Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

191. Moochon ko mundwaana

Moochon ko mundwaana

[Sawaal]

Umeed hai ke aap kuch aisi Ahadees ki taraf rehnumaai farmaaein ge, Jin se ma’loom ho ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

“Jo shakhs daadhi mandaae woh faasiq hai.” Nez yeh farmaaiye Kia yeh jaaiz hai ke moochon ko bilkul mandwa diya jaae?

[Jawab]

Daadhi mandaana Haraam hai aur mundaane waala faasiq hai kyunke woh un Ahadees ki mukhaalifat karta hai jin mein daadhi badhaane ka hukm diya gaya hai, Is se pehle bhi Bahaus e Al-‘Ilmiya-o-al-Iftaa ki mustaqil committee ne is se milti julti ek sawaal ke jawaab mein fatwa diya tha jo ke hasb-e-zail hai:

“Daadhi mandaana Haraam hai kyunke Hazrat Ibn-e-‘Umar رضی اللہ عنہ se marwi yeh Hadees hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:

خَالِفُوا الْمُشْرِكِينَ، وَوَفِّرُوْا اللَّحَى وَاحْفُوا الشَّوَارِبَ

“Mushrikon ki mukhaalifat karo, Daadhiyon ko badhaao aur moochon ko kaato.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Libaas, Baab Taqleem Al-Azfar, H: 5892,-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Khasal Al-Fitrat, H: 259)

Aur Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se marwi yeh Hadees hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

جُرُّوا الشَّوَارِبَ وَأَرْخُوا اللحى وَخَالِفُوا الْمَجُوسَ

“Moochon ko katraao , Daadhiyon ko badhaao aur majoosiyon ki mukhaalifat karo.”

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Khasal Al-Fitrat, H: 260)

Daadhi mundaane par israar karna kabeerah-e-gunaah hai, Jo mandaae us se naseehat karna aur daadhi mundaane se mana’ karna waajib hai, Agar aisa koi shakhs qayaadat ya kisi Deeni markaz mein ho to us se aur bhi ziyaada taakeed ke saath samjhana zaroori hai. Moochon ko mundwaana Rasoolullah (ﷺ) ya kisi bhi Sahaabi se saabit nahi hai, Is silsila mein jo saabit hai woh katraana aur turshaawana hai.

((وصلى الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم))

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents