Search
Sections
< All Topics
Print

(47) GARDAN KA MASAH

(47) GARDAN KA MASAH



( Imam Ibn-e-Taimiyah ( رحمه الله )

Nabi ﷺ say wuzoo mein “Gardan” kay masah kay muta’alliq koi sahih hadith saabit nahi hai,

Yeh hi wajah hai keh jin ahadith mein Nabiﷺ kay wuzoo ka bayan hai un say maloom hota hai keh Ap ﷺ garden ka masah nahi kartay thay.(1)

 

( Ibn-e-Qayyim ( رحمه الله )

Gardan kay masah mein Nabi ﷺ say koi bhi sahih hadith saabit nahi hai.(2)

 

( Imam Nawawi ( رحمه الله )

Gardan ka masah bid’at hai.(3)

 

( Jamhoor, Imam Malik, Imam Shafie, Imam Ahmad ( رحمهم الله )

Gardan ka masah masnoon nahi.(4)

 

( Siddique Hasan Khan ( رحمه الله )

Qareeb tha keh is kay bid’at honay par ahl-e-ilam ka ijmaa ho jata.(5)

 

Is ziman mein paish ki janay wali chand aik riwayaat aur unka sabab-e-zu’uf hasb-e-zail hai:

 

(1) Sayyiduna Waail Ibn-e-Hujar ( رضي الله عنه ) say marwi aik taweel marfoo’u riwaayat mein yeh alfaaz hain:

” مسح رقبته “

” Ap ﷺ nay apni Gardan ka masah kiya “.(6)

Yeh riwaayat 3 Raawiyon ki bina par za’eef hai:

 

[1] { MUHAMMAD IBN-E-HAJR }

Imam Bukhari ( رحمه الله ) nay isay mahall-e-nazar kaha hai,

Aur Imam Zahabi ( رحمه الله ) nay kaha hai keh is kay liye manakeer hain.(7)

 

[2] { SAEED IBN-E-ABDUL JABBAR }

Imam Nasayi ( رحمه الله ) nay isay ghair qawwi kaha hai.(8)

 

[3] { UMM-E-ABDUL JABBAR }

Ibn-e-Turkumani ( رحمه الله ) bayan kartay hain keh mujhay is kay haal aur naam ka kuch ilam nahi.(9)

 

(2) طلحه بن مصرف عن ابيه عن جده

Marwi aik riwaayat mein bhi Nabi say Gardan kay masah ka zikar milta hai.(10)

 

Yeh riwaayat bhi 3 Raawiyon ki bina par za’eef hai:

 

[1] { ABU SALAMAH KINDI USMAN IBN-E-MIQSAM AL-BARRI }

Imam Jauzjani ( رحمه الله ) nay isay kazzab, Aur Imam Nasayi ( رحمه الله ) aur Imam Daaro Qutani ( رحمه الله ) nay matrook kaha hai.(11)

 

[2] { LAIS IBN-E-ABI SULAIM }

Sudooque hai lekin isay ikhtelaat ho gaya tha, Aur is ki hadith mutamayyaz nahi hai Lihazah isay chhaud diya gaya.(12)

 

[3] { TALHAH IBN-E-MUSARRAF }

Yeh maj’hool hai (13)

 

(3) Aik riwaayat mein hai keh:

” مسح الرقبة أمان من الغل “

” Gardan ka masah khiyaanat say amaan ka baais hai “.(14) 




(1) Majmoo’u-ul-fatawa 21 / 127.


(2) Zaad-ul-ma’aad 1 / 195.


(3) Al-Majmoo’u 1 / 489.


(4) Al-fatawa-al-kubra li-Ibn-e-Taimiyah 1 / 418.


(5) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 137.


(6) Kashf-ul-astaar lil-bazzaar 1 / 140.


(7) Meezan-ul-aitedaal 3 / 511.


(8) Meezan-ul-aitedaal 2 / 147.


(9) Al-jauhar-un-naqi ” zail-us-sunan-ul-kubra baihaqui 2 / 30.


(10) Tabrani kabeer 19 / 180.


(11) Meezan-ul-aitedaal 3 / 56.


(12) Taqreeb-ut-tahzeeb 2 / 138.


(13) Taqreeb-ut-tahzeeb 1 / 380.


(14) Imam Ibn-e-Salaah bayan kartay hain keh yeh Khabar Nabi say to maroof nahi hai, Albattah baaz salaf ka qaul hai,

Neel-ul-autaar 1 / 254,

Aur Imam Nawawi nay is riwaayat ko mauzoo’u qaraar diya hai,

Al-Majmoo’u 2 / 489.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents