412. Mere chote bachhe Namaz padhte hain aur meri biwi Namaz nahi padhti
Mere chote bachhe Namaz padhte hain aur meri biwi Namaz nahi padhti
[Sawaal]
Mere chote bachhe Jin mein sab se bada teen saal se ziyaada ‘Umar ka nahi hai, Woh ghar mein Namaz ke liye mere peeche khade ho jaate hain taa ke mein unhein Namaz ka tareeqa sikhaaon Itne chote bachon ne Wuzu bhi nahi kiya hota to Kia yeh jaaiz hai? Nez yeh farmaaiye ke apni biwi ke baare mein Kia karon jo Namaz mein kabhi kabhi susti karti hai?
[Jawab]
Is sawaal ke pehle hissa ka jawaab yeh hai ke insaan ke liye yeh jaaiz hai ke woh qawl-o-f’el se apne bachon ko Namaz sikhaae. Jab Nabi Kareem (ﷺ) ke liye mimbar banaaya gaya to aap ne us par chadh kar Namaz padhi aur jab sajdah karne ka iraadah kiya to mimbar se utar kar zameen par sajdah farmaaya aur phir Nabi عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ ne Irshaad farmaaya:
إِنَّمَا فَعَلْتُ هُذَا لِتَأْتَمُوا بِيْ وَلِتَعْلَمُوا صَلَاتِي
“Main ne yeh is liye kiya hai taa ke tum meri iqtida karo aur meri Namaz ko seekh lo.”
(Sahih Al-Bukhari, Kitaab Al-Juma’at, H: 917)
Bachhe agar samajh boojh rakhte aur baat ko samajhte hain to unhein Wuzu ka tareeqa bhi sikhaana chaahiye lekin saa’il ne bachon ki jo ‘Umr zikr ki hai un mein se bada teen saal ka hai to mere khayaal mein is ‘Umar mein woh sahih taur par nahi samajh sakte’ shaayad yehi wajah hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne hamein yeh hukm diya hai ke hum bachon ko Namaz padhne ka hukm dein jab ke woh saat saal ki ‘Umar ke hon aur agar das saal ki ‘Umar mein Namaz na padhen to hum unhein saza dein.
[Sawaal]
ki doosri shaq ki biwi Namaz nahi padhti to is silsila mein guzaarish hai ke shohar par yeh waajib hai ke woh apni biwi ko Namaz padhne ka hukm de aur adab sikhaae aur agar woh tark-e-Namaz par israar kare to woh kaafir ho jaae gi Wal’iyaaz billah! Nikkah toot jaae ga aur jab tak woh Namaz ko tark kiye rakhe’ Woh us ke liye Halaal na ho gi ke muhaajir khawaateen ke baare mein Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
فَاِنۡ عَلِمۡتُمُوۡهُنَّ مُؤۡمِنٰتٍ فَلَا تَرۡجِعُوۡهُنَّ اِلَى الۡكُفَّارِ ؕ لَا هُنَّ حِلٌّ لَّهُمۡ وَلَا هُمۡ يَحِلُّوۡنَ لَهُنَّ ۚ
(Al-Mumtahinat 60 10)
“Agar tum ko ma’loom ho ke woh momin hain to un ko kufaar ke paas wapas na bhejo ke na yeh un ko Halaal hain aur na woh un ko jaaiz.”
Musalmaan ke liye yeh Halaal nahi hai ke woh kisi kaafir aur Islam se murtid ‘Aurat se shaadi kare aur agar yeh irtidaad-e-Nikkah ke ba’d paida hoa ho to is se Nikkah toot jaae ga. ‘Iddat khatam hone se qabl agar yeh Islam ki taraf palat aae to yeh is ki biwi ho gi wagarna yeh baa’ina ho jaae gi.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…