272. Asal baqa tahaarat hai
Asal baqa tahaarat hai
[Sawaal]
Jab insaan Wuzu kare aur kuch waqt guzarne ke ba’d Namaz ka waqt ho jaae lekin woh bhool jaae ke woh Tahir hai ya nahi to Kia us ke liye Wuzu karna laazim hai? Is soorat-e-haal mein woh kis baat par buniyaad rakhe?
[Jawab]
Jab insaan Wuzu kare aur kamil Wuzu kare to woh haalat-e-Tahaarat hi mein ho ga khuwah kitna waqt guzar jaae aur agar us se Wuzu ke tootne ke baare mein shak ho to us shak ki taraf koi iltifaat nahi kiya jaae ga balkeh us se yaqeen Yaane tahaarat par buniyaad karni ho gi kyunke Hadees mein hai jis ke rawi ‘Abdullah-bin-Zaid hain ke Nabi Kareem (ﷺ) ke paas ek aadmi ne shikaayat ki ke us se khayaal aata hai ke woh Namaz mein koi cheez mehsoos kar raha hai to Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
لا يَنْصَرِفْ حَتَّى يَسْمَعَ صَوتاً أَوْ يَجِدَ رِيحًا
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab min lam yar Al-Wuzu illa min Al-Mukharajeen min Al-qabl-o-Al-Dabar, H: 177,-o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Daleel ‘Ali an min tayqan Al-Tahaarat sum shak, H: 361)
“Is waqt tak Namaz ko na tode jab tak awaaz na sun le ya badbu na mehsoos karley.”
Is Hadees ki buniyaad par hum yeh kehte hain ke jab Wuzu par ek waqt guzar jaae aur us se shak ho ke us ka Wuzu barqaraar hai ya toot gaya hai to us se chaahiye ke us soorat mein Namaz padh le Is mein koi harj nahi kyunke asal baqa tahaarat hai.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…