Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

79. Sayyidah Zainab Bint-e-Maz’oon رضى الله عنها

Sayyidah Zainab Bint-e-Maz’oon رضى الله عنها

 

Khandani Pas-e-Manzar:

 

Nam Zainab, Walid ka nam Maz’oon Bin Habib Bin Wahab tha. Sayyidah Zainab رضى الله عنها kay teen bhai thay. Aik ka nam Usman, Dosray ka nam Qudama aur teesaray ka nam Abdullah tha aur yeh teenon Sayyiduna Maz’oon رضى الله عنه kay betay thay. Sayyidah Zainab رضى الله عنها ki shadi Ameer-ul-Momineen Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه say hui, Jis say Jaleel-ul-Qadar Sahabi Abdullah رضى الله عنه aur Sahabiya Hafsa رضى الله عنها nay janam liya, Jisay Umm-ul-Momineen honay ka sharaf hasil huwa. Sayyidah Zainab رضى الله عنها kay aik aur betay nay janam liya jis ka nam Abdul Rahman tha. Sayyidah Zainab رضى الله عنها nay apni beti Hafsa Bint-e-Umar رضى الله عنها kay sath Madinah Munawarrah ki taraf hijrat ki. Sayyidah Zainab رضى الله عنها kay teenon bhai apnay bhatijay Sayyiduna Saaib Bin Usman رضى الله عنه kay hamarah Madinah Munawarrah ki taraf hijrat par rawana huaye. Sayyiduna Saaib رضى الله عنه ko pehlay Habsha ki taraf hijrat karnay ki s’aadat bhi hasil hui thi. Sahabah Karaam رضى الله عنهم nay chupkay say Quraish say khufiya hijrat ka safar ikhtiyar kiya, Taa’keh kisi mukhbir ko is mansoobay ka pata na chalay. Lekin Sayyidah Zainab رضى الله عنها kay khawand Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه nay jab hijrat ka irada kiya to woh Quraish ki majlis mein aaye aur unhein baataya keh mein hijrat kay liye rawana ho raha hoon, Jis mein jurat hai mujhay rokay. Unhon nay yeh dhamki bhi di keh yad rakhna jis nay mujhay roknay ki koshish ki mein us ki gardan uda doon ga. Jo chahta hai keh us kay bachay yateem ho jayein aur us ki biwi bewa ho jaye woh meray samnay aaye. Kan khol kar sun lo mein Madinah Munawarrah ja raha hoon.

(Usd-ul-Ghabah (2/319))

 

Un kay khandan say Nabi Mareem صلی اللہ علیہ وسلم ki mahabbaat:

 

Sayyiduna Saaib رضى الله عنه ka walid aur Sayyidah Zainab رضى الله عنها ka bhai Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه bada bahadur aur ghairat mand tha, Woh Makkah Muazzamah mein Subha-o-Sham aazadana aata jata. Waleed Bin Mugheera us ka haleef tha. Us kay Roab-o-Dabdabay ki wajah say koi Quraishi Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه ko koi aziyat nahin pohanchata tha. Jab’keh doosray musalman tarah tarah kay Zulum-o-Sitam ka nishana ban rahay thay.

Woh Subah-o-Sham aazadana Makkah Muazzamah ki galiyon mein aatay jatay, Unhien apni is Soorat-e-Haal par koi tajjub nahin tha, Woh kehtay keh mera Subah-o-Sham Aman-o-Sakoon say aana janay mahaz is liye hai keh mujhay aik mushrik sardar ki zamanat hasil hai aur meray sath Allah ki rah mein holnak aazmaish aur aziyat mein mubtala hain. Mujhay agar Allah ki rah mein koi takleef nahin pohanchi to yeh mera nuqs hai. Yeh soch kar woh apnay kafeel Waleed kay pas gaye aur us say kaha: Aye Abu Abad-e-Shamas! Aap nay apnay ahad say wafa ki, Mein aap ki zamanat wapis karna chahta hoon. Waleed nay heeran ho kar kaha: Meray bhai kay betay! Kiun, Kya huwa? Aap meri zamanat wapis na karein warna meri qoam kay log aap ko aziyat pohanchayein gay. Usman nay kaha: Nahin, Mein aap ki zamanat wapis karna chahta hoon. Mein Allah سبحانه وتعالى ki panah mein aana pasand karta hoon. Mein Allah T’aala ki panah kay ilawa kisi aur ki panah ko pasand nahin karta. Allah ki rah mein mujhay jo bhi takleef aaye mein usay Khanda-e-Peshani say qabool karoon ga.

Waleed nay kaha to phir meray sath masjid chalo, Wahan sab kay samnay aelaniya tor par meri zamanat ko wapis karnay ka izhar karo, Kiunkeh mein nay bhi aap ko aelaniya zamanat di thi. Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه us kay sath masjid gaye aur wahan pohanch kar Waleed nay aelan kiya keh logo! Yeh Usman aaj meri zamanat wapis kar taha hai. Sayyiduna Usman nay kaha: Bilkul sach hai, Is nay meray sath wafadari aur sharafat ka rawayya ikhtiyar kiya, Lekin mein Allah kay siwa kisi ki zamanat lenay ka irada nahin rakhta. Mein aap sab kay samnay is zamanat ko wapis karta hoon. Yeh keh kar Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه wahan say chalay gaye. Jab woh wahan say chalay to Mash’hoor-o-Maroof shaair Labeed Bin Rabia nay yeh misra kaha, Jisay Sayyiduna Usman رضى الله عنه nay suna:

 

ألا کل شىء ما خلا الله باطل

 

Sayyiduna Usman رضى الله عنها nay kaha: Labeed tum sach kehtay ho to us nay foran doosra misra keh diya:

 

وکل نعيم لا محالة زائل

 

“Allah kay siwa har cheez baatil hai aur har naimat la-mahala zaail ho gi.”

 

Jab Sayyiduna Usman رضى الله عنه nay doosra misra suna to kaha: Aye Labeed! Jannat ki naimatein zaail nahin hon gi. Phir Labeed nay Quraish say mukhatib ho kar kaha: Aye Quraishiyo! Tum mein aik mukhalif ham’nasheen ko koi gazand nahin pohanchay gi. Quraishiyo! Mujhay baatao to sahi keh yeh aisa kya huwa hai keh tumhari majlis mein tumhara mukhalif Aman-o-Sakoon say betha hai.

Yeh sun kar aik shakhas utha, Us nay Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه ki aankh par aik zor-dar zarab lagai jis say un ki aankh zaaia ho gai. Waleed wahan betha huwa tha, Us nay afsos ka izhar kartay huaye Sayyiduna Usman رضى الله عنه say kaha: Dekh liya meri zamanat wapis karnay ka anjam, Meri zamanat mein tum mahfooz thay. Zamanat mustarad na kartay to aap ki aankh zaaia na hoti. Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه nay farmaya keh meri jo aankh darusat hai woh bhi agr Allah ki rah mein zaaia ho jaaye to mujhay koi sadma nahin hoga. Aye Abu Abad-e-Shamas! Mein Allah ki zamanat ko zayada pasand karta hoon. Is liye meri jan bhi hazir hai. (Dalaail-ul-Nubuwwah Lil-Baihaqi (2/175) Seerat Ibn-e-Ishaq (Safha:60-61) Seerat Ibn-e-Hishaam (3698) Mujam Kabeer Tabrani (8316) yeh riwayat mursal hai. Huliyat-ul-Awliya (1/103) mein is ki aik doosri zaeef sanad mujood hai.)

Jab Sayyiduna Usman Bin Maz’oon رضى الله عنه foat huaye to Rasoolullh صلی اللہ علیہ وسلم tashreef laaye. Un kay chehray par bhosa diya. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ki aankhon say aansoo jari ho gaye. (Sunan Tirmizi. Kitab-ul-Janaaiz. باب: ما جاء فى تقبيل الميت، Hadees: 989. Sunan Ibn-e-Majah. Kitab-ul-Janaaiz. باب: ما جاء فى تقبيل الميت،, Hadees: 1456. Musnad-e- Ahmad: (6/43/55).) Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ko un say bhot peyar tha. Aap صلی اللہ علیہ وسلم un ki judai par ghamgeen thay.

Sayyidah Zainab رضى الله عنها nay aik muazziz gharanay mein zindagi basar ki, Woh khud bhi bhot khud’dar thein aur har dil-azeez wafadar gharanay ki Chasham-o-Chiragh thein. Us gharanay kay nigran Imam-e-Adal-o-Insaf Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه thay, Jin kay zariyaye say Allah T’aala nay Islam ko ghalba ata kiya. Allah سبحانه و تعالى Sayyiduna Zainab .رضى الله عنها par Apni rahmat ka saya daraz karay. Aameen!

 

Reference:
 Book: Hayat-e-Sahaabiyaat kay Darakhshah pahelo.
Taleef: Mahmood T’ama Halbi
Mutarjim: Abu Ziya Mehmood Ahmad Ghaznofar Hafizahullah.

 

 

Table of Contents