Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

539. Mutlaq Nafil Namaz

Mutlaq Nafil Namaz

[Sawaal]

Kia yeh jaaiz hai ke mein mutlaq niyyat ke saath Nafil Namaz adaa karoon? Maslan ek shakhs ne Nafil Namaz shur’u ki aur raka’at ki tadaad ki tehdeed na ki aur woh chaahta hai ke jis qadar Allah Ta’ala toufeeq de raka’at padhta rahe. Kia yeh jaaiz hai? Baraah-e-Karaam daleel ke saath jawaab dijiye. Aur salaam pherne ke ba’d jab us se yeh ma’loom hi na ho ke us ne taaq raka’at padhi hain ya Juft aur na yeh ma’loom ho ke kitni raka’at padhi hain to is ka Kia hukm hai?

[Jawab]

Is ka hukm yeh hai ke insaan ko yeh ikhtiyaar nahi hai ke woh jitni raka’at chaahe bek waqt shur’u kar le balkeh woh shariy’at ke hukm ka paband hai aur hukm-e-shariy’at yeh hai jaisa ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

صَلَاةُ اللَّيْلِ وَالنَّهَارِ مَثْنى مثنى

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tataw’u, Baab Salaat Al-Nahaar, H: 1295,-o-Asli fi Al-Sahiheen min Hadees Ibn-e-‘Umar رضی الله عنهم laakan badaun zikir Al-Nahaar)

“Raat aur din ki Namaz do do raka’at hai.”

Lehaaza aadmi ko chaahiye ke woh din ho ya raat Nafil Namaz do do raka’at karke padhe, Chaar ya chey ya aath waghaira ikhathi na padhe haan albatta Witr ke baare mein yeh saabit hai ke teen ya paanch ya saat ek tashahhud aur ek salaam ke saath padhe jaaein Isi tarah nau raka’at Witr ek salaam aur do tashahhud ke saath adaa ki jaaein’ Ek tashahhud aathween raka’at ke ba’d kiya jaae aur doosra tashahhud nauween raka’at ke ba’d aur phir us ke ba’d salaam pher diya jaae.

Al-gharz Insaan ko yeh ikhtiyaar nahi ke woh bek waqt jitni tadaad mein chaahe raka’at shur’u kar le balkeh zaroori hai ke do do kar ke raka’at padhe haan is tarah jitni raka’at chaahe padh sakta hai, Agarcha afzal yeh hai ke raat ki Namaz teraah ya giyaarah raka’at se ziyaada na ho kyunke Rasoolullah (ﷺ) ka yehi ma’mool tha.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen’__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents