Search
Sections
< All Topics
Print

27. Sharah [ Al-Wadood; Ash-Shaakir; Ash-Shakoor]

Sharah [ Al-Wadood; Ash-Shaakir; Ash-Shakoor]


35: الودود ( Khalis Muhabbat karney wala)


 

Irshaad-e-Baari hai:

 

وَاسْتَغْفِرُوْا رَبَّكُمْ ثُمَّ تُوْبُوْٓا اِلَيْهِ ۭ اِنَّ رَبِّيْ رَحِيْمٌ وَّدُوْدٌ       90 ؀

 

“Tum apne Rabb say Istighfar karo aur uski taraf tuba karo, Yaqeen mano kay mera Rabb badi mehrbaani wala aur muhabbat karne wala hai” [Hood:  90]

 

Neez irshaad hai:

 

وَهُوَ الْغَفُوْرُ الْوَدُوْدُ  14۝ۙ

 

“Woh bada bakhashish karne wala aur bohat muhabbat karne wala hai” [Al Burooj:  14]

 

“Al wadud” wud ( wao par pesh) say maakhuz hai jis kay ma’aina khaalis muhabbat kay hain, Chunaacha Allah Ta’ala apne Anbiya, Farishton, Aur momin bandon say muhabbat karne wala hai aur unke yahaan mahboob aur piyaara bhi hai, Balkehh unke nazdeek Allah say piyaara koi nahi, Aur koi bhi muhabbat Allah kay apne barguzeedon say muhabbat ki barabari nahi kar sakti. Na asal muhabbat mein, Na kefiyat mein, Aur na hi is say muta’alliqah umoor mein, Aur yahi farz aur wajib bhi hai kay bande kay dil mein Allah ki muhabbat har muhabbat say badh kar aur har muhabbat par ghalib ho, Aur tamaam muhabbaten yaqeeni taur par Allah ki muhabbat kay tabe’ aur maatehat hon.

Aur Allah ki muhabbat a’amaal ki ruh hai aur tamaam Zaahri-o-Baatni ‘ibaadaten Allah ki muhabbat say wujood pazeer hoti hain.

Aur apne bande ka apne Rabb say muhabbat karna Allah ka khaas Fazal-o-Ahsaan hai. Is mein bande ki koi quwwat-o-Tasarruf nahi. Chunaacha Allah Ta’ala he nay apni bande say muhabbat ki aur uske dil mein muhabbat daali. Aur jab Allah ki tufeeq say banda Allah say muhabbat karne laga tu badle mein Allah nay dusari muhabbat say nawaza. Lihaza yeh dar haqeeqat Allah ka ahsaan hai kiunkeh sabab aur musabbab dono Allah hi ki jaanib say hain. Is say mua’awza (baahmi badla) maqsud nahi hai. Balkeh dar haqeeqat yeh Allah ki taraf say apne shukar guzaar bandon aur unke shukriya say muhabbat hai Lihaza saari maslihat bande ki hi taraf lotati hai, Baa barkat hai Allah Ta’ala jis nay mominoon kay dilon mein muhabbat wada’iyat farmai aur musalsal isy badhaata aur pukhtah karta hai yahaan tak kay muhabbat barguzeedon kay dilon mein is halat tak jaa pohanchi jahaan saari muhabbaten maand hogain. Jis nay unhain ahbaab say be parwah kar diya, Un par musibaton ko aasaan kar diya unke liye nekiyon ki mushaqatt ko lazeez tar bana diya. Aur unke liye qisam qisam ki takreem aur izzat afzaai faraaham kar diya jin mein sab say unchi takreem Allah ki muhabbat uski raza-mandi say kaamraani aur uski qurbat say unsiyat hai.

Chunaacha bande ki apne Rabb say muhabbat apne Rabb ki taraf say do muhabbaton say ghiri hui hai. Aik is say pehly ki muhabbat Allah ki taraf say uski muhabbat ki qadar daani kay tor par jis kay zariye woh Allah kay bargazeedah aur mukhlis bandon mein shaamil huwa.

Aur sab se ‘azeem sabab jis ke zariy’a bandah apne Rab ki muhabbat jo sab se ‘azeem matloob hai haasil kar sakta hai woh Allah ko kasrat se yaad karna, Us ki Hamd-o-Sana karna Allah ki taraf bakasrat ruj’oo karna. Us par pukhta bharosa rakhna, Faraiz-e-Nawafil ke zariy’a Allah ki qurbat haasil karna. Aqwal-o-Af’aal mein sacha mukhlis hona aur Zahiri-o-Baatini tor par Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ki ittiba’a karna hai. (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 69-70, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/96, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid: 2/230) Jaisa keh Allah Azzwjal ka irshad hai:

 

قُلْ اِنْ كُنْتُمْ تُحِبُّوْنَ اللّٰهَ فَاتَّبِعُوْنِيْ يُحْبِبْكُمُ اللّٰهُ

 

“Keh dijiye! agar tum Allah Ta’alaa se muhabbat rakhte ho to meri tabe’daari karo.” (Aal-e-Imraan: 31)

 


36: الشاکر

37: الشکور ( Qadar dan)


 

Irshad-e-Baari hai :

 

وَمَنْ تَـطَوَّعَ خَيْرًا  ۙ فَاِنَّ اللّٰهَ شَاكِـرٌ عَلِــيْمٌ

 

“Apni khushi se bhalaai karne walon ka Allah qadardaan hai aur unhain khoob jan-ne wala hai”. (Al Baqarah: 158)

 

Neez irshad hai:

 

اِنْ تُقْرِضُوا اللّٰهَ قَرْضًا حَسَنًا يُّضٰعِفْهُ لَكُمْ وَيَغْفِرْ لَكُمْ  ۭ وَاللّٰهُ شَكُوْرٌ حَلِيْمٌ  17۝ۙ

 

“Agar tum Allah ko acha qarz do ge (y’ani us ki raah mein kharch karo ge) to woh use tumahre liye badhata jaye ga aur tumahre gunah bhi m’aaf farma de ga. Allah bada qadardaan bada Burdbaar hai”. (Al Taghabun:  17)

 

Neez irshad hai:

 

وَكَانَ اللّٰهُ شَاكِرًا عَلِــيْمًا ١٤٧؁

 

“Allah Ta’alaa bohat qadar karne wala poora ‘ilm rakhne wala hai.” (Al Nisaa: 147)

 

Allah ke Asmaa-e-Husna mein se “الشاکر” aur “الشکور” bhi hain y’ani Allah Ta’alaa apne Rukh-e-Kareem ke liye ‘amal karne walon ki mehnat raaygaan nahi karta balkeh use khoob guna dar guna karta hai, Kiunkeh Allah Ta’alaa naik kaaron ka ajar zay’a nahi farmata, Aur Allah ne apni Kitaab aur apne Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) ki Sunnat mein nakiyon ke guna dar guna karne ki khabar di hai keh aik neki ka sawab das guna se le kar saat (700) so guna tak balkeh is se bhi ziyada badhaya jaye ga, Chunancha Allah waste Jidd-o-Jahed karne wale Allah ki aankhon ke samne Jidd-o-Jahed karte hain, Aur jo Allah waste koi neki anjaam deta hai Allah Ta’alaa use khoob badha kar ‘ataa karta hai, Aur jo kisi cheez ko Allah waste chod deta hai Allah use is se behtar badla deta hai Allah hi ne mominon ko apni ki tufeq bakhshi hai phir us par un ki qader daani ki hai aur unhain aisi i’zzat afzaaiyon se nawaza hai, Jise kisi aankh ne dekha, Na kisi kaan ne suna aur na kisi Fard-e-Bashar ke dil mein is ka khatka guzra. Aur yeh tamaam cheezen Allah par wajibi haq nahi hain, Balkehh Allah Ta’alaa ne Bator-e-Jood-o-Karam khud hi apni zaat par wajib kar liya hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 70)
 

Allah Ta’alaa ke uopar koi nahi jo us par kisi cheez ko wajib tehraaye, Irshad-e-Baari hai:

 

لَا يُسْــَٔـلُ عَمَّا يَفْعَلُ وَهُمْ يُسْــَٔــلُوْنَ 23؀

 

“Woh apne kamon ke liye (kisi ke aage) jawab deh nahi aur sab (Us ke aage ) jawab deh hain.” (Al Anbiyaa: 23)

 

Lihaza Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa par ita’at guzaar ko sawab dena wajib hai na gunahgaar ko saza dena, Balkehh sawab Allah ka khaas Fazl-o-Ahsaan hai, Aur saza Allah ka khaas ‘Adal-o-Hikmat hai Albatta Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa khud apni zaat par apni Masihat se jo chahta hai wajib kar laita hai aur woh Allah ke wada ke mutabiq jis ki woh khilaaf warzi nahi karta us par wajib ho jata hai, Jaisa keh Allah Azzwajal ka irshad hai:

 

اَنَّهٗ مَنْ عَمِلَ مِنْكُمْ سُوْۗءًۢا بِجَهَالَةٍ ثُمَّ تَابَ مِنْۢ بَعْدِهٖ وَاَصْلَحَ  ۙ فَاَنَّهٗ غَفُوْرٌ رَّحِيْمٌ 54؀

 

“Tumahre Rab ne meharbani farmana apne zimma muqarrar kar liya hai keh jo shakhs tum mein se bura kaam kar bethe jahaalat se use phir woh us ke ba’ad tobah kar le aur Islaah rakhe to Allah (ki yeh shaan hai keh woh) badi mughfirat karne wala hai badi rahmat wala hai.” (Al Anaam: 54)

 

Neez irshad hai:

 

وَكَانَ حَقًّا عَلَيْنَا نَصْرُ الْمُؤْمِنِيْنَ  47؀

 

“Aur ham par mominon ki madad karna laazim hai.” (Al Room: 47)

 

Ahal-e-Sunnat ka Aqeedah hai keh bandon ka Allah par koi haq wajib nahi hai, Jo bhi haq hai Allah ne khudi apne uopar laago aur wajib kiya hai. Is liye Ikhlaas aur Ittiba’a-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) par qaim koi bhi ‘amal Allah ke yahan zay’a nahi hota, Kiunkeh yeh dono a’amaal ki qabuliat ki bunyaadi shartain hain.

(Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/98, Neez Dikhiy: Tauzeeh-ul-Maqasid Wa Tasheeh-ul-Qawaid:2/231)

Lihaza bandon ko jo bhi na’ematain millti aur pareshaaniyan millti hain Allah Ta’alaa hi ke Fazl-o-Karam se hoti hain, Agar Allah bandon ko N’emat se nawazta hai to apne Fazl-o-Ahsaan se, Aur agar azaab deta hai to apne ‘Adal-o-Hikmat se aur Allah Azzawajal un tamaam cheezon par Hamd-o-Sana ka mustahiq hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 72)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.
Table of Contents