalayi aur burayi par Imaan
✦ 05. Ihsaan
❁ Ihsaan ke do martabe hain.
( 1) Allah ki ibadat is taur par karna ke goya hum Allah ko dekh rahay hain.
(2) Agar yeh nahi ho sakta to kam az kam is ehsas ke sath ibadat karna ke Allah hame dekh raha hai.
✦ 06. Hamara Rab kaun hai?
❁ Hamara Rab Allah hai, Rab ke maani maalik aur paalne walay ke hotay hain, Allah hamara Khaaliq, Maalik aur Razzaq hai aur wohi saari kayenaat ka nizaam chalanay wala hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
اللَّهَ رَبِّكُمْ وَرَبِّ أَبَائكُمُ الْأَوَّلِينَ –
Allah tumhara bhi Rab hai aur tumahray aaba-o-ajdad ka bhi jo tum se pehlay guzar chukein hain.
[Surah As-Saffat: 126 ]
✦ 07. Zameen-o-aasman aur saari cheezon ko kis ne paida kiya?
❁ Zameen-o-aasman aur saari cheezon ko Allah hi ne paida kiya hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
قُلِ الله خَالِقُ كُلِّ شَيْءٍ وَهُوَ الْوَاحِدُ الْقَهَّارُ –
Aye Nabi (ﷺ) Aap keh dijiye ke Allah hi tamam cheezon ka Khaaliq hai, aur woh Wahid hai, Qa’hhaar hai.
[ Surah Al-Raad: 16 ]
✦ 08. Hamein kis ki ibadat karni chahiye?
❁ Hamein sirf Allah ki ibadat karni chahiye.
Allah Ta’ala ne farmaya:
إِنَّ اللهَ رَبِّي وَرَبُّكُمْ فَاعْبُدُوهُ هَذَا صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٌ
Isa (علیہ السلام) ne apni qoum ko dawat dete hu7e kaha: Haqeeqat yeh hai ke mera aur tumhara rab Allah hi hai, lehaza tum usi ki ibadat karo, yahi siraat-e-mustaqeem hai.
[Surah Al-Imran: 51]
✦ 09. Sab se bada gunah kya hai?
❁ Shirk sab se bada gunah hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَاذْ قَالَ لُقْمَن لابنِهِ وَهُوَ يَعِظُهُ يبنى لا تُشْرِكْ بِاللهِ إِنَّ الشَّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ
Aur jab Luqman ne apne betay ko naseehat karte huye kaha: Aye mere betay, Allah ke sath hargiz shareek na karna, yaqeenan shirk zulm-e-azeem hai.
[ Surah Luqman: 13 ]
✦ 10. Kya shirk ka gunah baghair tawbah ke maaf ho sakta hai?
❁ Nahi, shirk baghair tawbah ke maaf nahi hoga.
Allah Ta’ala ne farmaya:
إِنَّ اللهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذُلِكَ لِمَنْ يَشَاءُ وَمَنْ يُشْرِكْ بِاللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَّلًا بَعِيدًا
Allah Ta’ala is gunah ko hargiz nahi bakhshega ke uske sath ( kisi ko) shareek kiya jaye, haan, isse kamtar ( gunah ho to) jisay chahay maaf kar dega, aur jisne Allah ke sath shirk kiya woh bohat dur ki gumraahi mein ja pada.
[ Surah Al-Nissa: 116]
✦ 11. Kis gunah se saari nekiyan barbaad ho jati hain?
❁ Shirk se saari naikiyan barbaad ho jati hain.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَلَقَد أُوحِيَ إِلَيْكَ وَإِلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لين اشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ الْخَسِرِينَ
(Aye Nabi (ﷺ) yaqeenan aap ki taraf aur aap se pehlay (tamam nabiyon) ki taraf is baat ki wahi ki ja chuki hai ke, ”Agar tune shirk kiya to tera sara amal barbaad ho jayega aur to khasara uthany walon mein se ho jayega“.
[ Surah Al-Zumur: 65 ]
✦ 12. Sajdah kisko karna chahiye?
❁ Sajdah sirf Allah hi ko karna hahiye.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَ مِنْ ايْتِهِ الَّيْلُ وَالنَّهَارُ وَالشَّمْسُ وَالْقَمَرُ لا تَسْجُدُوا لِلشَّمْسِ وَلَا لِلْقَمَرِ وَاسْجُدُوا لِلهِ الَّذِي خَلَقَهُنَّ إِنْ كُنْتُمْ إِيَّاهُ تَعْبُدُونَ
Aur Allah ki nishaniyon me se hai, raat, din aur suraj chand, tum na suraj ko sajda karo na chand ko balkeh us Allah ko sajda karo jis ne un sab ko paida kiya hai, agar tum waqayi uski ibadat karte ho.
[Surat Fussilat: 37]
✦ 13. Dua kisse karni chahiye?
❁ Dua sirf Allah se karni chahiye.
Allah Ta’ala ne farmaya,:
فَادْعُوا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّيْنَ
Pas tm Allah hi se dua karte raho, apne deen (yaani apne tamam a’amaal-o-ibadat) ko usi ke liye khalis karte huye.
[Surah Ghafir:14]
✦ 14. Madad kisse maangni chahiye?
❁ Hamein sirf Allah Ta’ala se madad maangni chahiye.
Allah Ta’ala ne apne bandon ko ye dua sikhayi hai:
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
Aye Allah ham teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad chahte hain.
[Surah Fatiha:5]
✦ 15. Qurbani kiske liye karni chahiye?
❁ Qurbani sirf Allah ke liye karni chahiye.
Allah Ta’ala ne farmaya:
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانحَرْ
Pas aye Nabi (ﷺ) aap apne Rabb ke liye namaaz padhein aur Qurbani bhi usi kay liye kijiye.
[Surah Kausar:2]
16. ✦Allah ke nazdeek maqbool deen kaunsa hai?
❁ Allah ke nazdeek maqbool deen sirf Islam hai, akhirat me Islam ke alawa koi deen qubool nahi kiya jayega.
Allah Ta’ala ne farmaya:
إِنَّ الدِّينَ عِنْدَ اللهِ الْإِسْلَامُ
Allah Ta’ala ke nazdeek (maqbool) deen Islam hai.
[Surat-ul-Imran:19]
✦ 17. Kya Islam ek mukammal deen hai ?
❁ Haan, Islam ek mukammal deen hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيْتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًاء
Aaj maine tumhare liye tumhara deen kamil kar diya, aur tum par apni nemat tamaam kardi, aur tumhare liye Islam ko ba’taur-e-deen pasand kar liya.
[Surah Maidah:3]
✦ 18. Kufr kya hai?
❁ Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki baat maanne se inkar kar dena kufr hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
قُلْ أَطِيعُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ ، فَإِن تَوَلَّوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْكَفِرِينَ
Aye Nabi (ﷺ) aap keh dijiye! “Allah (aur uske) Rasool ki farmabardaari karo” phir agar ye log (aapki dawat se) munh pher le to jaan lijiye ke Allah Ta’ala kafiron se mohabbat nahi karta.
[Surah Imran:32]
✦ 19. Nifaaq kya hai ?
❁ Zabaan se Islam ko manne aur dil se uska inkar karne ko nifaaq kehte hai, nifaaq bhi kufr hi hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَقُولُ آمَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْآخِرِ وَمَا هُمْ بِمُؤْمِنِينَ يُخْدِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ آمَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّا أَنْفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ
Aur baaz log aise hain jo kahte hain ke “Hum Allah par aur roz-e-Aakhirat par Imaan rakhte hain” halanke woh Imaan nahi rakhte, woh Allah ko aur unn logon ko jo (waqayi) Imaan laa chukay hain dhoka detay hain, aur (haqeeqat to yeh hai kay) woh apney siwa kisi aur ko dhoka nahi dey rahey, lekin unhen iss baat ka ehsas nahi hai.
[Surah Baqarah:8-9]
✦ 20. Rasool kise kehte hain?
❁ Vo neik bande jinhein Allah ne apne deen ka kaam pahunchaane ke liye chuna unhein Rasool kehte hain. Rasoolon ke paas Allah ki taraf se farishte aakar unhein paighaam pahunchate they.
Allah Ta’ala ne farmaya:
لقد أرسلنا ريانا بالبيانات
و أنزلنا معهم الكتاب والميزان ليقوم الناس بالقسط
Yaqeenan hamne apne Rasoolon ko waazeh daleelein dekar bheja aur unke saath kitaab aur meezan naazil kiya taaki log adal par qayem rahein.
[Surah Hadees:25]
✦ 21. Tamaam Rasoolon ne jis cheez ki dawat di?
❁ Tamam Rasoolon ne tawheed ki dawat di.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وما أرسلنا من قبلك من رسول اﻻ نوحى أليه أنه ﻻإله إﻻ إنا فإعبدون
Aye Nabi aapse pehle hamne jo bhi Rasool bheja uski taraf iss baat ki wahi zaroor ki keh mere siwa koi maabood-e-barhaq nahi, lihaaza tum sab meri hi ibaadat karo.
[Surah Anbiya:25]
✦ 22. Allah ke akhri Nabi kaun hai?
❁ Allah ke akhri Nabi Mohammad (ﷺ) hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
مَا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَا أَحَدٍ مِنْ رِجَالِكُمْ وَلَكِنْ رَّسُوْلَ اللهِ وَخَاتَمَ النَّبِينَ
Mohammad (ﷺ) tumhare mardon mein se kisi kay waalid nahi hain balke Allah kay Paighambaron aur Nabiyon ( ki nabuwwat) ki mohar ( yani usko khatam kar dene wale hain) aur Allah har chiz se waqif hai.
[Surah Ahzaab:40]
✦ 23. Jo shakhs Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki baat maane use kya milega?
❁ Jo shakhs Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki baat mane use Jannat milegi.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَمَنْ يُطِعِ اللَّهَ وَرَسُولَهُ يُدْخِلْهُ جَنتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهُرُ خَلِدِينَ فِيهَا”وَذَلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ۔
Aur jo shakhs Allah aur uss kay Rasool (ﷺ) ki ataa’at karega, woh uss ko aisay baaghaat mein dakhil karega jin kay neechay nehrein behti hongi, aisay log hamesha un ( baaghaat) mein rahengay, aur yeh zabardast kamyabi hai.
[Surah Nisa:13]
✦ 24. Sahaba kaun hai?
❁ Jin logon ne Nabi (ﷺ) se Imaan ki halat me mulaqat ki aur jinki maut Imaan par hui unhe Nabi (ﷺ) ke Sahaba kehte hai, tamam Sahaba behad nek log the, Anbiya ke baad Sahaba (رضی اللہ عنہم) ajma’yin hi ka muqam-o-martaba hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
والشيفونَ الْأَوَّلُونَ مِنَ الْمُهَجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُمْ بِاِحْسَانٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ وَأَعَدَّ لَهُمْ جَنَّتٍ تَجْرِي تَحْتَهَا الْأَنْهَرُ خَلِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ذلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Aur unhi dehaatiyon mein woh bhi jo Allah aur youm-e-aakhirat par Imaan rakhtay hain, aur jo kuch ( Allah kay naam per) kharch kartay hain, uss ko Allah kay paas qurb kay darjay hasil karnay aur Rasool ki duayen lenay ka zariya samajhtay hain. Haan! yeh un kay liye yaqeenan taqarrub ka zariya hai. Allah un ko apni rehmat mein dakhil karega, beshak Allah bohot bakhshney wala, bada meharban hai.
[Surat-ut-Tauba:100]
✦ 25. Rasool (ﷺ) aur Sahaba (رضی اللہ عنہم) ke raste se hatne ka anjam kya hai?
❁ Rasool (ﷺ) aur Sahaba (رضی اللہ عنہم) ke raste se hatne ka anjam gumrahi aur Jahannum hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَ مَنۡ یُّشَاقِقِ الرَّسُوۡلَ مِنۡۢ بَعۡدِ مَا تَبَیَّنَ لَہُ الۡهدٰی وَ یَتَّبِعۡ غَیۡرَ سَبِیۡلِ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ نُوَلِّہٖ مَا تَوَلّٰی وَ نُصۡلِہٖ جَہَنَّمَ ؕ وَ سَآءَتۡ مَصِیۡرًا ﴿۱۱۵﴾
Aur jo shakhs seedha rasta maloom hone kay baad Paighambar ki mukhalifat kare aur mominon ki raah chhod kar aur raste par chale to jidhar woh chalta hai hum use udhar hi chalne denge aur ( Qayamat kay din) Jahannum mein dakhil karenge. Aur woh buri jagah hai.
[Surah Nisa:115]
✦ 26. Allah ke wali kaun hai?
❁ Jin logon ka Imaan bahot qawi hota hai aur woh bahot nek hote hai unhe Allah Ta’ala apna dost bana leta hai, aise bandon ko Allah ka wali kehte hai, wali ka martaba Nabi aur Sahaba se kam hota hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
الا ان أوليا ءالله لا خوف عليهم وﻻ هم يحزنون. الذين آمنوا و كانوا يتقون.
Khabardar Allah ki auliyaon par na koi khauf hai na wo ghamgheen honge, ye woh log hai jo Imaan laye aur buraiyon se bachte rahe.
[Surah Younus:62-63]
✦ 27. Ilm hasil karne ka kya fayda hai?
❁ Ilm se insaan ke andar sahih aur ghalat me fark karne ki salahiyat paida hoti hai, ilm ke zariye ek insaan Allah Ta’ala ke nazdeek uncha muqam pata hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
یَرۡفَعِ اللّٰہُ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا مِنۡکُمۡ ۙ وَ الَّذِیۡنَ اُوۡتُوا الۡعِلۡمَ دَرَجٰتٍ
Tum me se jo log Imaan laye aur jinhe ilm diya gya hai, Allah Ta’ala unke darjaat buland kar dega.
[Surah Mujadala:11]
✦ 28. Ilm walon ki kya fazilat hai?
❁ Ilm wale zameen par Allah ki tawheed ki gawah hai, ilm walon ka martaba itna uncha hai ki gawahi ko apni aur farishton ki gawahi ke sath zikr kiya hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
شَہِدَ اللّٰہُ اَنَّہٗ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَ ۙ وَ الۡمَلٰٓئِکَۃُ وَ اُولُوا الۡعِلۡمِ قَآئِمًۢا بِالۡقِسۡطِ ؕ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَ الۡعَزِیۡزُ الۡحَکِیۡمُ ﴿ؕ۱۸﴾ ؒ
Allah to is baat ki gawahi deta hai ke uske siwa koi mabood nahi aur farishte aur ilm wale log jo insaaf par qayam hain woh bhi (gawahi dete hain ke) us ghalib hikmat wale kay siwa koi layaq-e-ibaadat nahi.
[Surah Imran:18]
✦ 29. Dusron ko deen ki dawat dene ki kya fazilat hai?
❁ Dusron ko deen ki dawat dena sabse achhi baat hai, jo shakhs dusron ko bhalayi ki taraf dawat deta hai, use amal karne wale hi ki tarah sawab milta hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَمَنْ أَحْسَنُ قَوْلًا مَنْ دَعَا إِلَى اللهِ وَعَمِلَ صَالِحًا وَقَالَ إِنَّنِي مِنَ الْمُسْلِمِينَ
Aur isse zyada achhi baat wala kaun ho sakta hai jo (logon ko) Allah ki taraf bulaye (khud bhi) nek amal kare aur kahe keh mai bhi musalmanon me se hun.
[Surah Fussilat:33]
✦ 30. Hidayat kaun deta hai?
❁ Hidayat sirf Allah deta hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
إنَّكَ لَا تَهْدِى مَنْ أَحْبَبْتَ وَلَكِنَّ اللهَ يَهْدِى مَنْ يَشَاءُ: وَهُوَ أَعْلَمُ بِالْمُهْتَدِينَ
Aye Nabi (ﷺ) aap jise chahe hidayat nahi de sakte balki Allah Ta’ala hi jise chahta hai hidayat ata farmata hai, aur wo khub janta hai ki hidayat ke mustahiq kaun hai.
[Surah Qasas:56]
✦ 31. Hidayat kis ko milti hai?
❁ Hidayat usko milti hai jo hidayat ki talab rakhta hai, aur jiske dil me haq baat ke mane ka jazba ho.
Allah Ta’ala ne farmaya:
قُلۡ اِنَّ اللّٰہَ یُضِلُّ مَنۡ یَّشَآءُ وَ یَہۡدِیۡۤ اِلَیۡہِ مَنۡ اَنَابَ
Aap keh dijiye ke Allah jise chahta hai gumrah karta hai, aur jo (uski taraf) laut aaye use zarur apni taraf hidayat deta hai.
[Surah Raad:27]
✦ 32. Kya marne ke baad dubara zindagi hai?
❁ Haan, marne ke baad dubara zindagi hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
ثُمَّ اِنَّکُمۡ بَعۡدَ ذٰلِکَ لَمَیِّتُوۡنَ ﴿ؕ۱۵﴾ ثُمَّ اِنَّکُمۡ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ تُبۡعَثُوۡنَ ﴿۱۶﴾
Phir iske baad tum mar jaate ho. Phir Qiyamat kay roz utha khade kiye jaoge.
[Surah Muminoon:15-16]
✦ 33. Qayamat ke din kya hoga?
❁ Qayamat ke din nek logon ko unke amal ke mutabiq Jannat me ina’am milega aur burayi me pade rehne walon ko Jahannum me azaab diya jayega, kafir mushriqeen aur munafiqeen hamesha ke liye Jahannum me daal diye jayenge.
Allah Ta’ala ne farmaya:
فَمَنْ ثَقُلَتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَبِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ وَمَنْ خَفَّتْ مَوَازِينُهُ فَأُولَبِكَ الَّذِيْنَ خَسِرُوا أَنْفُسَهُمْ فِي جَهَنَّمَ خَلِدُونَ
To jinke (amalon ke) bojh bhari honge woh falah paane wale hain. Aur jinke bojh halke honge woh, woh log hain jinhone apne tayin khasare mein daala, hamesha dozakh mein rahenge.
[Surah Mominoon:102-103]
✦ 34. Hamara sabse bada dushman kaun hai?
❁ Hamara sabse bada dushman shaitan hai.
Allah Ta’ala ne farmaya:
اِنَّ الشَّیۡطٰنَ لَکُمۡ عَدُوٌّ فَاتَّخِذُوۡہُ عَدُوًّا ؕ اِنَّمَا یَدۡعُوۡا حِزۡبَہٗ لِیَکُوۡنُوۡا مِنۡ اَصۡحٰبِ السَّعِیۡرِ ؕ﴿۶﴾
Shaitan tumhara dushman hai tum bhi use dushman hi samjho, woh apne (pairvon kay) giroh ko bulata hai taake woh dozakh walon mein hon.
[Surah Faatir:6]
✦ 35. Akhirat ki kamyabi ke liye kya karna zaruri hai?
❁ Akhirat ki kamyabi ke liye chaar (4) kaam zaruri hai.
- Imaan lana
- Nek A’amal karna
- Ek dusre ko haq ki taaqeed karna
- Ek dusre ko sabar ki taaqeed karna
Allah Ta’ala ne farmaya:
وَالْعَصْرِ إِنَّ الْإِنْسَانَ لَفِي خُسْرٍ إِلَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّلِحَتِ وَتَوَاصَوْا بِالْحَقِّ وَتَوَاصَوْا بِالصَّبْرِة
Zamane ki qasam, beshak insan khasare me hai, siwaye un logon ke jo Imaan laye, aur nek amal karte rahe, aur (jinhone) ek dusre ko haq ki wasiyat ki, aur ek dusre ko sabar ki wasiyat karte rahe.
[Surah Asr:1-3]
REFERENCE:
Book: “Deeni Taleem; (Part: 01)
By Fazilatus Shaikh Abu Zaid Zameer Hafidhahullah.
“Roman Transliteration by Farheen Khurshid”