Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

129. Kaam ke iftitaah ke waqt fetah kaatna

Kaam ke iftitaah ke waqt fetah kaatna

[Sawaal]

Ba’az logon mein yeh riwaaj hai ke woh apne mukhtalif mansoobon aur schemon ki iftitaahi taqreebaat mein fetah kaat’te hain, Ba’az musalmaan fetah kaatne se pehle Bismillah padhte hain aur Allah Ta’ala se kaam mein barkat ki dua’a bhi karte hain, Kia yeh musalmaanon ka koi qadeemi riwaaj hai ya yeh sirf ghairon ki taqleed hai? Kia Islami ‘ehd mein Islami schemon ke iftitah ke mouq’a par is tarah fetah kaatne ka koi riwaaj tha?

[Jawab]

Is ‘aadat-o-riwaaj ki mujhe koi asal ma’loom nahi aur na hi is mein koi faaida hai. Sabiqa zamanon mein musalmaanon mein is ka qat’an koi riwaaj na tha. Yeh mehez ghair muslim mulkon ki andhi taqleed hai. Islam ne kaam shur’u karne se pehle jo tareeqa ta’leem farmaaya hai, Woh yeh hai ke istakhaarah kar liya jaae, Khair-o-barkat ke husool aur Allah Ta’ala se mansooba-o-scheme ki kaamiyaabi-o-kaamraani se humkinaar hone ki dua’a kar li jaae aur phir mehnat, Tawajjuh aur khuloos se kaam karna chaahiye. Qareeb-o-ba’eed ke saath yaksaan sulook kare, Milaawat, Zulm aur dho ke se bachhe , Amaanat mein khayaanat na kare aur kaam kaaj mein Allah Ta’ala se ajar-o-sawaab ki umeed rakhe. Musalmaanon ko naf’a pohanchaane ki koshish kare aur ‘ibaadaat ko adaa kar ke taqarrub-e-Ilaahi ka husool ikhtiyaar kare aur meheramaat ko tark kar ke Allah Ta’ala ke haqq ko bhi adaa karke To us se umeed hai ke mansoobe aur schemein kaamiyaabi se humkinaar hon gi Allah Ta’ala kaaroobaar mein barkat paida farmaae ga. Logon mein bhi us ki shohrat ho gi aur woh is se ma’amla karne ke khuwaaishmand hon ge aur us se naf’a aur khair-o-barkat haasil ho gi.

(Wallahu Al-Muwafiq)

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents