184. Arz-e-Fidak ka qissa
Arz-e-Fidak ka qissa
[Sawaal]
Mere haath mein ((Fidak fi Al-Tareekh)) “Fidak-e-Tareekh ke aaina mein” naami ek kitaab aai’ Jis ka mo’allif dono khalifon Hazrat Abu Bakr aur Hazrat ‘Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ko (Na’uzubillah) kaafir qaraar deta hai. Is kitaab ke baare mein shar’i hukm Kia hai?
[Jawab]
Raafziyon ((لَعَنَهُمُ الله کا)) ka ‘aqeedah hai ke doosre insaanon ki tarah Nabi Kareem (ﷺ) ka maal bhi aap ke waarison mein taqseem hona chaahiye tha lekin Hazrat Abu Bakr رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ne azraah zulm Hazrat Fatima رضي الله عنها ko un ki wiraasat se mehroom kiya aur phir Hazrat ‘Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ne bhi Hazrat Abu Bakr رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki pairwi ki, Jab ke Madina ke qareeb Fidak naami raqba Nabi (ﷺ) ki milkiyat tha,lekin Hazrat Abu Bakr-o-‘Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ne us mein tasarruf kiya aur us se apni milkiyat mein le liya ya us se unhon ne Bait-ul-Maal mein daakhil kar diya. Is kitaab ka mussaanif khabees ‘aqeede ka maalik ek raafzi hai, Us se aur us ke kazab-o-bohtan se hat kar door rehna waajib hai kyunke Nabi (ﷺ) ne to khud Irshaad farmaaya tha ke:
لا نُوْرَثُ مَا تَرَكْنَا صَدَقَةٌ
“Hamara maal waarison mein taqseem nahi hota balkeh hamara tarka to sadqa hota hai.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Nafqaat, Baab Habas Al-Rajal quwwat-e-Sunnay ‘Ali Ehelihi . . . , H: 5358, -o-Sahih Muslim, Kitaab al-Jihaad-o-Al-Seer, Baab hukm Al-Fi, H: 1757 -o-Ikhrajahu Abu Dawood, Kitaab Al-Khiraaj-o-Al-‘imaarat, H: 2963, -o-Al-Tirmizi fi Al-Sunan, H: 1610)
Hazrat Abu Bakr-o-‘Umar رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ne us zameen ke saath wahi ma’amla kiya jo Rasoolullah (ﷺ) apni hayaat-e-paak mein kiya karte the. Phir Hazrat ‘Usman’ Hazrat ‘Ali aur Hazrat Hassan رضی اللہ عنہم ne bhi us ke saath wahi ma’amla kiya lekin us ka Kia kiya jaae ke Rawaafiz ‘aqal se kaam nahi lete.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…