Search
Sections
< All Topics
Print

41. Sharah [Al-Muqeet]

Sharah [Al-Muqeet]

 


 

76: المقیت (Khoraak Rasaan, Gawah)

 


 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَكَانَ اللّٰهُ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ مُّقِيْتًا

 

“Aur Allah Ta’alaa har cheez par qudrat rakhne wala hai .” Al Nisaa:  85)

 

Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa hi tamaam mojoodaat ko un ki khoraakin pohanchata hai, Unhain un ki roziyan faraham karta hai aur apni Hikmat-o-Hamd se jis tarhan chahta hai usw phairtaa hai.

(Taseer Allamah Abdul Rahman Al Saadi رحمہ اللہ: 5/625)

 

Imam Raghib Asfhani (رحمہ الله) farmate hain: ” القوت “Us cheez ko kehte hain jo jaan jane se bachaaye aur us ki jam’a اقوات hai” Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَقَدَّرَ فِيْهَآ اَقْوَاتَهَا

 

“Aur is mein (rehne walon ki ) ghizaon ki tajweez bhi isi mein kar di.” (Fussilat: 10)

 

Aur “قاتہ یقوتہ قوتا” ka maien’e hai kisi ko khoraak khilana, Aur “آقاتہ یقیتہ ” ka maien’e hai kisi ki khoraak ki intizam karna.

 

Aur Hadees-e-Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) mein hai:

 

كفى بِالْمَرْءِ إِنَّمَا أَن يُضيع مَنْ يَقُوتُ …

 

Aadmi ke gunah gaar hone ke liye itna kaafi hai keh jin ki khoraak us ke zimma hai inhain zaya kar de ( khayaal na kare ).

(Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Zakat, Baab Fi Silat-e-Rahimi, Hadees: 1294, Wa Musnad Ahmad: 2/160, Wa Mustadrak Hakim: 1/415, Aur kaha keh Sahih hai Aur Imam Zahabi ne in ki muwafaqat ki hai aur Allamah Albani ne Sahih Al Jame (4481) mein Hasan qarar dia hai, Au asal hadees Muslim mein in alafaz ke sath hai: کفی بالمرء اثما ان یحبس عمن یملک قوتہ (Aadmi ke gunahgar hone ke liy itna kafi hai keh jin ki khorak us ke zimmah hai, Un ki khorak rok le), Kitab-ul-Zakat, Baab-o-Fazl-e-Al Nafaqti Alal Iyaal Wal Mamlok Wa Ism-e-Man Zayyahum, Hadees: 996)

 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَكَانَ اللّٰهُ عَلٰي كُلِّ شَيْءٍ مُّقِيْتًا

 

“Aur Allah Ta’alaa har cheez par qudrat rakhne wala hai.” (Al Nisaa: 85)

 

Aik maien’e yeh bataya gaya hai keh Allah Ta’alaa qudrat rakhne wala hai, Aur aik raye yeh hai keh Allah Ta’alaa gawah hai. Aur is ki haqeeqat yeh hai keh Allah Ta’alaa dekh bhaal karne wala hai woh uski hifaazat karta hai aur use khoraak faraham karta hai.

(Al Mufradat Fi Ghareeb-e-Al Quraan, Az Raghib Asfahani, Page: 414)

 

Aur القاموس المحيط mein (Allama Feroz Abadi (رحمہ الله) farmate hain:

 

المقیت “Ke maien’e kisi cheez ki hifaazat karne wale, Us par gawah aur qudrat rakhne wale ke hain, Jaise koi har aik ko us ki ghiza pohncha raha ho. “(Al Qamoos-ul-Muheet, Page: 202)

 

Aur Ibn Abbas (رضی اللہ عنہما) farmate hain: Muqeet ke maien’e qudrat wale ya badla daine wale ke hain aur Mujahid (رحمہ الله) farmate hain: Hifaazat karne wale ke hain, Aur aik raye yeh bhi hai keh Allah Ta’alaa har jandaar ko khoraak pohanchane wala hai

(Tafseer-ul-Baghawi: 1/457 ).

 

Aur Hafiz Ibn Kaseer (رحمہ الله) farmate hain:

 

وَكَانَ اللّٰهُ عَلٰى كُلِّ شَىۡءٍ مُّقِيۡتًا ۞

 

“Aur Allah Ta’alaa har cheez par qudrat rakhne wala hai. (Al Nisaa: 85)

 

Y’ani hifaazat aur dekh rekh karne wala hai,” Aur Mujahid (رحمہ الله) farmate hain: شھیدا ke maien’e mein hai Y’ani gawah aur aagah, Aur un ki doosri riwayat mein hai keh: “Hisaab laine wale ke maien’e mein hai” Aur aik raye yeh hai keh: “Qudrat wala hai,” Aur aik qoul yeh hai keh: “المقیت” Ke maien’e “الرزاق” ( rozi rasaan ) ke hain, Aur yeh bhi kaha gaya hai keh: “Allah Ta’alaa har insaan ko us ke ‘amal ke mutabiq ghiza faraham karne wala hai.”

(Tafseer Ibn-e-Kaseer: 1/531, Mamoli tasarruf ke sath)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents