358. Hum ne ijtihaad se ghair qibla ki taraf Namaz padh li
Hum ne ijtihaad se ghair qibla ki taraf Namaz padh li
[Sawaal]
Jab hum America pohanche to hum qutub numa ke mutaabiq lekin ghair qibla-e-rukh Namaz padhte rahe aur jab hamein wahan rehne waale kuch musalmaan bhaiyon ke baare mein ‘ilm hoa to unhon ne bhi yeh bataaya ke hum ghair qibla-e-rukh Namaz padhte rahe hain aur phir unhon ne sahi simt-e-qibla bhi bataai. Ab aap se sawaal yeh hai ke qibla ke sahi simt ke ma:aloom hone se pehle hum ne jo Namaazein adaa ki hain Kia woh sahi hain ya nahi?
[Jawab]
Jab koi momin qibla ki simt ma’loom karne mein us waqt ijtehaad se kaam le jab woh sehra mein ya aise shehron (Aur ‘ilaaqon) mein ho jahan simt-e-qibla mushtaba ho to woh apne ijtehaad ke mutaabiq Namaz padh le aur phir jab us se yeh ma’loom ho ke woh ghair qibla-e-simt ki taraf munh kar ke Namaz padh raha hai to woh apne aakhri ijtehaad ke mutaabiq ‘amal shur’u kar de jab ke yeh waazeh ho jaae ke us ka yeh aakhri ijtehaad pehle ijtehaad se ziyaada sahi hai. Us ki pehli Namaazein bhi sahi hon gi kyunke woh us ne ijtehaad aur haqq ma’loom karne ki koshish ke ba’d adaa ki hain aur Rasoolullah (ﷺ) aur Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم se yeh saabit hai jo un Namaazon ki sehat par dalaalat kanan hai, Us waqt ke hawaala se jab Bait-ul-Muqqadas ki bajaae Ka’aba-e-Musharrafa ko musalmaanon ka qibla bana diya gaya tha. Wa billahi Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…