033. Kia yeh durust hai ke medical ke zariy’e yeh ma’loom ho jaata hai ke rehm mein Kia hai?
Kia yeh durust hai ke medical ke zariy’e yeh ma’loom ho jaata hai ke rehm mein Kia hai?
[Sawaal]
Majla “Al-‘Arabi” ke shumaarah 205 safha 15, majriya December 1975 mein ek sawaal jawaab ke nateeje mein yeh likha hai ke ab yeh baat saabit ho chuki hai ke insaan ko ma’loom ho sakta hai ke jineen nar hai ya maadah?
[Sawaal]
yeh hai ke is silsile mein Deen-e-Islam ka mu’aqqif Kia hai?**
Kia Allah Ta’ala ke siwa aur kisi ko ghaib ka ‘ilm hai?
[Jawab]
Sab se pehle is baat ko jaan lijiye ke Allah Subhana-o-Ta’ala hi rehm mein hamal ko jis tarah chaahta hai paida farmaata hai aur us se apni marzi-o-mashiyat se nar ya maadah kaamil ya naaqis bana deta hai. Is silsila mein Allah Ta’ala ke siwa kisi aur ka qat’an koi tasarruf aur ikhtiyaar nahi hai, Chunaanche Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
هُوَ الَّذِىۡ يُصَوِّرُكُمۡ فِى الۡاَرۡحَامِ كَيۡفَ يَشَآءُ ؕ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ الۡعَزِيۡزُ الۡحَكِيۡمُ
(Aal ‘Imran 3/6)
“Wahi (Allah) to hai jo (Maan ke) pait mein) jaisi chaahta hai tumhari soortein banaata hai, Us ghaalib hikmat waale ke siwa koi ‘ibaadat ke laaiq nahi.”
لِلَّهِ مُلْكُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْ ضِ يَخْلُقُ مَا يَشَاءُ يَهَبُ لِمَن يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَاءُ الذُّكُورَ أَوْ يُزَوِّجُهُمْ ذُكْرَانًا وَإِنَثًا وَيَجْعَلُ مَن يَشَاءُ عَقِيمًا إِنَّهُ عَلِيمٌ قَدِيرٌ
(Al-Shura 4249-50)
“(Tamaam) baadshahat Allah hi ki hai, Asmaanon ki bhi aur zameen ki bhi Woh jo chaahta hai paida karta hai Jis ko chaahta hai betiyaan ‘ataa farmaata hai aur jis ko chaahta hai bete ‘ataa farmaata hai ya un ko bete aur betiyaan dono ‘inaayat farmaata hai aur jis ko chaahta hai be aulaad (Baanjh) rakhta hai yaqeenan wahi jaanne waala (Aur) qudrat waala hai.”
In Aayaat mein Allah Subhana-o-Ta’ala ne yeh bayaan farmaaya hai ke asmaanon aur zameen ki baadshahat usi ki hai, Woh jo chaahta hai paida farmaata hai aur jis tarah chaahta hai hamal ko rehm mein nar ya maadah ki soorat mein paida farmaata hai aur jis tarah woh chaahta hai us se naqas ya mukammal aur khubsoorat ya badsoorat paida farmaata hai. Us mein sirf aur sirf us ka tasarruf-o-ikhtiyaar hai. Us ke siwa us mein kisi aur ki koi shirakat nahi hai Lehaaza yeh da’wa karna ke shohar ya doctor ya koi falsafi-o-hakeem Janiyan ki jins ko mutay’in karne ki taaqat rakhta hai, Ek jhoota da’wa hai. Shohar ziyaada se ziyaada yeh kar sakta hai ke ‘Aurat ke bachhe paida karne ki ‘Umar mein us se mubaashirat kar ke hamal qaraar paa jaane ki umeed rakhe’ Kabhi Allah Ta’ala ki marzi-o-mashiyat ke mutaabiq us ki yeh umeed bar aati hai aur kabhi yeh umeed poori nahi hoti Umeed ke poora na hone ke bhi kayi asbaab hote hain. Jin mein se rehm mein kharaabi ya baanjh pan ya Allah Ta’ala ki taraf se bande ki azmaaish-e-hamal qaraar na paane ke chand ahem asbaab hain. Lekin asbaab bhi bazaat khud mu’Asar nahi hote balkeh yeh bhi Allah ki marzi-o-mashiyat se mu’assar bante hain. Hamal qaraar paana ek koni amar hai.
Bande ka ikhtiyaar sirf jinsi ‘amal hai baaqi us ke nateeja mein hamal qaraar paana ya na paana aur hamal qaraar paa jaane ki soorat mein us ki tasreef-o-takeef aur taskheer-o-tadbeer sirf aur sirf Allah Ta’ala hi ke haath mein hai. Jo shakhs bhi is ziman mein logon ke haalaat Aqwaal aur am’aal par ghour karega to us se ma’loom ho ga ke un da’won mein mubaligha aur aqwaal-o-af’aal mein kazab-o-iftiraa se kaam liya gaya hai aur yeh un ki jahaalat aur jadeed ‘uloom mein ghuluv aur asbaab ke baare mein had-e-e’itidaal se tajaawuz ki wajah se hai aur jo shakhs umoor-o-ma’amlaat ko un ke sahih tanaazur mein dekhe to woh tameez karega ke un mein se Allah Ta’ala ke saath makhsoos umoor kon se hain aur woh umoor kon se hain jin ko us ne apni marzi-o-mashiyat aur tadbeer se makhlooq ke supurd kar diya hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…