Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

491. Sajood-e-Tilaawat ka hukm

Sajood-e-Tilaawat ka hukm

[Sawaal]

Jab mein koi Aayat-e-sajdah padhoon to Kia sajdah karna waajib hai ya nahi?

[Jawab]

Sajdah-e-Tilaawat Sunnat-e-muwakada hai, us se tark nahi karna chaahiye, lehaaza jab insaan Aayat-e-sajdah ki tilaawat kare, Khuwaah Qur’an-e-Majeed se dekh kar ya zubaani , Namaz mein ya Namaz se bahar’ To us se sajdah-e-tilaawat zaroor karna chaahiye. Haan albatta yeh sajdah waajib nahi hai. Insaan us ke tark se gunaah gaar nahi ho ga kyunke Ameer-ul-Momineen Hazrat ‘Umar-bin-Khattaab رضي الله عنه se saabit hai ke unhon ne mimbar par Surah Nahal ki Aayat-e-sajdah padhi aur mimbar se utar kar sajdah kiya aur phir unhon ne doosre Jumm’a mein bhi is Aayat ki tilaawat ki aur sajdah na kiya aur farmaaya ke Allah Ta’ala ne hum par sajdah-e-tilaawat Farz nahi kiya illa yeh ke hum khud sajdah karna chaahen aur aap ne yeh kaam Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنه‍م ki maujoodgi mein kiya. (1)

Is tarah saabit hai ke Hazrat Zaid-bin-Saabit رضي الله عنه ne Nabi Kareem (ﷺ) ke paas Soorat-ul-Najam ki Aayat-e-sajdah ki tilaawat ki aur sajdah nahi kiya. (2) Agar sajdah-e-tilaawat waajib hota to Nabi Kareem (ﷺ) unhein sajdah karne ka hukm dete. Sajdah-e-Tilaawat Sunnat-e-muwakada hai aur afzal yeh hai ke us se tark na kiya jaae, Khuwah Fajr ke ba’d ya ‘Asar ke ba’d ka waqt hi kio na ho, Jis mein Namaz padhne ki mumaani’at hai kyunke is sajdah ka ek khaas sabab hai aur har woh Namaz jis ka khaas sabab ho us se auqaat-e-mumaani’at mein bhi adaa kiya jaa sakta hai jaise sajdah-e-tilaawat aur Tahiyyat-ul-Masjid waghaira.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

(1) Sahih Bukhari’ Kitaab Sajood-ul-Qur’an’

Baab min ra’a inna Allah ‘az-o-jal lam yau jab Al-Sajood’ H: 1077.

(2) Sahih Bukhari’ Abwaab Sajood-ul-Qur’an-o-Sunnatiha’ Baab min qira’at Al-Sajdah-o- lam yasjid’H: 1072’1073

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents