057. Jin ke liye zibah karne waala
Jin ke liye zibah karne waala
[Sawaal]
Us shakhs ke liye Kia hukm hai jo aise shehar mein parwaan chadha jahan us se sirf Namaz ya ziyaada se ziyaada arkaan-e-khamsa ka ‘ilm ho saka aur woh un ke mutaabiq ‘amal bhi karta hai lekin us ke saath woh jinon ke naam par zibah karta aur bawaqt zaroorat unhein pukaarta bhi hai lekin nahi jaanta ke Islami shariy’at ne is se mana’ kiya hai. Kia woh apni jahaalat ki wajah se ma’zoor hai ya nahi? Kia haqeeqat-e-haal bayaan karne se qabl us se yeh kaha jaa sakta hai ke tu mushrik hai?
[Jawab]
Touheed ka ‘ilm rakhne waale jis shakhs ko us ka haal ma’loom ho us ka yeh farz hai ke woh us se yeh bataae ke jin waghaira ghair Allah ke naam par zibah karna Shirk-e-Akbar hai, Us se insaan dairaa-e-Islam se khaarij ho jaata hai. Isi tarah zarooraton ke poora karne ke liye bhi jinon ko pukaarna Shirk-e-Akbar hai aur us se bhi insaan dairaa-e-Islam se khaarij ho jaata hai kyunke yeh dono sooratein ‘ibaadat ki hain lehaaza zaroori hai ke yeh khaalis Allah hi ke liye hon, Ghair Allah ko un mein shareek karna Shirk-e-Akbar hai. Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
قُلْ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ المسلمين قُلْ أَغَيْرَ اللَّهِ أَبْنِي رَبَّا وَهُوَ رَبُّ كُلِّ شَيْءٍ
(Al-An’aam 6 162-165)
“(Ae Paighambar! Keh dijiye ke meri Namaz’ Meri ‘ibaadat’ Mera jeena aur mera marna sab Allah Rabb-ul-Aalameen hi ke liye hai jis ka koi shareek nahi aur mujh ko is baat ka hukm diya gaya hai aur mein sab se Awwal farmaanbardaar hoon Kahiye Kia mein Allah ke siwa aur parwardigaar talaash karoon aur wahi to har cheez ka maalik hai.”
Aur farmaaya:
وَلَا تَدْعُ مِن دُونِ اللَّهِ مَا لَا يَنفَعُكَ وَلَا يَضُرُّكَ فَإِن فَعَلْتَ فَإِنَّكَ إِذَا مِّنَ الظَّالِمِينَ وَإِن يَمْسَسْكَ اللَّهُ بِضُرٍ فَلَا كَاشِفَ لَهُ إِلَّا هُوَ وَإِن يُرِدْكَ بِخَيْرٍ فَلَا رَادَّ لِفَضْلِهِ
(Younis 10 106-107)
“Aur Allah ko chod kar aisi cheez ko na pukaarna jo na tumhara kuch bhala kar sake aur na kuch bigaad sake agar aisa karo ge to zaalimon mein ho jaao ge aur agar Allah tum ko koi takleef pohanchaae to us ke siwa us ka koi door karne waala nahi aur agar tum se bhalaai karni chaahe to us ke fazal ko koi rokne waala nahi.”
Aur farmaaya:
فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ
(Al-Kousar 108 2)
“Apne Parwardigaar ke liye Namaz padha karo aur qurbaani kiya karo۔”
Aur Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:
((لَعَنَ اللهُ مَنْ ذَبَحَ لِغَيْرِ اللهِ))
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Azaahi, Baab Tahreem Al-zibah laghair Allah Ta’ala-O-La’an faa’ahu، H: 1987)
“Allah Ta’ala us shakhs par la’nat kare jo ghair Allah ke liye zibah kare۔
Agar aisa shakhs jinon ke liye zibah karne aur zarooraton ke poora karne ke liye unhein pukaarne par israar kare to woh Shirk-e-Akbar ka murtakib mushrik ho ga۔ Kitaab-o-Sunnat ke dalaail ke ba’d is ka koi ‘uzr qaabil-e-qubool na ho ga aur us ko Shirk-e-Akbar ka murtakib ka fard mushrik kaha jaae ga۔
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…