089. Mayyat par Namaz waghaira ka sadqa karna
Mayyat par Namaz waghaira ka sadqa karna
[Sawaal]
Kia mayyat par Namaz, Roza aur Qur’an ka sadqa karna sahi hai?
[Jawab]
Haan yeh sahi hai ke insaan mayyat ke liye Namaz, Roza, Khairaat, Qiraat-e-Qur’an aur zikr waghaira ka sadqa kare bashar teka woh musalmaan ho aur agar woh kaafir ho to phir kisi cheez ka tabarr’u karna bhi jaaiz nahi maslan agar koi be Namaz insaan Faut ho jaae to us ke ghar waalon ke liye yeh jaaiz nahi ke woh us ke liye istaghfaar karen ya us ke liye kisi bhi neik ‘amal ka tabarr’u karen. Lekin yaad rahe ke is tarah ke aam’aal-e-saliha ka tabarr’u karna koi mustahab amar nahi hai bas yoon keh sakte hain ke jaaiz hai. Aur afzal yeh hai ke us ke liye dua’a kare kyunke Rasoolullah (ﷺ) ka Irshaad hai:
إِذَا مَاتَ ابْنُ آدَمَ انْقَطَعَ عَمَلُهُ إِلَّا مِنْ ثَلَاثٍ: صَدَقَةٍ جَارِيَةٍ، أَوْ عِلْمٍ يُنْتَفَعُ بِهِ، أَوْ وَلَدٍ صالح يَدْعُو لَهُ
“Jab koi Ibn-e-Aadam Faut ho jaata hai to teen tarah ke (Aa’maal ke) siwa us ke tamam aa’maal munqat’a ho jaate hain.
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Wasiyat, Baab maa Yalhaq Al-Insaan min Al-Sawaab ba’d-o-Fatiha, H: 1631, Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Wasaya, Baab maa jaa fi Al-sadaaqat ‘an Al-Mayyat, H: 2880, Al-Tirmizi Fi Al-Jaam’a, Raqam: 1376, Al-Nisaa’i fi Al-Mujtabi 6 251, -o-Al-Bukhari fi Al-Adab, Raqam: 38 -o-Ahmad fi Al-Masnad, 2 372)
(1) Sadqa-e-Jariya
(2) ‘Ilm-e-Naf’e
(3) Woh neik aulaad jo us ke liye dua’a karti ho.”
__Shaikh Ibn-e-Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…