26. Sharah [Al-Qareeb; Al-Mujeeb]
Sharah [Al-Qareeb; Al-Mujeeb]
33: القریب ( Qareeb)
Allah Subhaan-oahu wa Ta’ala ka irshaad hai:
هُوَ اَنْشَاَكُمْ مِّنَ الْاَرْضِ وَاسْتَعْمَرَكُمْ فِيْهَا فَاسْتَغْفِرُوْهُ ثُمَّ تُوْبُوْٓا اِلَيْهِ ۭ اِنَّ رَبِّيْ قَرِيْبٌ مُّجِيْبٌ 61
“Usi nay tumhen zameen say paida kiya hai aur usi nay tumhen is zameen mein basaya hai pas tum us say maa’afi talab karo aur us ki taraf ruju’h karo, Beshak mera Rabb qareeb aur duaon ka qabul karne waala hai” [Hood: 61]
Allah kay Asma-ul-Husna mein say aik naam “Al-Qareeb” hai aur Allah ki qurbat ki 2 qismen hain:
Pehli qisam: A’am qurbat: Ya’ani Allah Ta’ala kay ‘ilm ka tamaam cheezon ko muheet hona, Aur Allah Ta’ala insaan say uski sheh rag say zayada qareeb hai, Isi tarha yeh a’am ma’iyat (saath) kay ma’aini mein hai.
Dusari qisam: Khaas qurbat ya’ani dua karne waalon, Ibaadat guzaron, Aur muhabbat karne walon say Allah ki khaas qurbat, Aur yeh qurbat, Muhabbat, Madad, Harkaat-o-Saknaat mein taaed, Dua karne walon ki duaaon ki qabuliyat aur ibaadat guzaron ki ibaadat ki qabuliyat aur ajar nawazi ki mutaqaazi hai. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 64, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/92) Allah Azzwajal ka irshaad hai:
وَاِذَا سَاَلَكَ عِبَادِيْ عَنِّىْ فَاِنِّىْ قَرِيْبٌ ۭ اُجِيْبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ اِذَا دَعَانِ
“Jab mere bande mere baare mein aap say sawal karen tu aap keh den kay mein bohat hi qareeb hon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi woh mujhe pukaare qabul karta hon” [Al Baqarah: 186]
Ab jab is U’mum-o-Khusus say aitbaar say qurbat ka ma’aini samjh liya gaya tu Allah Ta’ala ki qurbat aur us kay apne ‘arsh kay upar mujood hone mein, Jaisa kay mauloom hai siray say koi ta’aruz na raha, Chunaacha Allah ki zaat paak hai jo qareeb hote huwe bhi buland hai, Aur buland hone kay bawujood bhi qareeb hai. (Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/92, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/229)
34: المجیب ( Duain Qubool karney wala)
Allah Ta’ala kay Asma-ul-Husna mein say aik naam “Al-Mujeeb” bhi hai, Ya’ani dua karne walon, Sawaliyon, Aur Allah kay farmaan bardaaron ki ‘ibaadat ko qabul karne wala. Aur Allah ki qabuliyat ki 2 qismen hain
Pehli qisam: A’am qabuliyat, Har pukaarne aur dua karne wale ki: Khawah dua ibaadat ho, Ya dua sawal, Allah Azzwajal ka irshaad hai:
وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُوْنِيْٓ اَسْتَجِبْ لَكُمْ
“Aur tumhare Rabb ka farmaan (sarzad ho chuka hai) kay mujh say dua karo mein tumhaari duaon ko qabul karun ga”
[Ghafir: 60]
Dua-e-Sawal: Yeh hai kay banda kahy: Ay Allah mujhe falaan cheez ata farma, Ay Allah mujh say falaan burai dur farma, Aur yeh cheez Nek-o-Bad donon say sadir hoti ha aur Allah Ta’ala halat kay taqaazah, Aur apni hikmat kay taqaazah kay mutabiq har dua karne wale ki dua ko sunta hai. Is mein is baat ki daleel hai kay Mola Subhaan-oahu wa Ta’ala bada Fazal-o-Karam wala hai aur uska ahsaan har Nek-o-Bad kay liye ‘aam aur shamil hai. Yeh cheez mahaz dua karne wale, Jis ki dua qabul hui hai kay Husn-e-Haal ki daleel nahi hai jab tak kay us kay Husn-e-Haal sachai aur waqai us jay Mustahiq-e-Qabuliyat hone ka qareena mujood na ho. Jaise Anbiya (علیہ السلام) kay sawal aur apni qomon kay haq mein ya un kay khilaaf dua ka mua’amla hai. Chunaacha Allah Ta’ala unki duaain qabul farmaata hai, Lihaza yeh unki khabron mein sachai aur apne Rabb kay yahan Mua’aziz-o-Mukarram hone par dalalat karta hai is liye Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) peshtar aisi dua farmaate thy jis ki qabuliyat ka mushaahdah muslmaan aur deegar log bhi kiya karte thy aur yeh Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ki nubuwwat kay dalail aur apki sadaaqat ki nishaaniyon mein say hai, Isi tarha Allah kay bohat say auliya ki duaon ki qabuliyat ka zikar jo ‘ulma karte hain woh bhi Allah kay yahaan unki ‘Izzaat-o-Takreem ki daleelon mein say hai.
Dusari qisam: khaas qabuliyat:
Khaas qabuliyat kay bhi asbaab hain in mein say aik sabab pareshan haal ki dua hai jo kisi mushkil ya badi musibat mein mubtala ho, Tu Allah Ta’ala aise shakhs ki dua qabul karta hai, Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
اَمَّنْ يُّجِيْبُ الْمُضْطَرَّ اِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوْۗءَ
“Be kas ki pukaar ko jab kay woh pukaare Kon qabul kar kay sakhti ko dur kar deta hai” [Al Namal: 62]
Is ki wajah Allah ki taraf sakht izhaar muhtaajgi, Had darjah ‘Aajzi-o-Inkasari aur makhluqaat say Inqata’a-e-Ta’alluq hai, Aur is liye bhi kay Allah ki rahmat kushaadah hai, Jis mein saari makhluq apni haajaton kay mutabiq shaamil hai tu uska kaya haal hoga jo parehaan haal aur majbur ho, Isi tarha qabuliyat kay asbaab mein say taweel safar Allah kay Asma-o-Sifaat aur ne’ymaton mein say Allah ki taraf mahboob tareen waseela ikhtiyaar karna, Isi tarha mareez, Mazloom, Aur rozah daar ki duain, Isi tarha aulaad kay liye walid ki dua ya bad dua, Isi tarha fazeelat wale Auqaat-o-Halaat mein duain karna. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 65-66, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/93) Jaise namaazon kay ba’ad, Sehar kay auqaat mein, Azaan-o-Iqaamat kay darmeyaan, Azaan kay waqat, Baarish utarte huwe, Ghamsaan ki jhang hote huwe, waghera.(Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/49-93, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid Wa Tasheeh-ul-Qawaid: 2/229)
Irshaad-e-Baari hai:
اِنَّ رَبِّيْ قَرِيْبٌ مُّجِيْبٌ
“Beshak mera Rabb qareeb aur duaon ka qabul karne wala hai” [Hood: 61]
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.