Search
Sections
< All Topics
Print

BACHCHON KE LIYE GUNAHON KI PEHCHAAN

BACHCHON KE LIYE GUNAHON KI PEHCHAAN

 
 

 
Q1.Gunah ka matlab kya hai?

[A] Allah aur uske Rasool ki nafarmaani karna gunah keh’laata hai.


Q2. Gunaahon ki kitni kismein hain? 

[A]  Gunaahon ki 2 kismein hain. Saghira/Kabirah.


Q3. Saghira gunaahon ka kya matlab hai?

[A]  Saghira gunaahon ka matlab jab ham nekiyan karte hain to khud ba-khud Saghira gunah maaf ho jaate hain.


 
Q4. Kabirah gunaahon ka matlab kya hai?

[A]  Woh gunah jo tauba kiye baghair maaf na ho usey kabirah gunah kehte hain.


Q5. Kya jhoot bolna gunah hai?

[A]  Jee haan, jhoot bolna sakht gunah hai. Mere Nabi ne jhoot bolna kabirah gunah kaha hai.

[Sahih al-Bukhari 5976]

Q6. Jhoot bolne ki aadat kahan le-jaati hai?

[A] Jhoot bolne ki aadat jahannum mein le-jaati hai.

[Sahih al-Bukhari 6094]

Q7. Kya mamooli jhoot par gunah likha jaayega?

 [A] Jee haan, mamooli jhoot par bhi gunah likha jaayega.

[Sunan Abi Dawood 4991]

Q8. Jhoot bolna kis ki alaamat hai?

[A] Jhoot bolna munaafiq ki alaamat hai.

[Sahih al-Bukhari 6094]

Q9. Kya jhoot bolne se kamaayi mein barkat khatam hoti hai?

[A] Jee haan, jhoot bolne se kamaayi mein barkat khatam hoti hai.

[Sahih al-Bukhari 2079]

Q10. Kya logon ko hasaane ke liye jhoot bolne waalon ki halaakat hai?

[A] Jee haan, logon ko hasaane ke liye jhoot bolna halaakat ka sabab hai.

[Sunan Abi Dawud 4990]

Q11. Jhooti qasam khaana kaisa hai?

[A] Jhooti qasam khaane waala jahannum mein jaayega.

[Sahih al-Bukhari 6870]

Q12. Takhne ke neechey Qizaar ya pant rakhna kaisa hai?

[A] Takhne ke neechey izaar ya pant rakhna bohat bada gunah hai.

[Sahih al-Bukhari 6870]

Q13. Jhooti qasam kha-kar kisi ka haq maarne waala kaisa hai?

[A] Jhooti qasam kha-kar kisi ka haq maarne waale par jannat haraam hai.

[Sahih Muslim 137a]

Q14. Gheebat kis ko kehte hain?

[A] Kisi ke peet peechey buraayi bayaan karna gheebat keh’laata hai.


 
Q15. Kisi ki gheebat karna kaisa hai?

[A] Kisi ki gheebat karna murda bhai ke gosht khane ki tarha hai.

[Surah Hujrat: 12]

 
Q16. Tohmat kis ko kehte hain?

[A] Kisi bhi gunah mard ya aurat par be-gunah ka ilzaam lagaana tohmat keh’laata hai.


 
Q17. Kisi bhi gunah par gunah ka ilzaam laganay ka kya azaab hai?

[A] Kisi baygunah par be-gunah ka ilzaam lagaane waale ko jahannum mein khoon aur peep pilaaya jaayega.

[Sunan Abi Dawud 3597]

Q18. Chughli kis ko kehte hain?

[A] Kisi ke baare mein doosron ke saamne aisi baatein bataana jis se fasaad hota ho wo chughli keh’laata hai.


 
Q19. Chugal-khori ka kya gunah hai?

[A] Chugal-Khor jannat mein nahi jaayega.

[Sahih al-Bukhari 6056]

Q20. Kya chugal-Khor ko qabar mein azaab hoga?

[A] Jee haan, chugal Khor ko qabar mein bhi azaab hoga.

[Sahih al-Bukhari 1361]

Q21. Gandi baatein karne waala, gaali dene waala kaha jaayega?

[A] Gandi baatein karne waala, gaali dene waala jahannum mein jaayega.

[Sahih Muslim 2865a]

Q22. Kya kisi ka Qmazaaq udaana theek hai?

[A] Kisi ka mazaaq udaana haraam hai.

[Surah Hujrat 11]

 
Q23. Fuzool baatein karne se kya hoga?

[A] Fuzool baatein karne se qayamat ke din Allah ki rehmat se door honge.

[Jami at-Tirmidhi 2411]

Q24. Kisi musalmaan ko gaali dena kaisa hai?

[A] Kisi musalmaan ko gaali dena bohat bada gunah hai.

[Sahih al-Bukhari 7076]

Q25. Jhagdaalu aur bad-akhlaaqi karne waala kahan jaayega?

[A] Jhagdaalu aur bad-akhlaaq aadmi jannat mein nahi jaayega.

[Sunan Abi Dawud 4801]

Q26. Kisi ki be-izzati karna kaisa hai?

[A] Kisi ki be-izzati karna haraam hai.

[Jami at-Tirmidhi 1205]

Q27. Bad-gumaani kis ko kehte hain?

[A] Kisi ke baare mein bura gumaan karna bad-gumaani keh’laata hai.


Q28. Bad-gumaani karna kaisa hai?

[A] Bad-gumaani karna bohat bada gunah hai.


Q29. Hasad ka matlab kya hai?

[A] Kisi ki achchayi ko dekh kar jalan- mehsoos karna hasad keh’laata hai.


Q30. Hasad ka nuqsaan kya hai?

[A] Hasad hamaari nekiyon ko waise hi kha-jaata hai jaise aag lakdiyon ko kha-jaati hai.

[Sunan Ibn Majah 4210]

Q31. Kisi ki jasoosi karna kaisa hai?

[A] Kisi ki jasoosi karna haraam hai.

[Surah Hujrat 12]

Q32. Sharaab peena kaisa hai?

[A] Sharaab peena haraam hai.

[Surah Maida 90]

Q33. Sharaab ko bechna (Sale Karna) kaisa hai?

[A] Sharaab ko bechna haraam hai.

[Sunan Abi Dawud 3674]

Q34. Sharaab kya hai?

[A] Sharaab har buraayi ki maa hai.

[Sunan an-Nasa’i 5667]

Q35. Sharaab peene waala kya kar sakta hai?

[A] Sharaab peene waala duniya ki har buraayee kar sakta hai.

[Sunan an-Nasa’i 5666]

Q36. Sharaab peene waale ki itauba kitni baar qubool hoti hai?

[A] Sharaab peene waale ki tauba teen baar qubool hoti hai. Agar chauhthi baar bhi sharaab pi-le to Allah is ko jahannum mein khoon aur peep ka azaab de-sakta hai.

[Sunan an-Nasa’i 5670]

Q37. Chori kis ko kehte hain?

[A] Kisi ka maal is ki ijaazat ke baghair lena chori keh’laata hai.


Q38. Chori karna kaisa hai?

[A]  Chori karna haraam hai.

[Surah Maida 38]

Q39. Kya mazaaq se bhi kisi ka maal chura sakte hain?

[A] Mazaaq se bhi kisi ka maal churaana haraam hai.

[Sunan an-Nasa’i 1482]

Q40. Padosi ka samaan churaana kaisa hai?

[A] Padosi ka samaan churaana das gharon mein churaane ke baraabar hai.

[Al-Adab Al-Mufrad 103]

Q41. Dhoka dene waala kahan jaayega?

[A] Dhoka dene waala jahannum mein jaayega.

[Musnad Ahmad 32]

Q42. Khayanat kis ko kehte hain?

[A] Agar koi aadmi hamaare paas kuch amaanat rakhe aur is ki ijaazat ke baghair istemaal karna khayaanat keh’laata hai.


Q43. Khayanat karna kaisa hai?

[A] Khayaanat karna bohat bada gunah hai.


Q44. Khayaanat karne waala kahan jaayega?

[A] Khayaanat karne waala jahannum mein jaayega.

[Sahih Muslim 114]

Q45. Kya khayaanat karne waale se khayanat ki ja-sakti hai?

[A] Nahi! Khayaanat karne waale se bhi khayaanat karna haraam hai.

[Sunan Abi Dawood 3534]

Q46. Amaanat mein khayaanat karna kis ki alaamat hai?

[A] Amaanat mein khayaanat karna munaafiq ki alaamat hai.

[Sahih al-Bukhari 6095]

Q47. Munaafiq kis ko kehte hain?

[A] Jo aadmi dil mein Islam se nafrat kere aur zabaan se tareef kere to is ko munaafiq kaha jaata hai.


Q48. Munaafiq ka anjaam kya hoga?

[A] Munaafiq ka anjaam jahannum hai.

[Surah al-Nisaa 145]

Q49. Bakheel kis ko kehte hain?

[A] Jo aadmi sirf lene ki khwahish rakhta ho aur dene ke liye raazi na ho is ko Bakheel kehte hain.


Q50. Bakheeli karna kaisa hai?

[A] Bakheeli karna bada gunah hai.

[Sahih Muslim 2578]

Q51. Takabbur kis ko kehte hain?

[A] Khud ko bada samajhna aur doosron ko kamtar samajhna takabbur keh’laata hai.


Q52. Kya takabbur karne waale se Allah mohabbat karta hai? 

[A] Allah takabbur karne waalon se bilkul mohabbat nahi karta hai.

[Surah Nahal -23]

Q53. Riyakaari kis ko kehte hain?

[A] Allah ke bajaae logon ko khush karne ke liye jo amal kiya jaaye is ko Riyakaari kaha jaata hai.


Q54. Kya logon ko dikhaawe ke liye kiye jaane waale amal qubool honge?

[A] Logon ke dikhaawe ke liye kitna bhi nek amal kiya jaaye qubool nahi hoga.

[Sahih Muslim 1905a]

Q55. Zulm kis ko kehte hain?

[A] Kisi ko na-haq maarna, kisi ka na-haq maal lena, kisi ka haq maarna zulm keh’laata hai.


Q56. Zulm karna kaisa hai?

[A] Zulm karna haraam hai.

[Sahih Muslim 2577]

Q57. Zulm karne waale ke saath kya maamla hoga?

[A] Zulm karne waala qayamat ke din andheron mein thok-rain khayega.

[Sahih Muslim 2579]

Q58. Logon ko haqeer samajhne ka anjaam kya hai?

[A] Logon ko haqeer samajhne waale ke aamaal barbaad ho jaate hain.

[Sahih Muslim 2564a]

Q59. Doosron ki buraayee bayaan karne waale ka anjaam kya hoga?

[A] Doosron ki buraayee karne waale ko Allah khud isi buraayee mein mubtala kar deta hai.

[Sunan Abi Dawood 4983]

Q60. Fuzool-kharchi kis ko kehte hain?

[A] Jahan zaroorat na ho wahan zyaada kharch karna fuzool-kharchi keh’laata hai.


Q61. Fuzool-kharchi karne waale kaun hain?

[A] Fuzool kharchi karne waale shaitaan ke bhai hain.

[Surah Bani Israel: 27]

Q62. Agar ham peshaab ke qatron se na bachen to kya hoga?

[A] Agar ham peshaab ke qatron se na bachen to azaab-e-qabar hoga.

[Sahih al-Bukhari 218]

Q63. Agar koi gunaahon ko mamooli samjhe to kya hoga?

[A] Agar koi gunaahon ko mamooli samjhe to woh gunah is ko halaak kar denge.

[Musnad Ahmed]

Q64. Sood kis ko kehte hain?

[A] Agar koi aadmi 100 rupay Qarz de aur zyada maange toh usko sood kehte hain.


Q65. Sood khaane waale ki misaal kaisi hai?

[A] Sood khaane waale ki misaal Allah aur is ke Rasool ke khilaaf jung karne waale ki tarah hai.

[Surah al Baqra – 278]

Q66. Sood ka kya nuqsaan hai?

[A] Sood ka ek nuqsaan maal ki barkat khatam ho-jaati hai.

[Surah al Baqra – 276]

Q67. Sood khaane waale ka sab se kam-tar darje ka gunah kya hai?

[A] Sood khaane waale ka sab se kam-tar darje ka gunah apni maa ke saath bad-kaari karne ke Baraabar hai.

[Sahih al-Bukhari 218]

Q68. Rishwat kis ko kehte hain?

[A] Koi aisi cheez jisko haasil karne ke ham haq daar nahi hain lekin paise de kar haasil karna rishwat keh’laata hai.


Q69. Kya rishwat dena ya lena jaayez hai?

[A] Rishwat dena ya lena dono haraam hai.


Q70. Rishwat dene ya lene waale ka anjaam kya hai?

[A] Rishwat dene ya lene waale par Rasool Allah ne laanat bheji hai.

[Sunan Abi Dawood 3580]

Q71. Mazdoor se kaam le kar mazdoori na dena kaisa hai?

[A] Mazdoor se kaam le kar mazdoori na dene waale ke saath Allah qayamat ke din dushmano jaisa sulook kare ga.

[Sahih al-Bukhari 2227]

Q72. Doosron ki zameen par qabza Qkarne waalon ka anjaam kya hoga?

[A] Doosron ki zameen par qabza karne deel waalon par jannat haraam hogi.

[Sahih Muslim 137a]

Q73. Naap-tol mein kami karne waalon ka anjaam kya hai?

[A] Naap-tol mein kami karne waalon ka anjaam halaakat hai.

[Surah Mutafifin-1]

Q74. Kisi se Qarz lekar waapas na karne waale ka anjaam kya hai?

[A] Agar koi Qarz leker waapas na kere toh wo jahannum mein daakhil hoga.

[Sunan an-Nasa’i 4684]

Q75. Na-haq kisi ka qatal karna kaisa hai?

[A] Na-haq kisi ka qatal karna saari insaaniyat ko qatal karne ke baraabar hai.

[Surah al Nisaa – 93]

Q76. Khud-kushi ka Paigham matlab kya hai?

[A] Agar koi aadmi apne aap ko halaak karle to isko khud- ekushi kaha jaata hai.


Q77. Khud-kashi karna kaisa hai?

[A] Khud-kashi karna haraam hai.

[Jami at-Tirmidhi 2043]

Q78. Maa-baap ki na-farmani ka anjaam kya hai?

[A] Maa-baap ki nafar-maani karne waale se Allah naraaz hota hai.

[Jami at-Tirmidhi 1899]

Q79. Maa-baap ko gaali dena kaisa hai?

[A] Maa-baap ko gaali dena bahot badaa gunah hai.

[Sahih al-Bukhari 5973]

Q80. Qata-rehmi ka matlab kya hai?

[A] Rishte-daari ko tod-dena qata-rehmi keh’laa taa hai.


Q81. Ek doosre se baat-band karna kaisa hai?

[A] Kisi se 3 din se badkar baat-band karna gunah hai.

[Sahih Muslim 2558b]

Q82. Padosi ko takleef dene ka anjaam kya hai?

[A] Padosi ko takleef dene waala jannat mein nahi jaayega.

[Sahih Muslim 46]

Q83. Baghair ijaazat ke doosron ke gharon mein jhankna kaisa hai?

[A] Baghair ijaazat ke doosron ke gharon mein jhankna haraam hai.

[Sahih al-Bukhari 6241]

Q84. Maa-baap se nafrat karna kaisa hai?

[A] Maa-baap se nafrat karna kufr hai.

[Sahih al-Bukhari 6768]

Q85. Kya mard-aadmi resham ka libaas pehan sakta hai?

[A] Mard ke liye resham ka libaas haraam hai.

[Sahih al-Bukhari 6241]

Q86. Musalsal gunah karne se kya hota hai?

[A] Musalsal gunah karne se gunah jama hokar bade ban-jaate hain.

[Musnad Ahmed 22808]

Q87. Kya mard aadmi sone ke zewraat pehan- sakta hai?

[A] Mard aadmi ke liye sone ke zewraat pehanna haraam hain.

[Sunan an-Nasa’i 5275]

 

Q88. Sone-chandi ke bartano mein khaana peena kaisa hai?

[A] Sone-chandi ke bartano mein khaana peena haraam hai.

[Sahih al-Bukhari 5632]

Q89. Gaana-bajaana kaisa hai?

[A] Gaana-bajaana haraam hai, gaane bajaane waalon ko qayamat ke din dard-naak azaab hai.

[Surah luqman-6]

Q90. Mosiqhi aur gaana- bajaana aam hone se kya hoga?

[A] Mosighi aur gaana- bajaana aam hone se Allah ka azaab naazil hoga.

[Sunan Tirmizi 3247]

 REFERENCE:
Book: Bachchon Ke Liye Gunahon Ki Pehchaan
BY Shaikh Noor Uddin Umeri.
Pdf link: https://imsjeddah.com/books/#dearflip-df_25734/1/

 

Table of Contents