Search
Sections
< All Topics
Print

06. Asmaa-e-Husnaa ka shumar ilm ki bunyad

Chata Mabhas:

Asmaa-e-Husnaa ka shumar ilm ki bunyad

 

Asma-ul-Husna ka shumaar aur us ka ilm tamaam mauloomaat kay ilm ki buniyaad hai. Kiunkeh Allah kay siwa tamaam mauloomaat ya tu Allah Ta’ala ki makhluq hon gi ya Allah ka hukum. Ya Allah ki kainaat ka ilm hon gi ya us ki shariyat ka ilm hongi. Aur Takhleeq-o-Hukm ka masdar sarchashma Allah kay Asma-ul-Husna hain. Aur yeh donon cheezain (Takhleeq-o-Hukm) Allah kay Asma-ul-Husna say aise hi murtabat aur wabasta hain. Jaise taqaazah apne taqaazah karne waale say wabastah hota hai. Chunacah sare hukm ka masdar Allah Ta’ala kay Asma-ul-Husna hain. Aur yeh hukum pura ka pura umdah aur acha hai. Bandon kay masaalih, Un par Rahmat-o-Shafqat aur Ahsan-o-karam say kharij nahi bashartye-keh banday Allah kay Awaamar-o-Nawaahi ki takmeel karen. Kiunkeh Allah ka tamaam tar hukm saraapa maslihat, Hikamt, Rahmat, Lutaf-o-Karam hai: Is liye kay is ka masdar Allah kay Asma-ul-Husna hain. Isi tarha Allah ka koi fa’ail bhi adal, Hikmat, Maslihat aur rahmat say kharij nahi hai. Kiunkeh is ka masdar bhi Allah kay Asma-ul-Husna hain. Lihaza Allah ki takhleeq mein na koi khalal hai na koi laghu, Aur na hi Allah nay apni makhluq ko baatil, Fazul, Aur be maqsad paida kiya hai.

Aur jis tarha Allah kay siwa har mujood Allah hi kay aijaad say hai. Isi tarha Allah kay ma siwah ka wujood Allah kay wujood kay aise hi tabe’ hai jaise makhluq apne khaaliq kay tabe’ hoti hai. Tu isi tarha Allah kay Asma-ul-Husna ka ilm tamaam ma siwa kay ilm ki buniyaad hai. Chunacah Allah kay Asma ka ilm aur un ka shumaar tamaam uloom ki assas aur juz hai. Lihaza jo Allah kay Asma ka kamahaquho shumaar kare ga, Tamaam uloom ka ihaatah aur shumaar kare ga: Kiunkeh Allah kay Asma ka shumaar darhaqeeqat tamaam uloom kay shumaar ki buniyaad hai: Is liye kay tamaam tar maloomaat Allah kay Asma-ul-Husna ka taqaazah aur ilaahi say wabastah hain aur Takhleeq-o-Hukm ka sudoor Allah hi kay Ilm-o-Hikmat say hone kay arzumand hain: Is liye aapko un mein koi khalal ya bad-saleeqagi na mile gi: Kiunkeh banday ko diye gaye hukm ya sar anjaam diye gaye kaam mein waq’e hone waale khalal ka sabab ya tu Jahalat-o-La-ilmi hoti hai ya adam hikmat! Aur Chunkeh Rabb Subhan-o-Ta’ala nihayat ilm aur hikamt waala hai, Is liye us kay kaam ya hukm mein koi khalal, Badnazmi, Ya takrao ka koi shaibah ho hi nahi sakta.

 

(Badai-ul-Fawaid Az Imam Ibn-ul-Qayyim رحمہ اللہ: 1/163)

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.
Table of Contents