Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

395. Namaz mein kasrat harkaat

Namaz mein kasrat harkaat

[Sawaal]

Mein Masjid mein ba’az bhaiyon ko dekhta hoon ke woh Namaz padhte hue badi kasrat ke saath harkat karte hain ya apna ek qadam Imaam ki taraf aage badha dete hain goya woh Namaz mein nahi balkeh sadak par khade hon. Kia is se Namaz baatil ho jaae gi?

[Jawab]

Namaz mein harkat ke baare mein asal yeh hai ke yeh bilaa zaroorat ho to makrooh hai, Taaham harkat ki paanch qismein hain.

(1)Harkat-e-Waajib

(2)Harkat-e-Haraam

(3)Harkat-e-Makrooh

(4) Harkat-e-mustahab

(5)Harkat-e-Mubaah

Harkat-e-Waajib woh hai jis par sehat-e-Namaz mouqoof hai maslan yeh ke apne rumaal mein koi gandagi dekhe to waajib hai ke uske azaale ke liye harkat kare aur rumaal utaar de. Is ki daleel yeh hai ke:

الأنَّ النَّبِيِّ ، أَتَاهُ جِبْرِيلُ وَهُوَ يُصَلِّي بِالنَّاسِ فَأَخْبَرَهُ أَنَّ فِي نَعْلَيْهِ أَذًى فَخَلَعَهُمَا
، وَهُوَ فِي صَلَاتِهِ وَاسْتَمَرَّ فيها

“Nabi (ﷺ) Namaz padha rahe the ke aap ke paas Jibreel aae aur unhon ne bataaya ke aap ke jooton mein gandagi hai to aap ne haalat-e-Namaz mein hi unhein utaar diya aur Namaz ko jaari rakha.”

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Salaat fi Al-Na’al, H: 650)

Ya maslan yeh ke koi shakhs us se bataae ke woh qibla-e-rukh nahi hai to us ke liye zaroori hai ke harkat kar ke qibla-e-rukh ho jaae. Harkat-e-Haraam se muraad woh harkat hai jo bilaa zarorat kasrat ke saath musalsal ki jaae ke is se Namaz baatil ho jaati hai aur jis se Namaz baatil ho jaae, Woh f’el-e-Halaal nahi hai ke yeh Allah Ta’ala ki Aayaat se mazaaq karne ke mutaraadif hai.

Harkat-e-mustahab woh hai jo Namaz mein kisi amar-e-mustahab ke liye ki jaae maslan saf seedhi karne ke liye harkat kare ya apne saamne ki saf mein khaali jagah dekhe to haalat-e-Namaz mein hi aage badh kar us khaali jagah mein khada ho jaae ya saf simat rahi ho aur us ki takmeel ke liye harkat ki jaae ya is tarah ki koi aur harkat jo f’el-e-mustahab ke liye ki jaae to yeh bhi mustahab ho gi kyunke yeh harkat takmeel-e-Namaz ke liye hai is ki daleel yeh hai ke:

لمَّا صَلَّى ابْنُ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللهُ عَنْهُمَا مَعَ النَّبِيِّ ، فَقَامَ عَنْ يَسَارِهِ أَخَذَ رَسُولُ اللَّهِ بِرَأْسِهِ مِنْ وَرَائِهِ فَجَعَلَهُ عَنْ عَنْ يَمِينه

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab izaa qaama Al-Rajal ‘an yasaar Al-Imaam . . . , H: 698, 699)

“Hazrat Ibn-e-‘Abbas رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ jab raat ko Namaz padhne ke liye Rasoolullah (ﷺ) ke baaein jaanib khade ho gae to Rasoolullah (ﷺ) ne un ko un ke sar ke peeche ke hissa ki taraf se pakda aur apne daaein taraf khada kar liya.”

Harkat-e-Mubaah woh hai jo kisi zaroorat ki wajah se thodi si ya zaroorat ke liye ziyaada harkat ki jaae, Haajat ke liye thodi si harkat ki misaal Nabi (ﷺ) ka apni nawaasi Umaama bint-e-Zainab ko utha kar Namaz padhana aur sajdah karte hue utaar dena hai. Bawaqt-e-zaroorat harkat-e-kaseera ki misaal hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

حَافِظُوۡا عَلَى الصَّلَوٰتِ وَالصَّلٰوةِ الۡوُسۡطٰى وَقُوۡمُوۡا لِلّٰهِ قٰنِتِيۡنَ فَاِنۡ خِفۡتُمۡ فَرِجَالًا اَوۡ رُكۡبَانًا فَاِذَآ اَمِنۡتُمۡ فَاذۡکُرُوا اللّٰهَ کَمَا عَلَّمَکُمۡ مَّا لَمۡ تَكُوۡنُوۡا تَعۡلَمُوۡنَ

(Al-Baqraah 2 238-239)

“(Muslmaano) Dab Namaazein khusoosan beech ki Namaz (Yaane Namaz-e-‘Asar) pooreu iltizaam ke saath adaa karte raho aur Allah ke aage adab se khade raha karo, Agar tum khauf ki haalat mein ho to piyaade ya sawaar (Jis haal mein ho Namaz padh lo) Phir jab aman-(O-itminaan) ho jaae to jis tareeq se Allah ne tum ko sikhaaya hai jo tum pehle nahi jaante the, Allah ko yaad karo.”

Jo shakhs Namaz padh raha aur chal raha ho to beshak yeh ‘amal-e-kaseer hai lekin chunka yeh zaroorat ke liye hai is liye mubaah hai aur is se Namaz baatil na ho gi.

Harkat-e-makrooh woh hai, Jo un mazkoora baala qismon ke ‘ilaawa ho aur harkat ke silsila mein usool yeh hai jis ki tafseel mazkoora baala sutoor mein bayaan kar di gai hai lehaaza us usool ki buniyaad par hum un logon se kahen ge, Jinhein hamare is saail bhai ne Namaz mein harkat karte hue dekha hai ke logo! Tumhara yeh ‘amal-e-makrooh hai, Tumhari Namaz ko naaqis karne waala hai. Hum mein se har shakhs aaj Namaz padhne waalon ko dekhta hai ke un mein se koi apni ghadi’ Koi apna qalam’ Koi apne joote , Koi naak , Koi daadhi aur koi kisi cheez ke saath khel raha hota hai, Yeh sab harkat-e-makrooh ki qismein hain.Aur agar yeh harkat-e-kasrat ke saath aur tasalsul ke saath ho to phir yeh harkat Haraam ho gi aur is se Namaz baatil ho jaae gi Is tarah Namaz padhte hue ek paaon ko doosre se aage badhaana bhi jaaiz nahi hai balkeh Sunnat yeh hai ke dono paaon baraabar hon, balki tamam namaziyon ke paon baraabar hon balkeh tamaam Namaaziyon ke paaon baraabar aur musawi hon kyunke safon ki baraabari amar-e-waajib hai jis ke baghair chaarah hi nahi. Agar log safon ko baraabar na karen ge to gunnahgaar aur Rasoolullah (ﷺ) ke nafarmaan hon ge, Nabi(ﷺ) Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ki safon ko durust farmaate aur un ke seenon aur kandhon ko haath laga kar durust farmaate the, Nez farmaate the:

“Aapas mein ikhtilaaf na karo warna tumhare dol mukhtalif ho jaaein ge” .

Aur is masla ko samajh lene ke ba’d ek din aap ne ek shakhs ko dekha jis ka seena saf se aage badha hoa tha, To aap ne farmaaya:

عِبَادَ اللَّهِ لَتُسَوَّى بَيْنَ صُفُوقِكُمْ أَوْ لَيُخَالِفَنَّ اللَّهُ بَيْنَ وُجُوهِكُمْ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Taswiyat Al-Safoof ‘anad al-iqaamat-o-ba’doha, H: 717-o- Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Taswiyat Al-Safoof-o-iqamatiha-o-Fazal Al-Awwal faalawal Minha . . . , H: 436)

“Ae Allah ke bando! Tum zaroor apni safon ko seedha rakho ge ya Allah Ta’ala tumhare chehron ko mukhtalif kar de ga.”

Ahem baat yeh hai ke safon ki baraabari zaroori hai aur yeh Imaam aur muqtadiyon ki zimma daari bhi hai. Imaam ko chaahiye ke safhon ka jaaiza le aur unhein seedha kare. Muqtadi yon ko bhi chaahiye ke woh apne safon ko seedha rakhen aur khoob mil jul kar khade hon.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents