445. Imaam ko Ruko’ mein dekh kar [الصَّابِرِينَ إِنَّ اللَّهَ مَعَ]{dir=”rtl”} kehna
Imaam ko Ruko’ mein dekh kar [الصَّابِرِينَ إِنَّ اللَّهَ مَعَ]{dir=”rtl”} kehna
[Sawaal]
Ek shakhs Masjid mein ba jama’at Namaz adaa karne ke liye aae aur dekhe ke Namazi haalat-e-ruku’ mein hain to Kia us ke liye yeh jaaiz hai ke Imaam se mukhaatib ho kar yeh kahe ke “Sabar kijiye Allah Ta’ala sabar karne waalon ke saath hai.” Taake Imaam Ruko’ lamba kar de aur yeh us ke saath shaamil ho sake?
[Jawab]
Ab is tarah karna jaaiz nahi khuwaah woh yeh kahe ke “Sabar kijiye Allah Ta’ala sabar karne waalon ke saath hai.” Ya khankaar kar ishaarah kare ya zameen par paaon maar kar Imaam ko mutall’a kare ya koi aur aisa tareeqa ikhtiyaar kare, Jis se Imaam ko yeh baawar karaana maqsood ho ke woh jama’at ke saath shaamil ho raha hai balkeh is haalat mein waajib yeh hai ke aadmi itminaan-o-sukoon ke saath aae aur jald baazi se kaam na le kyunke Nabi (ﷺ) ka farmaan hai ke:
إِذَا سَمِعْتُمُ الإِقَامَةَ فَامْشُوا إِلَى الصَّلَاةِ وَلَا تُسْرِعُوا فَمَا أَدْرَكْتُمْ فَصَلُّوا وَمَا فَاتَكُمْ فَاتِمُّوا
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab laa Yas’i illa Al-Salaat-o-Liya,tiha Baalsakeenat-o-Al-Waqar, H: 636,-o-Masnad Ahmad 2532, Al-Sunan Al-Kubra lil-Baheeqi, 393)
“Jab tum iqaamat ko suno to chalo aur daud kar na aao Jo paa lo us se padhlo aur jo Faut ho jaae, us se poora karlo.”
Is Hadees se ma’loom hoa ke waajib yeh hai ke aap Namaz ke liye itminaan-o-sukoon se aaein Aaraam se sif mein shaamil ho jaaein Jo paalein us se padh lein aur jo Faut ho jaae, us se ba’d mein mukammal kar lein. Nabi (ﷺ) ka yehi hukm hai. Imaam aur muqtadiyon ko pareshaan nahi karna chaahiye aur na koi aisa kaam karna chaahiye, Jo ‘ehd-e-Sahaaba mein nahi tha.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…