Search
Sections
< All Topics
Print

21. Sharah [Al-Ghaniyy]

Sharah [Al-Ghaniyy]

 


22: الغنی ( Maldar, Be niaz)


 

Irshaad-e-Baari hai:

 

وَاَنَّهٗ هُوَ اَغْنٰى وَاَقْنٰى   48؀ۙ

 

“Aur yeh kay wahi maaldaar banaata hai, Aur sarmaya deta hai” [Al Najam:  48]

 

Neez irshaad hai:

 

يٰٓاَيُّهَا النَّاسُ اَنْتُمُ الْفُقَرَاۗءُ اِلَى اللّٰهِ ۚ وَاللّٰهُ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيْدُ  15؀

 

“Ay logo tum Allah kay mohtaaj ho, Aur Allah be-niyaaz khubiyon wala hai” [Faatir:  15]

 

Chunaacha Allah Ta’ala aisa ghani, Aur be-niyaaz hai kay usay tamaam zawiyon say mukammal aur mutlaq be-niyaazi haasil hai, Kiunkeh us ki zaat kaamil hai, Aur us kay Sifaat kaamil hain, Un mein say kisi tarha kay kisi nuqs ka guzar nahi ho sakta, Aur Allah Ta’ala ka ghani aur be-niyaaz hona hi mumkin hai, Kiunkeh be-niyaazi us ki zaat ka lazimah hai, Isi tarha Allah Tabaarak-o-Wa Ta’ala ahsaan karne wala sakhi, Mohsin, Raham-o-Karaam karne wala hi ho sakta hai, Aur saari ki saari makhluqaat kisi bhi halat mein Allah say be-niyaaz nahi ho sakti, Woh apne wujood paane, Baaqi rehny, Aur deegar tamaam Hajaat-o-Majboriyon mein Allah ki mohtaaj hai, Aur Allah ki be-niyaazi ki wusa’at yeh hai kay asmaan, Zameen, Aur rahmat kay khazaane usi kay hath mein hain aur apni makhluq par Us ka Wujood-o-Sakha tamaam tar Lamhaat-o-Auqaat mein paiham jaari hai. Aur Allah Ta’ala ka hath Shab-o-Roz luta raha hai. Aur makhluq par Allah ki Khair-o-Bhalaai moslaa dhaar hai.

Isi tarha Allah ka kamaal be-niyaazi aur karam yeh hai kay woh apne bandon ko apni dua ka hukum deta hai aur unki duaon ki qabuliyat aur muraden bar laane ka wada farmaata hai. Aur inhain apne fazal say jo maamgte hain woh bhi deta hai aur jo nahi mangte hain woh bhi deta hai, Isi tarha us ka kamaal be-niyaazi hai kay agar aw-o-l ta akhir tamaam makhluqaat aik jagah jama’ah ho jayen aur sab aik sath Allah say mangen aur Allah har aik ko us ka matlub aur uski aarzu kay mutabiq sab kuch de dy tu us ki milkiyat-o-Baadshaahat say aik zarra bhi kam na hoga.

Isi tarha us kay kamaal be-niyaazi aur nawazishaat ki Wusa’at-o-Faraa-o-ni ka hisa woh bhi hai jo Woh apne Daar-e-Karamat kay baasiyon (Jannatiyon) ko paiham ne’ymaten aur lazzaten, Aur py dar py bhalaaiyon say na-o-zy ga. Jisy kisi ankh ny na dekha, na kisi kaan ny suna, Aur na kisi fard bashr kay dil mein is ka khatka guzra.

Isi tarha us kay kamaal be-niyaazi ka hisa yeh bhi hai kay Allah nay koi biwi banaya hai na aulaad, Na baadshaahat mein koi Sajhi-o-Shareek, Aur na hi kamzori kay sabab koi Mu’awan-o- Madagaar. Lihaza woh aisa Ghani-o-Be-niyaaz hai jo apni Sifaat-o-Khubiyon say Kaamil-o- Mukammal hai jo apni saari makhluq ko maaldaari ‘ata karne wala hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 47-48, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/78)

 

Khulasa yeh kay Allah Ta’ala hi woh be-niyaaz hai jo har a’itbaar say mukammal aur mutlaq be-niyaazi ka Maalik hai, Aur wohi apni tamaam makhluqaat ko ‘aam maaldaari deny wala hai. Aur apni makhluq mein khaas logon ko un kay dilon ko Rabbaani Uloom-o-Maa’araf aur Imaani haqaiq say behrawar farma kar, Khaas maaldaari ‘ata karne wala hai.

( Tafseer Allamah Saadi رحمہ اللہ: 5/629)



 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents