Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

482. Sunnat yeh hai ke Imaam ko Subhaan Allah keh kar yaad dilaaya jaae

Sunnat yeh hai ke Imaam ko Subhaan Allah keh kar yaad dilaaya jaae

[Sawaal]

Main ne Imaam ke peeche Namaz-e-‘Asar padhi. Imaam ne aakhri tashahhud ko tark kar diya aur paanchwin raka’at ke liye uth khada hoa. Unhein “Alhamdulillah” keh kar mutanabba kiya gaya lekin woh badsatoor jaari rahe hatta ke tashahhud ke ba’d unhon ne salaam pher diya, Lekin aksar Namaaziyon ne Imaam ki iqtidaa na ki aur salaam ka intezaar kiya aur jab Imaam ne salaam phera to unhon ne Imaam ke saath salaam pher diya, Phir Imaam ko yaad dilaaya gaya to unhon ne sajdah-e-Sahav kar liya. Sawaal yeh hai ke Imaam ke bhoolne par hamare “Alhamdulillah” kehne aur un ke saath na uthne ke baare mein Kia hukm hai? Umeed hai ke mustafeed farmaaein ge.

[Jawab]

Jab Imaam zaa’id raka’at ke liye khada hone lage ya na bethne ki jagah bethne lag jaae, To Sunnat yeh hai ke unhein “Subhaan Allah” keh kar mutanabba kiya jaae kyunke Sunnat se yehi saabit hai, Chunaanche Nabi Kareem(ﷺ)ne farmaaya:

إِذَا نَابَكُمْ شَيْءٌ فِي صَلَاتِكُمْ فَلْيُسَبِّحِ الرِّجَالُ وَلْتَصْفِقِ النِّسَاء

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-‘Amal fi Al-Salaat, Baab Raf’a Al-Aidi fi Al-Salaat lamar yanzal bihi 1218, 7190,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Taqdeem Al-jama’at min Yasli bihim izha taakhar Al-Imaam: 421)

“Jab tumhein Namaz mein koi cheez pesh aae to mardon ko “Subhaan Allah” kehna chaahiye aur ‘Aurton ko taali bajaana chaahiye.”

Logon mein bhi yehi baat ma’roof hai aur is mouq’a par Alhamdulillah kehna ma’roof nahi hai. Muqtadi par waajib hai ke woh kami beshi mein Imaam ki mutaabi’at na kare balkeh Imaam agar Namaz mein izaafa kar raha ho to muqtadi ko chaahiye ke betha rahe aur Imaam jab sajdah-e-Sahav kar ke salaam pher de to yeh bhi Imaam ke saath salaam pher de. Agar Imaam ki Namaz mein kami ho gai ho to muqtadi khada ho kar Namaz ko mukammal kar le basharteke us se yaqeen ho ke Imaam bhool gaya hai. lehaaza us se chaahiye ke apni Namaz ko mukammal kar le. Jo shakhs zaa’id raa’kat mein Imaam ke saath hi khada ho jaae aur us se yeh ma’loom na ho ke Imaam zaaid raka’at padh raha hai ya us se hukm-e-shar’i ka ‘ilm na ho to us ki Namaz sahih ho gi. Isi tarah Namaz mein kami ki soorat mein jo shakhs Imaam ke saath beth jaae ke us se ilm na ho ke Imaam ne kam Namaz padhi hai ya us se hukm-e-shar’i ka ‘ilm na ho to us ki Namaz sahih ho gi. Aur jab woh qareebi waqt mein ma’loom kare ya us se koi yaad dilaae ke us ne Namaz ko mukammal nahi padha to us se chaahiye ke saari Namaz ko dohraae. Isi tarah Imaam jab bhool jaae aur Namaz abhi baaqi ho lekin us ne apni baat par israar kiya aur phir salaam ke ba’d us se bataaya gaya ke us se ghalti hoi hai to woh apni Namaz ko mukammal kare ga. Us ki itteb’a karne waale bhi us ke saath Namaz ko mukammal karen ge. Imaam aur us ke muqtadiyon par is soorat mein sajdah-e-Sahav laazim ho ga. Aur agar waqt taweel ho gaya aur Imaam ne Namaz ke matrook hissa ko adaa na kiya to us ke liye laazim ho ga ke us Namaz ko dohraae is tarah un logon ko bhi yeh Namaz dohraana ho gi Jinhon ne us ki iqtidaa mein adaa ki thi. Wallahu waali Al-Toufeeq!

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents