Search
Sections
< All Topics
Print

AHLE HADEES MEN MUKHTALIF JAMAATEN KAUN HAQ PAR?

Ahle Hadees men mukhtalif Jamaaten kaun haq par?

Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Abdus Satar

Logon kay zahan wa dimaagh men aaj kal yeh shubah daalaa jaataa hai ki Ahle Hadees men bhee mukhtalif jamaaten hain, isliye yahaan sawaal paida hotaa hai ki Ahle Hadees kee kaun si jamaat haq par hai ?

Is baat ko samajhne kay liye pahle yeh jaannaa hogaa ki Ahle Hadees kisay kahte hain aur inki kya pahchaan hai ?

Ahle Hadees Qur’aan wa hadees pe amal karne waale ko kahte hain yaani aslaaf kee faham ko saamnay rakhte huye Qur’aan wa hadees kee roshni men Deene Muhammadi kee haqeeqi shakl pesh karte hain, ismein shakhsiyat parasti yaa zaatiyaat ka koi dakhal nahin jo Qur’aan wa hadees say saabit ho usay maan lene waalaa Ahlul Hadees hai chaahay woh kisi rozgaar say judaa ho, kisi deenee nashriyaatee idaare say judaa ho yaa kisi jamaatee tanzeem say waabastaa ho. Asl cheez hai uskaa Manhaj.

Isiliye Ahle Hadees ko mukhtalif naamon say jaanaa jaataa hai maslan Salafi, Muhammadi, Ahlus Sunnah, Asaree aur Taaifay Mansoorah waghairah .

Ahle Hadees jamaat Qur’aan wa hadees kee roshni men Deene Muhammadi kee sachchi tasweer awwaam kay saamnay pesh karne kay liye mukhtalif mahaaz pe deenee kaam karti hai.

Deene Muhammadi kee sachchi tasweer pesh karne ka sab say mazboot zariyaa madaaris hain jahan say ulamaa wa fuzlaa nikal kar phir naye naye zaraaye say Deene Muhammadi kee asl soorat pesh karte hain.

Jamaatee tanzeemen jo mukhtalif ilaaqon men mukhtalif naamon say banaai jaati hain, yahee Ahle Madaaris in tanzeemon kay zariye awwamun naas ko tarah tarah kay wasaail apna kar Deene Muhammadi say rooshnaas karaate hain . Yeh tanzeemen jis qadr phaili hongee usi qadr deen kee nashr wa ishaat bhee hogi.

Lihaazaa jamaat kee mukhtalif tanzeemon say Ahle Hadees kee fa’aaliyyat aur inki sargarmiyon ka pataa chaltaa hai. Hindustaan men Jamiyyat Ahle Hadees kay naam say jamaatee tanzeem chalti hai, pooray hindustaan men iskaa jaal bichaa hai. Iskaa matlab yeh huwaa ki Ahle Hadees jamaat hindustaan kee pooree awwaam ko saheeh deen say rooshnaas karaa rahi hai, tabhi to aaj din ba-din awwaam is jamaat kee taraf tawajjah badhaati jaa rahi hai. Is jamiyyat kay alaawaa Ahle Hadees kee kuchh doosri jamiyyat aur tanzeem bhee hain, inkaa bhee mission aur manhaj wahi hai jo markazee jamiyyat Ahle Hadees hind ka hai, to ismein koi harj nahin. Jaisay kaha jaataa hai jitnay madarse honge utni taaleem badhaygee waisay hi jitni mazhabi tanzeem hogi awwaam utna faaeda uthaaegee.

Yahaan ek baat waazeh rahe ki agar koi mazhabi tanzeem Qur’aan wa hadees kee raah say hati hui hai yaa woh Qur’aan wa hadees kay naam pe taqleed parasti yaa shakhsiyat parasti phailaatee hai yaa phir Qur’aan wa hadees kee taaleem salafay sawliheen kee faham kee roshni men nahin pesh karti to woh Ahle Hadees, Salafi, Muhammadi, Ahlus Sunnah, Asaree aur Taaifay Mansoorah say hati hui tanzeem hai.

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁

अहले हदीस मे मुख़्तलिफ़ जमाते कौन हक़ पर?

 

लोगों के ज़हन व दिमाग़ में आजकल यह शुब्ह डाला जाता है कि अहले हदीस में भी मुख़्तलिफ़ जमातें हैं, इसलिए यहाँ सवाल पैदा होता है कि अहले हदीस की कौन सी जमात हक़ पर है?

इस बात को समझने के लिए पहले यह जानना होगा कि अहले हदीस किसे कहते हैं और इनकी क्या पहचान है?

अहले हदीस क़ुरआन व हदीस पर अमल करने वाले को कहते हैं यानी असलाफ़ की फ़हम को सामने रखते हुए क़ुरआन व हदीस की रोशनी में दीन-ए-मुहम्मदी की हक़ीक़ी शक्ल पेश करते हैं। इसमें शख़्सियत परस्ती या ज़ातियात का कोई दख़ल नहीं। जो क़ुरआन व हदीस से साबित हो, उसे मान लेने वाला अहलुल हदीस है, चाहे वह किसी रोज़गार से जुड़ा हो, किसी दीन के नशरीयाती इदारे से जुड़ा हो या किसी जमाती तंज़ीम से वाबस्ता हो। असल चीज़ है उसका मनहज।

इसीलिए अहले हदीस को मुख़्तलिफ़ नामों से जाना जाता है, मसलन सलफ़ी, मुहम्मदी, अहलुस सुन्नाह, असर्री और ताइफ़ा मंसूरा वग़ैरह।

 

अहले हदीस जमात क़ुरआन व हदीस की रोशनी में दीन-ए-

 

मुहम्मदी की सच्ची तस्वीर अवाम के सामने पेश करने के लिए मुख़्तलिफ़ मोर्चों पर दीनी काम करती है। 

दीन-ए-मुहम्मदी की सच्ची तस्वीर पेश करने का सबसे मज़बूत ज़रिया मदरसे हैं, जहां से उलमा व फ़ुज़ला निकल कर फिर नए-नए ज़राए से दीन-ए-मुहम्मदी की असल सूरत पेश करते हैं। 

जमाती तंजीम जो विभिन्न इलाकों में विभिन्न नामों से बनाई जाती हैं, यही अहले मदरसे इन तंज़ीमों के ज़रिए अवामुन्नास को तरह-तरह के वसाइल अपना कर दीन-ए-मुहम्मदी से रू-शनास (जान पहचान) कराते हैं। ये तंज़ीम जितनी फैलेंगी, उतनी ही दीन की नश्र-ओ-इशाअत भी होगी। 

लिहाज़ा जमात की मुख़्तलिफ़ तंज़ीमों से अहले हदीस की फ़ा’आलिय्यत (गतिविधि) और इनकी सरगर्मियों का पता चलता है। हिंदुस्तान में जमीयत अहले हदीस के नाम से जमाती तंज़ीम चलती है, पूरे हिंदुस्तान में इसका जाल बिछा है। इसका मतलब यह हुआ कि अहले हदीस जमात हिंदुस्तान की पूरी अवाम को सही दीन से रू-शनास करा रही है, तभी तो आज दिन-ब-दिन अवाम इस जमात की तरफ़ तवज्जोह बढ़ाती जा रही है। 

इस जमीयत के अलावा अहले हदीस की कुछ दूसरी जमीयत और तंज़ीम भी हैं, इनका भी मिशन और मनहज वही है जो मरकज़ी जमीयत अहले हदीस हिंद का है, तो इसमें कोई हरज 

नहीं। जैसे कहा जाता है जितने मदरसे होंगे उतनी तालीम बढ़ेगी, वैसे ही जितनी मज़हबी तंज़ीम होगी, अवाम उतना फ़ायदा उठाएगी। 

यहां एक बात वाज़ेह रहे कि अगर कोई मज़हबी तंज़ीम क़ुरआन व हदीस की राह से हटी हुई है या वह क़ुरआन व हदीस के नाम पर तक़लीद परस्ती या शख़्सियत परस्ती फैलाती है या फिर क़ुरआन व हदीस की तालीम सलफ़-ए-सालिहीन की फ़हम की रोशनी में नहीं पेश करती, तो वह अहले हदीस, सलफ़ी, मुहम्मदी, अहलुस सुन्नाह, असर्री और ताइफ़ा मंसूरा से हटी हुई तंज़ीम है।

 

 

✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯✯
Table of Contents