Search
Sections
< All Topics
Print

04. MISWAAK [ The Sunnahs of Using Sewak]

Miswaak ki Sunnatein

 

Din raat mein ek musalmaan be shumaar martabah miswaak karta hai, Bukhari aur Muslim mein riwayat hai ki Rasoolullah (ﷺ) ka farmaan hai:

“Agar main apni ummat par mushaqqat na samajhta toh har namaaz ke waqt miswaak ke zaroori hone ka hukm deta”.

 

[Abu Dawood: 47]

 

Majmooyi taur par ek Musalmaan din raat mein 20 martabah se kam miswaak nahin karta, paancho namaazon ke liye, sunnat-e-muakkidah, namaaz-e- zuha aur namaaz-e-witr ke liye aur ghar mein daakhil hote waqt woh miswaak karta hai. Kyun ke Allah ke Rasool (ﷺ) ghar mein daakhil hote waqt sab se pahlaa kaam jo kiya kartay woh miswaak tha.

Jaisa ke Muslim Shareef mein Sayyedah Ayesha (رضی اللہ عنہا) ke hadees hai : Ke Allah ke Rasool (ﷺ) jab bhi ghar tashreef laatay toh miswaak kartay, munh ki hawa ki tabdeeli ke liye,neend se bedaar honay par, qira’at-e Qur’an aur wazoo ke waqt miswaak kiya kartay.

Aur Allah ke Rasool (ﷺ) ka irshad-e- giraami hai: Miswaak munh ki safaayi karti hai, aur Allah ki raza ka sabab hai.

[Sahih Bukhari Baab: 27, Nasai: 5]

 

Is Sunnat ko Apnaane ka Faayedah:

 

• Bande ko Allah Subhaanahu wa Ta’aala ki riza naseeb hoti hai.

• Munh ki safaayi hoti hai. Jadeed science ne inkeshaaf kiya hai ki Miswaak ke bahut se aise faaide hain jo daanton aur masoodon ke liye mufeed hain un fawaayid mein se yeh bhi hain:

 

1. Jaraseem khatm karnay ka mawaad hota hai.

2. Munh ki safaayi ka mawaad hota hai.

3. Daanton ki chamak ka mawaad hota hai.

4. Munh mein khushboo aur khush zaayiqah banane waala mawaad hota hai.

 

 

REFERENCE:
BOOK: “Din aur Raat mein Hazar se bhi ziyadah Sunnatein”
TALEEF: Fazilatus Shaykh Khalid Al-Husaynaan.
URDU TARJUMA BY: Dr. Hafiz Mohammad Ishaaq Zahed.

 The Sunnahs of Using Sewak

 

 
Using Sewak (Teeth Cleaning Stick)

 

There are several times in which a Muslim may use Sewak at day and night:

The Prophet (peace be upon him) said:

Were it not for avoiding inflicting difficulties on my nation, I would have ordered them to use Sewak upon the performance of each prayer.

[Narrated by Al-Bukhari & Muslim]

 

The total times of using Sewak by the Muslim at the day and night is not less than (20) times.

The Muslim uses Sewak :

 

– Upon performing the five prayers, the regular Sunnah prayers, Al-Doha (Morning) prayer, Al-Wetr Prayer

(i.e. ending prayer with odd Raka’a –  prostration – at night).

– Upon entering the house, because the first thing performed by the Prophet (peace be upon him) when he enters his house is using the Sewak.

[As narrated by Aisha (May Allah be pleased with her) in Sahih Muslim]

 

So, every time you enter your house use Sewak in order to apply the Sunnah.

– Upon reading the Holy Quran, for changing the smell of the mouth.

– Upon waking up.

– Upon making ablution (Wudhou’).

 

The Prophet (peace be upon him) said:

The Sewak cleans the mouth and causes the pleasure of 
Allah the Almighty.

 

[Narrated by Ahmad]

  
The benefit of applying this Sunnah:

a) Gaining the pleasure of Allah the Almighty.
 
b) Cleaning the mouth.

 

 

REFERENCE:
“1000 SUNNAH PER DAY & NIGHT”

مسواک

 

مسلمان کو دن اور رات میں کئی مرتبہ مسواک کرنا چاہیے۔رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد ہے:

’’ اگر مجھے اپنی امت کی مشقت کا اندیشہ نہ ہوتا تو میں اسے ہر نماز کے وقت مسواک کرنے کا حکم دیتا۔‘‘

[بخاری،مسلم]

 

دن اور رات میں مجموعی طور پر بیس سے زیادہ مرتبہ مسواک کیا جا سکتا ہے۔پانچ نمازوں کے وقت،ان سے پہلے اور بعد والی سنتوں کے وقت،چاشت کی نماز کے وقت،نمازِ وتر کے وقت،قراء تِ قرآن 

کے وقت،منہ میں بدبو پیدا ہو جانے کے بعد،نیند سے بیدار ہونے کے بعد اور ہر وضو کے وقت۔اسی طرح گھر میں داخل ہوتے وقت بھی،کیونکہ حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ:
’’ رسول اکرم صلی اللہ علیہ وسلم گھر میں داخل ہوتے وقت سب سے پہلے مسواک کیا کرتے تھے۔‘‘

[مسلم]

 

اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم کا فرمان ہے:

’’مسواک سے منہ پاک ہوتا ہے اور اللہ کی رضا مندی نصیب ہوتی ہے۔‘‘

[احمد]

 

اوراب تو جدید طب میں بھی یہ بات ثابت ہو چکی ہے کہ مسواک دانتوں اور مسوڑھوں کیلئے مفید ہوتا ہے کیونکہ اس میں درج ذیل مواد پائے جاتے ہیں:

1 جراثیم کو ختم کرنے والے مواد۔
2 پاک کرنے والے مواد۔
3 دانتوں کو صاف کرنے والے مواد۔
4 منہ میں خوشبو پیدا کرنے والے مواد۔

 

 

 

ريفرينس:
“دن اور رات ميں ۱۰۰۰ سے زياده سنتيں”
تاليف: “الشيخ خالد الحسينان”
اردو ترجمعه: “ڈاکٹر حافظ محمد اسحاق زاهد”
Table of Contents