Search
Sections
< All Topics
Print

(47B). PHIR TAKHNON SAMAIT APNAY PAAUN KO DHAUYE

PHIR TAKHNON SAMAIT APNAY PAAUN KO DHAUYE

 

 


[[[[ ثُمَّ يَغۡسِلُ رِجۡلَيۡهِ مَعَ الۡكَعۡبَيۡنِ ]]]]


( Phir takhnon samait apnay paaun ko dhauye {1})


 

{1}= (1) Irshaad-e-baari ta’ala hai keh:

” وَ اَرۡجُلَكُمۡ اِلَی الۡكَعۡبَيۡنِ “

” Apnay qadmon ko takhnon tak dho lo “

[ Al-Maaidah_Ayat no: 6 ]

 

(2) Rasulullah  ﷺ say saabit wuzoo kay bayan mein tamam ahadees is baat ka suboot hain keh  ap ﷺ hamaishah paaun dhauya kartay thay.(A)

 

(3) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Nabi ﷺ nay aik aisay shakhs ko dekha jis nay apni aidhi ko nahi dhauya tha to farmaya :



” ويل للأعقاب من النار “

” In takhnon kay liye aag say halaakat hai “.(1)

 

(4) Sayyiduna Anas ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay aik dehati say farmaya:

” توضأ كما امرك الله “

” Us tarah wuzoo karo jis tarah Allah nay tumhain hukam diya hai,

Phir Rasoolullah ﷺ nay usay wuzoo ka tariqah batlaya aur us mein paaun bhi dhauye ” (2).

 

( Jamhoor )

Wuzoo mein paaun dhauna wajib hai.(3)

 

( Imam Nawawi ( رحمه الله )

Kisi bhi aisay shakhs say is ki mukhaalifat saabit nahi hai jis ka ijmaa mein koi shumaar ho.(4)

 

( Ibn-e-Hajar ( رحمه الله )

Kisi aik sahabi say bhi is ki mukhaalifat saabit nahi hai, Siwa-e-Sayyiduna Ali, Sayyiduna Ibn-e-Abbaas, aur Sayyiduna Anas ( رضي الله عنهم ) kay, Lekin un say bhi is baat say rujoo saabit hai.

Aur Abdul Rahman Ibn-e-Abi Laila ( رحمه الله  ) kahtay hain keh Rasoolullah ﷺ kay sahabah nay paaun dhaunay par ijmaa kiya hai.(5)

 

( Ibn-e-Jareer, Hasan Basari ( رحمهما الله )

Qadamon ko dhaunay aur un par masah karnay mein ikhtiyaar hai.(6)

 

( Baaz Ahl-e-zaahir )

Dhuna aur masah karna donon hi wajib hain.(7)

 

Jin logon nay masah ko lazim qaraar diya hai un kay pas siraf “Qiraat-e-Jarr” ki hi daleel hai, Yaani [ أَرۡجُلِكُمۡ ] Lekin yeh bhi is baat ki daleel nahi hai keh siraf masah hi zaruri hai, Kiyonkeh dusri Qiraat is ka radd karti hai,

Lihazah agar Rasoolullah ﷺ say siraf paaun dhuana hi manqool na hota to is say ziyadah say ziyadah siraf in donon kaydarmiyaan ikhtiyaar hi saabit kiya ja sakta tha.(8)

 

( RAAJIH )

Paaun dhauna farz hai, Jaisa keh guzishtah tamam dalaail issi kay mutaqazi hain.(9)

 

Wazih rahay keh “takhnay” pindli aur paaun kay jaud kay pas ubhri huwi 2 haddiyan hain.

Unhain dhaunay ka Nabi ﷺ say kisi hadith mein wazih zikar to maujood nahi hai, lekin paaun dhaunay kay farz mein yeh bhi issi tarah shamil hain jis tarah baazoo dhaunay kay farz mein kohniyan bhi shamil hain.




(A) Jami-ul-usool li-Ibn-ul-aseer 7 / 148


(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 165,

Kitab-ul-wuzoo.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 242.

Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 62.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 77.

Sunan-e-Daarimi 1 / 179.

Musnad-e-Ahamd 2 / 228.

Al-muntaqa li-Ibn-ul-jarood hadith no: 78.

Sharah ma’aani-ul-asaar 1 / 38.

Musnad-e-Abi Awanah 1 / 251.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 69.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 41.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 453.


(2) SAHIH:

Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 539,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 665.

Musnad-e-Abi Awanah 1 / 353.

Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 83.

Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 86.


(3) Neel-ul-autaar 1 / 261.


(4) Al-Majmoo’u 1 / 417.


(5) Fat’h-ul-baari 1 / 266.


(6) Al-Majmoo’u 1 / 417.


(7) Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 10.


(8) Neel-ul-autaar 1 / 262.

Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 131.


(9) Neel-ul-autaar 1 / 262.

Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 131.

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents