Search
Sections
< All Topics
Print

49. Sharah [Al-Muqaddim; Al-Mu’akhkhir]

Sharah [Al-Muqaddim; Al-Mu’akhkhir]

 


 

92: المقدم (Aage karne wala )

93: المؤخر ( Peeche karne wala )

 


 

Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) tashbeeh aur Salam phairne ke darmiyan apni aakhri duaon mein yeh dua bhi padha karte the:

 

اللهم اغفر لي ما قدمت وما أخرت وما أسررت وما اعلنت وما اسرفت وما انت اعلم به منى انت المقدم وأنت المؤخر لا إله إلا أنت

 

“Aey Allah! Mere un gunaaho ko bakhash de jo mein ne aage bheja aur jo peeche kiya. Jo chupa kar kiya aur jo ai’lania kiya, Aur jo mein ne had se tajawuz kiya, Aur jis ka tujhe mujh se zayada ‘ilm hai. Tu hi aage karne wala hai aur tu hi peeche karne wala hai, Taire siwa koi sacha M’abood nahi.” (Sahih Muslim, Kitab-o-Salat-e-Al Musafireen Wa Qasriha, Baab-ul-Duaa Fi Salat-e-Al Lail Wa Qiyamihi, Hadees: 771, Wa Sahih Bukhari ( Is se qareb qareb), Kitab-ul-Dawaat, Baab-o-Qaol-e-Al Nabi صلی اللہ علیہ وسلم: اللھم اغفرلی ما قدمت وما اخرت, Hadees: 6398, Albattah tasahhud aur salam ke darmiyan ka zikar nahi hai.)

المقدم Aur الموخر” Jaisa keh guzar chuka hai Allah ke doosre ham muqabil naamon mein se hein jis mein se aik ko doosre ke sath milaye baghair kisi aik ka Allah par itlaq nahi kiya jaye ga: Kyunkay kamaal un dono ke ikhatta hone mein hai. Chunancha Allah Ta’alaa apni hikmat se jise chahta hai aage badhata aur jise chahta hai peeche kar deta hai.

Aur yeh aage badhana koni tor par hota hai jaise kisi makhlooq ko kisi se aage badhana aur kisi ko kisi se peeche karna, Aur isi tarhan asbaab ko un ke masbbab se aage rakhna, Neez Shurot ko mashrotat se aage rakhna wagairah.

Aur Allah ki tahkleeq aur taqdeer mein aage peeche karne ki qismein aik samandar hai jis ka saahil nahi aur yeh cheez shara’i bunyaad par bhi hoti hai, Jaise Allah Ta’alaa ne Anbia ko makhlooq par fazeelat ataa farmai hai aur inhain aapas mein aik doosre par fazeelat di hai. Aur apne baaz bandon ko deegar par fazeelat di hai aur inhain ‘Ilm, Imaan, Amal, Akhlaq aur deegar tamaam khoobiyon mein aage badhaya hai aur un mein se baaz ko un mein se kisi cheez mein peeche bhi rakhta hai, Aur yeh saari cheezen Allah ki hikmat ke tab’e hain.

Yeh dono aur in jaisi deegar Sifaat Allah ki zaati Sifaat mein se bhi hain kiunkeh dono Allah ki zaat se wabasta hain aur Allah in dono se muttasif hai, Aur faili Sifaat mein se bhi hein. Kiunkeh Taqdeem-o-Takheer makhloqaat ki zaat un ki Sifaat afaal ma-ani aur Ausaf se muta’aliq hein aur yeh cheezen hein Allah ke iradah aur qudrat se wujood paati hain.

Lihaza baari Ta’alaa ki Sifaat ki sahih taqseem yahi hai. Aur bilashuba zaati sifteitn zaat se muta’aliq hein aur Allah ki faeli sifton se zaat muttasif hai aur un cheezon se muta’aliq hai jin se Aqwal-o-Afaal wujood patey hain.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen Fi Sarh-e-Tuheed-e-Al Anbiyaa Wal Mursaleen: Page: 100)

 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

وَاِنْ يَّمْسَسْكَ اللّٰهُ بِضُرٍّ فَلَا كَاشِفَ لَهٗٓ

 

“Aur agar tujh ko Allah Ta’alaa koi takleef pohanchaye to us ka daur karne wala siwaye Allah Ta’alaa ke aur koi nahi.”

(Al Anaam:   17)

 

Neez irshad hai:

 

قُلْ فَمَنْ يَّمْلِكُ لَكُمْ مِّنَ اللّٰهِ شَـيْـــــًٔا اِنْ اَرَادَ بِكُمْ ضَرًّا اَوْ اَرَادَ بِكُمْ نَفْعًا   ۭ بَلْ كَانَ اللّٰهُ بِمَا تَعْمَلُوْنَ خَبِيْرًا       11؀

 

“Aap jawab de dijiye keh tumahre liye Allah ki taraf se kisi cheez ka bhi ikhtiyaar kon rakhta hai agar woh tumhein nuqsaan pahunchana chahe to ya tumhein koi naffa dena chahe to balkeh tum jo kuch kar rahe ho us se Allah khoob bakhabar hai.”

(Al Fatah:  11)

 

Aur nuqsaan aur naffa ki siftein jaisa keh pehle guzar chuka hai ham muqabil dohare Asma mein se hain, Chunanacha Allah Ta’alaa hi apne bandon mein se jise chahe Deeni-o-Dunewi munafe pohanchane wala hai aur nuqsaan ke mojib asbaab apnane walon ko nuqsaan pohanchane wala hai, Aur yeh saari cheezen Allah ki hikmat koni sunnaton aur un asbaab ke tab’e hain jinhain Allah ne un ke masbbaab tak pohanchane wala banaya hai, Kiunkeh Allah Ta’alaa ne takhleeq ke kuch maqasid aur Deen-o-Duniya mein kuch Mahboob-o-Pasandeeda cheezen banai hain aur un ke kuch Asbaab-o-Wasail aur raste bhi banaye hain aur un par chalne ka hukum diya hai, Aur unhain apne bandon ke liye ha darja aasaan kiya hai, Lihaza jo in raahon par challay ga woh inhen naffa bakhash maqsad tak pounchaein gi, Aur jo inhain chodey ga ya in mein se kuch rahun ko chod dey ga, Ya in ka kamal chod de ga, Ya in par naqis tariqey sey aaye ga jis se matlooba kamaal chut jaye to woh apne aap hi ko malamat kare Allah par us ki koi Hujjat nahi kiunkeh Allah ne use Kaan, Aankh, Dil aur Quwwat-o-Taaqat di hai, Use dono raahon ki rahnumai ki hai aur us ke liye asbaab aur masbbaab ki wazahat ki hai aur Deen-o-Duniya ki Khair-o-Bhalai tak rasai ke kisi raste se use mana nahi kiya hai. Is liye us ka in umoor se peeche reh jana is baat ka Mojib-o-Mutaqazi hai keh woh malamat zada ho aur un ke tark par us ki muzammat ho.

Aur jaan lo keh afaal ke tamaam Sifaat un teen Sifaat se muta’aliq hein aur unhi se sadir hote hain: Kaamil-o-Mukammal qudrat nafiz Mashiyat-o-Iradah aur bharpoor shaamil hikmat, Aur yeh tamaam Sifaat Allah se wabasta hain, Aur Allah un se muttasif hai aur un ke Assaar-o-Taqaze poori kaainaat mein un se sadir hone wale umoor mein jaise Taqdeem-o-Takheer, Naffa-o-Zarr, Nawazish-o-Mehroomi, Bulandi-o-Pasti, In mein mehsoos ki jane wali aur ‘aqal se samjhi jane wali cheezon mein koi faraq nahi hai, Aur na hi Deeni-o-Dunewi cheezon mein. Chunancha in Asma ke afaali Sifaat hone ka yeh maien’e hai, Na keh jo baatil parast Ahl-e-Kalaam ne gumaan kar rakha hai.

(Tauzeeh-ul-Al Kafiyah Al Shafiyah Az Shaik Abdul Rahman Al Saadi, Page: 131-132)

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents