Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

077. Saalgiraah ki taqreeb manaana

Saalgiraah ki taqreeb manaana

[Sawaal]

Hamara mulk Misr mein yeh riwaaj hai ke jab koi shakhs apni ‘Umar ka ek saal mukammal kar leta hai to woh ek taqreeb ka ehtimaam karta hai jis se taqreeb-e-saalgiraah ka naam diya jaata hai. Mai ne suna hai ke shar’i taur par yeh taqreeb manaana najaaiz hai, To Kia yeh waaqay’e najaaiz hai aur agar da’wat mile to Kia is tarah ki taqreeb mein shirkat karna jaaiz hai ya nahi? Umeed hai aap mustafeed farma kar shukriya ka mouqa bakhshein ge!

[Jawab]

Yeh ek bura riwaaj aur badtareen bidd’at hai, Allah Ta’ala ne is ka hukm nahi diya, ‘Eidein ‘ibaadaat ki tarah touqeefi hain. Hadees mein aaya hai ke Ahl-e-Madina zamaana-e-jaahiliyat mein do ‘Eidein manaaya karte the, Jin mein woh khela kooda karte the to Allah Ta’ala ne musalmaanon ke liye un do ‘Eiden ki bajaae ‘Eid-ul-Fitar aur ‘Eid-ul-Azha ko muqqarar kar diya jo ke hamare liye shar’i ‘Eidein hain.

Hamari shariy’at mein chunki ‘Eid-ul-Milaad ka koi zikr mazkoor nahi, Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم aur Aimmah-e-salaf mein se kisi ne us ko nahi manaaya lehaaza is tarah ki taqreeb ka ehtimaam karna, Us mein shirkat karna, Taqreeb ka ehtimaam karne waalon ki hosla afzaai karna aur unhein saalgiraah ki mubarakbaad dena jaaiz nahi hai kyunke is tarah amar-e-munkir (bure kaam) ki inaayat aur is ki ta’eed-o-himaayat hoti hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents