Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

094. Teen Masjidon ke ‘ilaawa deegar Masaajid ki taraf shad-e-rihaal ka hukm

Teen Masjidon ke ‘ilaawa deegar Masaajid ki taraf shad-e-rihaal ka hukm

[Sawaal]

Hamare haan ek Masjid hai jis ka naam “Masjid Mu’aaz-Bin-Jabal” hai aur woh “Masjid Al-Jand” ke naam se mashoor hai. Har saal maah-e-Rajab ke ek jumm’a ko bohat se mard aur ‘Aurtein us Masjid ki ziyaarat ke liye aate hain. Kia yeh ‘amal masnoon hai? Aur aap ki is silsila mein Ae Fazeelat-ul-Shaikh! Kia naseehat hai?

[Jawab]

Awwalan to yeh ‘amal ghair masnoon hai kyunke yeh qat’an saabit nahi hai ke Nabi (ﷺ) ne Hazrat Mu’aaz-Bin-Jabal رضي الله عنه ko jab Yemen bheja to unhon ne wahan koi Masjid banwaai ho, Jab yeh saabit nahi to phir us Masjid ko Hazrat Mu’aaz ki Masjid kehna da’wa baghair daleel ke hai aur har woh da’wa jo bilaa daleel ho woh ghair maqbool hai.

Saaniyan: Agar yeh saabit bhi ho jaae ke Hazrat Mu’aaz-Bin-Jabal رضي الله عنه ne wahan koi Masjid banwaai thi to us Masjid ki taraf shad-e-rahaal (mukammal tayyaari) kar ke jaana shar’i hukm nahi hai balkeh teen Masjidon ke ‘ilaawa kisi aur Masjid ki taraf shad-e-rihaal kar ke jaane ki mumaani’at aai hai Chunaanche Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

لا تُشَدُّ الرِّجَالُ إِلَّا إِلَى ثَلَاثَةِ مَسَاجِدَ : الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ، وَمَسْجِدِي هَذَا، وَالْمَسْجِدِ الأقصى

“Teen Masjidon Yaane

(1) Masjid-e-Haraam

(2) Masjid-e-Nabwi aur

(3) Masjid-e-Aqsa ke siwa kisi aur Masjid ki taraf shad-e-rihaal na kiya jaae.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaat fi Al-Masjid, Baab Masjid Bait-ul-Muqqadas, H: 1197,)

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Hajj, Baab Fazal Al-Masaajid Al-Salaasat, H: 1397)

Salisaan:

Is ‘amal ki maah-e-Rajab mein takhsees bhi bidd’at hai kyunke maah-e-Rajab mein Namaz ya roze ki kisi khaas ‘ibaadat ka qat’an koi hukm nahi hai balkeh Rajab ka hukm bhi wahi hai jo deegar hurmat waale mahinon ka hai. Yaad rahe hurmat waale mahine Rajab , Zilqad , Zil Hajj aur Muharam hain, Unhi mahinon ke baare mein Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

اِنَّ عِدَّةَ الشُّهُوۡرِ عِنۡدَ اللّٰهِ اثۡنَا عَشَرَ شَهۡرًا فِىۡ كِتٰبِ اللّٰهِ يَوۡمَ خَلَقَ السَّمٰوٰتِ وَالۡاَرۡضَ مِنۡهَاۤ اَرۡبَعَةٌ حُرُمٌ‌

(Al-tawba 9 36)

“Allah ke nazdeek mahine ginti mein baaraah hain (Yaane) us roz se ke us ne asmaanon aur zameen ko paida kiya. Un mein se chaar mahine adab ke hain.”

Lekin yeh saabit nahi ke Rajab mein Namaz ya roze waghaira ki kisi khaas ‘ibaadat ka hukm ho, lehaaza Nabi (ﷺ) se saboot ke baghair agar koi insaan us mahine ko kisi ‘ibaadat ke liye makhsoos karta hai to woh Rasoolullah (ﷺ) ke is Irshaad ke mutaabiq bidd’ati hai:

عَلَيْكُمْ بِسُنَّتِي وَسُنَّةِ الْخُلَفَاءِ الرَّاشِدِيْنَ الْمَهْدِيِّينَ مِنْ بَعْدِي، تَمَسَّكُوا بِهَا وَعَضُّوا عَلَيْهَا بِالتَّوَاجِدِ وَإِيَّاكُمْ وَمُحْدَثَاتِ الْأَمُورِ فَإِنَّ كُلَّ مُحْدَثَةٍ بِدْعَةٌ وَكُلَّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ

(Masnad Ahmad, 4 126-127)

“Meri aur mere ba’d hidaayat yaafta Khulafa-e-Raashideen ki Sunnat par ‘amal karo aur us se mazbooti se thaam lo apne aap ko (Deen mein) naye naye kaamon se bachaao kyunke (Deen mein) har naya kaam bidd’at hai aur har bidd’at gumraahi hai.”

Yemen mein Mu’aaz-Bin Jabal رضي الله عنهkey naam se mansoob Masjid ki taraf jaane waale bhaiyon ki khidmat mein meri naseehat yeh hai ke woh is kaam se baaz aa jaaein aur us mein apni jaanon ko halkaan karen na apne maalon ko khapaaein Jo Allah Ta’ala se unhein door karne ka sabab hai. Aur doosri naseehat yeh hai ke woh apni himmaton aur tawaanaaiyon ko un kaamon ke saranjaam dene mein sarf karen jo Kitaabullah aur Sunnat-e-Rasoolullah (ﷺ) se saabit hain aur ek mard-e-momin ke liye bas Kitaab-o-Sunnat hi kaafi hai.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents